Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
ab afsos nahi tere ishq me nakam ho kar.
Old
  (#1)
allahabadrptds
Registered User
allahabadrptds is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 360
Join Date: Sep 2002
Rep Power: 22
Love ab afsos nahi tere ishq me nakam ho kar. - 25th August 2003, 03:20 PM

Sukun mil gaya aaj muje badnaam ho kar
tere har ek ilzaam pay yuN bezabaan ho kar

kya hua gar bulaya muje beizzat karne ke liye
khush hu main teri mehfil me mehman ho kar

log padh hi lenge mohabbat teri aankhoon me
chahe karle lakh inkar tu anjaan ho kar

ilzaam muj par lagakar khud roye ja raha hai
kya payega mera hamdard shar e aam ho kar

mil to gaya suboot muje teri mohabbat ka
ab afsos nahi tere ishq me nakam ho kar.



====================
aviral
  Send a message via Yahoo to allahabadrptds  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Dard-e-sush
Registered User
Dard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the rough
 
Dard-e-sush's Avatar
 
Offline
Posts: 605
Join Date: Jul 2003
Location: Moscow, Russia
Rep Power: 23
25th August 2003, 09:07 PM

Aviral mere bhai,

Ek ek lafz behtareen tareeke se piroya aapne. Acha likha tareef kabool kijiye.... ye ishq sali bahut bedard cheez hei.

Is kadar tera tassavur kabhi badh jaata hai
zarre zarre mein tera aks nazar aata hai

Teri mehefil mein chale jayein ye bhi socha hei
Teri rusvaayi ka reh reh ke khayaak aata hai

Roz kehta hoon ab nahin dekhoonga tujhe
Roz sheeshe me tera chehra ubhar aata hei

Ab to ham hein ya ye gam hei nahin malum ae-sush
kyun wo milta hei jab wo milke bichad jata hei?


लब पे मुस्कान को लिए ऐ दोस्त, काँधों पे लाश अपनी ढोते हैं,
इस भरे शहर में हम Dard-e-Sush, जो न पाया उसे भी खोते हैं!

lab pe muskaan ko liye ae dost, kandhon pe laash apni dhote hein
is bhare sheher me ham dard-e-sush, jo na paaya use bhi khote hein
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
allahabadrptds
Registered User
allahabadrptds is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 360
Join Date: Sep 2002
Rep Power: 22
26th August 2003, 04:06 PM

Dard-e-sush sahab

shukriya bahut bahut shukriya. ek dum sacchhi baat boli ki ishq badi bedard cheez hai lekin kya kare is dard ka bhi apna alag mazaa hai.


====================
aviral
  Send a message via Yahoo to allahabadrptds  
Reply With Quote
Old
  (#4)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
26th August 2003, 04:14 PM

Aviral ji..

Waqai..apki ye ghazal to kamaal hai... lekin hume aisa kyon lag raha hai ki aapne ye yahan pehle bhi post ki hai.. .. shayad kisi doosre forum me ki thi.. aur humne iska jawaab bhi diya tha.. pata nahi, I might be mistaken. Jo bhi ho..apka har ek sher kabil e tareef hai.. kisi ek sher ki tareef nahi ki ja sakti, kyonki puuri ghazal hi behtareen hai. Yunhi likhte rahiyega..


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
allahabadrptds
Registered User
allahabadrptds is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 360
Join Date: Sep 2002
Rep Power: 22
26th August 2003, 04:35 PM

hello Afshan ji


waise maine to ye pahele post nahi ki aapko kisi aur ghazal ke gaflat hui any way aapne isko pasand kiya uske liye bahut bahut shukriya.


=================
aviral
  Send a message via Yahoo to allahabadrptds  
Reply With Quote
Old
  (#6)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
26th August 2003, 06:20 PM

Dear Avi Jee, are wah, keya khub likhha hein aapne! Bohot khub.
Dilko choo gaya. Dil khush hein aaj unse milkar.......suna hoga aap. Aapna khayal rakhiyega. Allah Hafiz.
Shimul.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
26th August 2003, 07:32 PM

Aviral Ji ..

Bade afsoos ke sat kahNa PaD RaHa Hai Ki Ye Ghazal HUmaRi kaBiL DosT MoHTaRmaa Sanam JI ki Hai .. JO iss Site par dil E shikast ke takasllus se aati HaiN ..

Ye Jo ghazal aane upar LikHI Hai Vo ..

http://www.shayri.com/forums/showthr...threadid=13326


Ab maiN JiyaDa Kya kahuN KhuD Dekh LiJiye ..

Aainda se aisi GaLti mat ki jiyeGa ..


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
khushiii
Registered User
khushiii has a spectacular aura aboutkhushiii has a spectacular aura aboutkhushiii has a spectacular aura about
 
khushiii's Avatar
 
Offline
Posts: 934
Join Date: Aug 2003
Rep Power: 23
26th August 2003, 10:44 PM

dost aaap ne bohot khooob likha mohobbbat ka yeh jazba bhi khooob hai.
aaapki is ghazal se milta julta sher arz hai
koi mere dil se poochhe tere teer-e-neem kash ko
yeh khalish kahan se hoti jo jigar k paaar hota
khushiii
   
Reply With Quote
waah
Old
  (#9)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
waah - 27th August 2003, 02:31 AM

kshitiz dost,
thanxxxxxxxxxxx
sanam ki yah gajal muje bahot hi aziz hai.
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
27th August 2003, 02:04 PM

hmm.. AB yaad aaya ki humne ke ghazal kahaan paRi thi...

Aviral ji.. please.. aage se jab aap kisi ki ghazal post karein, to unka naam bhi post kar diya kariye.. logon ko ghalatfehmi ho jaati hai ki ye aapka hai..


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
amrit_sharad
Just a normal guy
amrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really nice
 
amrit_sharad's Avatar
 
Offline
Posts: 480
Join Date: Apr 2003
Location: HindusTaaN...
Rep Power: 26
27th August 2003, 09:07 PM

Aviral janab

Aare yarr aviral tum ko shayad yaad hoga meiNe ek baar ek ghazal par aap se kaha tha ki ... ye gahzal meri padi huyi hai par abhi is ke shayar yaad nahin ... Aur aaj jab ki sabke samne ye baat saaf ho gayi hai ki aap ne ye SANAM ji ki post yeha likh dii

woh bhi is hi .com par jis par SANAM ji ne yeha likha tha..
Aur is Baat ke liye aap kya kahege.. ye to ab dekhna hai hum ko bhi ... ...... Aap ne to kamaal hi kar diya ... aase karne se kya mila aap ko ?????????

Aap ka .......... Dosssssssttt


ChalTa Hoon.....

AaP Ka DosT
--------------
Amrit
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
allahabadrptds
Registered User
allahabadrptds is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 360
Join Date: Sep 2002
Rep Power: 22
27th August 2003, 09:58 PM

hello everybody

thodi der se reply karne ke liye muaafi chahata hoon. darasal main ye khoj raha tha ki ye wakai mein kiski hai.

ab jaisa ki apsab log bol chuke ki ye meri nahi hain to be shak ye meri hargiz nahi hain aur maine isko kahin apna hone ka daavaa bhi nahi kiya. lekin aaplogon ki ye galat fahemi door kardoon ki ye Sanam ji ki likhi hui hai.

Afshan ji aapka ye khayaal bahut hi sahi hai ki ghazal ke saath uske writer ka naam bhi likha jaaye par tab kya jab uska naam hi na maaloom ho?????humne to ye dhoondne ki zahemat utha li magar aapne tanz karne ka mauka nahi choda. koi baat nahi.

kshitiz sir aap afsos kyun kar rahe hain ye meri likhi hui na ho kar kisi aur ki likhi hui hai. keemat lino ki hoti hai n ki likhne wale ki. wais ek baat zaroor jaanna chahoonga ki humne galti kya ki jise na karne ki hidayat aapne di. hum aapka shukriya is baat ke liye zaroor karenge ki aapne humari fikar ki. sach bahut aacchha lagta hai jab koi itne khamoshi se daanta hai.

amrit sahab ye ghazal raghupat sahai ki likhi hui hain jino aap log Firaq Gorakhpuri ke naam se jaante. is ghazal ki antim line ye hai


"mil to gaya suboot muje teri mohabbat ka
ab afsos nahi "firaq" ko tere ishq me nakam ho kar"

aap logon sirf aadha sach maaloom tha ki ye meri likhi hui nahi hai. baaki aadhe ke baare mein kisi ne fikar hi nahi ki. isse fark hi kya padta hai. kyon???
mujhko ek sher yaad aagayaa

"apna dil apni tabaahi ka sabab hota hai
ye jawani ka zamana bhi ajab hota hai
kaun si baat ne kis shaks ka dil dukha diya
bolne wale ko ehasaas ye kab hota hai"

meena ji mere post karne se aapko shayad dukh hua uske liye main muaafi chahata hoon.

jahan tak mujhko umeed hai ki koi aap mein se kisi ka reply shayad hi is post par ab aaye . lekin ek baat zaroor kahena chahoonga ki. aadha sach poore jhoot se zyada khatarnaak hota hai.


ladaai jhagdaa muaaf karo
gandhi ji ko yaad karo


========================
aviral
  Send a message via Yahoo to allahabadrptds  
Reply With Quote
Old
  (#13)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
28th August 2003, 01:42 AM

Dear Avi Jee, Waise ab mein keya kahu? Aapne jo kaha woh mujhe sahi laga.
Kisiko agar kuch aur kehna hein toh zaroor ake kehdenge.
Yeh duniya hein aur ish duniya meh sab kuch chalta rahega. Hum Insaan hein. right? Toh samajh jaiyena?

"apna dil apni tabaahi ka sabab hota hai
ye jawani ka zamana bhi ajab hota hai
kaun si baat ne kis shaks ka dil dukha diya
bolne wale ko ehasaas ye kab hota hai"

Lekin iska jawab nehi. Bohot khub. Aapko jab bhi kuch yaad ata hein toh mujhe bohot achha lagta hein.
Sukriya. Likhte rahiyega. Aapna khayal rakhiyega.
Allah Hafiz.
Shimul.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
28th August 2003, 04:53 PM

Dost aviral,

kaise hai aap?

ye post parr karr kuchh dil bhaari sa ho gaya janaab..

Main nahin jaanta ke is ghazal ka original writer kaun hai Firaq Gorakhpuri sahib ya fir Sanam..magar jo bhi iska writer hai aapne ye ghazal nahin likhi thi..

Main isme aapki koi galti to nahion keh raha..magar is site par agar kuchh galat hai to bas yehi ke isme bahut jagaho.n parr asli shayar ko credit nahin jaata..Isliye jab bhi kisi ke kalaam ko post karna ho to behtar yehi hota hai ke uske shayar ka naam bata diya jaaye..agar aapko asli shayar ka naam pata na ho tab bhi ye bataya jaa sakta hai ke ye kallam aapka nahin hai par original writer ke naam se aap bekhabar ho..

Aur agar baat karen is ghazal ki..to haan ye ghazal maine pehli bhi padi hai..jab sanam ne isse post kiya tha..ab aap keh rahe hai ke ye ghazal gorakhpuri sahab ki hai..

jahan tak mujhe shayri ka pata hai..to ye ghazal bahut hi ala hai..isme shayri ki sabhi technicalities par tawaajoo diya gaya hai..khaas kar iski beher par..
Aap note keejiyegaa har sheyr ki dono lines mein 8-9 words hain aur sabhi sheyr issi beher mein likhe gaye hai..lekin aap keh rahe hai ke iske aakhri sheyr mein 'firak ko' bhi aata hai to is tarah ye iske makte ki aakhri line mein 11 words ho jaate hain..jo ki is ghazal ki khoobsurti ko kuchh kam zaroor karte hain..

Lekin main ye nahin keh sakta ke sachaai kya hai..bas guzarish hai aapse ke jo bhi sach hai wohi kahiyegaa..yunhi koi faltoo mein badnaam na ho jaaye..

zyaada bol gaya huun top maaf keejiyegaa..

aapka dost


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
28th August 2003, 06:21 PM

AviRaL SaHaB ..

AapKi narazGi Jayaz Ho sakTi Hai .. MaGaR HUmaRi SHikayaT kaHiN Se BHi Najayaz NaHi Hai ..

AapNe iss BaaT ka KHuLLasa HoNe se paHLe ki ye GHazaL aapki NaHi Hai .. Ek BaaR BHi ye JuMLa NaHI LIkHa ki ye FiraQ SaHaB ki Hai .. PoocH sakTa HuN kyuN ..

Iss BaaT ki jaaNkaRi se maHRooM HoTe Hue ki ye GHazaL FiraQ saHaB ki Hai .. MaiNe isse Sanam Ji ka kaLam O QaLaam samjHa isske Liye MuJHe BHi GiLa Hai .. MaGaR ..

DosT Ek BaaT kaHNa CHaHuNGa .... DosRON Ki GaLTiyaN samNe LaNe se HumaRi GaLtiyaN NaHi CHupTi HaiN Jo GaLTi UnHoNe ki .. AapNe BHi ki .. . . AB Aisa Too NaHI Hoo sakTa ki kisi ki GaLTi ko NazaR kaRaNe ke Liye aapNe GaLTi kaRi ..

HumaRi NazaR me aapki BaHuT izzaT THI .. AuR SHayaD AB BHI Hai .. YakiN maNiye HUM SaB DosT iss Vakye ko DiL se NIkaL DenGe maGaR Hume yaHaN AVIRAL KE DIL KA HAAL GHAZALON KE HIZAB ME CHAIYE ..

Aap samjH Gaye HonGe maiN kya KaHNa CHaHTa HUN ..

DosT NaRaZ Na HoiyeGa jo kaHa Hai Uss PaR GauR FaRMaiyeGa ..

MasHwaRa DenE KI iss ZaRRA HaSTi ki AukaaT NaHI HAi .. aapka LikHa Hua PaDHTa THa IsiLiye ITNa KucH KaH Gaya ..

ApNa KHyaaL RaKHiye ..


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
28th August 2003, 06:44 PM

"apna dil apni tabaahi ka sabab hota hai
ye jawani ka zamana bhi ajab hota hai
kaun si baat ne kis shaks ka dil dukha diya
bolne wale ko ehasaas ye kab hota hai"

bhai aviral..

hamne shuru se annt tak is page ko padha....aur aap ka jawab aur yeh sher padh ka bhavook ho uthe...aap ne bilkoot durust kaha hai ki "kalaam ki keemat hoti hai likhnewale ki nahi"....
magar dost phir bhi aap ko yeh mantion karna chahiye tha ki is rachna ke rachayita aap nahin varav koi aur hai....aisa karne par is kalaam ki khoobsurti kam nahin ho jati aur aap apne maqsad mein kaamyaab bhi ho jate yaani kalaam ko sabke saath share karne mein.
galtiyaan sab se hoti hai khud humne bhi apne shuruwati samay mein kai baar dusre shayron ke kalaam post kiye hai,,,magar wo ek galti thi...hum anjaan the,,,hamara maqsad bhi tab "share" karne ka tha.magar aaj aisa nahin hai...
aap se aasha hai ki aap likhte rahenge aur agar anjane mein kisi ne galat kaha hai to use muaaf kar denge...
Majrooh sultaanpuri saaheb ka ek behad maqbool sher yaad aa gaya aap ki baat par....

mein akela hi chala tha janib-e-manzil magar
log aate gaye kaarwaan banta gaya...


-Manoj Kureel


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#17)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
28th August 2003, 07:05 PM

apna dil apni tabaahi ka sabab hota hai
ye jawani ka zamana bhi ajab hota hai
kaun si baat ne kis shaks ka dil dukha diya
bolne wale ko ehasaas ye kab hota hai"

AviRaL Ji .. GauR KaRiyeGa ..


TaRke E TakaLLuf se RaBTa kaRiye
SHarMinDGi Ho gaLtiyoN se fasLa kaRiye

AiHsaas E JuzbaaT O kshitiz Ho jayeGa aap ko Bhi
KaBHi sHikayaToN ka Iss DiL se RasTa kaRiye


andaaz

Last edited by kshitiz; 28th August 2003 at 07:13 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
28th August 2003, 11:08 PM

So aviralji
Emotions achhe create karte hai aap.
Khair..pehle to me aapko ye batana chahungi ki kshitiz ji ko pata chale usse pehle hi muje pata chal gaya tha ki aapne meri post copy paste karke apne naam se dali hai. Magar maine jaroori nahi samja aapko tokna. Kyuki Jaha tak me samajti hu, insan ka zameer hi uska sabse bada critic hota hai. Aur me koi badi shayar to hu nahi jo aisi baat par hangama khada kar du. Aur yakin maniye main ab bhi aapko reply nahi deti agar aap ye iljam nahi lagate ki ye maine nahi likhi. Aur ab bhi main ye reply de rahi hu to sirf aur sirf Meenaji ki wajah se..main unki bahot ijjat karti hu aur isi liye me unki kisi baat ko tal nahi sakti.
So...Pehle to ye ki muje koi khas shok nahi hai shayries and ghazals ke literature padhne ka aur na hi mere pass aisa kuchh available hai to kahi se copy karne ka to sawal hi nahi uthta
Aur jaha tak aap ka ye dava hai ki ye kisi aur ki hai to sok se aap muje us insan ka same likha hua batayeeye. ye mahej ek ittafaq hai ki meri do lines kisi aur ki lines se match hoti hai to usse kya sabit hota hai ki meri puri post kisi aur ki hai? Aap apne ko defence karne ke liye kisi aur ke kandhe par banduk rakh ke chalayenge? wah, aap to bilkul indian politicians ki tarah behave kar rahe the...ek to chori upar se sinajori. Muje to apne kam ka bhi credit lene ki aadat nahi to me dusra ka credit kyu lungi.
Aur chaliye...aap ki baat man bhi lete hai. To aapne kisi ki taarif accept karne se pehle use ye kyu nahi bataya ki wo aapki nahi aur kisi aur ki hai. Agar aapko pehle se achhi tarah se pata tha hi ki aapki nahi hai to aapko explain karna tha
Aur ab kyuki aap par ungliya uth rahi hai.. aap badi aasani se dusro ko misguide karne ki kosish kar rahe hai. khair.. dua karte hai ki wo hi galat sabit ho jo galat hai. chahe wo aap ho ya maiN.
Aur ek baat,,,, Insan hi galtiya karta hai. Aur jab karta hai to use accept bhi kar lena chahiye,,,na ki dusro par iljam lagane chahiye, Aur jab aapne laga hi diye hai to me intejar karungi aapke reply ka ki kab aap meri likhi hui chij ko kisi aur ka proof karte hai Aur yaken maniye agar aapne proof kar diya to me LIKHNA chhod dungi. Kyuki jaha mere dosto ko muj par shak ho aisa me hargiz bardast nahi kar sakti..to intejar rahega aapke evidance ka.
Thanks


taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
madhegum
Madah-E-gum
madhegum will become famous soon enough
 
madhegum's Avatar
 
Offline
Posts: 147
Join Date: Jun 2003
Rep Power: 21
29th August 2003, 11:49 AM

Dosto Yeha Par Jab itna sab ke Reply Dekhe To hum Bhi Aap koAb bata hi De ki ye kis ki Ghazal hai...

Aviral sahab .. pehle Aap Se bata deta hoon ki ...

Firaq Gorakhpuri's real name was Raghupati Sahay. He was born in 1896 in Gorakhpur, India. He left his imprint on three important genres of Urdu poetry - ghazal, nazm and rubaayee. He was a poet of love and beauty. His poems are published in three anthologies - Rooh-o-Qaayanat, Gul-e-Ra'naa, Nagma-numaa. He passed away in 1982. He was awarded the Jnanapeeth by the Indian government....

Gorakhpuri sahab ki... ek awarded Ghazal .......

Sakuut-e-shaam miTaao bahut a.Ndheraa hai
SuKhan kii shamaa jalaao bahut a.Ndheraa hai

Dayaar-e-Gam me.n dil-e-beqaraar chhuuT gayaa
Sambhal ke Dhuu.DHane jaao bahut a.Ndheraa hai

Ye raat vo ke suujhe jahaa.N na haath ko haath
Khayaalo duur na jaao bahut a.Ndheraa hai

LaTo.n ko chehare pe Daale vo so rahaa hai kahii.n
Zayaa-e-ruKh ko churaao bahut a.Ndheraa hai

havaaye.N niim shabii ho.n ki chaadar-e-a.njum
Naq aab ruKh se uThaao bahut a.Ndheraa hai

Shab-e-siyaah me.n gum ho ga_ii hai raah-e-hayaat
Qadam sambhal ke uThaao bahut a.Ndheraa hai

Guzashtaa ahd kii yaado.n ko phir karo taazaa
Bujhe chiraaG jalaao nahut a.Ndheraa hai

Thii ek uchakatii hu_ii nii.nd zi.ndagii usakii
'Firaq' ko na jagaao bahut a.Ndheraa hai

___________________

Sukun mil gaya aaj muje badnaam ho kar ... Ye Ghazal 'Gorakhpuri's Ne khud nahiN likhi hai ...Ye 'Firaq' aur .. 'Fayaz Razvi' sahab ne likhi hai jaisa Ki Aap sab ko bata Du ..

Aur YE khas baat .....
Se Ghazal Chahe 'firaq' ji ki hoti, ya Ye 'Sanam' jii ki hoti ... Tab bhi Aap Ne is ko Apane Naam se post ki hai Aur jab is bat ko Lekar yeha 'Kshitiz' sahab ne balo to ap Ne us ke Reply Late MeiN kar ke Sab ko Kuch Aur hi bataya... Aap Ne Galti ki hai Us ko maaniye aur Ab se kisi bhi shayar ki ghazal Post Karne Se Pehle.. Us ka Naam Bhi Post Kare..

Bahut Kuch Hua Sab Kuch Bool Jaye..

Aur Aage se khayaal Rake...

Sanam sahiba.. Bus Ek hi baat Aap se jo bhi Hua Us ko Bhool jaye.. Aur Sare Gile Door Kare...

Bande ko Kisi ki barayi karte accha NahiN legta hai Jab koi Kuch jayda hi bolta hai Tab mujhe us par Bolna Parta hai...

Rukhsat dijiye..


madhegum

*************************

jo dard mila hai madine se mila hai
allah ka isfan unke ghar se mila hai
jisko bhi mila hai mukaddar sse mila hai
humko to mukaddar bhi unke ghar sse mile hai
  Send a message via Yahoo to madhegum  
Reply With Quote
Old
  (#20)
madhegum
Madah-E-gum
madhegum will become famous soon enough
 
madhegum's Avatar
 
Offline
Posts: 147
Join Date: Jun 2003
Rep Power: 21
29th August 2003, 11:59 AM

Galti se kuch Galat likh diya .. tha us meiN ...

Dosto Yeha Par Jab itne sab ke Reply Dekhe To hum Bhi Aap ko Ab bata hi De ki ye kis ki Ghazal hai...

Aviral sahab .. pehle Aap Se bata deta hoon ki ...

Firaq Gorakhpuri's real name was Raghupati Sahay. He was born in 1896 in Gorakhpur, India. He left his imprint on three important genres of Urdu poetry - ghazal, nazm and rubaayee. He was a poet of love and beauty. His poems are published in three anthologies - Rooh-o-Qaayanat, Gul-e-Ra'naa, Nagma-numaa. He passed away in 1982. He was awarded the Jnanapeeth by the Indian government....

Gorakhpuri sahab ki... ek awarded Ghazal .......

Sakuut-e-shaam miTaao bahut a.Ndheraa hai
SuKhan kii shamaa jalaao bahut a.Ndheraa hai

Dayaar-e-Gam me.n dil-e-beqaraar chhuuT gayaa
Sambhal ke Dhuu.DHane jaao bahut a.Ndheraa hai

Ye raat vo ke suujhe jahaa.N na haath ko haath
Khayaalo duur na jaao bahut a.Ndheraa hai

LaTo.n ko chehare pe Daale vo so rahaa hai kahii.n
Zayaa-e-ruKh ko churaao bahut a.Ndheraa hai

havaaye.N niim shabii ho.n ki chaadar-e-a.njum
Naq aab ruKh se uThaao bahut a.Ndheraa hai

Shab-e-siyaah me.n gum ho ga_ii hai raah-e-hayaat
Qadam sambhal ke uThaao bahut a.Ndheraa hai

Guzashtaa ahd kii yaado.n ko phir karo taazaa
Bujhe chiraaG jalaao nahut a.Ndheraa hai

Thii ek uchakatii hu_ii nii.nd zi.ndagii usakii
'Firaq' ko na jagaao bahut a.Ndheraa hai

___________________

Sukun mil gaya aaj muje badnaam ho kar
tere har ek ilzaam pay yuN bezabaan ho kar

kya hua gar bulaya muje beizzat karne ke liye
khush hu main teri mehfil me mehman ho kar

log padh hi lenge mohabbat teri aankhoon me
chahe karle lakh inkar tu anjaan ho kar

ilzaam muj par lagakar khud roye ja raha hai
kya payega mera hamdard shar e aam ho kar

mil to gaya suboot 'Fayaz' muje, teri mohabbat ka ...... ye kuch aase thi .....
ab afsos nahi 'Fayaz' ko tere ishq me nakam ho kar

Ye Ghazal 'Gorakhpuri's Ne khud nahiN likhi hai ...Ye .. 'Fayaz Razvi' sahab ne likhi hai jaisa Ki Aap sab ko bata Du .. ye 'Fayaz' sahab ne 'Firaq' jii ke liye likhi thi...aur Phir Is ko Firaq jii ke naam se Copy right kiya gaya hai ... aur Agar Aap chahe to Market se jaa Kar Firaq Sahab ki likhi huyi Kitaab Mein dekhe.. Jaha tak ... Hume Pata hai ... us Nazariye se bol rahe hai

Aur YE khas baat ..... jaisa ki yeha sab bol rahe hai .
Se Ghazal Chahe 'firaq' ji ki hoti, ya Ye 'Sanam' jii ki hoti ... Tab bhi Aap Ne is ko Apane Naam se post ki hai Aur jab is bat ko Lekar yeha 'Kshitiz' sahab ne balo to ap Ne us ke Reply Late MeiN kar ke Sab ko Kuch Aur hi bataya... Aap Ne Galti ki hai Us ko maaniye aur Ab se kisi bhi shayar ki ghazal Post Karne Se Pehle.. Us ka Naam Bhi Post Kare..

Bahut Kuch Hua Sab Kuch Bool Jaye..

Aur Aage se khayaal Rake...

Sanam sahiba.. Bus Ek hi baat Aap se jo bhi Hua Us ko Bhool jaye.. Aur Sare Gile Door Kare...

Bande ko Kisi ki burayi karte accha NahiN legta hai Jab koi Kuch jayda hi aage aa jata hai Tab mujhe us par Bol Parta hooN ...
Aage se Dosto MeiN is Site par Kisi Ko NahiN Tookuga...

Rukhsat dijiye.....


madhegum

*************************

jo dard mila hai madine se mila hai
allah ka isfan unke ghar se mila hai
jisko bhi mila hai mukaddar sse mila hai
humko to mukaddar bhi unke ghar sse mile hai

Last edited by madhegum; 29th August 2003 at 12:07 PM..
  Send a message via Yahoo to madhegum  
Reply With Quote
Old
  (#21)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
29th August 2003, 01:03 PM

aviralji,
aapne kaha k ...........
meena ji mere post karne se aapko shayad dukh hua uske liye main muaafi chahata hoon.

jahan tak mujhko umeed hai ki koi aap mein se kisi ka reply shayad hi is post par ab aaye . lekin ek baat zaroor kahena chahoonga ki. aadha sach poore jhoot se zyada khatarnaak hota hai.


aapne bilkul sahi kaha hai k......
aadha sach poore jhoot se zyada khatarnaak hota hai.
aapne yah bhi kaah k.................
ye ghazal raghupat sahai ki likhi hui hain jino aap log Firaq Gorakhpuri ke naam se jaante.

ab aapke sawalo ka jawab dene ki koshish karti hu......
ji muje dukh nahi huaa hai........ aur agar huaa bhi to aapko maafi mangne ki jaroorat nahi..... aap se koi gila nahi.
achha, aap yah bataaiyae ki aapko kab pata chala k yah jagal aapki likhi nahi hai?
http://www.desigroup.com/topic.asp?T...Poetry+Section

aapne yaha bhi yah nahi bataya k yah aapki likhi nahi hai... ya fir aisi koi jaroori nahi lagi batana..... aaj kal lagta hai fashion ho gayi hai.... kahi kahne ki jaroorat nahi bas nirmal aanand lijiyae doosro ki gajal apne naam kijiyae... pata chalne par kah dijiyae k naam n pata thha......
meri kadwaahat jubaan ki maafi chahti hu... yah sirf aapke liyae nahi nikli..... sari kadwaahat meri apni hai muj maie hi rahne dijiyae.
mere karibi dost ne muje yah link bataayi... ooski bahot aabhari hu. baat khatam hone par sabko jaroor oonse milwaaungi.
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
29th August 2003, 01:10 PM

madhegumji,
aapki aabhari hu.... jo sachhai saamne laane maie madad kar rahe hai aap.....
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
29th August 2003, 01:15 PM

meri sanam,
tumne kaha hai k.......
ab bhi main ye reply de rahi hu to sirf aur sirf Meenaji ki wajah se..main unki bahot ijjat karti hu aur isi liye me unki kisi baat ko tal nahi sakti.
sanam, tumne jo meri ijjat ki hai woh gawara nahi jaayegi... waise bhi sachhi k liyae ladna sabki jimmedari hoti hai... kisi ek ki nahi... par yaha wajah aur bhi gahri ban gayi kyun ki ladaai tumhare liyae bhi hai.
sachhai jaroor saamne aani hi hai.
hamesha khush raho.
DDD
   
Reply With Quote
Old
  (#24)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
29th August 2003, 03:33 PM

aviral ji,

http://www.desigroup.com/topic.asp?T...Poetry+Section

yaha bhi aapne sanam ji ko dhanywaad diya hai......
aap kya karte rahe hai.... kuchh samaj nahi aa raha.......
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
allahabadrptds
Registered User
allahabadrptds is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 360
Join Date: Sep 2002
Rep Power: 22
29th August 2003, 05:55 PM

ab yahaan par baatein personel hoti ja rahi hain.

Sanam ji main aapki kaafi izzat karta hoon rahi baat ilzaam ki then mark my words "mera aisa koi irada nahi tha aur na hi apne jaane mein maine aisa kiya. hai phir bhi aapko aisa lagta hain ki maine aisa kiya hai then i am extremly sorry for that" leki agar aap sahi hain to madhegum sahab ki baat ka aapke paas kya jawab hai????

madhegum sahab aapka bahut aabhari hoon information ke liye. aur aapki ye baat bilkul wajib hain ki likhne wale naam hona chahiye par maine pahele bhi bola aur ab bhi bol raha hoon us ka naam na maaloom ho tab???
aap ye zaroor bolenge "to bhi mujhko ye zaroor bolna chahiye tha ki ye meri nahi hain" main sirf itna boloonga ki mere reply par wapas jaiye aur dekhiye maine kya likha hai.

dard-e-sush sahab se maine is ghazal ke liye taareef nahi li balki un hi ki ek baat pasand aayi jiska jawab diya

Afshan ji se jo baat hui usmein bhi maine ye bola "maine ye pahele post nahi ki" agar meri likhi hui to bol sakta tha ki "meri hain aap mere dalne se kaise phad sakti hain??"

"kaun si baat ne kis shaks ka dil dukha diya
bolne wale ko ehasaas ye kab hota hai"
maani hui si baat hain ki aap jo bhi bol rahe hain dus logo ke zahen mein uske das matlab niklenge.

meena ji
"aadha sach poore jhoot se zyada khatarnaak hota hai"
agar mujhko aadhi aadhoori jaankaari na hoti to ye sab bawal bhi nahi hota. aur doosri site jo aapne mention ki hai wahan par bhi maine kahin bhi isko likhne ka credit nahi liya hai.

aur ant mein rahi baat "mere galti manne ki" to beshak maine galti ki is baat ki maine ye ekdam shuru mein hi mention nahi kiya ki ye meri nahi likhi hui hain and i regret for that. main insaan hoon aur galti karna mera janam siddh adhikaar hain. ye bhi nahi bolonga ki aisi galti dubaaraa nahi hogi, kya pata aaj hi ho jaaye lekin mera, lekin agar aisi galti hoti bhi hain to unintentionally hi hogi.

jaan bujhkar koi insaan galti nahi karta


======================
aviral
  Send a message via Yahoo to allahabadrptds  
Reply With Quote
nakaam mohabat
Old
  (#26)
nsn21
Registered User
nsn21 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 16
Join Date: Nov 2001
Location: bhubaneswar
Rep Power: 0
nakaam mohabat - 29th August 2003, 06:58 PM

wah aviral ji,
kya khoob kaha aapne.aapki yeh do lines humko behad pasand aa gayi...

(( mil to gaya suboot muje teri mohabbat ka
ab afsos nahi tere ishq me nakam ho kar ))

aise hi likhte rahiyega aur hum jaise diljalo ka dil behlayiga

murty
"nsn21@shayri.com"
   
Reply With Quote
Old
  (#27)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
4th September 2003, 08:45 AM

mere sabhi dost,
kuchh kahna chahti hu........
kai dosto ne meri madad karni chahi.... woh gajal dhundhne k liaye, par nahi mili hai......
to yah gajal sanam ne hi likhi hai......
sachhai ka yahi roop maie maanti hu......

dosto.... is darmiyaan mujse kisi ko dukh huaa ho to maafi chahti hu.
   
Reply With Quote
Old
  (#28)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
4th September 2003, 10:00 AM

Agar Meena ji ka ye kehna hai ke ye ghazal Sanam ki hi likhi hai to ye baat maanni hi padegi..qki main jaanta huun ke is ghazal ke asli shayar ko dhoond nikaalne ke liye kitni shikkat ki hai Meena ji ne..

Magar shayad jo nuksaan is thread ne pahunchaana tha woh to pahunch hi chuka hai..
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Ab afsos nahi tere ishq me nakam hokar.. aftab786 Shayri-e-Ishq 3 3rd December 2006 11:44 PM
Tere Ishq Main...Haye Tere Ishq Main safiquadri Shayri-e-Ishq 0 23rd October 2005 03:50 AM
Haan Piyar Nahi, Ishq Nahi, Ibadat Ki Hai nice_off_me Shayri-e-Dard 2 19th June 2005 02:59 PM
Zindage Tuje Jiya Koi Afsos Nahi! gulabjamun_4_u Shayri-e-Ishq 2 19th January 2005 07:14 PM
ishq me nakam aryan Shayri-e-Ishq 13 6th July 2004 06:10 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com