my sms........ -
4th June 2008, 06:09 PM
khobsurat hai zindagi khuwab ki tarha,
jane kab toot jaye kanch ki tarha,
mujhe na bhoolna kisi baat ki tarha,
apne dil main hi rakhna khobsurat yaad ki tarha.
kehtain hain dil ki baat kisi ko batai nahi jati,
apno se bhi kahi nahi jati,
per dost to dil ka aaina hote hain,
or aaine se koi baat chupai nahi jati.
pathar se pyar kar bethe hum nadan the,
uski addat uski fitrat se anjan the,
usne humain khilona banadiya yaron.........
warna hum b kabhi mehfil ki jaan the......
un se door jane ka irada to na tha,
sada saath rehne ka b wada na tha,
woh yaad na karain gay yeh jante the hum,
per itna jaldi bhool jaigy yeh andaza na tha.
mujh sa koi jahan main naadan b na ho,
ishq kr k jo kehta hai nuqsaan b na ho,
rona yehi hai k usay chahte hain hum,
jis k milne ka koi imkaan b na ho.........
|