Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Yadon ke Jhaorke Se
Old
  (#1)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
Yadon ke Jhaorke Se - 18th June 2015, 09:38 AM

Doston Kuch purane mebmbers ke old threads yahan pesh kiye jayeinge, taanki humko dobara se pareiN aur unke kalamon ki Yaad taza kareiN.. Sabase pehle ye Ghazal pesh hai


__________________________________________________ ________________________________
Shaam tak na pahonnchay
Arbaab-e-Zauq Ko Aadaab….!Aik Taraahi Ghazal Pesh Hai, Ummid Hai Pasand aaye Gi….


http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=75585
(click link for original post)

Rahay Doobtay Bhanwar Me Lab-e-Baam Tak Na Pahonchay
Takmeel To Kuja Hum Kabhi Khaam Tak Na Pahonchay

Ye Khushi Wisaal Rut Ki Tere Dil Me Hai Jo Raqsa'an
Ye Khushi Bhi Dar Hai Mujhko Aalaam Tak Na Pahonchay

Raha Hijr Bhi Hamaara Mehdood "Jeem" Tak Hee
Aur Wasl Ke Bhi Yaaro Hum "Laam" Tak Na Pahonchay

Muddat Se Hun Main Saayil Bas Ik Nazar Ka Jaanaan
Aisi Bhi Kia Bakheeli Ke Ghulaam Tak Na Pahonchay

Teri Qurbiyyat Me Janaan Jo Hui Hai Subho Raushan
Ye Sehar Bhi Rafta Rafta Kaheen Shaam Tak Na Pahonchay

Main Ye Kaisay Maan Jaaun Ke Hai Be-Khabar Wo Mujh Se
Wo Bhi ISHQ Hai Jo AHMAD Alhaam Tak Na Pahonchay

AHMAD ALI SHAKIL written in 2013



Ay Chaara-Saaz Dil Pe M're Daal Ik Nazar
Mujhko Bas Aik Jism Ka Aazaar Hee Nahi

AHMAD ALI SHAKIL

Last edited by Hamdam; 18th June 2015 at 10:30 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
18th June 2015, 09:58 AM

YaddoN ke Jharokhe se aik aur najrana lekar aaye hu Parataar ji ki kalam se

http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=51362


Hokar hamare bhi kahan wo sang hamare chale
Iss paar hum chale, aur wo us kinaare chale

Hum rahe barson saudaayi, wo bhi kam maa’el na thhe
Umr guzri par hum fakat, iss dil ke sahaare chale

Mazaa na poochiye ki jab jab wo hote hain khafaa
Tab tab wo ahal-e-dil humko aur ho pyaare chale

Na ho tammanna hamaari bhule se unpar ayaan
Lo! lekar zer-e-khaak hum armaan saare chale

Kuch tau tapish rahi hogi sukhan mein tere bhi ‘paras’
Yoon hi nahin har sher pe tere, har dil pe sharaare chale


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#3)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Thumbs up 18th June 2015, 10:26 AM

Yaddon ka silsilla chala to kai purane shayar zehan meiN aaye, jinko ham SDC par dekhna chahte hai par wo apni masrooriyat ki vajha se aa nahi paate...shayad hamara yeh dil se bheja paigaam un tak pahunch jaaye...es umeed meiN aik aur pyari si gazal Acharya_mj (Manu) ji ki likhi hue, es bazm ki nazar kar rhi hu

http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=59187

gHam mire phir zab^t mera aazmaane aa gaye
ash^k kuchh Rish^tey puraane phir nibhaane aa gaye

baat hamney kii jo rasman bhii haseeno se kabhii
log dekhiye toHmate.n ham par lagaane aa gaye

aaiine me.n apna chehra tum ne dekha hii nahii
Ungliyaa.n kyu.n apni auro.n par uthaane aa gaye?

is qadar bhii log haiN bereh^m socha bhii na thaa
zul^m kar ke zakh^m par nishtar chalaane aa gaye

zindagi bhar to nahii kii qad^r mere pyaar kii
mar gayaa to qabr par sham,e'N jalaane aa gaye

shaaKh-e-dil se phool ban kar dard kee phooTee Ghazal
phir lo ah-le-baz^m taariife.n lutaane aa gaye

jab kabhee Khoon-e-jigar se maiN ne likkhee hai Ghazal
hamnisheeN mere sabhee bas muskuraane aa gaYe

ilm ham ko jab huaa gham apna hai unki khushii
muskuraa kar ham tabhi phir Zakh^m khaane aa gaye

laakh chaaha hamne rukh yaado.N se teri moDna
beete kuchh bereh^m lamHe dil dukhaane aa haye

ham ne dekhee hee nahii aa.Ngan men aisee bhee fizaa
tum jo aaYe yooN lagaa mausam suhaane aa gaye!

haa.n magar apne muqaddar me.n yeh mausam hee na tha
tum gaye , din zar^d patjhaR ke puraane aa gaye

Yu.n rahe apne maraasim haadso se umrabhar
Chaaha dil , khoon-e-jigar mera bahaane aa gaye


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#4)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
18th June 2015, 03:14 PM

Khawahish ji (Sameer) yaadoN ke daayre meiN aapka naam bhi pehli list meiN hai, aapki dil fareb shayri sabse saath aik baar phir share kar rhi hu...umeed hai aap bhi phir se SDC par hazir hoNge apni tazza gazaloN ke saath

http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=69225

HUm SitaaRe Ko NiSHaaN banaYe baithe hai
Dil ki hasrat ko hum JaaN banaye baithe hai

YeH DiL BeSaBRa Hai JaWaab -E- TaLab Unke
Woh khamoshi ko zubaaN banaye baithe hai

Dard -E- DiL Per DaWaaoN Ka Asar hota nahiN
Dil yeh bimar KhamakhaaN banaye baithe hai

Humne chahaa mohobbat mein khuda dekheN
LoG Hai DauLaT Pe IimaaN banaye baithe hai

DiN Ko ChaiN Nahi RaatoN Ko KhaYaal UnKe
Aur woh Izhaar ko ahsaaN banaye baithe hai

Ek ZaRRa Si BaaT Per HuYe Hia ItNe KhaFaa
Besabab hi dil bad-gumaaN banaye baithe hai

Woh shikwe shikayateN woh jafaa kii baateN
ItNe faSLe DaRmiYaaN banaye baithe hai

Kis qadar chur hai nashe mein sab jahaaN wale
Khud ko khud se anjaaN banaye baithe hai

Manzil hai samne chand kadmoN pe Kwahish
Laut jaane ka kyuN armaaN banaye baithe hai


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#5)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
2nd July 2015, 09:17 PM

Sanjay saahab bazm betaab hai is silsile ko aage badhtaa dekhne ke liye.........

ummeed hai jald nayee yaaden pesh kijiyegaa......

Shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
24th July 2015, 03:46 PM

Doston...yadon ke jharokhe me pesh hai KASAK ji ki ek khoobsoorat ghazal...

http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=53899

Na humne berukhii dekhii na humne dushmanii dekhii,
Tere har ek sitam me humne kitnii saadgii dekhii,

Kabhii har cheez me duniyaa mukammal dekhte the huM,
Kabhii duniyaa ki har ek cheez me terii kamii dekhii,

Na diN me roshanii dekhii , na shab me chaandnii dekhii,
Terii ulfat me humne is kadar bhii zindagii dekhii,

Wo kyaa ehd-e-wafaa denge? Wo kyaa gham kii davaa denge?
Jinhone dekh kar bhii ishq me jannat nahii dekhii??

yahaaN hum dil jalaakar ke kiyaa karte haiN sab roshaN,
wahaaN ek tuM ho jisne dekhii bhii to aaG hii dekhii,

'KasaK' har baar sochaa hai gilaa karnaa na bhoolenge,
Magar har baar bhoole haiN wo aankheiN jab kabhii dekhii...

Na humne berukhii dekhii , na humne dushmanii dekhii.......



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
25th July 2015, 02:23 PM

YaddoN ke jharokhe se aik khoobsurat si gazal nikaal kar laaye hu, aap sab bhi es gazal ka lutf lijiye...es khhobsurat gazal ko likha hai hamari pyari si member Pallavi ne Pallavi SDC par aapki aur aapki gazaloN ki kami mehsoos hoti hai


http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=49940


Vo chasm-e-mohabbat ka, Paimaana kya hua !
Hum Qatl bhi huye to, Ey Zamaana, kya hua !!

Har shab pe unka naam, Har shabnam unki !
Na ho Junoon jisme, vo Deewaana kya hua !!

ba-wafa ya be-wafa , per hai saanso me basa !
Judaa hoke bhi humse, vo Begaana kya hua !!

Is qadar ho Asar, Ishk ki Paakizagi ka Jaanaa.N!
Na rok le do pal maut ko, vo Bahaana kya hua!!

Guzar gaya Daur vo, Kasmo.N pe Aitbaar ka !
Kar de na lahu ko sard, vo Aazmaana kya hua!!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#8)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
25th July 2015, 03:00 PM

dosto.........aik aur gazal yaadoN ke jharokhe meiN shamil kar rhi hu...umeed hai aap sabko bhi pasand aayegi...poet hai "Amrit Sharad"


http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=47216


PeHle Mila Ke NaZaR MujhSe BaaT KiiJiyeE
Phir Uske BaaD Shikve Shikhayat KiJiyeE

HooGi Zaroor Apani Mohobbat Bhi KaMeeYaaB
LekeR Khuda ka Naam ShuruWaaT KiJiyeE

Selaab-E-Gum meiN Doob Kar Mit JayeGi HayaaT
Aankho Se yu Na Ashko ki Barsaat KiJiyeE

Haan ManTa Hu MeiN hu GunaahGaar AapKa
Jo Chahe Vo SalooK Mere Shaat KiJiiyeE

Kab Tak Wafa ki Lash Ko DhoTe RaheGe Aap
Chaliye Rabbish Ke Duniya PaR GhaT KaJiyeR

HaaSil Yehi Hai !! Pyar Hey HasRate-E- Sharad
KarWat Badal Badal Ke BasaaR RaaT KiJiyeE


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
11th August 2015, 12:09 PM

Yadon ke jharokhe me manoj ji ke kuch umda khyaal pesh hain..

http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=25555
aazaad ho kar bhi ujda yeh chaman kyun hai?
fhirka_paraston ki giraft mein watan kyun hai?

dangon* ke gubaar mein chupa tarrakki ka suraj
aazadi ki hawaon mein aaj ghutan kyun hai?

jalte Kashmir ki lapte sulgaati hai saanson ko
dushmanon se dosti ka yeh anokha chalan kyun hai?

berojgaari ki bediyon se jakte jawan haath hai
aankhon mein sholay,maathe par shikan kyun hai?

mazhabi junoon ki aandhion se sehmi bahare hai
bagiya ke phoolon mein aaj chubhan kyun hai?

jis parcham* ko apne lahoo se seencha veeron ne
wahi pyaara tiranga dikhta aaj kafan kyun hai?


dangon=riots
parcham=flag

-Manoj Kureel




अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
31st August 2015, 10:55 PM

Yadon ke jharokhe me diya ji ki ek peshkash....

http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=67857


mera mahfil-e-dard meN rahna unko raas nahi
seewaaye dard ke kuchh aur Diya ke pass nahi

Aadaab DostoN ,
bahot dino ke baad shayari-e-ishQ thread meiN hazir hu
Sunita Di, Purvi Di aur Sameer jee ko mera dard ke mahfil meiN rahna pasand nahi
isiliye ek pyar bhari nagma kahne ki nakam koshish kar rahi hu
umiid hai unko aur aap sab ko pasand aayegi


thahar jao sanam haseeN raat baki hai
rasm-E-muhabbat ki saari baat baki hai

kar diya hai main ne chaahat ka izhaar
tere labooN se ab ye soughaat baki hai

shuru yeh silsila toh ussi roz huaa thaa
kahaa thaa jab tum ne iltifaat baki hai

sulagti hai raateiN meri, sulagte haiN din
Dilbar tere pyaar ki barsaat baki hai

guzar na jayeN kahin ye pal bekhudi ke
suna bhi do ulfat ki jo bisaat baki hai

jalti hai "Diya" tere ishQ ki aatish meiN
aur keh rahe ho tum , shuruwaat baki hai


iltifaat = regard, kindness, favor, friendship, and mercy
bisaat = extent , capacity



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com