Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ghazal: Kaagaz Pe Bikhar Ke Angaar Ho Jaata huN...!
Old
  (#1)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
Exclamation Ghazal: Kaagaz Pe Bikhar Ke Angaar Ho Jaata huN...! - 17th December 2009, 11:08 PM

आदाब ,

सभी शायरी के रहनुमाओं को मेरा ... ये जो ग़ज़ल मैं आपके रू-बा-रू कर रहा हूँ ... इस ग़ज़ल का बहर हजाज़ मख्फूफ़ महजूफ रहता ... पर एक तक्ता ज्यादा रहा .. तो कोई तकनीकी बहर नहीं बनती ... वैसे इस ग़ज़ल का ख्याल विकास भाई (जानू मानु जी) की कहे एक मिश्रे से हुआ... बाकी आपकी बेशकीमती राय का मुन्तजिर रहूँगा

============================
बहर:- {2211 2211 2211 222 (गिनती मे}
============================

दो जाम होने पर मैं समझदार हो जाता हूँ ..
तब और नशे का मैं तलबगार हो जाता हूँ ...

वो मुझे न संभलने देगा, ये सोच कर ही अब ...
खुद के लिए खुद का ही मददगार हो जाता हूँ ...

ठोकर लगेगी मुझे बड़ी, मैं जान गया हमदम...
ग़म का तीर बन सीने के उस पार हो जाता हूँ ...

हर सांस से लिख दूँ मैं तेरे नाम फ़साने बस ...
कागज़ पे बिखर के मैं अंगार हो जाता हूँ...

तुम रोते हो हँसते हो मुझे याद बना के ही ...
हूँ खास कभी मैं, कभी बेकार हो जाता हूँ ..

आसान नहीं है यूँ मोहब्बत मे 'सिफर' होना...
होके मैं फ़ना इसमें ही, गिरफ्तार हो जाता हूँ ..

===========================
कुनाल (सिफर) :- 17-12-2009
===========================

In English :-

Aadaab,

Shayri ke sabhi rehnumaoN ko mera, … ye jo ghazal maiN aapke roo-ba-roo kar raha huN… is ghazal ka behr hazaaj makhfuuf mahzuuf rehta… par ek takta jyada raha,.. to koi takneeki behar nahi banti,,,.. baaki aapki beshkeemti raa’ii ka muntazir rahuNga…

================================
Behar:- (2211 2211 2211 222 - In Digit)
================================

Do Jaam hone par maiN samajhdaar ho jaata huN…
Tab aur nashe ka maiN talabgaar ho jaata huN …

Vo mujhe na sambhalne degaa, ye soch kar hi ab..
Khud ke liye khud ka hi madadgaar ho jaata huN…

Thokar lagegi mujhe badi, maiN jaaN gayaa yaara ..
Gham ka teer ban seene ke us paar ho jaata huN…

Har saaNs se likh duN maiN tere naam fasaane bas…
Kaagaz pe bikhar ke maiN angaar ho jaata huN…

Tum rote ho hanste ho mujhe yaad bana ke hi …
HuN khaas kabhi maiN, kabhi bekaar ho jaata huN …

Aur …!

AasaaN nahi hai yuN mohabbat maiN “sifar” hona,,,
Hoke maiN fana isme hi, giraftaar ho jaata huN…

====================================

Kunaal (Sifar) :- 17-12-2009

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..

Last edited by KunaaL; 17th December 2009 at 11:33 PM..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#2)
vikramjethi
masttt...
vikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.com
 
vikramjethi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,151
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 40
Smile 17th December 2009, 11:29 PM

kunaal saheb aadaab...!

har baar ki tarha hi iss baar bhi kamaal likha hai aapne.....bahut pasand aaya.....
daad haazir hai qabuul kijiye.....

aapka dost,
Vikram....

'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....

vikramjethi@gmail.com
  Send a message via Yahoo to vikramjethi  
Reply With Quote
Old
  (#3)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
17th December 2009, 11:59 PM

Bahut Khub....Kunaal Bhaai....!
Aakhir ke do sher mujhe khaas pasand aaye...

तुम रोते हो हँसते हो मुझे याद बना के ही ...
हूँ खास कभी मैं, कभी बेकार हो जाता हूँ ..

आसान नहीं है यूँ मोहब्बत मे 'सिफर' होना...
होके मैं फ़ना इसमें ही, गिरफ्तार हो जाता हूँ ..

Yuhi likhte rahiye...
duaaon ke saath.....

YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...

---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Superbbbbbbbbbbbbb
Old
  (#4)
loveforgudia
Ankahi Kahaani
loveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to behold
 
loveforgudia's Avatar
 
Offline
Posts: 438
Join Date: Jun 2007
Location: USA
Rep Power: 23
Thumbs up Superbbbbbbbbbbbbb - 18th December 2009, 01:00 AM

Kya baat hai Kunal ji, yeh to bahot badhiya raha ... aur jyaada achchha is liye raha kyon ki aapki har rachanaa mai bahot dard shaamil hota hai jo is mai bhi hai ..par iaska ek dusara side bhi hai jo aapki kaafi rachanaao se kuchh alag hai ... iska positive side ... thats what i like the most about it. aapki rachanaa ka yeh dusara pahelu hame bahot pasand aaya.

aur aap ko kaagaz par bikhar ke angaara banane ki to koi zaroorat hume nazar nahi aati ...aapke alfaaz khud hi angaaro ka kaam kar lete hai... ab agar aap khud bhi angaara banake kaagaz par bikhar jaayenge to .. fir aap khud hi soch sakate hai...

aapki taareef mai shaayad yeh kahe sakate hai hum ke ... likhate to kayi log hai ...aur sabhi achchha likhate hai ..kyon ki hum maanate hai ki har kisi ke dil se nikale jasbaat ..hammesha achchhe hote hai ... par haan yeh hunar har kisi mai nahi hota ke apane jasbaaton ko Zubaan de paaye, yaa apani likhaawat se apani baat sab tak pahonchaa paaye, yaa sab ke dil ko apani rachanaao se chhu paaye... Par yeh sab hunar aap mai hai. aap apane jasbaaton ko zubaan dena aur us zubaan se sab ke dil ko chhunaa bahot achchhe se jaanate hai..... bas itana hi kahe paayenge aapke liye ...baaki aap khud hi samajh jaaiyega sab ..kyon ki humaare paas itane alfaaz nahi ke is baat ko thik se bayaan kar paaye.,,..

Bhagwaan ji aapko hammesha khush rakhe,

Aapki Dost: Gudia

Jay Ambe

------------------------------------------------------------
Puri Hoke Bhi Jo Puri Na Ho Hoon Zindagi Ki Wo Ankahi Kahaani......
-------------------------------------------
-----------------
Ek Aaina Jiski Tasveer Dhundhla Gai,
Ek Dil Jiski Dhadkan Ruksi Gai,
Ek Zindagi Jiski Manzil Ka Koi Pata Hi Nahi,
Ek Daaman Jahaan Se Khushi
yaan Galti Se Bhi Guzarti Nahi.

  Send a message via Yahoo to loveforgudia Send a message via AIM to loveforgudia  
Reply With Quote
Old
  (#5)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
18th December 2009, 10:58 PM

Quote:
Originally Posted by vikramjethi View Post
kunaal saheb aadaab...!

har baar ki tarha hi iss baar bhi kamaal likha hai aapne.....bahut pasand aaya.....
daad haazir hai qabuul kijiye.....

aapka dost,
Vikram....
Shukriya .. Vikram bhai ...

Mujhe maloom hai ghazal itni khaas nahi rahi hai .. phir bhi aapka aana mujhe accha laga ..

kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#6)
amit7600
Registered User
amit7600 is just really niceamit7600 is just really niceamit7600 is just really niceamit7600 is just really niceamit7600 is just really nice
 
Offline
Posts: 484
Join Date: Oct 2009
Location: Kolkata-City of Joy
Rep Power: 19
18th December 2009, 11:03 PM

kunal bhai....
kagaj jab jal jaye puri tarah.....to hume raakh baksh dena...
dil ka hissa ho ab...
aasan nahi hai yu mahobbat mai 'sifar' hona........aasan nahi......

amit7600
Aandhiya Gam Ki Chalegi To Sawar Jaoonga Me
Mai To Dariya Hu Samoondar Me Utar Jaaonga Me
Mujhe Suli Pe Chadane Ki Jaroorat Kya Hai Logo
Mere Haato Se Kalam Cheen Lo Yuhi Mar Jaoonga Me

(When i received You in my heart everything changed for me)
  Send a message via Yahoo to amit7600  
Reply With Quote
Old
  (#7)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
18th December 2009, 11:19 PM

Kunaal bhaa'ii:

namaste!

aapki koShiSh bahot hi Khoob rahiiN.. KhaaS t'aur par yeh Sher mujhe bahot hi pasaNd aayaa!
Quote:
Vo mujhe na sambhalne degaa, ye soch kar hi ab..
Khud ke liye khud ka hi madadgaar ho jaata huN…

yuuNhi liKhate raheN aage bhee... bazm ki Shaan baRhaate raheN... dil se niklii hu'ii daad ko qabUl farmaayeN!

KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
20th December 2009, 04:07 PM

Kunal Bhai Aadaab...........

Bhai aapki yeh gazal ke ahsaas behad achche hai per shuruaati do sher mein jo baat hai woh baki sheroN mein nazar nahi aayi, matla behad gehra raha aur secound sher per bad ke sher jyada rijha nahi paye ya youn kahiye ke sher mein jyada jaan nazar nahi aayi jo dil ko mutmain kar sake.......

Maine bhi is kafiye per kuch likhana shuru kiya tha kuch roz pahele......... isse yeh to zahir hai ke humari soch ka dayara bahut milta hai......

Lijiye matala suna deta huN.......

Guman hua jab se main samajdaar ho gaya huN
Zamane ki nazar mein main bekaar ho gaya huN

Rehta huN aksar taswwur e khayal mein usike
Is tarha uski yaadoN ka karazdaar ho gaya huN

Baki aap achcha hi likhate hai per achcha likhane wale se aur bhi achche ki hi ummid rehti hai isliye, aapko aage ke liye aagah ker raha huN ke aage aapki kalam dil se mutmain karengi........

Likhate rhiaye,
Khush rahiye,
Khuda Hafez.........

  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote
Old
  (#9)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
20th December 2009, 08:42 PM

Quote:
Originally Posted by kwahish View Post

Sameer bhai ..

MaiN aapki baat se poora ittefaaq rakhta huN.. jo ki maiN vikram saahab ko reply mai keh chuka huN .. mujhe khud ehsaas ho jaata hai ki maine accha nahi likha hai .. safaai dena nahi chahta ... phir bhi aapne apna izhaar-e-khyaal kiya hai to bas ek baat apni jaanib se huzoor ke roo-baroo karunga ..

Darasal ghazal behad kam waqt aur baatoN baatoN main banayi gayi hai .. phir bhi maiN jis behar ki adayegi isme karna chahta tha wo nahi ho saki .. aur jo behar mai tabdiliyaaN hui ... uski wajah se alfaaz bhi uthapatak ho gaye.. aur kuch doston ki darkhuast thi kuch naya padhne ko .. to maine bhi yuN hi ghazal khiska dee...

Main aapke saaf nazariye ki teh dil se tareef karna chahuNga .. aur isteqbaal bhi akrta huN aapki har baat kaa.. aur saaf raa'ii rakhne waale log bhi mujhe pasand hai ...

Shulriya... aise hi saath banaye rakheN ....

Apna khyaal rakhiyega ...

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#10)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
20th December 2009, 09:01 PM

Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
Sameer bhai ..

MaiN aapki baat se poora ittefaaq rakhta huN.. jo ki maiN vikram saahab ko reply mai keh chuka huN .. mujhe khud ehsaas ho jaata hai ki maine accha nahi likha hai .. safaai dena nahi chahta ... phir bhi aapne apna izhaar-e-khyaal kiya hai to bas ek baat apni jaanib se huzoor ke roo-baroo karunga ..

Darasal ghazal behad kam waqt aur baatoN baatoN main banayi gayi hai .. phir bhi maiN jis behar ki adayegi isme karna chahta tha wo nahi ho saki .. aur jo behar mai tabdiliyaaN hui ... uski wajah se alfaaz bhi uthapatak ho gaye.. aur kuch doston ki darkhuast thi kuch naya padhne ko .. to maine bhi yuN hi ghazal khiska dee...

Main aapke saaf nazariye ki teh dil se tareef karna chahuNga .. aur isteqbaal bhi akrta huN aapki har baat kaa.. aur saaf raa'ii rakhne waale log bhi mujhe pasand hai ...

Shulriya... aise hi saath banaye rakheN ....

Apna khyaal rakhiyega ...

Kunaal
Kunal Bhai agar main aapka reply dekhta to phir aapse nahi kehta, but mujhe agar kisi se bahut jyada ki ummid rahi to main usse utni hi ummid rakha hun, usme kuch gunjaish nahi rakhta, aur us per woh khara nahi utra to main kehne se rukta nahi huN........ Bus yehi baat hai ke main be jhijhak kisi ko bhi apni rai de deta huN..........

Aapne mere kahe ko sahiN kaha yeh aapka badapan hai jo apni galti ko aapna mana aisi sirat bhi bahut kam logoN ki hoti hai........ Mujhe khushi hui ke aap bhi apni is gazal se mumain nahi hai isliye agli bar ek behtrin gazal ki ummid hai mujhe aapse......

Likhate rhiaye, Khush rhaiye,
Khuda Hafez........

  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote
Old
  (#11)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
21st December 2009, 01:43 AM

Samer saahab ..

Aapko bataane ka matlab ye katayi nahi tha .. ki aap apni raa'ii na rakheN.. maiNe sirf ye bataya .. ki mujhe andaaza hai ki maiN adaayegi ke liye behatreen alfaaz nahi dhoundh paaya ... isi liye aapke kahe ek ek alfaaz ka isteqbaal maine goya dil se kiya hai...

maiN aapki dee hui izzat ki bhi kadra karta huN ... par ek baat maiN aapse kehna chahta huN ... ki aapne yahan galat lafz chun liya hai shayad .. maiNe koi ghalti nahi kee hai .. haan is baar main adayegi kar nahi saka... ye baat sahi hai... ise aap ghalti ka naam na deN ... maiNe jaan boojh ke kharaab nahi likha hai ... maine takneek main rehte hue likhne ki koshish kee.. ba-takneek likha bhi .. alfaaz ubhar na sake ... ye meri ghalti nahi hai .. kyuNki main jazbaat bana ke nahi likhta .. jazbaatoN pe alfaaz bana ke likhta hun.. mere jazbaat kamzor rahe ... maine unhe kamzor nahi kiya hai .... aur mujhe uper ke teen sher nahi janche mere mutabik ... mujhe baaki sher pasand hai... aur unke sath maine insaaf bhi kiya hai... jahan tak mera ilm-e-shayri hai uske mutaabiq...

khair haan maiN is baat se inkaar nahi karta .. aaj ya aane waale kal mai agar maiN koi galti karta huN.. use maan-ne se na maiN peeche hata huN na hatunga .... sar-e-aam maiN ghalti manunga .,,, kyunki sabke dekhne ka nazariya alag hai .. is liye .... main aapki umeedoN pe khara utarne ki koshish to nahi kar sakta... par haaN .. khuda se ilteza karunga ki mere jazbaatoN main wo jaan bhare .. ki padhne waale usme apna aks dekh paaye .. usme kho paaye... baaki jo bhi izzat aapne dee hai uska shukraguzaar hai Khaaksaar...

aap apna khyaal rakhiyega ...

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#12)
noor_noor
Registered User
noor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 545
Join Date: Feb 2009
Rep Power: 25
21st December 2009, 03:10 AM

हर सांस से लिख दूँ मैं तेरे नाम फ़साने बस ...
कागज़ पे बिखर के मैं अंगार हो जाता हूँ...

Bhut khoob Kunaal Sahab apni is khoobsurat ghazal par daad qubool keejiye ye mujhay aapka bhut hi acha laga, you.n hi likhte rahiye

aslam

you.n na samjhoge kinare pe khade rehkar tum
behta dariya hu.n mujhy haath se choo kar daikho
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
21st December 2009, 08:13 AM

BOHAT KHOOB KUNAAL BHAI.....................AS ALWAYS....

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#14)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
21st December 2009, 11:47 AM

Quote:
Originally Posted by naresh_mehra110 View Post
Bahut Khub....Kunaal Bhaai....!
Aakhir ke do sher mujhe khaas pasand aaye...

तुम रोते हो हँसते हो मुझे याद बना के ही ...
हूँ खास कभी मैं, कभी बेकार हो जाता हूँ ..

आसान नहीं है यूँ मोहब्बत मे 'सिफर' होना...
होके मैं फ़ना इसमें ही, गिरफ्तार हो जाता हूँ ..

Yuhi likhte rahiye...
duaaon ke saath.....
Naresh jee ...

Behad shukraguzaar huN ... maiN aapke aane kaa...

Aap aise hi sath rahenge ... umeed hai...

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#15)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
24th December 2009, 01:18 PM

Quote:
Originally Posted by loveforgudia View Post
Kya baat hai Kunal ji, yeh to bahot badhiya raha ... aur jyaada achchha is liye raha kyon ki aapki har rachanaa mai bahot dard shaamil hota hai jo is mai bhi hai ..par iaska ek dusara side bhi hai jo aapki kaafi rachanaao se kuchh alag hai ... iska positive side ... thats what i like the most about it. aapki rachanaa ka yeh dusara pahelu hame bahot pasand aaya.

aur aap ko kaagaz par bikhar ke angaara banane ki to koi zaroorat hume nazar nahi aati ...aapke alfaaz khud hi angaaro ka kaam kar lete hai... ab agar aap khud bhi angaara banake kaagaz par bikhar jaayenge to .. fir aap khud hi soch sakate hai...

aapki taareef mai shaayad yeh kahe sakate hai hum ke ... likhate to kayi log hai ...aur sabhi achchha likhate hai ..kyon ki hum maanate hai ki har kisi ke dil se nikale jasbaat ..hammesha achchhe hote hai ... par haan yeh hunar har kisi mai nahi hota ke apane jasbaaton ko Zubaan de paaye, yaa apani likhaawat se apani baat sab tak pahonchaa paaye, yaa sab ke dil ko apani rachanaao se chhu paaye... Par yeh sab hunar aap mai hai. aap apane jasbaaton ko zubaan dena aur us zubaan se sab ke dil ko chhunaa bahot achchhe se jaanate hai..... bas itana hi kahe paayenge aapke liye ...baaki aap khud hi samajh jaaiyega sab ..kyon ki humaare paas itane alfaaz nahi ke is baat ko thik se bayaan kar paaye.,,..

Bhagwaan ji aapko hammesha khush rakhe,

Aapki Dost: Gudia

Jay Ambe
Waqt humesha badlaav maangta hai gudiya... shayad ye baat maine bhi samajh lee ho .. tum aayi mujhe bohat accha laga... kyuNki apne jab sath dete hai humesha khushi hoti hai ...

Apna khyaal rakho

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#16)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
24th December 2009, 01:20 PM

Quote:
Originally Posted by amit7600 View Post
kunal bhai....
kagaj jab jal jaye puri tarah.....to hume raakh baksh dena...
dil ka hissa ho ab...
aasan nahi hai yu mahobbat mai 'sifar' hona........aasan nahi......
Amit bhai ..

Kambakht ye kaagaj aisa hai jalta hi nahi ... aap bas abhi angaare hi leN.... shukriya itna pyar dene ke liye

Aapka apna

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#17)
LAMHA
beautiful moment.........
LAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant future
 
LAMHA's Avatar
 
Offline
Posts: 6,429
Join Date: Jul 2007
Location: u.s.a
Rep Power: 42
Smile 24th December 2009, 07:55 PM

kamaal................ bahut umdaa tehreer hai.... ehsaas aapke wakehi kamaal hai... kuch to hai aisa aapke kalam me ke baar baar padhne ka dil kiya... bahut khoob.... khush rahiye aur yuhi apni kalam ke jalwe bikherte rahiye...

"LAMHA"

mujhko acchaa nahiiN lagtaa ko’ii hamnaam teraa ,
ko’ii tujhsaa ho to phir naam bhii tujhsaa rakhe....
  Send a message via Yahoo to LAMHA  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com