Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Chahet bhi thak gayee...( Ghayel )
Old
  (#1)
sajid_ghayel
Registered User
sajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant future
 
sajid_ghayel's Avatar
 
Offline
Posts: 1,849
Join Date: Feb 2009
Location: Mumbai
Rep Power: 32
Chahet bhi thak gayee...( Ghayel ) - 19th September 2009, 04:41 PM

Itna chaha tumhe maine ke meri chahat bhi thak gayee
Tum itna huye zaruri ke meri zarurat bhi thak gayee

Main kafir nahi hu yaro na bandagi me aib hain
Hain itna manaya Rab ko ke ab ibadat bhi thak gayee

Koi ilzam na raha baki jo woh Ghayel pe lagate
Zamane me dushmano ki ab shararat bhi thak gayee

Kuch bhookh ne haraya kuch tadaad me kami thi
Mere shehar ke sharifo ki ab sharafat bhi thak gayee

Kab tak bachati aabroo tulsi gareeb ke aagan ki
Majbooriyo ke bojh tale izzat bhi thak gayee

Sach ki batein to hain sab karte sach kehta nahi hain koi
Jhooto ke sath rehkar bagaavat bhi thak gayee

Aur kaise kare zulm aur kitna hame sataye
Yeh soch soch kar ab hukumat bhi thak gayee

-Sajid Ghayel-

Jhoot kehdu yeh meri fitrat me nahi shamil

Par tujhe bevafa bhi kehna achcha nahi lagta...

Mob.: +971 501297654
  Send a message via Yahoo to sajid_ghayel  
Reply With Quote
Old
  (#2)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
20th September 2009, 03:58 PM

Quote:
Originally Posted by sajid_ghayel View Post
Itna chaha tumhe maine ke meri chahat bhi thak gayee

Tum itna huye zaruri ke meri zarurat bhi thak gayee

Main kafir nahi hu yaro na bandagi me aib hain
Hain itna manaya Rab ko ke ab ibadat bhi thak gayee

Koi ilzam na raha baki jo woh Ghayel pe lagate
Zamane me dushmano ki ab shararat bhi thak gayee

Kuch bhookh ne haraya kuch tadaad me kami thi
Mere shehar ke sharifo ki ab sharafat bhi thak gayee

Kab tak bachati aabroo tulsi gareeb ke aagan ki
Majbooriyo ke bojh tale izzat bhi thak gayee

Sach ki batein to hain sab karte sach kehta nahi hain koi
Jhooto ke sath rehkar bagaavat bhi thak gayee

Aur kaise kare zulm aur kitna hame sataye
Yeh soch soch kar ab hukumat bhi thak gayee

Itna chaha tumhe maine ke meri chahat bhi thak gayee
Tum itna huye zaruri ke meri zarurat bhi thak gayee

-Sajid Ghayel-
Sajid sahab Aadaab,

Mudat bad aapse ruberu hone ka maukha mila, kaise hai aap?
Aapki gazal ka mazmoon bahut khoob hai kuch sher achche lage highlighted sher kafi achche hai...
Aur is sher ka to bhai jawab hi nahi, bahut bemisal soch hai aur adaygii bhi bahut khoob rahi..
Kab tak bachati aabroo tulsi gareeb ke aagan ki
Majbooriyo ke bojh tale izzat bhi thak gayee

Aate rahiye apna khayal rakhiye ..
Aur mehfil ko sajate rahiye..
Khuda Hafez..

  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote
Old
  (#3)
sajid_ghayel
Registered User
sajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant future
 
sajid_ghayel's Avatar
 
Offline
Posts: 1,849
Join Date: Feb 2009
Location: Mumbai
Rep Power: 32
22nd September 2009, 03:31 AM

Quote:
Originally Posted by kwahish View Post
Sajid sahab Aadaab,

Mudat bad aapse ruberu hone ka maukha mila, kaise hai aap?
Aapki gazal ka mazmoon bahut khoob hai kuch sher achche lage highlighted sher kafi achche hai...
Aur is sher ka to bhai jawab hi nahi, bahut bemisal soch hai aur adaygii bhi bahut khoob rahi..
Kab tak bachati aabroo tulsi gareeb ke aagan ki
Majbooriyo ke bojh tale izzat bhi thak gayee

Aate rahiye apna khayal rakhiye ..
Aur mehfil ko sajate rahiye..

Khuda Hafez..
Khwaish sahab bas kya kahu aapki is mohabbat bhari dad padhkar yu laga mano mujhe meri mehnat ka mehantana mil gaya.

Apni gair hazri ke liye aapse mafi ka talabgaar hu, aur yeh koshish karuga ke aapko shikayat ka mauka na du aur mehfil me barabar hazri deta rahu.

Allah Hafiz

Jhoot kehdu yeh meri fitrat me nahi shamil

Par tujhe bevafa bhi kehna achcha nahi lagta...

Mob.: +971 501297654
  Send a message via Yahoo to sajid_ghayel  
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com