Tere jaisa koyi dil mein samaya nahin -
20th November 2012, 12:52 PM
aap sabhi ki khidmat mein kuch pesh kar raha hoon....pasand aane par aashirwaaad jaroor dijiyega.....aapka prem.....
Ishq tera nigahon se chupta nahin
Dil mera kahi bhi ab lagta nahin
Har taraf tera saya sa lagta mujhe
Tere jaisa koyi dil mein samaya nahin
Tera anaa aur bahon mein samana tera
Tujhko messoos karna aur pana tera
Mera khushiyon au gam se na rishta raqha
Mujhko tere bina kuch bhi pana nahin
Mai madhukar banu tu bane kamlini
mai sona banu tu hai heera kani
tu veena meri mai tera raag hoon
mera tere siwa koyi thikana nahin
band karke nigahen man mein dekhu tumhe
khuli aankhon se sabme talashu tumhe
mera maksad mera jeene ka aasra
ab tere siwa aur kuch bhi nahin
meri har raat ki neend pyari ho tum
sabse hat ke ho tum sabse nyari ho tum
tera sang pa ke meri jindgani bani
ab tere siwa kuch bhi pana nahin
man bagiya mein kesar ki kyari ho tum
mujh kanhaiya ki radha pyari ho tum
mujh "anjana" man ki yahi pyas hai
aas man ki kahin bhi bujhati nahin
anjana prem sab meri muskurahat se jalte hai, mai sabko hasata chala gaya. pasand thi jamane ko meri barbadi, mai unpe dil-o-jaan lutata chala gaya.
|