Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
mohhabat
Old
  (#1)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
mohhabat - 20th July 2008, 08:00 PM

Setember Key Maheeney Ka Woh Shayad Akhri Din Tha
Baras Guzer Gye……………
Main Ney “Mohabbat” Lafz Likha Tha
Kisi Kaghaz Key Tukrey Per!
Achanak Yaad Aya
Baras Guzer Gye…………….
Mujh Ko Kisi Sey Baat Kerni Thi
Usey Kehna Tha
Jan-e-Jan! “Mujhey Tum Sey Mohabbat Hey”
Magar Main Keh Nahi Paya
Woh Kaghaz Aaj Tak Lipta Para Hey Dhool Main Lekin
Kisi Ko Dey Nahi Paya
Doobarah Chah Ker Bhi Main Mohabbat Ker Nahi Paya
   
Reply With Quote
muhabbat haar jati ha
Old
  (#2)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
muhabbat haar jati ha - 20th July 2008, 10:53 PM

zamane Sy Suna Tha Ky Mohabbat Haar Jati Ha
Jo Chahat Ek Terfa Ho,wo Chahat Haar Jati Ha
Kahen Per Dua Ka Ak Lafz Bhi Asar Ker Jata Ha
Kahen Berson Ki Abadth Haar Jati Ha
Muhbbat Kab Kisi Ko Dushmani Ka Dars Dati Ha
Muhabbat Ki Bazi Min Adawath Haar Jati Ha
Humen Kitny Hi Shikwy Hon Is Ki Jafaon Sy
Par Is Ky Samny Her Shikayat Haar Jati Ha
K Arzoo Se Ha Ky Ishy Bhool Jayn Hum
Par Is Ki Yaad Aty Hi Her Hasrat Haar Jati Ha
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
21st July 2008, 11:10 AM

Quote:
Originally Posted by subha View Post
Setember Key Maheeney Ka Woh Shayad Akhri Din Tha
Baras Guzer Gye……………
Main Ney “Mohabbat” Lafz Likha Tha
Kisi Kaghaz Key Tukrey Per!
Achanak Yaad Aya
Baras Guzer Gye…………….
Mujh Ko Kisi Sey Baat Kerni Thi
Usey Kehna Tha
Jan-e-Jan! “Mujhey Tum Sey Mohabbat Hey”
Magar Main Keh Nahi Paya
Woh Kaghaz Aaj Tak Lipta Para Hey Dhool Main Lekin
Kisi Ko Dey Nahi Paya
Doobarah Chah Ker Bhi Main Mohabbat Ker Nahi Paya
very nice subha ji.......tabhi to kahte hai ki waqt par dil ki baat kah deni chahiye, agar ek baar waqt nikal gaya to phir hum taraste rahte haiN woh guzra hua waqt wapis nahi aata.....es par ek geet bhi yaad aa raha hai "kisi se jab karo to phir izhaar karo, kahin na phir derr ho jaye"

kush rahiye
god bless u


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
mohabbat seekh ker kerna
Old
  (#4)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
mohabbat seekh ker kerna - 22nd July 2008, 01:04 PM

Mohabbat seekh kay karnaa....!!!!

Mohabbat seekh kay karnaa
kay bin seekhay mohabat kaa safar dushwar hota hai
Grebaan taar hota hai,
kabhi inkaar hota hai kabhi iqrar hota hai

Mohabbat seekh kay karnaa
kay bin seekhay mobbat sarabon ki kahani hai
DUkhon ki raaj dhani hai

Jo kal ban jaayegaa badal
DAriyaa kaa wo paani hai

Mohabbat seekh kay karnaa
kay bin seekhay mohabbat tou
Azaab e zindagi theri
Naa ho takmeel jis ki jo
KItab e zindagi theri...
   
Reply With Quote
bahut khub likha aapne
Old
  (#5)
heart break
chand lamho ki zindagi
heart break is on a distinguished road
 
heart break's Avatar
 
Offline
Posts: 12
Join Date: Apr 2008
Location: Delhi
Rep Power: 0
bahut khub likha aapne - 22nd July 2008, 01:30 PM

bahut khoob likha aapne
aur mohabaat sirf ek hi baar hoti hai
uske baad sirf dil ki tassali hi hoti hai
wo sirf apne liye


♠♠♠♠♠HEART BREAK♠♠♠♠♠
  Send a message via Yahoo to heart break  
Reply With Quote
main aisi mohhabat kerta hon
Old
  (#6)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
main aisi mohhabat kerta hon - 22nd July 2008, 11:52 PM

Main aisi Mohabbat karti hoon

Tum kaisi Mohabbat karte ho?

Tum jahan pe beth ke jaate ho

Jis cheez ko haath lagate ho

Main wahin pe bethi rehti hoon

Us cheez ko *****i rehti hoon

Main aisi Mohabbat karti hoon

Tum kaisi Mohabbat karte ho?

Tum jis se hans ker milte ho

Main us ko dost banati hoon

Tum jis raaste per chalte ho

Main us raaste per aati jaati hoon

Main aisi Mohabbat karti hoon

Tum kaisi Mohabbat karte ho?

Kuch khuwab saja ker ankhon main

Palkon se moti chunti hoon

tum se milne julne ke

Kitne hi bahane rakhti hoon

Main aisi Mohabbat karti hoon

Tum kaisi Mohabbat karte ho
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
23rd July 2008, 09:22 AM

Quote:
Originally Posted by subha View Post
Main aisi Mohabbat karti hoon

Tum kaisi Mohabbat karte ho?

Tum jahan pe beth ke jaate ho

Jis cheez ko haath lagate ho

Main wahin pe bethi rehti hoon

Us cheez ko *****i rehti hoon

Main aisi Mohabbat karti hoon

Tum kaisi Mohabbat karte ho?

Tum jis se hans ker milte ho

Main us ko dost banati hoon

Tum jis raaste per chalte ho

Main us raaste per aati jaati hoon

Main aisi Mohabbat karti hoon

Tum kaisi Mohabbat karte ho?

Kuch khuwab saja ker ankhon main

Palkon se moti chunti hoon

tum se milne julne ke

Kitne hi bahane rakhti hoon

Main aisi Mohabbat karti hoon

Tum kaisi Mohabbat karte ho

bahut khoob subha ji....subha subha aapki rachna padkar mood mast ho gaya


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
tuuuuuu
Old
  (#8)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
tuuuuuu - 25th July 2008, 12:13 AM

Tu mujhe itne pyaar se mat dekh
teri palako'n ke narm saaye mein
dhoop bhi chaandni si lagti hai
aur mujhe kitni door jaana hai
ret hai garm, paanv ke chhaale
yoon damakte hain jaise angaare
pyaar ki ye nazar rahe, na rahe
kaun dasht-e-wafa mein jaata hai
tere dil ko khabar rahe na rahe
tu mujhe itne pyaar se mat dekh.....
   
Reply With Quote
tum ny poocha
Old
  (#9)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
tum ny poocha - 27th July 2008, 06:49 PM

Tum nay pocha tha kabhi
Kia main nay muhabbat ko dekha hai
Muhabbat to ehsaas hai bas
Muhabbat chahra nahi rakhti
Lakin ....
Main nay dekha hai
Haan ...
Main nay dekha hai muhabbat ko
K meri muhabbat tum ho
Aur main nay tum ko bara dekha hai !!
   
Reply With Quote
mohhabat mar dyti ha
Old
  (#10)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
mohhabat mar dyti ha - 27th July 2008, 07:06 PM

Baharon ka yehi kehna, mohabbat maar deti hay
K mujh say dooor mut rehna mohabbat maar deti hay

Teri yadon main terey khat ko perrhna aur phir khud ko
Yehi tou hay kabhi likhna mohabbat maar deti hay

Kabhi jab dil k zakhmon ko neend aa jaye tou
Ye aa k khwab main kehna mohabbat maar deti hay

Terey dil main nibhaney ka khyal aaye kisi pal tu
Mujhey bus itna likh dena mohabbat maar deti hay

Khiza'on main kabhi paton ka girna sookh ker aur phir
Haseen shakhon say ye kehna mohabbat maar deti hay
   
Reply With Quote
mohhabat chor di humny
Old
  (#11)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
mohhabat chor di humny - 27th July 2008, 11:36 PM

Abhi Jo Tum Laut Ker Phir Tum
Humare Dar pe Aaye Ho
Ye Tum Se Keh Dia Kis Ne
K Tum Bin Reh Nahi Sakte
Ye Dukh Hum seh Nahi Sakte
Kaha Tum Se Kis Ne k
Hum Tum Bin Bohat Roye
Kai Raato'n Ko Na Soye
Suno. . ! ! !
Tum Sun Lo Gaur Se
Agar
Beetay Huey Lamho'n Ko
Tumne Wapis Lana Hai
Humari Zindagi ain Humain
Wapis Bulana Hai
Mujhe Afsos Hai Jana'n
K Tum Mayoos Lauto Ge
Agar Tum Jan'na Chaho K Aisa
Kion Kia Hum Ne
Ye Gham Seh Lia Hum Ne
TOU SUNO GAUR SE JANA'N
Puraani Ehad-e-Rafta Ki Riwayat
Tor Di Hum Ne

"MOHABBAT CHORH DI HUM NE"
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
zishan107
Registered User
zishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 449
Join Date: Apr 2008
Rep Power: 25
28th July 2008, 07:55 AM

Don't mind , but change ur location . It's PAKISTAN , not pakitan .

By the way , PAKISTAN ZINDABAD !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!





Wahi hai markaz'e'Kaaba wahi hai rah'e'buthaana...
Jahaan diwaane do milkar sanam ki baat karte hain..
   
Reply With Quote
mohhabat rog hoti ha
Old
  (#13)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
mohhabat rog hoti ha - 28th July 2008, 11:02 PM

Mohabbt Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha !!
Rula Kar Khud Bhi Roti Hai Kaha Bhi Tha !!
Kinarey Ke Qareeb Le Ja Kar !!
Ye Kashti Ko Doboti Hai Kaha Bhi Tha !!
Isy Tum Dil Ki Dharti Ka Pata Mat Dou !!
Ye Is Mein Dard Boti Hai Kaha Bhi Tha !!
Muhabbat Mein Khushi Ke Baad !!
Gham Ki Rut Bohut Nazdeek Hoti Hai Kaha Bhi Tha !!
Lota Kar Dil ko Roney Se Bhi Kya Haasil !!
Bohut Naayaab Moti Hai Kaha Bhi Tha !!
Azal Se Is Ki Fitrat Hai Zamaaney Ko !!
Jaga Kar Khud Ye Soti Hai Kaha Bhi Tha !!
Ye Sir se Paaon Tak Bas Raakh Kar De Gi !!
Bohut Be Dard Hoti Hai Kaha Bhi Tha !!
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
baagi
......since birth
baagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of light
 
baagi's Avatar
 
Offline
Posts: 428
Join Date: Apr 2008
Location: bangalore
Rep Power: 21
Thumbs up 29th July 2008, 02:21 PM

Quote:
Originally Posted by subha View Post
Mohabbt Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha !!
Rula Kar Khud Bhi Roti Hai Kaha Bhi Tha !!
Kinarey Ke Qareeb Le Ja Kar !!
Ye Kashti Ko Doboti Hai Kaha Bhi Tha !!
Isy Tum Dil Ki Dharti Ka Pata Mat Dou !!
Ye Is Mein Dard Boti Hai Kaha Bhi Tha !!
Muhabbat Mein Khushi Ke Baad !!
Gham Ki Rut Bohut Nazdeek Hoti Hai Kaha Bhi Tha !!
Lota Kar Dil ko Roney Se Bhi Kya Haasil !!
Bohut Naayaab Moti Hai Kaha Bhi Tha !!
Azal Se Is Ki Fitrat Hai Zamaaney Ko !!
Jaga Kar Khud Ye Soti Hai Kaha Bhi Tha !!
Ye Sir se Paaon Tak Bas Raakh Kar De Gi !!
Bohut Be Dard Hoti Hai Kaha Bhi Tha !!
kya khuub kahte hei aap,un sayro me se aik jiko me login hone ke baad sabse pahle dekhna chahunga,gazab likhte hain,likhte rahe,sukriya.......baagi


ibadat bhi khuda hai,bagavat bhi khuda hai
khuda baagi kahi hai,kahi baagi khuda hai.
  Send a message via Yahoo to baagi  
Reply With Quote
Old
  (#15)
baagi
......since birth
baagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of light
 
baagi's Avatar
 
Offline
Posts: 428
Join Date: Apr 2008
Location: bangalore
Rep Power: 21
29th July 2008, 02:23 PM

subha ji aap har thread aalag alag post karengi to jyada accha rahega,


ibadat bhi khuda hai,bagavat bhi khuda hai
khuda baagi kahi hai,kahi baagi khuda hai.
  Send a message via Yahoo to baagi  
Reply With Quote
Nice
Old
  (#16)
vms
Registered User
vms is a glorious beacon of lightvms is a glorious beacon of lightvms is a glorious beacon of lightvms is a glorious beacon of lightvms is a glorious beacon of light
 
vms's Avatar
 
Offline
Posts: 90
Join Date: Jul 2008
Rep Power: 20
Nice - 29th July 2008, 02:33 PM

Quote:
Originally Posted by subha View Post
Main aisi Mohabbat karti hoon

Tum kaisi Mohabbat karte ho?

Tum jahan pe beth ke jaate ho

Jis cheez ko haath lagate ho

Main wahin pe bethi rehti hoon

Us cheez ko *****i rehti hoon

Main aisi Mohabbat karti hoon

Tum kaisi Mohabbat karte ho?

Tum jis se hans ker milte ho

Main us ko dost banati hoon

Tum jis raaste per chalte ho

Main us raaste per aati jaati hoon

Main aisi Mohabbat karti hoon

Tum kaisi Mohabbat karte ho?

Kuch khuwab saja ker ankhon main

Palkon se moti chunti hoon

tum se milne julne ke

Kitne hi bahane rakhti hoon

Main aisi Mohabbat karti hoon

Tum kaisi Mohabbat karte ho
It is very nice to read your this poem, apke is rachana ko padneke bad bahut acha laga, aur mohabbat karne ka andaj aur usi prastut karna bi bahut acha hai.
   
Reply With Quote
kash
Old
  (#17)
subha
Registered User
subha has a spectacular aura aboutsubha has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 172
Join Date: Jul 2008
Location: karachi pakistan
Rep Power: 17
kash - 31st July 2008, 12:10 AM

kash mohabatt ki aisee duniya bhi hoti
kash mohabbatt ki aisee duniya bhi hoti, jahan hanstay chammaan hotay,
weeranoo may bahar hoti,
jahan agg ko panni see mohattab hoti,
Aye Kash mohabbat ki aisee duniya bhi hoti,
Jahan jism gullab,
Or zindagiyain noor hotin,
Jahan mahakti awaoown k johkaain chaltay,
Jahan dilloown k millan may,
Judaee kay moosum ki barish na hoti,
Kash mohabbatt ki aisee duniya bhi hoti,
Jahan gham-e-zindagi teri muskarahat se,
Mitt jatay,
jahan sowndee mitti per,
Teray pyeroon k nishain hotay,
Jahan badal ki karwatt se,
Mohabatt ki barish hoti,
Aye kash,
Mohabatt ki aisee duniya bhi hoti.
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Mohhabat Bhuvanesh Doston Ki SMS Shayri 1 11th November 2006 12:23 AM
mohhabat addab manjeet Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 2nd September 2006 01:28 PM
Mohhabat sameer_joshi Shayri-e-Dard 0 28th June 2006 01:38 PM
Mohhabat KRUTI.. Shayri-e-Ishq 1 26th March 2006 11:47 AM
mohhabat pradeeppagal Shayri-e-Ishq 1 3rd January 2005 09:51 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com