Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
yaqeen mujh ko teri baat par naheeN hota
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
yaqeen mujh ko teri baat par naheeN hota - 4th August 2019, 07:30 PM

यक़ीन मुझ को तेरी बात पर नहीं होता
भरोसा तुझ पे है हालात पर नहीं होता

तुम्हारी आंख में अच्छा है आ गए आंसू
चलो शक़ अब तुम्हें जज़बात पर नहीं होता

कभी कहा था ज़माना बदल के रख देंगे
प ज़ोर अपने ही दिन रात पर नहीं होता

जवाब देने की मिलती कड़ी सज़ा लेकिन
सवाल कोई सवालात पर नहीं होता

अयां तो सब पे है ये वो नज़र फ़रेबी है
गुमां पर उस के इशारात पर नहीं होता

ये उम्र सारी कहो क्यूं गुज़ारते तनहा
यक़ीं जो अहद-ए-मुलाक़ात पर नहीं होता

ये जश्न वो है जो महरूमियों से होता है
ये मुनहसिर किसी सौग़ात पर नहीं होता

बुरे ज़माने में “ज़र्रा” भले हुए हैं बुरे
ख़राब कोई ख़राबात पर नहीं होता

- ज़र्रा

yaqeen mujh ko teri baat par naheeeN hota
bharosa tujh pe hai haalaat par naheeN hota

tumhaari aaNkh meiN achchha hai aa gaye aaNsoo
chalo shaq ab tumheiN jazbaat par naheeN hota

kabhi kaha tha zamaana badal ke rakh deNge
pa zor apne hi din raat par naheeN hota

javaab dene ki milti kadi saza lekin
savaal koi savaalaat par naheeN hota

ayaaN* to sab pe hai ye vo nazar farebi hai
gumaaN** par us ke ishaaraat*** par naheeN hota
*evident **doubt ***gestures/winks

ye umr saari kaho kyooN guzaarte tanha
yaqeeN jo ahd*-e-mulaakaat par naheeN hota
*promise

ye jashn vo hai jo mahroomiyoN* se hota hai
ye munhasir** kisi saugaat par naheeN hota
*deprivations **dependant on

bure zamaane meiN “zarraa” bhale hue haiN bure
kharaab koi kharaabaat* par naheeN hota
*tavern

- zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com