Dosto
ek aur koshish aap sab ki nazar................
Har din naye roop meiN nazar aati hai zindagi
kabhi hai hasati to kabhi rulaati hai zindagi
Kadam-kadam par leti hai kuch naye imtehaan
fir bhi har haal meiN jeena sikhaati hai zindagi
Gar housale ko apne, tum khud hee karlo buland
aasman ko chhune ko, pankh failaati hai zindagi
Waqt ke haatho.N ki kathputali hai hum insaan
Har pahelu se waqef hameN karaati hai zindagi
Dhundhlo sitaare Ghamo.N ke baadalo.N ko cheer
Sitaaro sang khud bhi zagamagaati hai zindagi
Ek Ghazal ke saath Chhedo khushi ka saaz tum
Hamen aaj koii raag naya sunaati hai zindagi