kabhi apnati hai....kabhi thukrati hai -
23rd March 2002, 10:44 PM
aadaab doston.....
bahot dino ke baad kuch likh rahe hai....apni raay se nawaziyega...
kabhi apnaati hai
kabhi thukrati hai
zindagai tu bhi kya kya rang dikhlati hai
tanhai mai uski yaadeeiN ban ke satati hai
aur saath ho uska to yeh ehsaas dilati hai.....
ki yehi hai woh zindagi .... jo kabhi laut ke naa aaati hai..
jile jile yeh zindagi....
jo kisi aur ki amanat hai...
pile pile yeh jaam...
Ke aaj "tanhadil" ki yeh halat hai...
ki jitni bhi use pilaoo....
use aur pine ki chahat hai.
see tanha dil aap bhi kuch kam nahi likhte
bahot acha likha hai
touching .... i love this part
"tanhai mai uski yaadeeiN ban ke satati hai
aur saath ho uska to yeh ehsaas dilati hai.....
ki yehi hai woh zindagi .... jo kabhi laut ke naa aaati hai.. "
bahot khoob
keep writing
bye take care
Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko.
Main jal raha tha .. kisi ne bujha diya mujhko ...
apki shayri parhi bahut pasand ayi mashallah se bahut khoob likha hai apne magar main kuc kehna chahonga bora maat maneyga.....
kabhi apnati hai kabhi thukrati hai
zindagi kaise rang dekh lati hai
chaar din ki zindagi hai doston
teen din tu sirf yeh rulati hai
jis ke zindagi main pyar na ho
phir tu woh moot si ho jati hai
zindagi ke haar moor paar humain
sirf tanahi aur bebasi nazar ati hai
hum tu ab ghumon ke adi hain
humse tu koshiyan bhi door bhag jati hai
hum kabhi bhi samjh na sake
yeh zindagi kia chahti hai
phir bhi hum isko nahi chorte
yeh humain chor jati hai
sorry janab suna hai jo baat dil main ho woh kehdi deni chahiye isliye yeh ghazal likh di plz dont mind allah pak de hawale
salman shaikh
Chal parin hain kashtiyaan samandar dur hai kinaara.....
in majon se puch lena kia haal hai hamaara....
______________________
Ashk bankaar woh mere chashm-e-tar main rehta hai....
ajeeb woh shaks hai jo pani ke ghar main rehta hai........
Re: kabhi apnati hai....kabhi thukrati hai -
13th May 2002, 02:11 PM
Quote:
Originally posted by tanhadil aadaab doston.....
bahot dino ke baad kuch likh rahe hai....apni raay se nawaziyega...
kabhi apnaati hai
kabhi thukrati hai
zindagai tu bhi kya kya rang dikhlati hai
tanhai mai uski yaadeeiN ban ke satati hai
aur saath ho uska to yeh ehsaas dilati hai.....
ki yehi hai woh zindagi .... jo kabhi laut ke naa aaati hai..
jile jile yeh zindagi....
jo kisi aur ki amanat hai...
pile pile yeh jaam...
Ke aaj "tanhadil" ki yeh halat hai...
ki jitni bhi use pilaoo....
use aur pine ki chahat hai.