Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
" aise lamho ko kyu chhod gaye?"
Old
  (#1)
shyam
Registered User
shyam will become famous soon enough
 
shyam's Avatar
 
Offline
Posts: 196
Join Date: Apr 2002
Location: junagadh
Rep Power: 22
Sad " aise lamho ko kyu chhod gaye?" - 24th May 2003, 09:35 PM

"aap gaye to gaye , par aapaki yaado ko kyu chhod gaye?
ab unka koi maayana nahi aise vaado ko kyu chhod gaye?


bade anamol ban gaye he wo, me isaki hifaajat nahi kar shakta,
jo hamane ek saath bitaaye the, wo lamho ko kyu chhod gaye?


har pal mere kaano me gunjati he, jina dushwaar bana diya he,
band hoth rakhake hamane nazaro se ki thi, wo baato ko kyu chhod gaye?


unako padhakar, "shyam" to kya har koi shaayar ban jaayega,
ek ek labz kaante ki tarah chubhe, aise khato ko kyu chhod kar gaye?


Shyam..!!
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 26
25th May 2003, 11:26 AM

Wah! Kya baat hai Shyam? Aaj kal bohat achhe kalaam likh rahe ho??

*************************

Aankhon me khwaab na milega,
Pyaason ko aab na milega,
Subah 'Shyam' jo karo sawaal,
Tumhe koi jawaab na milega.

*************************

Khair, humesha ki tarah, bohat hi achha likha hai aapne.. likhte rahein..


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
25th May 2003, 07:55 PM

Shyam saahab,
aapkii kaii ghazaleN paDii haiN, par javaab dene kaa maukaa nahiiN mil paaya. aapke dil-e-jazbaa ne aakhir majboor kar hii diyaa chand lafz baaNTne meiN!

"aap gaye to gaye , par aapaki yaado ko kyu chhod gaye?
ab unka koi maayana nahi aise vaado ko kyu chhod gaye?
"
«-- waah.. puraane khayaaloN ko aapne naya nazaaraa diyaa hai! bahot khoob..

dilchasp ghazal sunaane kaa shukriyaa qabuul kii jiye!

taareef ke saath,
aman



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
thanks.
Old
  (#4)
shyam
Registered User
shyam will become famous soon enough
 
shyam's Avatar
 
Offline
Posts: 196
Join Date: Apr 2002
Location: junagadh
Rep Power: 22
thanks. - 25th May 2003, 09:24 PM

Dear Afshan.

aap kah rahe he ki aaj kal hum achha likh rahe he( muje to maalum nahi) par usaka ek reason ye bhi he ki aaj kal hame aap jaise dost sun rahe he, aur hamaare dil ki feelings ki kadra kar rahe he...waise to shayri.com par hum kareeb kareeb 18 month se conected he..par tab hum apani mother language gujarati me jyada likhatey the..isiliye yaha post nahi karate the...pahele pahele hindi me likhane ki try ki thi par koi khaas nahi ban paaye..phir thoda "home-work" kiya aur hindi me start kiya.
anyway dost aap apane naam ki tarah aise hi chamakate raho..aur ye jaha ko roshana karo aisee duva ke saath shukriya.

*****************************************

pyaare aman bhai,
arey saahab, ab humane ye to jaana ki aap asptaal me the,,par kyu the ye nahi jaana..haa thoda thoda to samaj shakta hu mein..par saahab apani helath ka khayaal rakha karo yaar...!!!
aur ha ham bhi badi besabari se aapake reply ki wait kar rahe the,,Aman ji aapake kahane par to hum is mahefil me he..par shaayad hamaare kalaam aapaki nazaroN ki inaayat ke kaabil nahi the..isiliye aapane abhi tak reply nahi diya hoga.....agar do-char aur "lekho" ke baad bhi agar aap reply na karate na....to hum aap par aur ek gazal bana daalate...hahahahaha.
anyway Aman ji.
shukriya dil se..!!
aur ha apana khayal rakhiyega.


Shyam..!!
   
Reply With Quote
wah
Old
  (#5)
shayri12345
Registered User
shayri12345 is a jewel in the roughshayri12345 is a jewel in the roughshayri12345 is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 2,408
Join Date: Sep 2001
Location: New York
Rep Power: 27
wah - 2nd June 2003, 12:32 AM

wah shyam ji aapka likhna dl ko chu sa gaya,,
aap gaye to gaye , par aapaki yaado ko kyu chhod gaye?
ab unka koi maayana nahi aise vaado ko kyu chhod gaye?"

in lines ka koyi jawab nahi

Priya


Akhihaan milaake chan'na paavi na Judayi Vey .......

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jisnu Lagey, ohi'yo jaane, Kaun Jaane peer parayi!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
   
Reply With Quote
thanks.
Old
  (#6)
shyam
Registered User
shyam will become famous soon enough
 
shyam's Avatar
 
Offline
Posts: 196
Join Date: Apr 2002
Location: junagadh
Rep Power: 22
thanks. - 2nd June 2003, 12:55 AM

hi priya.
ye yaadein bhi na.......dil me chingaari ki tarah har pal sulagati raheti he.......aur kabhi kabhi unaki koi nishaaniya un par hawa ka kaam karati he...shola bana deti he...aur ye sab jo ham kaagaj par utaar de te he........wo to ye sholo ka dhunva hota he...bas dhunva........aur kuchh nahi.
anyway thanks dost.
thanks for replying.


Shyam..!!
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
2nd June 2003, 01:08 AM

shyam saheb
zaban ka thora problem aap ke haan nazar aataa hai

"bade anamol ban gaye he wo, me isaki hifaajat nahi kar shakta,
"jo hamane ek saath bitaaye the, wo lamho ko kyu chhod gaye?"

magar jo shairaana takhiyuul aap ke kalam mein nazar aata hai voh mein ne bohat kam dekha hai aaj kal.
mein aap ke parwaze takhiyuul ka to motarif ho gaya hoon.
yeh aap ki eik aur shahkar ghazal hai.
hope to read many more from you.
keep it up
musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
2nd June 2003, 10:38 AM

Shyam ji,

Aapki ye ghazal bhi aapki likhi harr ghazal ki tareh purasr hai..

"aap gaye to gaye , par aapaki yaado ko kyu chhod gaye?
ab unka koi maayana nahi aise vaado ko kyu chhod gaye?

Sahi likha hai aapne..jaane waale chale to jaate hain magar apne peeche jo apni yaadenchod jaate hai..woh umar bhar unko tadpaane ke liye bahut hoti hain..

unako padhakar, "shyam" to kya har koi shaayar ban jaayega,
ek ek labz kaante ki tarah chubhe, aise khato ko kyu chhod kar gaye

wah ..kya sach mein woh likhawat itni haseen hai ..jo kisi ko bhi shayar bana de?

bahut khoob,likhte rahiye..
Varinder


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
prathm
Registered User
prathm is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 31
Join Date: Apr 2003
Location: india
Rep Power: 0
Sad 2nd June 2003, 11:32 AM

wah dost kya dard hai apki bato mein....lagta jaise koi gehri chot khaye ho.....

-----
Manzilo pe aake lot te hai dilo ke karva,
kashtiya sahil pe aksar dubti hai pyar ki......
--------

Chirag
bittu_2832@yahoo.com


love to u...thx
aap ka hi..
apurv
apurv289@indiatimes.com
   
Reply With Quote
thanks
Old
  (#10)
shyam
Registered User
shyam will become famous soon enough
 
shyam's Avatar
 
Offline
Posts: 196
Join Date: Apr 2002
Location: junagadh
Rep Power: 22
thanks - 4th June 2003, 03:37 PM

musharraf saahab.
aadaab.
saahab ab itani bhi taarif ke kaabil nahi he ham...aapaka badappan he ki aap hamaari itani taarif kar rahe he..vaakai me ye aapaka badappan he...ha ye baat pakki he ki aage bhi ham koshish karate rahenge bahetar likhane ki..!! taarif ke liye phir se shukriya.
apana khayaal rakhiyega.
*****************************************
virendar ji.
kaise he aap??
virender ji phir se ek baar aapaka shukriya taarif aur vaqt dono ke liye....aur apani kahiye...kya chal raha he ?? sab thik thaak?
virendar ji apana khayaal rakhiyega.
aur likhatey rahiyega.

*******************************************
pratham ji.
thanks alot for reply....aapane hamaara kalaam padha aur taarif ki isake liye bahot bahot shukriya.
pls take care.
bye foe now.


Shyam..!!
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
naraz
dhalta hua suraj
naraz is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 43
Join Date: Nov 2002
Location: wats in the location. a human can not stay at a place. i am also changing my location day to day
Rep Power: 0
4th June 2003, 06:56 PM

salam shyam ji
kaise hai janab? myself is aaquib
aapka post padha to mehsus hua ki aapke chehre par jitni muskan dikhti hai utna hi dard aapke sine me chhupa hai
bahot khub likha aapne
likhte rahe


aaquib
Tum nahi pass,koi pass nahi
Ab muje jindagi ki koi aas nahi
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#12)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
hi - 5th June 2003, 12:25 AM

hi shyam sahab
how r u?
sab kuch dosron ne kah diya..ham kiya kahin swaye is k
ka bohat khoob
thanks likhte rahye
khan banjara''''


banjara''''
agar mohabbat hay to judai kiyon
or judai main mohabbat kasi????
   
Reply With Quote
thanks
Old
  (#13)
shyam
Registered User
shyam will become famous soon enough
 
shyam's Avatar
 
Offline
Posts: 196
Join Date: Apr 2002
Location: junagadh
Rep Power: 22
thanks - 5th June 2003, 01:56 PM

hi aaquib bhai.
how r u?
dost thanks alot for replying...aur ek baat ka shukriya ki aapane hamaare chahere ki muskaan ko nahi balki dil ke dard ko jaana...shukriya aapaka.......varna aaj kal to sab chahere ko hi to dekhate he..!! aur ha ye pyaar website par aapaka hum bhi swaagat karate he...aapane jo pahela kalaam likha he behad khoobsurat kalaam he..umeed karata hu ki aage bhi aap aise hi likhatey rahenge.
shukriya ke saath.

************************************************** **

hi khaan saaahab...Aaadaab.
khaan saahab kaha the aap itane din? kai dino ke baad aapaki aur se koi khabar aai..sab thik thaak to he na dost?
khaan saahab aapaki taarif ke hum dil se shukraguzaar he...aapane taarif ki to hamaari gazal ko ek roshani mili.
thanks khaan saahab.
apana khayaal rakhiyega.


Shyam..!!
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
"kameene","laffange parindo.n" ki "badmaash compny" parveen komal Shayri-e-Dard 9 17th August 2010 11:59 PM
Chhod de aas "vichitra" khilne ki Kya pataa kab yahaan sahar nikle.. vichiter Shayri-e-Ishq 3 4th June 2010 11:06 AM
"jis mod pe aap mujhe akela chhod ke gaye the" Khwahish Shayri-e-Dard 6 25th October 2006 12:54 PM
" Dard ab ye aise mujhse saha nahi jaata " garima Shayri-e-Dard 16 17th May 2005 08:07 AM
"dil dhadakana na chhod de...!!" shyam Shayri-e-Dard 4 2nd May 2003 07:29 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com