Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
dar-ba-dar bhatka hooN ....
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
dar-ba-dar bhatka hooN .... - 7th June 2014, 09:54 PM

ek tarahi ghazal misra "ab nazar aane lage haiN har taraf beemaar log" par

kis se chaare ki kareiN ummeed hum naachaar log
"ab nazar aane lage haiN har taraf beemaar log"

ho rahee sood-o-ziyaaN* par kis qadar guft-o-shaneed*
kis tarah mere janaaze ko kareiN baazaar log

is se achchha tha sitamgar ko hi kar dete muaaf
jaan hii le kar ke chhorheNgee merii ghamkhwaar log

kaash toofaan-o-hawadis gharq* kar dete mujhe
meree aamad ke liye us paar haiN taiyyaar log

hai nazar meree n neechee sar n mera hai jhuka
haiN meree ruswaaiyoN pe khanda-zan* bekaar log

dar-ba-dar bhatka hooN "zarraa" jin se paane ko najaat
koo-ba-koo* wo hii huwe haiN roo-ba-roo har baar log

-zarraa

*
sood-o-ziyaaN = profit and loss
guft-o-shaneed = conversation and debate
gharq = sink
khanda-zan = sarcastically laughing at others
koo-ba-koo = lane to lane
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
7th June 2014, 10:30 PM

kya baag hai Zarra bhai ..bahut khub ghazal thi aapki.

mujhe makta bahut pasand aya

sanjay sehgal



khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
7th June 2014, 10:41 PM

is jajaananse achchha tha sitamgar ko hi kar dete muaaf
jajaanan hii le kar ke chhorheNgee merii ghamkhwaar log

hai nazar meree n neechee sar n mera hai jhuka
haiN meree ruswaaiyoN pe khanda-zan* bekaar log

dar-ba-dar bhatka hooN "zarraa" jin se paane ko najaat
koo-ba-koo* wo hii huwe haiN roo-ba-roo har baar log


Wah wah wah....bohat khoob

Masha Allah. .kya zabardast ghazal hai zarra sahab..

Dil se dheron daad qubool farmaiye....

yuhi likhte rahiye




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#4)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
8th June 2014, 12:38 PM

Quote:
Originally Posted by Hamdam View Post
kya baag hai Zarra bhai ..bahut khub ghazal thi aapki.

mujhe makta bahut pasand aya

sanjay sehgal
Aap ka behad shukrguzaar hooN Hamdam ji
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
8th June 2014, 01:25 PM

is se achchha tha sitamgar ko hi kar dete muaaf
jaan hii le kar ke chhorheNgee merii ghamkhwaar log

qatl hi kar diyaa is sher ne saahab............... waahhhhhhhhhhhh

dar-ba-dar bhatka hooN "zarraa" jin se paane ko najaat
koo-ba-koo* wo hii huwe haiN roo-ba-roo har baar log

nayaab sher .... behad aalaa, tareef ke liye alfaaz kam pad jaaen kuch aisaa kuch alag sa kuch pechidaa kuch roohaani taseer waalaa.... na jaane kya kyaa likh daalonn is ek sher ke liye.... jee chaah rahaa hai gale se lagaa loon mere bhai zarraa tumhe...

Allaah aur se aur nawaaze tumhe...... likhte raho, jaan dete raho ham beemar logon ko...

Shaad.....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
ufaq
AN ILLUSION
ufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.com
 
ufaq's Avatar
 
Offline
Posts: 726
Join Date: Oct 2011
Rep Power: 33
8th June 2014, 03:52 PM

Aadab zarra sahib.....jis khoobsurati se aapne tarahi misre me'n misra lagaaya hai.....tarahi misra aapka ho gayaa hai.....aur sach maaniye ye koi kam badi baat nahi hai......aapko is naayab kaamyaabi pe dhero daad......Bas ek baat kahana chaahata hu. Agar aap bura na samjhe.....doosre sher me'n >kis< lafz ki takraar maza kharaab kar rahii hai....ho sake to thoda is simt ghaur farmaaiyega....kahi'n chaa'nd me'n koi daagh na rah jaaye......tc

Last edited by ufaq; 8th June 2014 at 04:05 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
8th June 2014, 04:55 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
is jajaananse achchha tha sitamgar ko hi kar dete muaaf
jajaanan hii le kar ke chhorheNgee merii ghamkhwaar log

hai nazar meree n neechee sar n mera hai jhuka
haiN meree ruswaaiyoN pe khanda-zan* bekaar log

dar-ba-dar bhatka hooN "zarraa" jin se paane ko najaat
koo-ba-koo* wo hii huwe haiN roo-ba-roo har baar log


Wah wah wah....bohat khoob

Masha Allah. .kya zabardast ghazal hai zarra sahab..

Dil se dheron daad qubool farmaiye....

yuhi likhte rahiye

Zainy sahiba ... tah e dil se mashqoor hoon aap ki pazirai qadrdani aur hausla afzai ka. Aur aap jis prem sneh aur mamata se is bazm ka moderation kar raheen hain us ke liye aap ka bahaut aabhaaree bhi hoon!
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
8th June 2014, 09:11 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
is se achchha tha sitamgar ko hi kar dete muaaf
jaan hii le kar ke chhorheNgee merii ghamkhwaar log

qatl hi kar diyaa is sher ne saahab............... waahhhhhhhhhhhh

dar-ba-dar bhatka hooN "zarraa" jin se paane ko najaat
koo-ba-koo* wo hii huwe haiN roo-ba-roo har baar log

nayaab sher .... behad aalaa, tareef ke liye alfaaz kam pad jaaen kuch aisaa kuch alag sa kuch pechidaa kuch roohaani taseer waalaa.... na jaane kya kyaa likh daalonn is ek sher ke liye.... jee chaah rahaa hai gale se lagaa loon mere bhai zarraa tumhe...
Allaah aur se aur nawaaze tumhe...... likhte raho, jaan dete raho ham beemar logon ko...

Shaad.....

Shaad mere bhai .... ye sher jaise tha us se kayee darje ooncha ho gaya hai kyunki is ko aap ki daad aur tehseen haasil huwee .... aap ki daad mein jitna ilm o hunar hota hai utna hi pyaar mohabbat bhi ... isiliye aap ka saath mere liye besh keemtee hai ... asl mein mera koyee qalaam tab tak mukammal naheen hota jab tak aap ki raiy us par ayaan na ho jaaye .... dil ki saaree gehraaiyon se aap ka shukriya adaa kartaa hoon aur anginat duaein aap ke naam karta hooN ... aap ka dost .... Zarraa
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
9th June 2014, 12:11 AM

Quote:
Originally Posted by ufaq View Post
Aadab zarra sahib.....jis khoobsurati se aapne tarahi misre me'n misra lagaaya hai.....tarahi misra aapka ho gayaa hai.....aur sach maaniye ye koi kam badi baat nahi hai......aapko is naayab kaamyaabi pe dhero daad......Bas ek baat kahana chaahata hu. Agar aap bura na samjhe.....doosre sher me'n >kis< lafz ki takraar maza kharaab kar rahii hai....ho sake to thoda is simt ghaur farmaaiyega....kahi'n chaa'nd me'n koi daagh na rah jaaye......tc
Aadaab Ufaq sahab .... aap ki inayat ki aap ne is ghazal ko itna pasand kiya ... aap ki mohabbat bhari daad ka tah e dil se mashqoor hoon ... bahaut shukriya ki aapne apni raiy zahir ki doosre sher ke mutalliq ... ye bhi aap ki mohabbat hi hai jis meiN mere fayde ka hi andesha hai... waise maine "kis" ki takraar dali thi sher meiN ek pech o kham daalne ki koshish meiN ... lekin aap ka kehna bhi sahi hai ke sher ka maza bhi kharaab bhi kar sakti hai ... Lekin waise bhi main misra e oola se pooree tarah mutmain naheen tha kyunki lag raha tha ke mazmoon pooree tarah khul naheen raha hai ... to use maine kuchh is tarah tabdeel kar diya hai ...

ho raha sood-o-ziyaaN* meiN zeest* ka meree hisaab
kis tarah mere janaaze ko kareiN baazaar log

is tarah "kis" ki takraar bhi naheen rehti

ek baar phir aap ka shukriya aap ke saath ka .. Duaon ke saath ...zarraa
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
9th June 2014, 12:00 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
ek tarahi ghazal misra "ab nazar aane lage haiN har taraf beemaar log" par

kis se chaare ki kareiN ummeed hum naachaar log
"ab nazar aane lage haiN har taraf beemaar log"

ho rahee sood-o-ziyaaN* par kis qadar guft-o-shaneed*
kis tarah mere janaaze ko kareiN baazaar log

is se achchha tha sitamgar ko hi kar dete muaaf
jaan hii le kar ke chhorheNgee merii ghamkhwaar log

kaash toofaan-o-hawadis gharq* kar dete mujhe
meree aamad ke liye us paar haiN taiyyaar log

hai nazar meree n neechee sar n mera hai jhuka
haiN meree ruswaaiyoN pe khanda-zan* bekaar log

dar-ba-dar bhatka hooN "zarraa" jin se paane ko najaat
koo-ba-koo* wo hii huwe haiN roo-ba-roo har baar log

-zarraa

*
sood-o-ziyaaN = profit and loss
guft-o-shaneed = conversation and debate
gharq = sink
khanda-zan = sarcastically laughing at others
koo-ba-koo = lane to lane
bahot hi khubsurat ashaar se saji hai yeh ghazal, zarraaji......
aapko dheroN daad-o-mubaarak baad.....



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
ufaq
AN ILLUSION
ufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.com
 
ufaq's Avatar
 
Offline
Posts: 726
Join Date: Oct 2011
Rep Power: 33
9th June 2014, 12:01 PM

Zarra sahib jis khule dil se aapne is naachiiz ki haqeer raay ko ehatraam diya hai....WO is baat Ka pukhta saboot hai ki aap shaairi ko lekar kis had tak sanjida hai.......jaisa ki aapne farmaaya ki aap "kis" ki takraar se ek pech o Khan daalne ki koshish me'n the to socha ki apnii do kaudi ki ek raay zaahir jar du taaki aainda kabhi aapko is tarah ki uljhan na ho.....

Takraar Ka istemaal sher me'n usi halat me'n kare jab aapka sher<tarsii> ki soorat me'n ho.......missal Ke taur par dusynt khumaar Ka SHE'R dekhiye

Kuch dosto se waise maraasim nahi rahii
Kuch dushmano se waisii adaawat nahi rahii

Is sher me'n bahut se lafzo'n ki takraar hai lekin sher apni tarsii shakl ki waaah se khoobsurat lag gayaa hai

Kuch ghalat kah diya ho to muaafi Ka talabgaar hu bhai.,............khuda aapko apni amaan men rakhe
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
16th June 2014, 12:08 AM

Quote:
Originally Posted by N@zneen View Post
Bahot khoob....bahot gehrai hai apki ghazal mein...har ek sher ek se badhkar ek
and best selection of words
Is izzat afzai ka bahaut bahaut shukriya Nazneen ji
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
Harash Mahajan
MaiN Our Meri Tanhaayii
Harash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud of
 
Harash Mahajan's Avatar
 
Offline
Posts: 984
Join Date: Oct 2006
Location: Delhi
Rep Power: 31
16th June 2014, 07:46 AM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
ek tarahi ghazal misra "ab nazar aane lage haiN har taraf beemaar log" par

kis se chaare ki kareiN ummeed hum naachaar log
"ab nazar aane lage haiN har taraf beemaar log"

ho rahee sood-o-ziyaaN* par kis qadar guft-o-shaneed*
kis tarah mere janaaze ko kareiN baazaar log

is se achchha tha sitamgar ko hi kar dete muaaf
jaan hii le kar ke chhorheNgee merii ghamkhwaar log

kaash toofaan-o-hawadis gharq* kar dete mujhe
meree aamad ke liye us paar haiN taiyyaar log

hai nazar meree n neechee sar n mera hai jhuka
haiN meree ruswaaiyoN pe khanda-zan* bekaar log

dar-ba-dar bhatka hooN "zarraa" jin se paane ko najaat
koo-ba-koo* wo hii huwe haiN roo-ba-roo har baar log

-zarraa

*
sood-o-ziyaaN = profit and loss
guft-o-shaneed = conversation and debate
gharq = sink
khanda-zan = sarcastically laughing at others
koo-ba-koo = lane to lane
Zarra sahab....subhanallah bahut khoobsoorat ghazal paish farmai hai aap ne..........waise to har sher apni baat maakool tareeke se kah gayaa....khas kar ye sher hameiN bahut pasand aaya....

"is se achchha tha sitamgar ko hi kar dete muaaf
jaan hii le kar ke chhorheNgee merii ghamkhwaar log"....

.merii jaanib se dhairoN daad qabool keejiye Ga......

Saadar


Harash Mahajan
  Send a message via Yahoo to Harash Mahajan Send a message via MSN to Harash Mahajan  
Reply With Quote
Old
  (#14)
Ahmad Hyderabadi
Registered Member
Ahmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant future
 
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
Thumbs up 16th June 2014, 04:48 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
ek tarahi ghazal misra "ab nazar aane lage haiN har taraf beemaar log" par

kis se chaare ki kareiN ummeed hum naachaar log
"ab nazar aane lage haiN har taraf beemaar log"

ho rahee sood-o-ziyaaN* par kis qadar guft-o-shaneed*
kis tarah mere janaaze ko kareiN baazaar log

is se achchha tha sitamgar ko hi kar dete muaaf
jaan hii le kar ke chhorheNgee merii ghamkhwaar log

kaash toofaan-o-hawadis gharq* kar dete mujhe
meree aamad ke liye us paar haiN taiyyaar log

hai nazar meree n neechee sar n mera hai jhuka
haiN meree ruswaaiyoN pe khanda-zan* bekaar log

dar-ba-dar bhatka hooN "zarraa" jin se paane ko najaat
koo-ba-koo* wo hii huwe haiN roo-ba-roo har baar log

-zarraa

*
sood-o-ziyaaN = profit and loss
guft-o-shaneed = conversation and debate
gharq = sink
khanda-zan = sarcastically laughing at others
koo-ba-koo = lane to lane
Aadaab Zarra Bhaee!!
Sub'hanAllah!! MashAllah! Kya baat haye... kya hee baat haye bhaeee!! Speechless kar-diya aapki is ghazal nay.....

is se achchha tha sitamgar ko hi kar dete muaaf
jaan hii le kar ke chhorheNgee merii ghamkhwaar log


is shayr nay tou jaan hee halakat mayn daal dee!! daad kay alfaaz ki kaafi kamee mahsoos kar raha hoon phir bhi nacheez ki jaanib say qabool farmayayn!!


Duagoh

Ahmad
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
16th June 2014, 09:33 PM

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
bahot hi khubsurat ashaar se saji hai yeh ghazal, zarraaji......
aapko dheroN daad-o-mubaarak baad.....

Is daad o tehseen ke liye aap ka tah e dil se shukrguzaar hooN Aadeil sahab
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
19th June 2014, 09:38 PM

Shukriya Ufaq sahab .... Chaliye aap ne sochne ka kuchh aur saamaan de diya Take care !!


Quote:
Originally Posted by ufaq View Post
Zarra sahib jis khule dil se aapne is naachiiz ki haqeer raay ko ehatraam diya hai....WO is baat Ka pukhta saboot hai ki aap shaairi ko lekar kis had tak sanjida hai.......jaisa ki aapne farmaaya ki aap "kis" ki takraar se ek pech o Khan daalne ki koshish me'n the to socha ki apnii do kaudi ki ek raay zaahir jar du taaki aainda kabhi aapko is tarah ki uljhan na ho.....

Takraar Ka istemaal sher me'n usi halat me'n kare jab aapka sher<tarsii> ki soorat me'n ho.......missal Ke taur par dusynt khumaar Ka SHE'R dekhiye

Kuch dosto se waise maraasim nahi rahii
Kuch dushmano se waisii adaawat nahi rahii

Is sher me'n bahut se lafzo'n ki takraar hai lekin sher apni tarsii shakl ki waaah se khoobsurat lag gayaa hai

Kuch ghalat kah diya ho to muaafi Ka talabgaar hu bhai.,............khuda aapko apni amaan men rakhe
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
19th June 2014, 09:46 PM

Quote:
Originally Posted by Harash Mahajan View Post
Zarra sahab....subhanallah bahut khoobsoorat ghazal paish farmai hai aap ne..........waise to har sher apni baat maakool tareeke se kah gayaa....khas kar ye sher hameiN bahut pasand aaya....

"is se achchha tha sitamgar ko hi kar dete muaaf
jaan hii le kar ke chhorheNgee merii ghamkhwaar log"....

.merii jaanib se dhairoN daad qabool keejiye Ga......

Saadar


Harash Mahajan

Janaab Harash Mahajan sahab ... is mohabbat aur khuloos se bhari daad ka main kis tarah shukriya ada karoon samajh naheen pa raha hooN ... Bas aap ka dil se ehsaanmand hooN aur aap ko meri jaanib se dheron duaein !!!
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
aslam noor
Registered User
aslam noor is a jewel in the roughaslam noor is a jewel in the roughaslam noor is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 101
Join Date: Apr 2013
Rep Power: 14
20th June 2014, 03:07 PM

Khoosoorat maqte ke sath ek behtreen ghzal ke liyN mwri traf se daad qubool farmaaiye Allah kre zor e qalam aur ziyadah



aslam


zindagi ke haseen lamhe ka
Khoobsurat sa intekhaab ho tum
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
23rd June 2014, 01:05 AM

Quote:
Originally Posted by Ahmad Hyderabadi View Post
Aadaab Zarra Bhaee!!
Sub'hanAllah!! MashAllah! Kya baat haye... kya hee baat haye bhaeee!! Speechless kar-diya aapki is ghazal nay.....

is se achchha tha sitamgar ko hi kar dete muaaf
jaan hii le kar ke chhorheNgee merii ghamkhwaar log


is shayr nay tou jaan hee halakat mayn daal dee!! daad kay alfaaz ki kaafi kamee mahsoos kar raha hoon phir bhi nacheez ki jaanib say qabool farmayayn!!
Janaab Ahmad sahab ... aap ki is mohabbat aur khuloos se bhari daad ne humein aap ka qarzdaar kar diya .... aap ka tah e dil se shukriya adaa karta hooN aur aap ko dheron duaein deta hooN
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
23rd June 2014, 09:35 PM

Quote:
Originally Posted by aslam noor View Post
Khoosoorat maqte ke sath ek behtreen ghzal ke liyN mwri traf se daad qubool farmaaiye Allah kre zor e qalam aur ziyadah



aslam

Daad aur duaon ka tah e dil se shukrguzaar hooN Aslam Noor sahab
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com