Truely touching deep within the heart , Good One
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
Aur kaise mohabbat ki pehchaan duN..
Apna dil nikaaluN, yaa apni jaan duN..
Na apni manzil, na koi yaagnah* mera..
zameeN mai dhaNsa, apna aasmaan duN..
* Risthedaar
Ishq pe mitne ki illat* ne maara mujhko…
Tanha ashiyaaN, ya luta ye jahaan duN…
* Bad Habitt
YakeeN tumhe na hoga, ye na maneNge..
Bheegi yaadeN, ya toota har armaan dun…
Keemat tumhari chuka di tumse juda hoke…
Ab ye khaak tarane,ya tanha aastaan*duN
* Thikaana
Ab jeeNa mumkiN nahi,saaNsoN se lad ke..
Ghayal karuN khud ko,ya maut aasaan duN…
Band NazreN, khamosh wo ‘saccha_pyaar’..
Jal gaya jism bhi, aur kitne imtihaan duN…
Sach ab kaise mohabbat ki pehchaan duN..
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
Kunaal - (29-09-2006)[/QUOTE]