Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
sawaaloN ke aage jhuke ja rahe haiN
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
sawaaloN ke aage jhuke ja rahe haiN - 20th October 2013, 02:10 PM

sawaaloN ke aage jhuke ja rahe haiN
jawaaboN ko ruswa kiye ja rahe haiN


barhe azm se soo-e-manzil the nik’le
n jaane kidhar ab chale ja rahe haiN

(azm = resolve, soo-e-manzil = towards the destination)


bure bhi naheeN haal itne shahar ke
ke hakim tarak’kee kare ja rahe haiN


khizaaN kis liye jaayegi baaghbaaN hi
bahaaroN ko jab kos'te ja rahe haiN


karam kaash hum par kiye yooN n hote
sitam kis qadar ab bardhe ja rahe haiN


parhe saNg the pesh-goyee pe jin ki
ayaaN wo hi manzar huwe ja rahe haiN

(saNg = stones, pesh-goyee = foretelling, ayaaN = clear / manifest)


unheiN dete ikhlaas ka waasta hum
himaaqat ye kaisee kiye ja rahe haiN

(ikhlaas = sincerity, himaaqat = blunder)


rafeeqoN se nazreiN milaate bhi kaise
lagaaye adoo ko gale ja rahe haiN

(rafeeqoN = friends / associates, adoo = enemy)


diye ashq aur haal shafqat se poochha
n ro bhi sake the haNse ja rahe haiN

(shafqat = kindness)


yahaaN hai n koyee siwa bekasee ke
siyah saaye kis ke bardhe ja rahe haiN

(bekasee = friendlessness, siyah = dark)


jiye ja rahe just’joo meiN usee ki
taman’na meiN jiskee mare ja rahe haiN

(just’joo = quest)


tera husn phir jaavedaaN kyooN n hota
ushaaq umr bhar jaan se ja rahe haiN

(jaavedaaN = eternal, ushaaq = lovers)


haiN mizhghaan-o-abroo udhar taak meiN aur
idhar taak par dil rakhe ja rahe haiN

(mizhghaan = eyelashes, abroo = eyebroo)


sunee ja rahee ik sadaa misl-e-koyal
ke maanind-e-gul lab khule ja rahe haiN

(sadaa = voice, misl-e = similar to, maanind = like)


tere haath hai bhar n bhar jaam saaqee
n ye zakhm jo khud bhare ja rahe haiN


akelee hi ab tu jalaa karna sham’ma
ke mehfil se “zarraa” uthe ja rahe haiN


- ZARRAA
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
21st October 2013, 09:48 AM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
sawaaloN ke aage jhuke ja rahe haiN
jawaaboN ko ruswa kiye ja rahe haiN


barhe azm se soo-e-manzil the nik’le
n jaane kidhar ab chale ja rahe haiN

(azm = resolve, soo-e-manzil = towards the destination)


bure bhi naheeN haal itne shahar ke
ke hakim tarak’kee kare ja rahe haiN


khizaaN kis liye jaayegi baaghbaaN hi
bahaaroN ko jab kos'te ja rahe haiN


karam kaash hum par kiye yooN n hote
sitam kis qadar ab bardhe ja rahe haiN


parhe saNg the pesh-goyee pe jin ki
ayaaN wo hi manzar huwe ja rahe haiN

(saNg = stones, pesh-goyee = foretelling, ayaaN = clear / manifest)


unheiN dete ikhlaas ka waasta hum
himaaqat ye kaisee kiye ja rahe haiN

(ikhlaas = sincerity, himaaqat = blunder)


rafeeqoN se nazreiN milaate bhi kaise
lagaaye adoo ko gale ja rahe haiN

(rafeeqoN = friends / associates, adoo = enemy)


diye ashq aur haal shafqat se poochha
n ro bhi sake the haNse ja rahe haiN

(shafqat = kindness)


yahaaN hai n koyee siwa bekasee ke
siyah saaye kis ke bardhe ja rahe haiN

(bekasee = friendlessness, siyah = dark)


jiye ja rahe just’joo meiN usee ki
taman’na meiN jiskee mare ja rahe haiN

(just’joo = quest)


tera husn phir jaavedaaN kyooN n hota
ushaaq umr bhar jaan se ja rahe haiN

(jaavedaaN = eternal, ushaaq = lovers)


haiN mizhghaan-o-abroo udhar taak meiN aur
idhar taak par dil rakhe ja rahe haiN

(mizhghaan = eyelashes, abroo = eyebroo)


sunee ja rahee ik sadaa misl-e-koyal
ke maanind-e-gul lab khule ja rahe haiN

(sadaa = voice, misl-e = similar to, maanind = like)


tere haath hai bhar n bhar jaam saaqee
n ye zakhm jo khud bhare ja rahe haiN


akelee hi ab tu jalaa karna sham’ma
ke mehfil se “zarraa” uthe ja rahe haiN


- ZARRAA
Waaahhhh!! bahut hi hasee'n peshkash hai Zarraa ji. Badi khubsurti se dil ka haal pesh kiya hai. Aur matkey me to behad wazn diya hai. Bahot khub!!



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
21st October 2013, 07:23 PM

bure bhi naheeN haal itne shahar ke
ke hakim tarak’kee kare ja rahe haiN


waaahhhhhhhhhhhhhh


karam kaash hum par kiye yooN n hote
sitam kis qadar ab bardhe ja rahe haiN

khoobsurat khayaal..........


rafeeqoN se nazreiN milaate bhi kaise
lagaaye adoo ko gale ja rahe haiN

laajwaabbbbbbbbb.......

haiN mizhghaan-o-abroo udhar taak meiN aur
idhar taak par dil rakhe ja rahe haiN

kya baat hai ... superbb......

bahot bahot bahot khoobsurat ghazal hui zarraa saahab.. kyaa kehne.. laajawaab......
kitni rawaan dawaan ye ghazal hai utni hi maainikhez bhi.... ehsaas aur alfaaz ka to taalmel hai uske kyaa kehne janaab.... bahot hi ummdah.... meri jaanib se daad ke phool peshe khidmat hain.... aage bhi aapke kalaamo kaintzaar rahegaa... bazm ko sajaate rahiyega...

Shaad....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
22nd October 2013, 11:34 PM

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
Waaahhhh!! bahut hi hasee'n peshkash hai Zarraa ji. Badi khubsurti se dil ka haal pesh kiya hai. Aur matkey me to behad wazn diya hai. Bahot khub!!
Aadeil ji ... Bahaut bahaut shukriya is koshish ko dil mein jagah dene ke liye ...
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
22nd October 2013, 11:37 PM

Shaad bhai .... Aap ki is mohabbat aur khuloos se bhari daad par kis qadar mashqoor o mamnoon hoon bayaan naheen kar sakta....faqat aap ka qarzdaar hoon itna hi keh sakta hoon....aap ko dheron duaein deta huwa....zarraa

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
bure bhi naheeN haal itne shahar ke
ke hakim tarak’kee kare ja rahe haiN


waaahhhhhhhhhhhhhh


karam kaash hum par kiye yooN n hote
sitam kis qadar ab bardhe ja rahe haiN

khoobsurat khayaal..........


rafeeqoN se nazreiN milaate bhi kaise
lagaaye adoo ko gale ja rahe haiN

laajwaabbbbbbbbb.......

haiN mizhghaan-o-abroo udhar taak meiN aur
idhar taak par dil rakhe ja rahe haiN

kya baat hai ... superbb......

bahot bahot bahot khoobsurat ghazal hui zarraa saahab.. kyaa kehne.. laajawaab......
kitni rawaan dawaan ye ghazal hai utni hi maainikhez bhi.... ehsaas aur alfaaz ka to taalmel hai uske kyaa kehne janaab.... bahot hi ummdah.... meri jaanib se daad ke phool peshe khidmat hain.... aage bhi aapke kalaamo kaintzaar rahegaa... bazm ko sajaate rahiyega...

Shaad....
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
shakir ali 01
Registered User
shakir ali 01 has a spectacular aura aboutshakir ali 01 has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 297
Join Date: Oct 2013
Rep Power: 12
4th November 2013, 01:26 PM

diye ashq aur haal shafqat se poochha
n ro bhi sake the haNse ja rahe haiN
BAHUT KHUBSURAT TARIKE SE AAPNE LAFJO KO SAJAYA HAI
AAPKE IS QALAM NE DIL MEIN MERE MUKAM BANAYA HAI
BAHUT KHUBSURAT EHSAS HAI
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
8th November 2013, 12:50 AM

Quote:
Originally Posted by shakir ali 01 View Post
diye ashq aur haal shafqat se poochha
n ro bhi sake the haNse ja rahe haiN
BAHUT KHUBSURAT TARIKE SE AAPNE LAFJO KO SAJAYA HAI
AAPKE IS QALAM NE DIL MEIN MERE MUKAM BANAYA HAI
BAHUT KHUBSURAT EHSAS HAI
Inaayat Shakir ji ... Is qalaam ko apne dil mein jagah dene ke liye qarzdaar hooN aap ka ... Duaein ...
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,795
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
15th November 2013, 02:17 PM

kya baat hai....zarra jee....bahut hee sundar....excellent work done.....its heart blowing.....



एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote
Old
  (#9)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
15th November 2013, 09:22 PM

Quote:
Originally Posted by aru View Post
kya baat hai....zarra jee....bahut hee sundar....excellent work done.....its heart blowing.....
Thank you very very much Aru ji for your kind words of praise ....
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com