maine dhundha hai mere yaar ko.... -
13th October 2003, 11:11 AM
un sapno mein un lamhon mein
un yaadon mein un baaton mein
maine dhundha hai mere yaar ko
un bhule bisre vaadon mein
is dharti mein us ambar mein
in barish ki boondon mein
maine dhundha hai mere yaar ko
sagar ki uthti lahron mein
is dhadakte dil ki dhadkan mein
in saanson ki gahrai mein
maine dhundha hai mere yaar ko
apni hi parchai mein
in bante bigadte rishton mein
in uthte girte zasbaaton mein
maine dhundha hai mere yaar ko
apne haathon ki lakiron mein
chand ki tanhayi mein
taaron ki angraayee mein
maine dhundha hai mere yaar ko
khuda ki khudai mein
|