Abida Parveen -
25th November 2008, 07:31 PM
ishq ka raaz gar na khul jata
is qadar tu na hum se sharmata
aakay tab beth'ta hai woh hum paas
aap mein jab hamein nahi paata
is qadar tu na hum se sharmata
ishq ka raaz gar na khul jata...
zindagi ne wafaa na ki warna
mein tamasha wafaa ka dikhlata
is qadar tu na hum se sharmata
ishq ka raaz gar na khul jata...
sub yeh baatein hein chahat ki warna
is qadar tu na hum pe jhunjlata
is qadar tu na hum se sharmata
ishq ka raaz gar na khul jata...
mein na sunta kisi ki baat Hassan
dil jo baatein na mujh ko sunwata
is qadar tu na hum se sharmata
ishq ka raaz gar na khul jata...
astha
i m an angel honest ...those horns are just there 2 hold my halo up!
|