Intzaar...Intzaar... -
1st September 2004, 02:06 AM
Intzaar...Intzaar...Intzaar...Intzaar...
Intzaar...Intzaar...Intzaar...Intzaar...
Meri subho ko teri shaamo ka
Meri shaamo ko tere vaadon ka..
Meri raaton ko tere khawabon ka..
Meri neendo ko teri baahon ka..
Mere jazbon ko teri chaahat ka..
Mehki zindagi ka..
Kuch khoobsoorat gunaahon ka..
Intzaar...Intzaar...Intzaar...Intzaar...
Apne devta apne kundan ka...
Apni jaanam ka intzaar
Surkh phoolon se mehka rasta hai..
Dil to mera magar sard barta hai
Aasmaano ke sab sa manzar hain
Dil ka mausam phir bhi banjar hai
Dil ki mehki si kuch hawaaon
Bheegi bheegi si kuch ghataaon ka..
Intzaar...Intzaar...Intzaar...Intzaar...
Apne baadal ka, apni baarish ka..
Apni saawan ka intzaar..
Apni dhakan ka, apni saanso ka..
Apne jeene ka intzaar..
Koi badli kabhi is tarah aaye
Pyaas sadiyon ki pal mein bujh jaaye
Tujh ko lauta ke meri aaghosh mein
Dekhna vakt ki nabz tham jaayegi
Aisi janmon ki vafaaon ka..
Umar bhar ki un panaahon ka
Intzaar...Intzaar...Intzaar...Intzaar...
Tere aane ke, tujhko paane ka..
Phir na jaane ka intzaar..
Tere aane ke, tujhko paane ka..
Phir na jaane ka intzaar..
Intzaar...Intzaar...Intzaar...Intzaar...
Movie : Paap
Singer : Anuradha Paudwaal
~Priya
"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
|