Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

View Poll Results: GHAZAL OF THE MONTH "MAY 2010" IS
Teri mamta se kya behtar, tere aachal se kya badhkar 1 2.63%
Chuudi tooti, sindoor mita aur kya hona baki hai 6 15.79%
Smriti ke jhilmil panno par, abhi bhi kuch kuch baaki hai, 5 13.16%
Maa ki mamta ka sahaara naa hota 2 5.26%
Maa Ki Duaa Me Itnaa Asar Hai 9 23.68%
Aaj itnay barsoN baad tum ghar laut kar aayee ho 3 7.89%
MAA Meri Pyari MAA 2 5.26%
RishtoN ke i's taane-baane meiN bhala sa hai ik naam 10 26.32%
Voters: 38. You may not vote on this poll

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ghazal of the month "May 2010"
Old
  (#1)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Thumbs up Ghazal of the month "May 2010" - 1st June 2010, 10:56 AM

Mehfil ko Zainy ka Aadaab arz hai.......

Aaj phir meiN aap sab ki Khidmat meiN haazir ho rahi hooN.. Ghazals of the month May 2010 ke saath...

DostoN, is baar aap ko kaafi mehnat karne ki zaruurat hogi, kyuN ki is baar hame GTM May 2010 ke liye kul 8 GhazaleiN mili haiN...

MaiN sab se pahle un dostoN ki shukrguzaar huuN jinhone is silsile meiN hissa liya, meri taraf se un sab ko mubaarakbaad, is silsile kaa hissa banne ke liye..

MaiN un dostoN ki bhi shukrguzaar huuN jo hamesha apne vote se achhi Ghazal chhun kar sab ke saamne laa rahe haiN.. dostoN, sab ki GhazaleiN yahaaN pesh hai..

Ummeed hai ki sabhi dost apna kheemti vote unhe dekar unki hausla afzaai karenge...

ALL THE BEST TO ALL THE PARTICIPANTS...............

PS:
..Only those members can participate and vote in GTM who have more than fifty posts...

GTM ke rules ke mutabiq, jin members ki post count less than 50 hai, woh vote nahi de sakte haiN, agar unhone vote kiya bhi, tou unka vote neutralize ho jayega..

Duplicate ids ko bhi neutralize kiya jayega, aur result in sab votes ko delete karke hi sunaya jayega...

Meri guzarish hai,plzz yeh saari bateiN dhyan me rakhiye..

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 1st June 2010 at 05:55 PM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#2)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
1st June 2010, 11:04 AM

Tahir Faraz saheb ki ek bohat mash_hoor peshkash thi Maiee, bas usi kalam ki zameen par thoda izafa kiya hai is mahine ke GTM me shirkat lene ke silsile me.....pesh hai mera kalam Maiee...

Maiee.

Teri mamta se kya behtar, tere aachal se kya badhkar
Tere charno me jannat payee, maieeee o maieeeee

Tujhse mera sara jeevan, tujhe chahe mera kan kan
Mere man me tu samaiee, maieeee o maieee

Jee chahe tere pass rahu main banke tera saya
Bas kaam tu mere aayee MAA aur kam na koi aaya
Phir apne gale tu laga ke, pyaas meri tu bujha ke
Jeevan kar de sukhdaiee, maieeee o maieeeee

Darta hu main akayla reh paooga nahi MAA
Jo sath na ho tu mere mar jaoo na kahi MAA
Mujhe amrut mera dede, apne aachal tale tu lele
Tujhe chahe bohat khudaiee, maieeee o maieeee

Meri har aahat pe jaage main tadpu aur MAA bhage
Bandhe woh meri kalaiee par buri nazar ke dhaage
Mil jaye teri duaaye, teri seva me jeevan jaye
Rab de bas yahi kamaiee, maieeeee o maieeeee

  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#3)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
1st June 2010, 11:07 AM

MY MOM remembering My father ..
---------------------------------------------------

chuudi tooti, sindoor mita aur kya hona baki hai
aankhen tou saari sookh chuki ab kitna rona baki hai

maut ko soutan bana gaye, bina diye talaaq mujhe
maine bhi vyaahi kaza, haan lekin mera gona baaki hai.

laga gular hijr ko aisa, roz hi badhta rahta hai
saari umr guzaar chuki maiN, ik poori hona baaki hai

do kamre dono betoN maiN baant to chuki huN maiN
dono hi kamroN meiN lekin, mera ik ik kona baaki hai

baahar tou tum ab kahiN nahi haaN bas baatin mere rahte ho
mukammal tumko kho chuki ya aur bhi khona baaki hai

ab bhi sirhane ki diwaar pe naam tumhara likhti huuN
aaj bhi mujhpar hua tumhara jaadu-tona baaki hai

milti rahi hai tukdoN mai yuN to roz hi neeNd mujhe
tumhare jaisi sabut mujhko bhi bas ik neend sona baki hai

kaza .. Death,
gona .... vidayee dulhan ki ...
gular .. ik phool hota hai, jis cheez mai rakh do usme barkat hoti rahti hai...
poori hona . to be dead .....
baatin .... inner

Last edited by zainy; 1st June 2010 at 11:23 AM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#4)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
1st June 2010, 11:08 AM

Smriti ke jhilmil panno par, abhi bhi kuch kuch baaki hai,
Sach maano insaan nahi “maa”, tu iiswar ki ik jhaaki hai.

Janni tujhko jag kahta, tu jag janni jag jaaya hai.
Sakal sampada mai kya vaaru, jab charno me swarg samaya hai.

Poojan vandan au abhinandan, kya namr nivedan kar paaunga.
“Maa” Lori gaa ke thapki degi, mai goodi mein so jaaunga.

Ik samay raha jab garbh mein tere, saanse teri aadhaar bani.
Bas samay aaj bhi vaisa hai, tu jeevan nayian patwaar bani.

Apne jaeevan ka hissa dekar, “maa” ne bhaag banaya hai.
Mai toh ik chingaari tha, “maa” ne aag banaya hai.

Yeh jag tera rini hai maata, uddhaar nahi ho sakta hai.
Jisne tera yash na gaya, woh paar nahi ho sakta hai.

Gar chaho apne, jeevan mein khushiyon ka saath.
Maang lo apne khuda se jhuk kar, seesh pe apni maa ka haath.!!!
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#5)

1st June 2010, 11:10 AM

Maa ki mamta ka sahaara naa hota
duniya me wajood hamaara naa hota

rote rote kholi thi aankhe is jahan me
kaise hanste gar usne dulaara naa hota

fansi hai meri naiya jab bhi bhanwar me
paar naa hota gar maa ko pukaara naa hota

pahunch naa paata un manzilon par mai
gar uski duaon ne sanwaara naa hota

jaan bhi naa paate khuda ki rahmaton ko
uska aks maa ne dil me utaara naa hota

agyaanta aur andhere me jeeta mai
gar maa ki mamta ka nazaara naa hota

  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#6)

1st June 2010, 11:11 AM

Maa Ki Duaa Me Itnaa Asar Hai
Iss Ki Rab Ko Bhi Khabar Hai...

Dhoop Ho Zindagi Me Kitni
Uss Ka Aanchal Shazar Hai...

Jab Bhi Gaya Hoon Door Usse
Khiche Mamtaa Ki Dor Magar Hai...

Uss Ka Saya Hai Jab Tak
Phir Kis Baat Ka Da'r Hai...

Khuda Ka Noor Hai Uss Pe
Kya Mandir Ki Ab Kasar Hai...

Maa Ka Daantaa Bhi Azab Hai
Girke Aansoon Gaya Kidhar Hai...

Kudrat Ki Yeh Woh Misaal Hai
Deke Janam Chhaati Doodh Bhar Hai...
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#7)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
1st June 2010, 11:14 AM

MOTHER TO DAUGHTER
-----------------------------

Aaj itnay barsoN baad tum ghar laut kar aayee ho
haath meiN kuch phool aur tohfay bhii layi ho
kaash,in tohfoN ke badlay
tum mujhay apna pyaar hii de paati
jo cheena tha kabhi
wapis wo adhikaar de paati
poochti mujhse meri kahaani
apni sunaa paati
Maa keh kar mujhay
galay apne lagaa pati.
yaad hai mujhay aaj tak
voh bhayanak shaam
jab kisi ke haathoN
bheja tha tumne paigaam
'kyuNki,maine piyaa se naata jodaa hai
issi liay.....babul se naata todaa hai.
ab maiN apni dunia nayi basaungi
mat dhoondna mujhay
lout kar na aauNgi".
aaj dekh rahii huuN beti tumhari
tumharay saath
shayad isi liye huaa hoga
tumeiN bhii kuch ehsaas.
shayad ab tum usay samjhana chahti ho
kya khoya tha kabhi dikhana chahti ho.
is liay ab tou mujhay seenay se laga le
bas ek baar sirf ek baar
"MAA" keh kar bula le
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#8)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
1st June 2010, 11:16 AM

MAA Meri Pyari MAA
---------------------------------------

Jiske dil me basta hai pyaar sada
KhushiyoN ka deti hai uphaar sada
Is dil me basi hai murat jiski
Wo hai MAA meri pyari MAA

Har ghum se usay ladte dekha hai
MushkiloN meiN aage badhte dekha hai
Shikan nahi chehre par jiske kabhi
Wo hai MAA meri pyari MAA

Bina kahe hi sab samajh jaati hai
Tab dil ko mere bahut bhaati hai
Jo jeeti hai sada dujhe ke liye
Wo hai MAA meri pyari MAA

Naman tujhe dil se karti hu
Maa mai tujhe prem karti hu
Is jag me nahi dujha jiske siva
Wo hai MAA meri pyari MAA
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#9)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
1st June 2010, 11:17 AM

Maa
---------

RishtoN ke i's taane-baane meiN bhala sa hai ik naam
har baar ho tu hi maa meri, bas hai rab ko yahi paigaam

nau maah rakh kokh meiN apni, lahu se apne seeNche
maana ke har cheez hai bikati, na hai mamta ka koi daam

haath pakad chalna seekhati, lori ga pyaar se sulaati
maa hona vardaan bada, nahi i's se bada hai koi kaam

pehle pet bhare bachche ka, bache to khuchh kha leti
khoje se na milti mamta, chahe kar lo char tirath dhaam

nalaayaq ho, bad'soorat ho ya sabse bada nik'kama
bachcha apna lage bhala maa ko, bole ye_hi mera shayam

diya hai jisne nayaab ye tohfa, sakal i's saNsaar ko
u's rab ko tere isilye hai, mera baar'm baar pranaam
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#10)
harish k thakur
Registered User
harish k thakur is on a distinguished road
 
harish k thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 58
Join Date: Sep 2009
Rep Power: 15
1st June 2010, 02:31 PM

Maa ki mamta ka sahaara naa hota
duniya me wajood hamaara naa hota

rote rote kholi thi aankhe is jahan me
kaise hanste gar usne dulaara naa hota

fansi hai meri naiya jab bhi bhanwar me
paar naa hota gar maa ko pukaara naa hota

pahunch naa paata un manzilon par mai
gar uski duaon ne sanwaara naa hota

jaan bhi naa paate khuda ki rahmaton ko
uska aks maa ne dil me utaara naa hota

agyaanta aur andhere me jeeta mai
gar maa ki mamta ka nazaara naa hota

All are good but this one is the special one
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
aakash4u
Banned
aakash4u is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 134
Join Date: Feb 2010
Rep Power: 0
1st June 2010, 06:50 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
MY MOM remembering My father ..
---------------------------------------------------

chuudi tooti, sindoor mita aur kya hona baki hai
aankhen tou saari sookh chuki ab kitna rona baki hai

maut ko soutan bana gaye, bina diye talaaq mujhe
maine bhi vyaahi kaza, haan lekin mera gona baaki hai.

laga gular hijr ko aisa, roz hi badhta rahta hai
saari umr guzaar chuki maiN, ik poori hona baaki hai

do kamre dono betoN maiN baant to chuki huN maiN
dono hi kamroN meiN lekin, mera ik ik kona baaki hai

baahar tou tum ab kahiN nahi haaN bas baatin mere rahte ho
mukammal tumko kho chuki ya aur bhi khona baaki hai

ab bhi sirhane ki diwaar pe naam tumhara likhti huuN
aaj bhi mujhpar hua tumhara jaadu-tona baaki hai

milti rahi hai tukdoN mai yuN to roz hi neeNd mujhe
tumhare jaisi sabut mujhko bhi bas ik neend sona baki hai

kaza .. Death,
gona .... vidayee dulhan ki ...
gular .. ik phool hota hai, jis cheez mai rakh do usme barkat hoti rahti hai...
poori hona . to be dead .....
baatin .... inner

sari ghazalein bahut achi hain..

but ye ghazal bahut khoob bani hai..

bus dekhna ye hai ki

who is the ist among equals
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Rajeev Sharma
Tere Intzaar Mein....
Rajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.comRajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.comRajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.comRajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.comRajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.comRajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.comRajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.comRajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.comRajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.comRajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.comRajeev Sharma is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Rajeev Sharma's Avatar
 
Offline
Posts: 1,181
Join Date: Feb 2010
Location: Ludhiana(Punjab)
Rep Power: 39
2nd June 2010, 12:50 PM

sabhi GazaleN ek se badhkar ek haiN
sabhi ne bahut hi achha likha hai.
vote karuNga zarur lekin ..........baad mein
kyoNki har gazal itni achhi hai ki baar baar padhne ko man karta hai
isiliye har rachna ko jee bhar kar padh to luN.

ek baat aur
Agar mujhe koi is baar ek se jyaada vote ka moqa de de to maiN sabhi gazaloN ko ek nahi balki do-do vote de dun.par niyam to niyam hai

sabhi SDC members aur MOD se guzaarish hai ki PLZZ voting zarur kareN.

maNzil pr nazar rakhtaa huN
zaari apnaa safar rakhtaa huN !!

===========================

sharma.rajeev701@gmail.com
https://www.facebook.com/rajeevsharmaraj111
http://www.rajeevsharmaraj.blogspot.com/
  Send a message via Yahoo to Rajeev Sharma  
Reply With Quote
Old
  (#13)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
2nd June 2010, 09:38 PM

sabhee dosto.n ko tah-e-dil se mubaaraqbaad !

~ Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
yeah
Old
  (#14)
akant
Registered User
akant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to behold
 
akant's Avatar
 
Offline
Posts: 1,774
Join Date: Apr 2003
Location: UP, India
Rep Power: 30
yeah - 3rd June 2010, 03:33 PM

Meri pasand ki STAMP esi per hai

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
MY MOM remembering My father ..
---------------------------------------------------

chuudi tooti, sindoor mita aur kya hona baki hai
aankhen tou saari sookh chuki ab kitna rona baki hai

maut ko soutan bana gaye, bina diye talaaq mujhe
maine bhi vyaahi kaza, haan lekin mera gona baaki hai.

laga gular hijr ko aisa, roz hi badhta rahta hai
saari umr guzaar chuki maiN, ik poori hona baaki hai

do kamre dono betoN maiN baant to chuki huN maiN
dono hi kamroN meiN lekin, mera ik ik kona baaki hai

baahar tou tum ab kahiN nahi haaN bas baatin mere rahte ho
mukammal tumko kho chuki ya aur bhi khona baaki hai

ab bhi sirhane ki diwaar pe naam tumhara likhti huuN
aaj bhi mujhpar hua tumhara jaadu-tona baaki hai

milti rahi hai tukdoN mai yuN to roz hi neeNd mujhe
tumhare jaisi sabut mujhko bhi bas ik neend sona baki hai

kaza .. Death,
gona .... vidayee dulhan ki ...
gular .. ik phool hota hai, jis cheez mai rakh do usme barkat hoti rahti hai...
poori hona . to be dead .....
baatin .... inner

Akant...

*********
आहट सी कोइ आये तो समझ लेना कि तुम हो...
AahaT si koi aaye to samajh lena ki tum ho...
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
7th June 2010, 12:39 AM

Smriti ke jhilmil panno par, abhi bhi kuch kuch baaki hai,
Sach maano insaan nahi “maa”, tu iiswar ki ik jhaaki hai.

Janni tujhko jag kahta, tu jag janni jag jaaya hai.
Sakal sampada mai kya vaaru, jab charno me swarg samaya hai.

Poojan vandan au abhinandan, kya namr nivedan kar paaunga.
“Maa” Lori gaa ke thapki degi, mai goodi mein so jaaunga.

Ik samay raha jab garbh mein tere, saanse teri aadhaar bani.
Bas samay aaj bhi vaisa hai, tu jeevan nayian patwaar bani.

Apne jaeevan ka hissa dekar, “maa” ne bhaag banaya hai.
Mai toh ik chingaari tha, “maa” ne aag banaya hai.

Yeh jag tera rini hai maata, uddhaar nahi ho sakta hai.
Jisne tera yash na gaya, woh paar nahi ho sakta hai.

Gar chaho apne, jeevan mein khushiyon ka saath.
Maang lo apne khuda se jhuk kar, seesh pe apni maa ka haath.!!!

har sher me maa ka mahtva bataya gya hai aur last do sher to kya kahne hai...ek dam sahi bata bayaan ki hai hai inme

mera vote isi gazal ko jata hai

कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote
Old
  (#16)
sajid_ghayel
Registered User
sajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant future
 
sajid_ghayel's Avatar
 
Offline
Posts: 1,849
Join Date: Feb 2009
Location: Mumbai
Rep Power: 32
8th June 2010, 01:24 AM

Sabke likhe ko Ghayel ka pranam.......

My vote goes to.........Smriti ke jhilmil panno par...

Jhoot kehdu yeh meri fitrat me nahi shamil

Par tujhe bevafa bhi kehna achcha nahi lagta...

Mob.: +971 501297654
  Send a message via Yahoo to sajid_ghayel  
Reply With Quote
Old
  (#17)
LAMHA
beautiful moment.........
LAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant future
 
LAMHA's Avatar
 
Offline
Posts: 6,429
Join Date: Jul 2007
Location: u.s.a
Rep Power: 42
Smile 8th June 2010, 07:07 PM

gr888888888 jobbbbb guyzzzzzzz....................

"LAMHA"

mujhko acchaa nahiiN lagtaa ko’ii hamnaam teraa ,
ko’ii tujhsaa ho to phir naam bhii tujhsaa rakhe....
  Send a message via Yahoo to LAMHA  
Reply With Quote
Old
  (#18)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
9th June 2010, 11:43 AM

sabhee dosto.n se guzaariSh haii ki apni pasandeedaa koShiSh ko VOTE de.n

ShuKriyaa'j

aapka

~ Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
10th June 2010, 02:44 PM

Is site ke sabhi members aur participants se meri request hai ke woh sab aaj hi apna vote deiN...

Don't wait for the last day to vote............

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 10th June 2010 at 03:17 PM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#20)
Ritu18525
Registered User
Ritu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud of
 
Ritu18525's Avatar
 
Offline
Posts: 839
Join Date: Sep 2008
Location: India
Rep Power: 30
10th June 2010, 05:11 PM

My vote goes to................................................ ...........................
Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Maa
---------

RishtoN ke i's taane-baane meiN bhala sa hai ik naam
har baar ho tu hi maa meri, bas hai rab ko yahi paigaam

nau maah rakh kokh meiN apni, lahu se apne seeNche
maana ke har cheez hai bikati, na hai mamta ka koi daam

haath pakad chalna seekhati, lori ga pyaar se sulaati
maa hona vardaan bada, nahi i's se bada hai koi kaam

pehle pet bhare bachche ka, bache to khuchh kha leti
khoje se na milti mamta, chahe kar lo char tirath dhaam

nalaayaq ho, bad'soorat ho ya sabse bada nik'kama
bachcha apna lage bhala maa ko, bole ye_hi mera shayam

diya hai jisne nayaab ye tohfa, sakal i's saNsaar ko
u's rab ko tere isilye hai, mera baar'm baar pranaam

"Life laughs at you when you are unhappy...
Life smiles at you when you are happy..
But,
Life salutes you when you make others happy!!"
# Feel The Difference #
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
10th June 2010, 05:49 PM

zainy ji maa ke pyar ki bhavna se sarabor is thread pe bulaane ka bahut bahut shukriya,aapka aabhari aur tah-e-dil se shukraguzaar huN ki aapne mujhe in sab ehsashon ko padhne ka mauka diya... waise to maiN ghazal ki bareekiyon se bilkul v waakf nahi huN aur na hi mujhe beher me likhna kabhi raas aaya, par haaN yahaan kisi bhi pratiyogi ke liye vote karne se pehle pni ek choti si shanka ka nivaran chahuNga,mere khayaal se yahaan maujood 8 kritiyoN me se do ko ghazal samjhne me pareshaani ho rahi hai mujhe,chuNki ye ghazal of the month ka competition hai to thoda ajeeb laga mujhe,umeed karta huN ki vishay me meri shanka ka nivaran kiya jaayega...!! agar kuch galat keh gaya huN to sab se maafi ka talabgaar hooN...!!

aapka GHAYAL...!!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#22)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
10th June 2010, 06:36 PM

Sabhi ko namaste ...

MaiN behad accha mehsoos kar raha huN GTM ka rang roop aur raunak dekh ke .. Aur mujhe khushi hai ki is baar GTM bohat safal hoti nazar aa rahi hai .. Dhaval saahab main khaas taur pe aapki tareef karna chahuNga ki aapki haaziri mai ye muqabila is qadar aage badh raha hai .. kyuNki itni logo ne hissa liya ... aur voting bhi zoroN pe lag rahi hai .. aisa kabhi mehsoos nahi hua pehle ... yahaN main aapki tareef karte hue aapko mubaraqbaad dena chahunga .. aur umeed karunga aap aise hi is jagah ko aage badhate rahenge ...

Shukriya ...

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..

Last edited by KunaaL; 10th June 2010 at 06:40 PM..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#23)
sajid_ghayel
Registered User
sajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant future
 
sajid_ghayel's Avatar
 
Offline
Posts: 1,849
Join Date: Feb 2009
Location: Mumbai
Rep Power: 32
10th June 2010, 07:30 PM

Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
Sabhi ko namaste ...

MaiN behad accha mehsoos kar raha huN GTM ka rang roop aur raunak dekh ke .. Aur mujhe khushi hai ki is baar GTM bohat safal hoti nazar aa rahi hai .. Dhaval saahab main khaas taur pe aapki tareef karna chahuNga ki aapki haaziri mai ye muqabila is qadar aage badh raha hai .. kyuNki itni logo ne hissa liya ... aur voting bhi zoroN pe lag rahi hai .. aisa kabhi mehsoos nahi hua pehle ... yahaN main aapki tareef karte hue aapko mubaraqbaad dena chahunga .. aur umeed karunga aap aise hi is jagah ko aage badhate rahenge ...

Shukriya ...

Kunaal
Bohat sachchi aur bohat pyaari baat ki hai hamare Kunaal saheb ne.......I completely agree with him..........aur main Dhaval saheb ke sath sath Zainy jee ko bhi dhero badhaiee dena chahuga GTM ki kamyabi par.

Jhoot kehdu yeh meri fitrat me nahi shamil

Par tujhe bevafa bhi kehna achcha nahi lagta...

Mob.: +971 501297654
  Send a message via Yahoo to sajid_ghayel  
Reply With Quote
Old
  (#24)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
10th June 2010, 07:53 PM

Quote:
Originally Posted by ghayal_shayar View Post
zainy ji maa ke pyar ki bhavna se sarabor is thread pe bulaane ka bahut bahut shukriya,aapka aabhari aur tah-e-dil se shukraguzaar huN ki aapne mujhe in sab ehsashon ko padhne ka mauka diya... waise to maiN ghazal ki bareekiyon se bilkul v waakf nahi huN aur na hi mujhe beher me likhna kabhi raas aaya, par haaN yahaan kisi bhi pratiyogi ke liye vote karne se pehle pni ek choti si shanka ka nivaran chahuNga,mere khayaal se yahaan maujood 8 kritiyoN me se do ko ghazal samjhne me pareshaani ho rahi hai mujhe,chuNki ye ghazal of the month ka competition hai to thoda ajeeb laga mujhe,umeed karta huN ki vishay me meri shanka ka nivaran kiya jaayega...!! agar kuch galat keh gaya huN to sab se maafi ka talabgaar hooN...!!

aapka GHAYAL...!!

Lucky ji..aapko yahaaN dekhker behad khushi ho rahi hai...aur yeh jaanker bhi khushi huyi ke aapko pratiyogita ke sabhi ehsaas pasand aaye...

Lucky ji maanti huuN ke yeh "Ghazal of the month" contest hai, per saal me ek do baar hum,members ko nazm, geet ,kavita likhne ki bhi aazadi dete haiN,koi ek topic per...

http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=69482

Pichle mahine bhi hum ne "Word for Gtm" per yeh elaan kiya tha ke aap log ghazal ,nazm,geet kuch bhi likh sakte haiN..koi pabandi nahi hai....

Isse jo log ghazal nahi likhte unko bhi is contest ka hissa banne ka maukha milega...

Ummid hai aap ki shanka ka nivaran ho gaya hoga....

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#25)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
11th June 2010, 04:54 PM

aaj subha se maiN sabhi dostoN ke ahsaas 4-5 baar pad chuki hoon, sabhi ne milkar MAA ki sampooran tasveer si bana di hai, MAA ki tareef mein to jitna bhi likha ya kaha jaye kum hai, kyuNki MAA sa koi doosra nahi hai jahaN meiN, sabhi ke ahsaas padte hue yeh baat zehan mein nahi aaye ki yahan koi gazal hai ya nazm hai ya kavita hai, bas yehi baat yaad rahi ki MAA ki baat ho rahi hai aur har koi apne dil ke ahsaas khul kar kah raha hai, sabhi ne bahutttttttttttttt hi accha likha hai.

ek geet zehan meiN aa raha hai, uski 2 lines aap sabke saath share karna chahti hoon.

"usko nahi dekha humne kabhi, par eski jaroorat kya hogi,
eh MAA, teri surat se alag bhagwaan ki surat kya hogi.."

hamari taraf se sabhi participants ko shub-kaamnaye

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#26)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
11th June 2010, 10:11 PM

Kunaal bhaa'i.. saajid bhaa'ii aur Parivaar ke sabhee sadasya:

namaste!

GTM meiN sudhaar huaa yeh kisi moderator ki koShiSh se nahii.n.. yeh Poore Parivaar ne saath mei.n mil kar kii hu'ii koShiSh kaa nateejaa haii.. mai.n pooree Shaa'iree Parivaar ka aabhaarii huu.n ees ke liye!

mai.n Khud ko hameShaa ek member ki nazar se hi deKhtaa huu.n moderator ki nahii.n.. mere zeh'n aur dil mei.n hameShaa yehii baat rehtee hai ki Parivaar ke har ik sadasya ko saath lekar hi aage baRhaa jaaye.n!

aap sab kaa saath miltaa haii tabhee mumkin hai yeh sab.. asl taaqat bhee yahee haii "saath"

aur ees ke liye mai.n Khudaa aur aap sab kaa ShuKraGuzaar huuN!

duaao.n ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#27)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
12th June 2010, 12:50 PM

chalie jab zainy ji ne shanka door kar hi di hai humne v apna matdaan kar diya hai.....!!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Sincere request to all the participants........
Old
  (#28)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Sincere request to all the participants........ - 12th June 2010, 06:21 PM

Request::...Sabhi participants se meri guzarish hai ke woh apni ghazal/nazm ka zikr kisi se bhi na kareiN..........

Agar kisi member ne apne dostoN ko apni ghazal/nazm ke baare me bataya aur votes ke liye unhe majboor kiya,aur agar hameiN uska koi suboot mila, tou hameiN majbooran us ghazal/nazm ko kharij karna padega, aur woh member dubara kabhi Gtm me hissa nahi le sakega...

Doston ke diye gaye votes se haasil ki gayi jeet bemayine hai....

Enjoy Gtm, plzz play it fairly...

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 12th June 2010 at 06:29 PM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#29)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
14th June 2010, 11:44 PM

VOTE zaruur de.n !!!!!!!!!!!!!!!!!

~Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
awesome
Old
  (#30)
zamir
Registered User
zamir has a spectacular aura aboutzamir has a spectacular aura aboutzamir has a spectacular aura about
 
zamir's Avatar
 
Offline
Posts: 176
Join Date: Mar 2005
Location: mumbai
Rep Power: 22
awesome - 14th June 2010, 11:54 PM

good peice of work mere pass words nahi hai bahot bahot khoob

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
MY MOM remembering My father ..
---------------------------------------------------

chuudi tooti, sindoor mita aur kya hona baki hai
aankhen tou saari sookh chuki ab kitna rona baki hai

maut ko soutan bana gaye, bina diye talaaq mujhe
maine bhi vyaahi kaza, haan lekin mera gona baaki hai.

laga gular hijr ko aisa, roz hi badhta rahta hai
saari umr guzaar chuki maiN, ik poori hona baaki hai

do kamre dono betoN maiN baant to chuki huN maiN
dono hi kamroN meiN lekin, mera ik ik kona baaki hai

baahar tou tum ab kahiN nahi haaN bas baatin mere rahte ho
mukammal tumko kho chuki ya aur bhi khona baaki hai

ab bhi sirhane ki diwaar pe naam tumhara likhti huuN

aaj bhi mujhpar hua tumhara jaadu-tona baaki hai

milti rahi hai tukdoN mai yuN to roz hi neeNd mujhe
tumhare jaisi sabut mujhko bhi bas ik neend sona baki hai

kaza .. Death,
gona .... vidayee dulhan ki ...
gular .. ik phool hota hai, jis cheez mai rakh do usme barkat hoti rahti hai...
poori hona . to be dead .....
baatin .... inner

tishna
  Send a message via Yahoo to zamir Send a message via AIM to zamir  
Reply With Quote
Old
  (#31)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
19th June 2010, 04:29 PM

Gtm me hissa lene waale sabhi members ko pura haq hai, ke wo apni ghazal/nazm ek seperate thread banaker post kar sakte haiN...

Every ghazal deserves compliments and Reputations....

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com