Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Personal Messages > Introduction Forum

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Kunaal ji se Gufatgu ka silsilla (01.10.2015)
Old
  (#1)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Smile Kunaal ji se Gufatgu ka silsilla (01.10.2015) - 1st October 2015, 10:25 AM

Namaskaar Dosto

guftagu ke silsilley ko aage badatey haiN aur aaj ham jis shayar ko aap sabse milwane ja rhe haiN, wo sdc ke 11 saal purane member hain, unhone bahut khoobsurat gazaloN se sdc ki bazm ko sajaya hai. aaj ham es shayar ko enhi ki jubaani jaanege.

dosto enko ham usi din se padte aaye hain jab se hamne SDC join ki hai, enki shayri ki tareef karne ke liye mere paas alfaazoN ki kami hai..enki shayari apne aap meiN aik misaal hai...enki aik khaas rachna ki kuch panktiyaa aap sabki khidmat meiN hazir hai. es rachna ko padkar aap jaan hi jaogey ki maiN kis ki baat kar rhi hu

In nigahoN main jo intzaar hai…
Mujhe bhi bas usi se pyar hai..
Khwab ki duniya main hi sahi…
Koi to hai jo mera dildaar hai…

In nigahoN main jo intzaar hai…

Uski har ada mujhe hai bulati…
Meri bekrari yuN hai badhati…
Har waqt bas ek dhun hai sunati…
Kehti hai tu hi to mera yaar hai…

In nigahoN maiN jo inzaar hai…

ji dosto sahi pehchana aapne

~~~KUNAAL Jii~~~

aik baar phir wahi shiqayat hai aapse...ham aapse thoda sa aur waqt chahte haiN, kuch waqt pehle to gayab hi thy sdc se...ab pehle se kuch regular hue to hai par jaise ham chahte hai vaise nahi hamne ense bahut request ki hai ki regular ho jayeN...umeed hai hamari baat ki laaj rakhNge

to enko vapis laane ka yehi aik zariya nazar aaya hame, ham chahte thy ki es umda shayar ko hamare sabhi member jaane bhi aur padey bhi, esi liye ham enko jaise taise pakad laaye hai ki aapko ab regular aana bhi hoga aur sabhi dosto se aik mahina regular baat-cheet bhi karni hogi

ji dosto, es mahine ham enhi se baat kareNge, ham sab enke bare meiN wo sab kuch jaan.na chaheNge jo hame maloom nahi hai, hamne to bas enki shayri padi hai, par yeh asal zindgi meiN kaise haiN ense hi jaanege, thode gusse wale haiN par suna hai dil ke bahut acche hai

Kunaal ji, aapka SDC ke es guftagu wale silsiley meiN dil se suwagat hai…umeed hai ki aap es gufatagu ko khoob enjoy karogey…aur ham sab bhi aapse baate karke khoob lutf uthaNge.

Kunaal ji…es silsiley ko aage badate hue ham chahte hai ki sabse pehle aap apne bare meiN kuch batayeN:

1. Aap kahan ke rehne wale hai ?
2. kya kaam karte hai ?
3. aapki family meiN kaun kaun hai…family se bhi thoda introduce karwa dijiye ?
4. SDC se kaise judey aap ?
5. kya aapke pariwaar ka koi aur member bhi SDC pariwaar meiN shamil hai ?

filhaal etna hi...aapke intejaar aur suwagat meiN SDC team

SDC team ki taraf se Aik baar phir dil ki gehraiyoN se suwagat hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Last edited by sunita thakur; 1st October 2015 at 10:31 AM..
   
Reply With Quote
swagat hai..
Old
  (#2)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
swagat hai.. - 1st October 2015, 11:06 AM

namaskaar kunaal ji....

guftguu ke silsile me main dil se apka swagat karti hoon...bahut achcha laga apka naam yahaan dekhkar...aap ek bahut achche shayar hain ye to ham jante hee hain....ab aapko aur kareeb se janne ka mauka milega is baat ki khushi hai....

aapke liye bhi ye safar yaadgar aur dilchasp rahe yahi dua karti hoon...
jald aaiye aapka intzaar ho raha hai di ke sawaal taiyar hain...unke jawaab dijiye...taki aur sawaal rakhein jayein aapke samne.....)

di aapka bahut shukriya ki aap chun chun ke sdc ke behatreen shayar se hamari mulaqat karati hain.....is silsile par bhi dil se shubhkamnayein aapko...
apna khayaal rakhein...

fir hazir hoti hoon...ijazat dein..

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
1st October 2015, 09:24 PM

Waah didi - inke liye to mere paas itne sawaal hai ki ek mahina kya ek umr bhi kam padegi.....

Kunaal miyaan aao aao - aapka sawaalon ke kathgare mein swaagat hai....betaabi se intezaar rahegaa ki tumhare jawaabon ka yahan par....

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#4)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
2nd October 2015, 10:39 AM

Tamaam doston ka shukriya .. aur SDC ke rehnumaoN ka khastaur pe ... sunita ji ka jinhone mujhe is qaabil samjha ki main aap logon se ru ba ru hoN paauN .. pichle do dinon se safar main tha .. to sabse pehle yahan deri se aane ka shukriya .. waise mehmaan-e-khusoosi itni jaldi tashreef le aaye sahi bhi nahi lagta .. jokes apart .. maine abhi ye post dekhi hai.. aur sabse pehle aaj yahi kaam kar raha hun.. ki yahan reply kar raha hun .. ek baar phir se aap sabka shukriya ada karna chahta hun ..

Sawaalon ke jawaab ke sath bohat hi jyada jaldi haazir hounga .. pehle muh dho ke kuch kha pee lun taaki aapke sawaalon ka jam ke muqabila kar paun ..

Shukriya aur pyar aap sabke naam

Aapka

Sifar

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#5)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
2nd October 2015, 02:37 PM

Quote:
ik baar phir wahi shiqayat hai aapse...ham aapse thoda sa aur waqt chahte haiN, kuch waqt pehle to gayab hi thy sdc se...ab pehle se kuch regular hue to hai par jaise ham chahte hai vaise nahi hamne ense bahut request ki hai ki regular ho jayeN...umeed hai hamari baat ki laaj rakhNge

to enko vapis laane ka yehi aik zariya nazar aaya hame, ham chahte thy ki es umda shayar ko hamare sabhi member jaane bhi aur padey bhi, esi liye ham enko jaise taise pakad laaye hai ki aapko ab regular aana bhi hoga aur sabhi dosto se aik mahina regular baat-cheet bhi karni hogi
Haalaanki iska jawaab maiN already de chuka huN .. ki ab to aapko ye shikayat mujhse nahi honi chaiye ki main nahi aa raha .. maiN ab lagataar aa raha huN .. aur kuch likh ke jo bharpaayi bachi kuchi hai wo karne ki poori koshish kar raha huN ...

par haaN main sabhi jagah reply nahi kar paata uski apni apni wajahaat hai .. zindagi maiN masroofiyat ki bhi ... aur kayi baar dil tak nahi pahunchta kuch uski wajah se bhi .. mujhe to mera likha hi nahi bhaata .. jaane kya dhundhta rehta huN maiN .. khair main yahan aata huN .. aur aata rahuNga .. chahe dikhai duN ya nahi .. SDC mere liye ek site se badh kar bohat kuch hai,,..

Quote:
ji dosto, es mahine ham enhi se baat kareNge, ham sab enke bare meiN wo sab kuch jaan.na chaheNge jo hame maloom nahi hai, hamne to bas enki shayri padi hai, par yeh asal zindgi meiN kaise haiN ense hi jaanege, thode gusse wale haiN par suna hai dil ke bahut acche hai

Kunaal ji, aapka SDC ke es guftagu wale silsiley meiN dil se suwagat hai…umeed hai ki aap es gufatagu ko khoob enjoy karogey…aur ham sab bhi aapse baate karke khoob lutf uthaNge.
Jii Banda poori tarah se haazir hai.. jo bhi poocheNge maiN uska jawaab dene ki koshish nahi karunga balki jawaab douNga ... aur gussa main bilkul nahi karta huN .. ye aap jab mujhse baat karna shuru kareNge ya janna shuru kareNge to phir aapko meri baateN gussa nahi lageNgi ..

aapke isteqbaal se maiN mutmain huN ... aur haazir rahuN waqt se .. se koshish karuNga maiN ,, SDC ka bhi Shukriya mujhe yahan chunne ke liye ...

Quote:
Kunaal ji…es silsiley ko aage badate hue ham chahte hai ki sabse pehle aap apne bare meiN kuch batayeN:

1. Aap kahan ke rehne wale hai ?
In dinoN to mujhe lagta hai maiN kahiN ka nahiN huN .. waise meri paidaish aur parvarish DELHI ki hai .. aur ek baat Delhi mere dil maiN basta hai ..

Quote:
2. kya kaam karte hai ?
MaiN LogoN ke paise invest karwata huN .. ek naami real estate firm maiN Coprorate sales ko Head karta huN .. iske alawa Free lancing bhi ..

Quote:
3. aapki family meiN kaun kaun hai…family se bhi thoda introduce karwa dijiye ?
Meri Family bhi Start nahi hui hai .. aur maiN abhi apni family se alag rehta huN .. sabke rehte hue waise koi nahi hai .. aur koi nahi ke hote hue sab.. Phir bhi aapki jaankaari ke liye .. maa baap ke alawa ek bhai hai aur ek behan .. sab married hai mujhe chor ke

waise iske alawa bhi mera ek shayri ka pariwar hai .. jisme anginat log maujood hai .. aur yakeen jaaniye sabse mera rishta aisa hai jaise mere janm se jude rishte ..

Quote:
3.
4. SDC se kaise judey aap ?
SDC se judna ek ittefaq tha Shayri karne ka shauq tha .. un dino net koi aam baat nahi thi.. phir bhi ye meri pahunch main tha .. yahan aane se pehle se main KSHITIZ Bhai ko chatting ke through jaanta tha .. unhone hi mujhse iska jikra kiya tha kaafi waqt pehle par maine ek roz aise hi net pe shayri padhne ke liye shayri search kiya to SDC ko sabse upar paaya ... Phir yaad aaya ki arre shayad khsitiz bhai ne yahi ki baat ki hogi .. aur baad main unhe yahiN paaya .. to kuch is tareeke se SDC se judna hua..

Quote:
5. kya aapke pariwaar ka koi aur member bhi SDC pariwaar meiN shamil hai ?
Abhi upar hi jis pariwar ka jikra kiya hai .. shayad uske kayi member yahaN se jude haiN .. baaki mere ghar main to abhi kayi roz pehle tak koi jaanta bhi nahi tha maiN shayri karta huN ..

Quote:
filhaal etna hi...aapke intejaar aur suwagat meiN SDC team

SDC team ki taraf se Aik baar phir dil ki gehraiyoN se suwagat hai.
MaiN haazir huN .. aur aapke isteqbal aur pyar ka shukriya ada karta huN ..

Aapka apna

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#6)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
2nd October 2015, 02:41 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
namaskaar kunaal ji....

guftguu ke silsile me main dil se apka swagat karti hoon...bahut achcha laga apka naam yahaan dekhkar...aap ek bahut achche shayar hain ye to ham jante hee hain....ab aapko aur kareeb se janne ka mauka milega is baat ki khushi hai....

aapke liye bhi ye safar yaadgar aur dilchasp rahe yahi dua karti hoon...
jald aaiye aapka intzaar ho raha hai di ke sawaal taiyar hain...unke jawaab dijiye...taki aur sawaal rakhein jayein aapke samne.....)

di aapka bahut shukriya ki aap chun chun ke sdc ke behatreen shayar se hamari mulaqat karati hain.....is silsile par bhi dil se shubhkamnayein aapko...
apna khayaal rakhein...

fir hazir hoti hoon...ijazat dein..
Salaam Namaste

Aapke pyar aur khuloos ka main shukriya ada karta huN ... tamaam duaoN ka bhi dil se isteqbal karta huN .. aur maiN koi shayar nahi huN bas jo guzarta hai use alfaz dene ki zehmat utha leta huN .. aap aayi bohat accha laga .. aapko dekh kar ...

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#7)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
2nd October 2015, 02:43 PM

Quote:
Originally Posted by mast View Post
Waah didi - inke liye to mere paas itne sawaal hai ki ek mahina kya ek umr bhi kam padegi.....

Kunaal miyaan aao aao - aapka sawaalon ke kathgare mein swaagat hai....betaabi se intezaar rahegaa ki tumhare jawaabon ka yahan par....
Arre mere pyare bhai ..

mujhe nahi maloom tha ki aapke paas mere liye itne sawaal hai bata dete mumbai aaya tha abhi waqt nikaal ke pehle sawaaloN ke jawaab hi deta

aur main aa gaya huN aap hi gaayab ho ab ...

aayiye aap mujhe ab aapka intezaar hai ....

aapka apna

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#8)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
2nd October 2015, 03:51 PM

Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
Arre mere pyare bhai ..

mujhe nahi maloom tha ki aapke paas mere liye itne sawaal hai bata dete mumbai aaya tha abhi waqt nikaal ke pehle sawaaloN ke jawaab hi deta

aur main aa gaya huN aap hi gaayab ho ab ...

aayiye aap mujhe ab aapka intezaar hai ....

aapka apna

Kunaal
Mumbai mein aaye aur mujhe phone tak bhi nahi kiya.....itna hi pyaar raha hai ab.

Chalo kuch sawaalat ki aur rukh karte hai....

1. SDC mein apne pasandida shayar bataiye aur yeh bhi bataiye ki vo aapke aziz kyun hai?

2. Aap to bade bade mushaairoyon se bhi jude hai, aapke ab tak ke safar mein as a shayar aap kya kehnna chahenge?

3. Shayri ki baarikiyon ko aapne kis hadd tak jaana hai aur isse jude agar aapke paas koi kisse ho to humse share kijiye...

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#9)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
2nd October 2015, 04:51 PM

Wah kunaal aaya hai.

Abhi mazzaa ayegaa. Main bhi bohut pakaane wali hun devar ji ready rahiyega.

-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
2nd October 2015, 09:11 PM

Quote:
Mumbai mein aaye aur mujhe phone tak bhi nahi kiya.....itna hi pyaar raha hai ab.
Arre Bhai jaan.. bohat mann tha par bohat kamm waqt ki mohlat thi .. phir aapse mil k ek dum se to nahi jaane wala tha main .. itne saal ho gaye mile hue .. ek waqt aapse dimaag poora khaali karke jaunga .. so phir jaldi hi aisa waqt aayega aisi umeed hai mujhe ..

Quote:

Chalo kuch sawaalat ki aur rukh karte hai....

Jee Zaroor ...!

Quote:

1. SDC mein apne pasandida shayar bataiye aur yeh bhi bataiye ki vo aapke aziz kyun hai?

maiN waise to yahaan bas ek naam likhna chahta tha kyuNki mujhe lagta hai pasandeeda ek hazaar nahi ho sakte .. wo aur baat hai ki jis fun ko hum pasand karte hai usme sab accha lagta hai .. par pasandeeda ka kya matlab reh jaata hai agar hum sabko bas khush karne ke liye sabka naam likh deN .. par shaayab mere liye bhi ye possible nahi .. to kuch naam hi saamne hai ... aur kyuN wo bhi ..

--- Ek waqt tha jab main jab bhi main MANOJ KUREEL bhai ko padhta tha yahi sochta tha ki jo main sochta huN ye kaise likh lete hai .. mere sabse pehle sabse pasandida shayroN maiN unhi ka naam hai .. aise alfaaz bunte hai manoj bhai jaise makkhan main churi ...

--- Phir aapke sath maine apne alfaaz ko rakhna seekha aapse bohat kuch jaana hai maine .. aur aaj bhi yaqeen se keh sakta huN ..ki aapse jyada romani hona shayad kahin mil jaaye par aapke alfaaz ki romaniyat ka apna ek zaaii'ka hai .. aur yahi baat MAST BHAI ko mere pasand main laa khada karti hai ..

--- Lekin dheere dheere jaise jaise ghazal goyi se raabta hone laga mujhe meri pasand main ek aur shakhs aa khada hua .. Jise aap Sab ZIDD BHAI ke naam se jaante ho .. wo ek alag hi shakshiyat hai aur unki shayri ko maine parwaan chadte dekha hai .. aur phir wo mere pasandeeda ho gaye ..

--- Lekin sahi maaii'noN maiN maine shayri main kisi ko jeete dekha hai to wo aur koi nahi VIKAS RANA(JANUMANU) hai aur unki shayri bhi unhi ke jaisi aala hai .. ek saccha shayar jo shayri, romaniyat, aur qudarat aur ek kashish ko mila ke kalaam zaahir karta hai .. ek waqt main shayri se rishta qariib qariib taud chuka tha .. unhone mujhe shayri se dobara milwaaya aur shayri ki dunia se bhi mujhe ru ba ru karwaaya .. aaj mujhe agar koi stage pe jaanta hai to usme vikas bhai ka bohat bada hath hai .. aur is sab se pare phir kahunga unki shayri aur uski taraf unka junooN unhe mera pasandeeda banaata hai ..

--- YahaaN maiN mere chhote bhai TAISH ka naam lena nahi bhool sakta .. mere saamne hi usne apni kalam ka jauhar dikhaaya hai ... kabhi kabhi rashq karta huN ki mujhe bhi uski tarah kehne ka andaaz mil jaye kahiN se ..

Baaki accha to sab lagta hai par ye log hai jo waqt dar waqt mujhe thoda ziyadah ajeez rahe..

Phir aata huN wapas .. baaki jawaaboN ke sath ...

apna khyaal rakhiye ,,..

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..

Last edited by KunaaL; 2nd October 2015 at 09:17 PM..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#11)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
2nd October 2015, 10:39 PM

yaar manna padega Mast bhai .. khud aaye chand alfaaz main sawaalaat kar ke chale gaye .. lekin yaqiin jaaniye .. aise aise sawaal kar daale hai .. ki kitna bhi kam likhne ki koshish karuN ungliyoN se dil likhne ko majboor ho raha hai .. aapke aage ke sawaaloN ki taraf chalte hai ..

Quote:
2. Aap to bade bade mushaairoyon se bhi jude hai, aapke ab tak ke safar mein as a shayar aap kya kehnna chahenge?

Bhai jaan main koi itni badi hasti nahi huN .. par meri khushnaseebi hai .. ki aaj ke daur ke aalaa shoraa'oN ke sath mujhe baithne ka mauka haasil hua hai .. aur ek ek shaqs ek kahaani se kam nahi .. koi bhi aala sho'raa yuN hi nahi ho jaata..

meri shayri ka koi safar nahi hai .. ye us diye ki tarah hai jo suraj nahi hona chahti bas ujaala karna chahti hai .. kam ya ziyadaah isse ise koi farq nahi.. maiN kal ko rahuN na rahuN .. ye rahegi .. apni ek dunia banaaye jisme koi chahe to utar sake .. maiN phir se kehna chahunga maiN koi shayar nahi huN .. bas mujhme junooN hai likhne ka nikharne ka ,, aur agar kisi fun ka shauq rakh hi liya hai to use sahi tareeke se adab se kar sakuN yahi meri aarzoo hai .. baaki jo itne pyare dost aapke jaise aur kuch kadradaan hai unki sarparasti maiN apne is junooN ko zinda rakhna chahta huN maiN .. umeed hai mujhe aap aur aap jaise tamaam dostoN ka pyar baar'ha yuN hi milta rahega .. mushaa'iroN ka kya hai .. jahaaN chaar dil ke qareebi dost baith kar adab maiN dil ki baateN rakh deN wahi mushaa'ira hai ..

Quote:

3. Shayri ki baarikiyon ko aapne kis hadd tak jaana hai aur isse jude agar aapke paas koi kisse ho to humse share kijiye...
Dekha jaaye to ye sawaal mere hisaab se sahi nahi hai .. shayrii ki baareekiyoN ki koi hadd nahi hai .. ye ilm ka wo saagar hai jiski kayi teh hai aur kuch parteN abhi khul gayi hai par na jaane kitni parteN khulna baaki hai aise main mera kuch bhi kehna bemaana ho jayega...

Phir bhi jo soorat-e-haal abhi shayri ki takneek ka hai uske lihaaj se maiN bas itna hi keh sakta huN ... ki apni baat ko adab maiN rakhne ki himakat kar sakuN itna fun khaak bande ne zaroor ikhteyaar kar liya hai.. baaqi zabaan pe pakad kaafi aa chuki hai aur dheere dheere badh rahi hai .. baaki maiN tab bhi taalib-e-ilm tha .. aur ab bhi taalib-e-ilm hi huN ..

Shukriya aap aaye aur bhi aap jo bhi rakhna chaaheN rakh sakte haiN ..

Khyaal rakhiye apna bohat acche se

Aapka apna

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#12)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
3rd October 2015, 10:04 AM

Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
Haalaanki iska jawaab maiN already de chuka huN .. ki ab to aapko ye shikayat mujhse nahi honi chaiye ki main nahi aa raha .. maiN ab lagataar aa raha huN .. aur kuch likh ke jo bharpaayi bachi kuchi hai wo karne ki poori koshish kar raha huN ...

par haaN main sabhi jagah reply nahi kar paata uski apni apni wajahaat hai .. zindagi maiN masroofiyat ki bhi ... aur kayi baar dil tak nahi pahunchta kuch uski wajah se bhi .. mujhe to mera likha hi nahi bhaata .. jaane kya dhundhta rehta huN maiN .. khair main yahan aata huN .. aur aata rahuNga .. chahe dikhai duN ya nahi .. SDC mere liye ek site se badh kar bohat kuch hai,,..

Jii Banda poori tarah se haazir hai.. jo bhi poocheNge maiN uska jawaab dene ki koshish nahi karunga balki jawaab douNga ... aur gussa main bilkul nahi karta huN .. ye aap jab mujhse baat karna shuru kareNge ya janna shuru kareNge to phir aapko meri baateN gussa nahi lageNgi ..

aapke isteqbaal se maiN mutmain huN ... aur haazir rahuN waqt se .. se koshish karuNga maiN ,, SDC ka bhi Shukriya mujhe yahan chunne ke liye ...

In dinoN to mujhe lagta hai maiN kahiN ka nahiN huN .. waise meri paidaish aur parvarish DELHI ki hai .. aur ek baat Delhi mere dil maiN basta hai ..

MaiN LogoN ke paise invest karwata huN .. ek naami real estate firm maiN Coprorate sales ko Head karta huN .. iske alawa Free lancing bhi ..

Meri Family bhi Start nahi hui hai .. aur maiN abhi apni family se alag rehta huN .. sabke rehte hue waise koi nahi hai .. aur koi nahi ke hote hue sab.. Phir bhi aapki jaankaari ke liye .. maa baap ke alawa ek bhai hai aur ek behan .. sab married hai mujhe chor ke

waise iske alawa bhi mera ek shayri ka pariwar hai .. jisme anginat log maujood hai .. aur yakeen jaaniye sabse mera rishta aisa hai jaise mere janm se jude rishte ..

SDC se judna ek ittefaq tha Shayri karne ka shauq tha .. un dino net koi aam baat nahi thi.. phir bhi ye meri pahunch main tha .. yahan aane se pehle se main KSHITIZ Bhai ko chatting ke through jaanta tha .. unhone hi mujhse iska jikra kiya tha kaafi waqt pehle par maine ek roz aise hi net pe shayri padhne ke liye shayri search kiya to SDC ko sabse upar paaya ... Phir yaad aaya ki arre shayad khsitiz bhai ne yahi ki baat ki hogi .. aur baad main unhe yahiN paaya .. to kuch is tareeke se SDC se judna hua..

Abhi upar hi jis pariwar ka jikra kiya hai .. shayad uske kayi member yahaN se jude haiN .. baaki mere ghar main to abhi kayi roz pehle tak koi jaanta bhi nahi tha maiN shayri karta huN ..

MaiN haazir huN .. aur aapke isteqbal aur pyar ka shukriya ada karta huN ..

Aapka apna

Kunaal

Kunaal ji....bahutttttttt accha lga aapne meri har baat ka etni tafseel se jawaab diya...muje sach meiN bahuttttttttt accha lag rha hai ki main aapko es silsilley meiN lekar aaye...kyuki jis tarah aap har baat bahut saafgoi se kar rhe hai, hamne pehle aapko aise nahi dekha...bas aapki shayari tak hi ham thy...us se aage kabhi aapse koi baat nahi hue... baat nahi hue ya yu kahna bhi sahi rhega ki kabhi himmat hi nahi hue

Kunaal ji

1. sabse pehle aapko aapke bachpan meiN lekar jana chahungi...jo ki sabse haseen waqt hota hai zindgi ka...to aap apne bachpan ki koi pyari si yaad hamse share kijiye...jo baar baar aapko bachpan ki yaad dilatai hai.

2. kya aap bachpan meiN sharati thy / bade bholey se thy / bade gusse wale thy ?

3. aapki bhai behan meiN se kis se jayada banti thi ?

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#13)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
3rd October 2015, 10:12 AM

Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
Arre Bhai jaan.. bohat mann tha par bohat kamm waqt ki mohlat thi .. phir aapse mil k ek dum se to nahi jaane wala tha main .. itne saal ho gaye mile hue .. ek waqt aapse dimaag poora khaali karke jaunga .. so phir jaldi hi aisa waqt aayega aisi umeed hai mujhe ..

maiN waise to yahaan bas ek naam likhna chahta tha kyuNki mujhe lagta hai pasandeeda ek hazaar nahi ho sakte .. wo aur baat hai ki jis fun ko hum pasand karte hai usme sab accha lagta hai .. par pasandeeda ka kya matlab reh jaata hai agar hum sabko bas khush karne ke liye sabka naam likh deN .. par shaayab mere liye bhi ye possible nahi .. to kuch naam hi saamne hai ... aur kyuN wo bhi ..

--- Ek waqt tha jab main jab bhi main MANOJ KUREEL bhai ko padhta tha yahi sochta tha ki jo main sochta huN ye kaise likh lete hai .. mere sabse pehle sabse pasandida shayroN maiN unhi ka naam hai .. aise alfaaz bunte hai manoj bhai jaise makkhan main churi ...

--- Phir aapke sath maine apne alfaaz ko rakhna seekha aapse bohat kuch jaana hai maine .. aur aaj bhi yaqeen se keh sakta huN ..ki aapse jyada romani hona shayad kahin mil jaaye par aapke alfaaz ki romaniyat ka apna ek zaaii'ka hai .. aur yahi baat MAST BHAI ko mere pasand main laa khada karti hai ..

--- Lekin dheere dheere jaise jaise ghazal goyi se raabta hone laga mujhe meri pasand main ek aur shakhs aa khada hua .. Jise aap Sab ZIDD BHAI ke naam se jaante ho .. wo ek alag hi shakshiyat hai aur unki shayri ko maine parwaan chadte dekha hai .. aur phir wo mere pasandeeda ho gaye ..

--- Lekin sahi maaii'noN maiN maine shayri main kisi ko jeete dekha hai to wo aur koi nahi VIKAS RANA(JANUMANU) hai aur unki shayri bhi unhi ke jaisi aala hai .. ek saccha shayar jo shayri, romaniyat, aur qudarat aur ek kashish ko mila ke kalaam zaahir karta hai .. ek waqt main shayri se rishta qariib qariib taud chuka tha .. unhone mujhe shayri se dobara milwaaya aur shayri ki dunia se bhi mujhe ru ba ru karwaaya .. aaj mujhe agar koi stage pe jaanta hai to usme vikas bhai ka bohat bada hath hai .. aur is sab se pare phir kahunga unki shayri aur uski taraf unka junooN unhe mera pasandeeda banaata hai ..

--- YahaaN maiN mere chhote bhai TAISH ka naam lena nahi bhool sakta .. mere saamne hi usne apni kalam ka jauhar dikhaaya hai ... kabhi kabhi rashq karta huN ki mujhe bhi uski tarah kehne ka andaaz mil jaye kahiN se ..

Baaki accha to sab lagta hai par ye log hai jo waqt dar waqt mujhe thoda ziyadah ajeez rahe..

Phir aata huN wapas .. baaki jawaaboN ke sath ...

apna khyaal rakhiye ,,..
Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
yaar manna padega Mast bhai .. khud aaye chand alfaaz main sawaalaat kar ke chale gaye .. lekin yaqiin jaaniye .. aise aise sawaal kar daale hai .. ki kitna bhi kam likhne ki koshish karuN ungliyoN se dil likhne ko majboor ho raha hai .. aapke aage ke sawaaloN ki taraf chalte hai ..

Bhai jaan main koi itni badi hasti nahi huN .. par meri khushnaseebi hai .. ki aaj ke daur ke aalaa shoraa'oN ke sath mujhe baithne ka mauka haasil hua hai .. aur ek ek shaqs ek kahaani se kam nahi .. koi bhi aala sho'raa yuN hi nahi ho jaata..

meri shayri ka koi safar nahi hai .. ye us diye ki tarah hai jo suraj nahi hona chahti bas ujaala karna chahti hai .. kam ya ziyadaah isse ise koi farq nahi.. maiN kal ko rahuN na rahuN .. ye rahegi .. apni ek dunia banaaye jisme koi chahe to utar sake .. maiN phir se kehna chahunga maiN koi shayar nahi huN .. bas mujhme junooN hai likhne ka nikharne ka ,, aur agar kisi fun ka shauq rakh hi liya hai to use sahi tareeke se adab se kar sakuN yahi meri aarzoo hai .. baaki jo itne pyare dost aapke jaise aur kuch kadradaan hai unki sarparasti maiN apne is junooN ko zinda rakhna chahta huN maiN .. umeed hai mujhe aap aur aap jaise tamaam dostoN ka pyar baar'ha yuN hi milta rahega .. mushaa'iroN ka kya hai .. jahaaN chaar dil ke qareebi dost baith kar adab maiN dil ki baateN rakh deN wahi mushaa'ira hai ..

Dekha jaaye to ye sawaal mere hisaab se sahi nahi hai .. shayrii ki baareekiyoN ki koi hadd nahi hai .. ye ilm ka wo saagar hai jiski kayi teh hai aur kuch parteN abhi khul gayi hai par na jaane kitni parteN khulna baaki hai aise main mera kuch bhi kehna bemaana ho jayega...

Phir bhi jo soorat-e-haal abhi shayri ki takneek ka hai uske lihaaj se maiN bas itna hi keh sakta huN ... ki apni baat ko adab maiN rakhne ki himakat kar sakuN itna fun khaak bande ne zaroor ikhteyaar kar liya hai.. baaqi zabaan pe pakad kaafi aa chuki hai aur dheere dheere badh rahi hai .. baaki maiN tab bhi taalib-e-ilm tha .. aur ab bhi taalib-e-ilm hi huN ..

Shukriya aap aaye aur bhi aap jo bhi rakhna chaaheN rakh sakte haiN ..

Khyaal rakhiye apna bohat acche se

Aapka apna

Kunaal

wahhhh kya khoobsurat lafzoN meiN aapne jawaab diya hai aur jin shayroN ki shayri ke aap mureed haiN wo to sach meiN kamaal ke shayar hai sabhi...hamne bhi Manoj Khureel, Janumanu, Zidd ji, Mast Bhai aur Taish sabhi ko khoob pada hai aur padte bhi haiN.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#14)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
3rd October 2015, 11:43 AM

kunaal ji....sabhi ke sawaal aur un par aapke jawaab padhe maine...aur bahut achcha laga ki aap poore dil se sabhi sawalon ke jawaab de rahe hain.......

Sdc par aap kinhe padhna pasand karte hain ye jaankar khushi huyi...

Main bas itna poochna chahoongi ki-

1. sdc ke alawa urdu ke tamaam mashhoor shayron me se vo kon hazrat hain jinki shayri aapko bahut pasand hai..aur unki shayri aapko likhne ki prerna deti hai

2.Kya mahaz shauk ke sath aapne apni pahli rachna likhi...ya fir iske peeche koi dard koi ehsaas koi aisa wakiya jisne aapko likhne pe majboor kiya..

3.Jaisa aapne kaha ki apne dil ke khayalon ko likhne ki zahmat utha lete hain bas koi shayar nahi hain aap..

To poochna chahoongi ki shayar kya hota hai fir...
Is lafz ki koi khaas pahchaan aapke nazariye se janna chahoongi...

Abhi bas itna hee...
Ijazat chahoongi..

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
3rd October 2015, 12:19 PM

Kunaal....

Mera ek hi sawaal...

Woh kunaal kahaa kho Gaya Jo mujhe kehta tha Ki bhabhi apki shaadi ka lehenga main design karunga... WO innocent sa kunaal kahaan Jo apni choti choti baatein mujhe bataata tha?

Mujhe aaj bhi wo bholi baatein yaad hain magar jab nau saal baad tumhaare touch Mein phir se aayi to paaya Ki tumme bohut badlaav aa gaye hain. WO hhar baat ko Hansi Mein udaane wala kunaal kahan Gaya aur kyun?

Chaho to iss sawaal ka jawaab do ya phir ignore bhi kar sakte Ho agar lage Ki zyada keh Diya Maine.

-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
3rd October 2015, 01:14 PM

Kunaal bhaii

namaste

Aapko shayri pariwaar ke kathghare mein dekh kar khushii huii...aapka dil se swaagat kartaa huun...aap pariwaar ke bahot hi pooraane sadasyaa hain...aapko main tab se paDhtaa aaya huun jab maine site join bhii nahiin kee thee...jab aapka id name sacchcha_pyar tbaa aur avatar mein thaa wo elepthant ...kunaal@shayri.ciom.. ..aap ko paDh kar bahot kuchh seekhaa bher hai ...

Bahot khushii hoti hay jab aap jaise pooraane sadasyaa abhi bhii pariwaar ko itnaa chaahte hain aur samman dete hain aur waqt bhee dete hain

Aik baar fir se aapke swaagat kartaa hun...

Duaaon ke saath ijaazat

Aapka

Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
3rd October 2015, 02:51 PM

Quote:
Originally Posted by masti View Post
Kunaal....

Mera ek hi sawaal...

Woh kunaal kahaa kho Gaya Jo mujhe kehta tha Ki bhabhi apki shaadi ka lehenga main design karunga... WO innocent sa kunaal kahaan Jo apni choti choti baatein mujhe bataata tha?

Mujhe aaj bhi wo bholi baatein yaad hain magar jab nau saal baad tumhaare touch Mein phir se aayi to paaya Ki tumme bohut badlaav aa gaye hain. WO hhar baat ko Hansi Mein udaane wala kunaal kahan Gaya aur kyun?

Chaho to iss sawaal ka jawaab do ya phir ignore bhi kar sakte Ho agar lage Ki zyada keh Diya Maine.

Sarika....Kunaal ji to ta nahi aapke en sawaaloN ke kya jawaab denge...par main to aapke sawaal padkar hi emotional ho gye hu

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#18)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
3rd October 2015, 08:13 PM

Quote:
Kunaal ji....bahutttttttt accha lga aapne meri har baat ka etni tafseel se jawaab diya...muje sach meiN bahuttttttttt accha lag rha hai ki main aapko es silsilley meiN lekar aaye...kyuki jis tarah aap har baat bahut saafgoi se kar rhe hai, hamne pehle aapko aise nahi dekha...bas aapki shayari tak hi ham thy...us se aage kabhi aapse koi baat nahi hue... baat nahi hue ya yu kahna bhi sahi rhega ki kabhi himmat hi nahi hue

Shurkriya aapko mere jawaaboN se sukooN mila .. lekin mujhe nahi maaloom tha main itna khatarnaak huN ... waise baat ka na hona bohat baatoN pe rakha hota hai .. khair dair aaye durust aaye ..

Quote:

Kunaal ji

1. sabse pehle aapko aapke bachpan meiN lekar jana chahungi...jo ki sabse haseen waqt hota hai zindgi ka...to aap apne bachpan ki koi pyari si yaad hamse share kijiye...jo baar baar aapko bachpan ki yaad dilatai hai.
?
Bachpan ... huh .. sahi maaii'no maiN maine kabhi bachpan dekha hi nahi .. wo baat aur hai maine kabhi apne bachpane ko marne hi nahi diya phir wo bachpan ho ya jawaani maiN bachpane se door nahi ho paaya .. kyuNki maine kabhi bachpan jiya hi nahi ... wo baat aur hai ek waqt ke baad maine apne aapko har kisi pe zaahir karna chhod diya .. khair phir bhi agar ek daur ko bachpan maan liya jaye to aisa koi khaas kissa to nahi aata yaad phir bhi ek baat hai jo mujhe abhi kuch din pehle maikash bhai ne bhi yaad dilaayi .. shaayad bohat se logoN ne mehsoos kiya hai ise .. '

mujhe aaj bhi yaad hai main apne papa ko khana dene unke office jaata tha .. aur khana dene ke baad wahan se jaate waqt apne papa ko baar baar baar kehta tha.. PAPA MAIN JAA RAHA HUN .. JAAUN... waise to papa ek baari main samajh jaate the .. par kabhi kabhi kaam main ulajahne ki wajah se nahi samajh paate the to mujhe dohraana padta ... phir papa uthte .. aur mujhe 1 rs de dete .. mujhe jo khushi hoti thi bata nahi sakta .. kabhi kabhi ye 1 rs 5 main bhi badal jata tha .. to main imaandaari se 5 din unse maangne se bachta tha... ye shayad mujhe aaj bhi utna hi khushi deta hai jaise us waqt deta tha ...

ek aur baat hai main aur mera bhai aur sis ek hi school main padhte the .. humare paas do cycle thi .. ek ladies ek gents .. par gents meri sis chalaati thi .. aur ladies pe mera bhai aur main aate the .. khasiyat ye thi .. do pedal pe char pair hote the .. aur kya bhaagti thi humari cycle .. double power jo lagti thi .. isi wajah se hume aadha school jaanta tha ..

Quote:

2. kya aap bachpan meiN sharati thy / bade bholey se thy / bade gusse wale thy ?
na main sharaarti tha na bhola na gusse waala .. maine humesha apne aap ko balance rakha hai .. wo kehte hai na badmashi karo to top darze ki .. main aaj bhi aisa hi huN ..phir bhi maine kabhi shararat nahi ki main bade alag se type ka tha .. aap mujhe har rang main dekh lete .. gupchup maine har kaam kiya hai ..

Quote:

3. aapki bhai behan meiN se kis se jayada banti thi ?
Banti behan se thi sath main bhai ke jyada rehta tha chahe bane na bane ... aur meri behan ki bhi mujhse hi banti thi ..

aap aayi phir se accha laga .. aur sawaaloN ke liye bhi behichak aayeN

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#19)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
3rd October 2015, 08:16 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post

Sarika....Kunaal ji to ta nahi aapke en sawaaloN ke kya jawaab denge...par main to aapke sawaal padkar hi emotional ho gye hu

MaiN zindagi main kabhi kisi cheez se nahi bhaaga huN sunita jee.. shaayad isi wajah se log mujhe khatarnaak samajhte hai ... hahaha .. main sarika bhabhi ke baatoN ka jawaab zaroor dounga .. waqt itna hota nahi .. un tak aane main thoda sa waqt lagega bas .. par ziyadah nahi mera waada hai

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#20)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
3rd October 2015, 08:41 PM

Quote:
kunaal ji....sabhi ke sawaal aur un par aapke jawaab padhe maine...aur bahut achcha laga ki aap poore dil se sabhi sawalon ke jawaab de rahe hain.......

Sdc par aap kinhe padhna pasand karte hain ye jaankar khushi huyi...
Apka shukriya aapne khaak bande ke liye waqt nikaala

Quote:

Main bas itna poochna chahoongi ki-

1. sdc ke alawa urdu ke tamaam mashhoor shayron me se vo kon hazrat hain jinki shayri aapko bahut pasand hai..aur unki shayri aapko likhne ki prerna deti hai

Meri pasand main sabse upar agar kisi ka naam aata hai to wo hai ASRAR UL HAQ "MAJAAZ" unki shayri mehaj shayri nahi ek qudarti tasweer si hua karti hai .. aur mujhe nahi lagta koi unke jaisi soch laa bhar bhi sakta hai ...

baaki jigar muradabadi aur jaun elia.. jaun to humaari jaan haiN.. aur jigar wakai jigar .. jaun ko padhna bas lutf bhar nahi deta .. baat ko kis tarah doosri taraf jaake dekha jaye ye bataata hai .. shayad yahi shayri hai ..

Quote:

2.Kya mahaz shauk ke sath aapne apni pahli rachna likhi...ya fir iske peeche koi dard koi ehsaas koi aisa wakiya jisne aapko likhne pe majboor kiya..

mujhe pata hi nahi hai ki maine apni pehli rachna kab likhi thi .. na jaane main kab se panno main kuch na kuch likh diya karta tha.. kise apni pehli rachna kahuN mujhe nahi pata.. baaki ek baat aapki baat pe JAVED AKHTAR saahab ki yaad aati hai .. ki shayri dard pe hi kyuN jyada hoti hai .. kyuNki jab zindagi maiN koi kami hoti hai tabhi tees hoti hai aur jab hum use keh nahi paate likh dete hai .. shayad yahi kuch raha hoga jo main likhne ki tarah chala gaya .. mujhe accha lagta tha ki log kya kuch sochte hai aur usme ehsaas dhundhne ki koshish karta tha.. bas yahi sab pata hi nahi chala kab ye kami shauq ban gayi aur kab maiN apni baat kehna seekh gaya..

Quote:

To poochna chahoongi ki shayar kya hota hai fir...
Is lafz ki koi khaas pahchaan aapke nazariye se janna chahoongi...

Abhi bas itna hee...
Ijazat chahoongi..
Shayar .. hahahaha aaj ki duniya main shayad hi koii shayar ho .. meri nazar main to nahi hai .. shayar to mirza ghalib the, miir the , jigar the.. ye the shayar .. hum kahan ke shayar jo .. hum to tukbandi kar rahe hai .. kya ijaad kiya hai humne.. aaj kal to sab shayar bane phirte hai .. koi baat ho to keh dete hai gulzaar bhi aise hi likhte hai.. aaj ke daur main truck bhar ke shayri likhi jaati hogi roz shayad .. mujhe nahi maloom log apne sath insaaf kar paate hai ya nahi.. aise main shayar koun hai

shayri karna ek fun hi nahi ek calculation karne jaisa hai ek kalaakaari hai .. mere hisaab se jo adab main apni baat ek alag tareeke se rakh dete hai wahi shayar hai .. jinhe ye sab karne maiN waqt nahi lagta .. ek aur shayri kabhi bas roke nahi ki jaa sakti warna 90 percent log shayar ho jaate ,.. aur ye kehna bhi bwajah hai ki aisa karne se khyaal mar jaate hai .. waisa karne se baat ban jaati hai .. ley main dhaal do to sab accha ho gaya .. nahi .. alfaaz kabhi bhi kaise bhi rakhe jaayeN wo apne aap apni kahaani kehte hai apni gehraai dikhaate hai ..

bas inhi sab baatoN ko mila ke apne experiences ya samajh se jo alfaaz bun de wahi shayar hai .. meri nazar maiN... khud ko nakaarne ki taaqat bhi honi chaiye aur roz kuch naya banane aur samajhne ki hasrat .. jiska koi mukaam na ho wo shayar hai .. par dukh ki baat hai ek makaam pe pahunch ke log apne ko shayar aur na jaane kya kya samajh lete hai ..

Quote:

Abhi bas itna hee...
Ijazat chahoongi..
Shukriya aapka intezaar rahega .. shabba khair ...

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#21)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
4th October 2015, 12:00 AM

Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
Apka shukriya aapne khaak bande ke liye waqt nikaala

Meri pasand main sabse upar agar kisi ka naam aata hai to wo hai ASRAR UL HAQ "MAJAAZ" unki shayri mehaj shayri nahi ek qudarti tasweer si hua karti hai .. aur mujhe nahi lagta koi unke jaisi soch laa bhar bhi sakta hai ...

baaki jigar muradabadi aur jaun elia.. jaun to humaari jaan haiN.. aur jigar wakai jigar .. jaun ko padhna bas lutf bhar nahi deta .. baat ko kis tarah doosri taraf jaake dekha jaye ye bataata hai .. shayad yahi shayri hai ..

mujhe pata hi nahi hai ki maine apni pehli rachna kab likhi thi .. na jaane main kab se panno main kuch na kuch likh diya karta tha.. kise apni pehli rachna kahuN mujhe nahi pata.. baaki ek baat aapki baat pe JAVED AKHTAR saahab ki yaad aati hai .. ki shayri dard pe hi kyuN jyada hoti hai .. kyuNki jab zindagi maiN koi kami hoti hai tabhi tees hoti hai aur jab hum use keh nahi paate likh dete hai .. shayad yahi kuch raha hoga jo main likhne ki tarah chala gaya .. mujhe accha lagta tha ki log kya kuch sochte hai aur usme ehsaas dhundhne ki koshish karta tha.. bas yahi sab pata hi nahi chala kab ye kami shauq ban gayi aur kab maiN apni baat kehna seekh gaya..

Shayar .. hahahaha aaj ki duniya main shayad hi koii shayar ho .. meri nazar main to nahi hai .. shayar to mirza ghalib the, miir the , jigar the.. ye the shayar .. hum kahan ke shayar jo .. hum to tukbandi kar rahe hai .. kya ijaad kiya hai humne.. aaj kal to sab shayar bane phirte hai .. koi baat ho to keh dete hai gulzaar bhi aise hi likhte hai.. aaj ke daur main truck bhar ke shayri likhi jaati hogi roz shayad .. mujhe nahi maloom log apne sath insaaf kar paate hai ya nahi.. aise main shayar koun hai

shayri karna ek fun hi nahi ek calculation karne jaisa hai ek kalaakaari hai .. mere hisaab se jo adab main apni baat ek alag tareeke se rakh dete hai wahi shayar hai .. jinhe ye sab karne maiN waqt nahi lagta .. ek aur shayri kabhi bas roke nahi ki jaa sakti warna 90 percent log shayar ho jaate ,.. aur ye kehna bhi bwajah hai ki aisa karne se khyaal mar jaate hai .. waisa karne se baat ban jaati hai .. ley main dhaal do to sab accha ho gaya .. nahi .. alfaaz kabhi bhi kaise bhi rakhe jaayeN wo apne aap apni kahaani kehte hai apni gehraai dikhaate hai ..

bas inhi sab baatoN ko mila ke apne experiences ya samajh se jo alfaaz bun de wahi shayar hai .. meri nazar maiN... khud ko nakaarne ki taaqat bhi honi chaiye aur roz kuch naya banane aur samajhne ki hasrat .. jiska koi mukaam na ho wo shayar hai .. par dukh ki baat hai ek makaam pe pahunch ke log apne ko shayar aur na jaane kya kya samajh lete hai ..

Shukriya aapka intezaar rahega .. shabba khair ...

Kunaal
aapne vaqt nikala aur mere sawaalon ke jawaab diye..shukriya aapka...ye to nahi kahoongi ki jawaab poori tarah satisfy kar paye mujhe...haan par aapne apna nazariya rakha achcha laga mujhe.....sach hee hai ki hamara nazariya hee to hame doosron se alag pahchaan dilata hai....
Ye sawaal jawaab ka silsila chalta hee rahega..aur dilchasp bhi rahega aisi ummeed karti hoon..

Apna khayal rakhein..

Fir milti hoon...

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
4th October 2015, 08:27 PM

Quote:

3. Shayri ki baarikiyon ko aapne kis hadd tak jaana hai aur isse jude agar aapke paas koi kisse ho to humse share kijiye...
Dekha jaaye to ye sawaal mere hisaab se sahi nahi hai .. shayrii ki baareekiyoN ki koi hadd nahi hai .. ye ilm ka wo saagar hai jiski kayi teh hai aur kuch parteN abhi khul gayi hai par na jaane kitni parteN khulna baaki hai aise main mera kuch bhi kehna bemaana ho jayega...

Phir bhi jo soorat-e-haal abhi shayri ki takneek ka hai uske lihaaj se maiN bas itna hi keh sakta huN ... ki apni baat ko adab maiN rakhne ki himakat kar sakuN itna fun khaak bande ne zaroor ikhteyaar kar liya hai.. baaqi zabaan pe pakad kaafi aa chuki hai aur dheere dheere badh rahi hai .. baaki maiN tab bhi taalib-e-ilm tha .. aur ab bhi taalib-e-ilm hi huN ..

Kunaal Bhai , kaise haiN aap.

Aapka uupar wala reply per ke mehsoos hua ki aap shayri meiN kis ghehrai se doobe hue haIn. Merre chand sawal aap ke liye .....

1. Shayar aur poet meiN kya farak hai ....aur poetry aap ke hisaab se routine haik aur shayri ka level bahut uuncha hai as compared to poetry.

2. Kyra shayri ki gehraee tak pahunchna her shayar ke liye possible hai ya nahiN . Aur Vo shora ya students of shayri jo abhi kachche haiN (raw) aur bahut neeche ki paydaan pe haiN ( tukbandi level) per aage berne ka jazba rakhte haiN , unke liye aap kya message aur method prescribe kerna chahenge.

3. Shayri aapke liye passion hai ye sirf shaq .

4. Aaj kal her cheez mein coaching ka zamana aa gaya hai ..be it studies, games , carreer , profession .. Now a days you have life coaches too.
Shayri meiN coaching ka kya sthan hai aur iske ustad kahaN paye jaate haiN??? Kyonki bahut kuch likha hua sdc ki site pe bhi shayri ke baare meiN , jineh padne meiN meiN shayad mahino/ saal lag jayeiN ..but in my view Guru / ustaad se aap jaldi seekh skte haiN against written text/ matter.

Regds
Sanjay Sehgal

khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.

Last edited by Hamdam; 4th October 2015 at 08:42 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
5th October 2015, 09:20 AM

Kunaal ji....aapne Madhu ke sawaaloN ke jawaab meiN jo shayar aur shayri ke bare meiN detail meiN baate kahi hai...muje bahut sahi lagi, bahut gehra tajurba hai aapko

accha lag rha hai ki dheere dheere ham aapko bahut acchi tarah jaan jayeNge

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#24)

5th October 2015, 10:12 AM

Kunaal ji aapse aik request hai ki aik mahine ke liye profile meiN apni photo lagayeN taaki aapse baat karte hue yeh ehsaas bana rhe ki aap hamare saamne hi baithe hai

aapne apne bachpan ki 1 Rs. wali baat bataye ham us se poora sehmat hai ki maa-baap ka pyar kisi bhi roop meiN miley bahut keemti hota hai

mere kuch aur sawaal haiN aapse

1. Kunaal ji, aap SDC ke kaun se members ko personely miley haiN, unke bare meiN thoda thoda hame jaroor batayeN, ki wo kis tarah ke ensaan lge aapko ?

2. agar aapko mokka miley ki aap shayri.com ke kinhi 5 members ko mil sakte hai jinse aap aaj tak nahi miley hai, to aapki list meiN wo kaun se 5 member honge?

3. agar shayri aapka shunk na hota to kya shunk hota...jis se aap shayri ki tarah dil se judey hote ?

4. apni pasand ki koi 5 gazloN ke link hame yahan dijiye...taaki agar ham unko aaj tak nahi pad sakeN hai to ab jaroor padeN.

5. jab kabhi aap khud ko kahin kisi baat par kamzor mehsoos karte hai to kis tarah khud ka housla banate hai phir ?

6. dil ki baat maan.ni chahiye ya dimaag ki ?

7. aapne en 11 saaloN meiN shayri.com meiN kya badlaav dekhe hai ?

8. aur wo badlaav aapko sahi lge ya galat ?

9. agar aapko SDC meiN koi badlaav laane ki baat kahi jaaye to aap kya badlaav lana chaheNge ?

10. agar aapko aik din ke liye super-power mil jaaye aur aap apni icsha ke mutabik 3 bade kaam kar sakte hai, to aap wo kaun se 3 kaam karna chaheNge ?

11. agar aapko zindgi ka koi aik hissa phir se jeene ka mokka miley to aap kaun sa hissa dubara jeena chaheNge ?

12. aapke lafzoN meiN shayri.com kya hai...please chand lafzoN meiN bayaan kijiye

filhaal bas etna hi baaki baad meiN

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Last edited by sunita thakur; 5th October 2015 at 10:19 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
5th October 2015, 03:38 PM

Quote:
Originally Posted by masti View Post
Kunaal....

Mera ek hi sawaal...

Woh kunaal kahaa kho Gaya Jo mujhe kehta tha Ki bhabhi apki shaadi ka lehenga main design karunga... WO innocent sa kunaal kahaan Jo apni choti choti baatein mujhe bataata tha?

Mujhe aaj bhi wo bholi baatein yaad hain magar jab nau saal baad tumhaare touch Mein phir se aayi to paaya Ki tumme bohut badlaav aa gaye hain. WO hhar baat ko Hansi Mein udaane wala kunaal kahan Gaya aur kyun?

Chaho to iss sawaal ka jawaab do ya phir ignore bhi kar sakte Ho agar lage Ki zyada keh Diya Maine.
Bhabhi ji namaste ..

mere paas kehne ke liye waise bohat kuch hai .. lekin aapke sawaal ka jawaab to aapke hi sawaal main dikh jayega aapko .. gaur kijiye apni baat pe ..

Quote:
magar jab nau saal baad tumhaare touch Mein phir se aayi to paaya
kya is baat ka jawaab hai aapke paas ki 9 saal tak aap kahan the .. kyuN 9 saal tak aapne sudh tak nahi li uski jo aapse itni baat karta tha ..

kya meri aapke sath koi takraar hui ... kya aapse koi matbhed the mere .. ya kuch aur .. in sab ka jawaab hai .. NAHI...! to phir itne saaloN tak aapko khyaal tak kyuN nahi aaya .. chalo maan leta huN maiN bura huN maine nahi dekha kisi ko palat ke .. par aapne kyuN nahi ek baar bhi nahi koshish ki .. agar man main itna apna pan tha to aaj tak kahan the aap .. ya maaro goli .. ab bhi koun se aap mere se itni baat karte ho .. aise main aapko kya pata main ab kaisa reh gaya huN ya main ab wo nahi raha jo main tha ... ye self presumption se kyuN itna kuch soch liya

aisa nahi hai ki ye aapne intentionally kiya .. ye main bhi jaanta huN .. ek daur aaya tha bhabhi .. sab jaante hai .. mujhe ujaad ke rakh diya us waqt ne maiN bohat toota tha .. aur mujhe bohat dukh ke sath kehna pad raha hai .. isi SDC ke bohat mere apne the jo .. unhone hi mujhe barbaad karne main poora hath rakha .. khair main ab kisi k naam nahi lena chahuNga .. wo daur beet chuka hai .. aapki aur aur mast bhai ki baat karuN to aap donoN ki zindagi bhi bohat waqt baad karwat badli thi .. aapko usme set hona tha .. aapke paas shayad kisi aur ke baare main sochne ka shayad waqt nahi tha.. aur main samajhta huN ki us waqt main aapko apne future ko sochna tha .. lazim tha usme apne aap ko aage leke jaana ..

rahi meri baat maiN kabhi kahiN kisi zindagi ka important hissa tha hi nahi .. aap logoN ko bhi shayad main kabhi nahi dikha ... ya yuN kahiye ki sochne ka waqt hi nahi mila aapko bhi ... aise main ye doori aana laazmi hai bhabhi jee.. bohat toota tha main us daur maiN .. mera pyar meri zindagi thi roopali par kisi ko farq nahi pada ki maine kya kho diya .. aisa nahi meri baat mast bhai se nahi hui is baare main unse bhi hui thi .. par unka sath bhi bas naam bhar ka tha .. darasal kisi ko laga hi nahi ki mujhe bhi dard ho sakta hai ... uske baad bhi meri zindagi main kuch sahi nahi raha .. zindagi se utha patak meri chalti hi rahi .. sab kuch hi bigadta chala gaya .. khair wo sab ab beet chuka hai ..

rahi baat mere pehle jaise na rehne ki .. to bhabhi jee pehle .. pehle ki tarah apna kar dekho .. bajaai ye sochne ke main waisa nahi raha .. ye socho ki ab ye gap hai to kyuN hai .. mere aas paas aaiye to sahi .. mujhe dekhiye to sahi .. maiN wahi huN .. jaisa tha .. wahi jiske dil main hazaaroN emotion baste the .. aaj bhi ehsaasoN ke liye bohat kaccha huN maiN .. aaj bhi apno ke sath ke liye utna hi bechain huN jitna pehle hua karta tha.. aur to aur meri to kad kaathi kaaya .. kuch bhi nahi badla .. log aaj bhi 23 24 saal ka hi kehte hai ..

lekin mera ye sab kehna bemaana hai kyuNki mere kehne se sab saccha ya jhootha nahi ho jayega.. mujhe wahi jaan sakta hai jo mere kareeb hai .. jinka sath mere sath hai aaj bhi ..

bohat ziyadah keh gaya huN .. ho sakta hai main ghalat bhi huN .. kuch bura lag gaya ho to muafi bhi maagta huN .. bhaabhi to maa ke samaan hoti hai .. muaaf zaroor kar degi maiN jaanta huN ..

aapka apna

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#26)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
5th October 2015, 03:43 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
aapne vaqt nikala aur mere sawaalon ke jawaab diye..shukriya aapka...ye to nahi kahoongi ki jawaab poori tarah satisfy kar paye mujhe...haan par aapne apna nazariya rakha achcha laga mujhe.....sach hee hai ki hamara nazariya hee to hame doosron se alag pahchaan dilata hai....
Ye sawaal jawaab ka silsila chalta hee rahega..aur dilchasp bhi rahega aisi ummeed karti hoon..

Apna khayal rakhein..

Fir milti hoon...
mazrat'khwah huN ye na samajhiyega ki main talkh mijaaz ho raha huN ... par maine aapko satisfy karne ke liye jawaab nahi diye .. maine wo kaha hai jo mujhe sahi lagta hai .. main sahi ya ghalat ho sakta huN .. mujhe accha laga ki aapne is baat ko samjha .. aap mujhse satisfy nahi ye ghalat hai .. mere hisaab se aap ye keh sakti hai ki mere views aapse nahi mel khaate .. ye sahi hoga .. aur dilchaspi to bani hi rehni chaiye .. waise dilchaspi hoti bhi wahi hai jahan humeN humse aledha koi milta hai ...

aap bhi khyaal rakheN apna .. aapka intezaar rahega..

aapka dost

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#27)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
5th October 2015, 04:25 PM

Quote:
Kunaal Bhai , kaise haiN aap.

Aapka uupar wala reply per ke mehsoos hua ki aap shayri meiN kis ghehrai se doobe hue haIn. Merre chand sawal aap ke liye .....

1. Shayar aur poet meiN kya farak hai ....aur poetry aap ke hisaab se routine haik aur shayri ka level bahut uuncha hai as compared to poetry.

Jee Bohat shukriya saahab aapko meri baatoN ne mutasir kiya ... aapke sawaaloN ki taraf badhte hai ..

Maaz'rat chahuNga.. pehle to maiN samajh nahi paaya sawaal ko phir thoda hansa phir samajhne ki koshish kari to jo samajh aaya us lihaaz se main jawaab de raha huN ..

shayad aap shayrii aur kavita kehne waloN maiN farq samajhna chaah rahe hai .. kyuNki poet aur kavi ya shayar bas language difference hai work profile ek hi hai .. wo hai writing ..

kyuNki language badalti hai to phir tradition badal jaate hai aur uski wajah se writing rules bhi .. rahi baat shayri aur kavita main farq ki .. to saahab bas rules ka hi farq hai .. par shayri ke qaaide kavita se kahiN bhaari hai aur iska ek daaira hai apna .. kavita ka koi daaiira nahi .. aur aise koi khaas rules bhi ab tak saamne nahi aaye hai .. even ab to atukant aur prose kavitayen jyada prachlit ho rahi hai .. waise mere hisaab se shayri aur kavita main farq hote hue bhi main ek baat samajhta huN dono main RHYMING ka hona bohat zaroori hai aur honi hi chaiye .. shayri main to ye first n must hai .. kuch bhi likh dene ko main shayri ya kavita kuch nahi maanta ... is lihaz se shaayar aur kavi main koi farq nahi hai profile of work ek hai qaaide alag alag..

rahi baat level ki to ye hum tey nahi kar sakte .. par mere hisaab se shayri(ghazal goyi) karna kavita kehne se kahiN ziyadah pechida hai .. darasal shayri chote alfaz ke sath kayi baateN kehne ka hunar hai .. kavita ya nazm ek baat ki taraf ishaara karti hai .. jisme perform karna thoda aasaan ho jaata hai .. phir bhi kayi baar aisi nazm ya kavita likhi jaati hai jo hum padhte hi reh jaate haiN.. jaise gulzaar saahab likhte hai .. jaise amrita pritam likhti thiN ..sab kuch bas isi pe aa tika hai .. ki koun apni baat naye tareeke se doosri taraf jaake aur gehre tareeke se keh pata hai .. jaun elia saahab ka ek sher dekheN aur soche .. ki gham ka hai ya khushi ka

din bhala kis tarah guzaaroge
vasl ki shab bhi ab guzar li hai ..

Quote:

2. Kyra shayri ki gehraee tak pahunchna her shayar ke liye possible hai ya nahiN . Aur Vo shora ya students of shayri jo abhi kachche haiN (raw) aur bahut neeche ki paydaan pe haiN ( tukbandi level) per aage berne ka jazba rakhte haiN , unke liye aap kya message aur method prescribe kerna chahenge.

well maiN to khud abhi taalib e ilm huN jaisa maine kaha to main kya kahuN shayri ki gehraai kya hai aur is tak koi pahucnh sakta hai ya nahi .. kyuNki mujhe khud hi ko nahi maloom .. waise dekha jaaye to kuch bhi is duniya main aisa nahi ki hum keh sake ki humne seekh liya poora.. seekhna aisa lafz hai jo kabhi poora nahi ho sakta .. insaan ko dunia main aaye shayad 5000 saal ho gaye itna to itihas hi batata hai .. abhi tak seekh hi raha hai insaan .. shayri bhi mujhe aisi hi kaaii'naat lagti hai jiska koi ant nahi hai .. phir bhi ek aisi stithi aa jaati hai jahan hum lagbhag ye maan lete hai ki ye kam nahi hai .. aur ustaad kaha jaa sakta hai unhe .. aur mere hisaab se koi bhi us muqaam tak pahunch sakta hai ..

baaqi jinke paas jazba hai junooN hai .. unhe kisi tarah ki salaah ki zaroorat nahi hai .. kyuNki aise dost to apna raasta khud bana lete hai .. aur ijaad karna bhi inhi ke bas ka hai.. bas itna ki kuch bhi mushkil samajh ke beech maiN nahi chhodna..

Quote:

3. Shayri aapke liye passion hai ye sirf shaq .

Shayri ab passion nahi rahi na shauq .. lekin utni zaroori ho gayi hai jaise jeene ke liye saanse .. ye milti rehni chaiye ... jaise saanoN ki zaroorat hoti hai par humeN uski parwah nahi hoti .. hum har pal use chahte hai par uske liye tadapte nahi .. aur na mile to tadap hi nahi rehna mushkil ho jata hai .. bas ab shayri aisa hissa hai mere liye .. jise main soch ke uski taraf nahi chalta na junoon hai uske liye .. par use sath leke chalta huN main .. aur kabhi nahi bhoolta ...

Quote:

4. Aaj kal her cheez mein coaching ka zamana aa gaya hai ..be it studies, games , carreer , profession .. Now a days you have life coaches too.
Shayri meiN coaching ka kya sthan hai aur iske ustad kahaN paye jaate haiN??? Kyonki bahut kuch likha hua sdc ki site pe bhi shayri ke baare meiN , jineh padne meiN meiN shayad mahino/ saal lag jayeiN ..but in my view Guru / ustaad se aap jaldi seekh skte haiN against written text/ matter.

Regds
Sanjay Sehgal
Dekhiye ek purani kahawat hai.. GURU BINA GYAAN NAHI .. shayri maiN kya zindagi maiN kahiN bhi guru ya ustaad ka hona zaroori hai.. bhale zaroorat ho na ho .. kyuNki jo experience le chuka hai uski nishaandehi.. safar ko aasaaN kar deti hai .. akhirkaar karna to khaas usi shaqs ko padta hai .. par ustaad k hote hue mushkileN aasaan ho jati hai .. wo baat aur hai ki ustaad ki bhi utni zimmedari hoti hai jitni seekhne waale ki .. aur mera bhi maanna hai ki aap kisi ilm ke saaye'baaN maiN jaldi seekh sakte haiN...

Apka shukria aap aaye.. aur khaak bande ko is laayaq samjha..

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#28)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
5th October 2015, 04:31 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
Kunaal ji....aapne Madhu ke sawaaloN ke jawaab meiN jo shayar aur shayri ke bare meiN detail meiN baate kahi hai...muje bahut sahi lagi, bahut gehra tajurba hai aapko

accha lag rha hai ki dheere dheere ham aapko bahut acchi tarah jaan jayeNge
Bohat Shukriya Sunita jee

mujhe bhi sawaaloN ke jawaab dene maiN maza aa raha hai .. maine kabhi banawti baaten nahi ki .. na yahaN kar raha huN .. maine pehle hi thaan liya tha yahan aane se pehle ki main wo kahunga jo mujhe lagta hai na ki kisi ko khush karne ke liye jawaab rakhuNga ...

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#29)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
5th October 2015, 04:50 PM

Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
mazrat'khwah huN ye na samajhiyega ki main talkh mijaaz ho raha huN ... par maine aapko satisfy karne ke liye jawaab nahi diye .. maine wo kaha hai jo mujhe sahi lagta hai .. main sahi ya ghalat ho sakta huN .. mujhe accha laga ki aapne is baat ko samjha .. aap mujhse satisfy nahi ye ghalat hai .. mere hisaab se aap ye keh sakti hai ki mere views aapse nahi mel khaate .. ye sahi hoga .. aur dilchaspi to bani hi rehni chaiye .. waise dilchaspi hoti bhi wahi hai jahan humeN humse aledha koi milta hai ...

aap bhi khyaal rakheN apna .. aapka intezaar rahega..

aapka dost

Kunaal
Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
Bohat Shukriya Sunita jee

mujhe bhi sawaaloN ke jawaab dene maiN maza aa raha hai .. maine kabhi banawti baaten nahi ki .. na yahaN kar raha huN .. maine pehle hi thaan liya tha yahan aane se pehle ki main wo kahunga jo mujhe lagta hai na ki kisi ko khush karne ke liye jawaab rakhuNga ...
Kunaal sahab...aapke dono reply me aapne ek hee baat kahi ki main kisi ko khush karne ya satisfy karne ke liye jawaab nahi de raha..to janaab ham bhi yahaan sach aur dil se kahi huyi baate hee sunna chahte hain....aur isi baat se hame khushi bhi milti hai.....

Aur mere kahne ka aapne matlab samajh hee liya tabhi apne tareeke se mujhe samjhaya ki us baat ko kaise kahna chahiye mujhe.....aap to jante hee hain ki sabka baat kahne ka apna tareeka hota hai...zaroori hai ki baat samne wale ko convey ho sake...
Khair mujhe correct karne ka shukriya...
Aur intzaar karne ka shukriya...aage bhi aati rahoongi...
Khayaal rakhein...

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#30)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
5th October 2015, 05:12 PM

Quote:
Kunaal ji aapse aik request hai ki aik mahine ke liye profile meiN apni photo lagayeN taaki aapse baat karte hue yeh ehsaas bana rhe ki aap hamare saamne hi baithe hai

aapne apne bachpan ki 1 Rs. wali baat bataye ham us se poora sehmat hai ki maa-baap ka pyar kisi bhi roop meiN miley bahut keemti hota hai

mere kuch aur sawaal haiN aapse

Pic laga dee hai aapke kehne pe.. isse aapko pakka ehsaas hoga main saamne huN... aur sahi kaha maa baap ka pyar kya maa baap ki to gaali bhi bohat keemti hai ..

chaliya aapke sawaaloN ki aur chalte hai .. bohat kam hai waise bhi

Quote:

1. Kunaal ji, aap SDC ke kaun se members ko personely miley haiN, unke bare meiN thoda thoda hame jaroor batayeN, ki wo kis tarah ke ensaan lge aapko ?

MaiN to apne time main sabse hi mila huN .. apne time ke kya is time se bhi kayiyoN se mila huN .. kis kis ke baareN maiN batauN .. bas itna hi kehna chahuNga ki sabhi bohat pyare log hai .. meri duniya main to shayri aur shayri ke logoN ke alawa kuch nahi hai .. aur SDC se jinhe bhi maiN jaanta huN .. isme mujhe sabse kul mila ke sab mila hai .. pyar dosti gussa nafrat shohrat .. sab kuch ... mujhe sab azeez hai hai sab pyare hai .. aur mujhe is baat ki behad khushi hai afterall main bhi end of the day sabko pyara huN ...

Quote:
2. agar aapko mokka miley ki aap shayri.com ke kinhi 5 members ko mil sakte hai jinse aap aaj tak nahi miley hai, to aapki list meiN wo kaun se 5 member honge?

Sabse pehle Zikra karna chahuNga do logoN ka .. pehle SANJUU.. sanjuu bhai jab maine site join ki thi .. tabhi sanjuu kaam ke silsile main watan se baahir gaya.. MAUSAM meri dost hua karti thi wo kaha karti thi.. ki tum sanju ke jaise ho ... bada mann tha sanjuu bhai se milne ka .. lekin aisa na ho saka.. ek sadak haadse maiN sanjuu humare beech nahi raha .. bohat dukh hai aaj bhi is baat ka ..

doosre ek mere bhai hua karte the AMIT7600 bohat dil ka rishta tha unse bhi bohat qariibiyat thi unse .. 2 saal unse is mulk main na hone ki wajah se baat na kar saka.. laut ke aaya aur ek mehfil ke dauran unse baat karne k liye phone lagay to jaan pada ki wo bhi ab is dunia main nahi rahe ..

mujhe dukh hai in donoN se maiN ab kabhi nahi mil paunga par ye tees mujhe bohat pareshan karti hai..

Teesri MAUSAM aur SHIMUL .. ye dono meri aisi sathi rahi hai ek waqt pe jab koi nahi hua karta tha .. par ye hua karti thi .. ek baar apni zindagi rehte inse milna chahta huN .. aur inhe batana chahta hun ki yo dono mere liye bohat special hai..

DEVIKA se milne ka bohat mann hai ... meri bohat acchi dost hai .. mera bohat sath diya hai usne .. meri mazboori ki main uske waqt maiN uske sath khada nahi ho saka.. aur wo apne aap main ek kahaani hai .. main dekhna chahta huN kya aise log wakai maiN duniya main hai .. jo ek misaal hai .. par zindagi abhi baaki aur umeed bhi..

ek baar dhaval bhai se bhi milne ka mann hai bohat .. koi reason nahi hai phir bhi bas milna hai ...

aur aapka naam is liye nahi liya kyuNki main jaanta huN main jaldi hi aapse miluNga

Quote:
3. agar shayri aapka shunk na hota to kya shunk hota...jis se aap shayri ki tarah dil se judey hote ?
ye sawaal bemaana hai waise .. humen wakai kabhi pata nahi hota ki hum ye na hote to kya hote .. aur shayri mera iklauta shauk nahi hai .. par haan ye avval shauk hai .. phir bhi agar main shayri nahi kar raha hota huN to kuch n kuch sekh raha hota huN .. aur main shayad yahi hota .. ek student ..

Quote:

4. apni pasand ki koi 5 gazloN ke link hame yahan dijiye...taaki agar ham unko aaj tak nahi pad sakeN hai to ab jaroor padeN.

ye meri ghazloN ki baat ho rahi hai ya kisi aur ki ...

Quote:

5. jab kabhi aap khud ko kahin kisi baat par kamzor mehsoos karte hai to kis tarah khud ka housla banate hai phir ?

MaiN bas yahi sochta huN .. maiN nahi karuNga to aur koun karega ... aur bas phir tayaar ho jaata huN

baaki jawaaboN ke sath phir aauNga ...

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#31)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
5th October 2015, 05:41 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
Kunaal sahab...aapke dono reply me aapne ek hee baat kahi ki main kisi ko khush karne ya satisfy karne ke liye jawaab nahi de raha..to janaab ham bhi yahaan sach aur dil se kahi huyi baate hee sunna chahte hain....aur isi baat se hame khushi bhi milti hai.....

Aur mere kahne ka aapne matlab samajh hee liya tabhi apne tareeke se mujhe samjhaya ki us baat ko kaise kahna chahiye mujhe.....aap to jante hee hain ki sabka baat kahne ka apna tareeka hota hai...zaroori hai ki baat samne wale ko convey ho sake...
Khair mujhe correct karne ka shukriya...
Aur intzaar karne ka shukriya...aage bhi aati rahoongi...
Khayaal rakhein...

beshaq baateN ek hi aur ishaara karti hai par do jagah baat kehne ka alag mudd'a aapko correct karna chahta tha .. aur unhe bas apne dil ka bataana chahta tha .. main pehle hi maazrat rakhi thi .. ki main koi talh mijaaz nahi ho raha .. par mujhe lagta hai .. kuch gustaakhi ho gayi jo sahi nahi lagi aapko .. phir se kehta huN kuch ghalat kaha ho to maaz'rat khwah hun

khyaal rakhiye apna ..

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#32)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
5th October 2015, 06:27 PM

aage badhte hain kunaal ji....
Aapne kaha ki shayri ke ilawa aur bhi shauk hain aapke.

.hame bhi bataiye vo kya kya hain aur unhe samay kaise de pate hain aap.ya nhi de pate?

Apne bare kuch bataiye jaise...

Fvrts...??
Movie

Songs

Place for holidays

Koi aisa ya aisii Cheez jo kabhi bhi apka moid theek kar sakti hai?.

Apne doston me aap kon si khaas baat dekhna pasand karte hain?..ya yun kahoon ki kya baat hai jo kisi ko dost samajhne ke liye kafi hai aapki nazar me?..

Muhabbat ki kya ahmiyat hai aapki nazar me..kya wakai iske bagair zindgi ko bemani samajhte hain aap?

Abhi itne hee....
Fir aati hoon...
Tkcr

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#33)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
5th October 2015, 07:12 PM

Kunaal bohut acha laga ki tumne jawaab to diya.

Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
Bhabhi ji namaste ..

mere paas kehne ke liye waise bohat kuch hai .. lekin aapke sawaal ka jawaab to aapke hi sawaal main dikh jayega aapko .. gaur kijiye apni baat pe ..

kya is baat ka jawaab hai aapke paas ki 9 saal tak aap kahan the .. kyuN 9 saal tak aapne sudh tak nahi li uski jo aapse itni baat karta tha ..

kya meri aapke sath koi takraar hui ... kya aapse koi matbhed the mere .. ya kuch aur .. in sab ka jawaab hai .. NAHI...! to phir itne saaloN tak aapko khyaal tak kyuN nahi aaya .. chalo maan leta huN maiN bura huN maine nahi dekha kisi ko palat ke .. par aapne kyuN nahi ek baar bhi nahi koshish ki .. agar man main itna apna pan tha to aaj tak kahan the aap .. ya maaro goli .. ab bhi koun se aap mere se itni baat karte ho .. aise main aapko kya pata main ab kaisa reh gaya huN ya main ab wo nahi raha jo main tha ... ye self presumption se kyuN itna kuch soch liya

tum bhi jaante ho ki meri tumse kabhi koi ladaayi nahi hui. aur ye bhi jaante ho ki shaadi ke just baad main mumbai aa gayi. mera number bhi badal gaya aur tumhara number bhi ghum gaya. uss waqt facebook to tha nahi ki kisi ko yaad karo aur search mein naam type karo to mil jaaye.

aisa nahi hai ki ye aapne intentionally kiya .. ye main bhi jaanta huN .. ek daur aaya tha bhabhi .. sab jaante hai .. mujhe ujaad ke rakh diya us waqt ne maiN bohat toota tha .. aur mujhe bohat dukh ke sath kehna pad raha hai .. isi SDC ke bohat mere apne the jo .. unhone hi mujhe barbaad karne main poora hath rakha .. khair main ab kisi k naam nahi lena chahuNga .. wo daur beet chuka hai .. aapki aur aur mast bhai ki baat karuN to aap donoN ki zindagi bhi bohat waqt baad karwat badli thi .. aapko usme set hona tha .. aapke paas shayad kisi aur ke baare main sochne ka shayad waqt nahi tha.. aur main samajhta huN ki us waqt main aapko apne future ko sochna tha .. lazim tha usme apne aap ko aage leke jaana ..
aur SDC se bhi hum log kat gaye 2006 ke baad seedha 2014 mein shakl dekhi SDC ki. aur sach baat to ye hai ki mujhe ye lagaa ki tumhaari ab tak shaadi ho chuki hogi aur tum bhi apni duniya mein busy hoge agar insaan ko pata ho ki koi dukhi hai to shayad uska saath dene ke liye insaan kahi se number arrange karne ki koshish bhi karta hai.

rahi meri baat maiN kabhi kahiN kisi zindagi ka important hissa tha hi nahi .. aap logoN ko bhi shayad main kabhi nahi dikha ... ya yuN kahiye ki sochne ka waqt hi nahi mila aapko bhi ... aise main ye doori aana laazmi hai bhabhi jee.. bohat toota tha main us daur maiN .. mera pyar meri zindagi thi roopali par kisi ko farq nahi pada ki maine kya kho diya .. aisa nahi meri baat mast bhai se nahi hui is baare main unse bhi hui thi .. par unka sath bhi bas naam bhar ka tha .. darasal kisi ko laga hi nahi ki mujhe bhi dard ho sakta hai ... uske baad bhi meri zindagi main kuch sahi nahi raha .. zindagi se utha patak meri chalti hi rahi .. sab kuch hi bigadta chala gaya .. khair wo sab ab beet chuka hai ..

Jahan tak mujhe pataa hai ki Anu ko bhi aapke aur rupali ke rishta tootne ki baat tabhi pata chali jab hum dobara SDC par aaye aur tumse phir mile. hum dono khaaskar main jaanti thi ki tum uske liye bohut serious the. tumhaari har baat mein uski baat hoti thi so sun kar bohut bura bhi laga magar humne gade murde ukhaadna sahi nahi samjha kyunki usse sirf tumhe hi dard hota. aur phir itne saalo baad shayad humara iss topic par interest lena tumhe akhar sakta tha. iss liye tumhe dukh na pohunche humne iss topic ko nahi cheda. (ek insaan pareshaan ho aur dusra log kya hua kya hua kar ke pareshan kar dete hain plus us baat ko bhi bohut saal beet chuke the)

rahi baat mere pehle jaise na rehne ki .. to bhabhi jee pehle .. pehle ki tarah apna kar dekho .. bajaai ye sochne ke main waisa nahi raha .. ye socho ki ab ye gap hai to kyuN hai .. mere aas paas aaiye to sahi .. mujhe dekhiye to sahi .. maiN wahi huN .. jaisa tha .. wahi jiske dil main hazaaroN emotion baste the .. aaj bhi ehsaasoN ke liye bohat kaccha huN maiN .. aaj bhi apno ke sath ke liye utna hi bechain huN jitna pehle hua karta tha.. aur to aur meri to kad kaathi kaaya .. kuch bhi nahi badla .. log aaj bhi 23 24 saal ka hi kehte hai ..
23-24 saal ka lol...........wo to hai.
maine koshish kari tumse baat karne ki aur us din bhi maine casually kaha tha ki jokes par tag mat karo tumhe laga ki main bura maan gayi hoon ya tumhara aisa karna mujhe bura laga. darasal main sab ko hi kehti huun ki unless it is related to me don't tag me. aur tum ek dum bhadak gaye sach kahoon to main dar gayi thi us din ke baad aur usi din mujhe laga ki tum wo kunaal nahi ho jise main din mein kaii baar bol deti thi ki office mein hu baat nahi kar sakti aur wo phir bhi bina bura maane baad mein call kar leta tha. Mujhe pata hai ki insaan jab bohut gussa kare to samjho uski ladaayi aapse nahi khud se hai. bohut mann chaha kisi din tumse baat karoon magar kuch baatein phone par ya whatsapp par nahi hoti unke liye bande ka saamne hona zaroori hota hai, warna arth ka anarth hote der nahi lagti.

lekin mera ye sab kehna bemaana hai kyuNki mere kehne se sab saccha ya jhootha nahi ho jayega.. mujhe wahi jaan sakta hai jo mere kareeb hai .. jinka sath mere sath hai aaj bhi ..

bohat ziyadah keh gaya huN .. ho sakta hai main ghalat bhi huN .. kuch bura lag gaya ho to muafi bhi maagta huN .. bhaabhi to maa ke samaan hoti hai .. muaaf zaroor kar degi maiN jaanta huN ..

main jo bata sakti thi bataa diya. tumhaari kisi bhi baat ka bilkul bura nahi lagaa mujhe. to muaafi kis baat ki? tum hoge Kunal ji sabke liye magar main to tumhe usi 18-19 saal ke bache ki tarah hi yaad karti hoon jise maine kaha tha ki tumhaari shadi ho rahi hai bal vivaah kar rahe ho kya aur tumne kaha tha nahi bhabhi main 23 saal ka hoon. kitna bura lagta tha na tab tumhe jab tumhe koi chota kehta tha..........chidd jaate the

Apna khyaal rakho. aur zyada mat socha karo ki tum kisi ki zindagi mein important nahi ho and blah.......blah...........

Aur jaldi se achi si ladki dhoondho aur shadi mein bula lena. ok? ( uske liye tum duniya mein sabse important hoge aur shayad tumhaara gussa bhi kam ho jaaye... Ab ye mat kehna ki main to gussa hi nahi karta. LOL)

Tumhari bhabhi
Sarika

Last edited by masti; 5th October 2015 at 07:24 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#34)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
6th October 2015, 09:41 AM

Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
Pic laga dee hai aapke kehne pe.. isse aapko pakka ehsaas hoga main saamne huN... aur sahi kaha maa baap ka pyar kya maa baap ki to gaali bhi bohat keemti hai ..

Kunaal ji aapne pic to lga di...par hame aapka chehra nahi dikh rha...please aisi photo lagayeN jis meiN aapka chehra poora dikhta ho

Sabse pehle Zikra karna chahuNga do logoN ka .. pehle SANJUU.. sanjuu bhai jab maine site join ki thi .. tabhi sanjuu kaam ke silsile main watan se baahir gaya.. MAUSAM meri dost hua karti thi wo kaha karti thi.. ki tum sanju ke jaise ho ... bada mann tha sanjuu bhai se milne ka .. lekin aisa na ho saka.. ek sadak haadse maiN sanjuu humare beech nahi raha .. bohat dukh hai aaj bhi is baat ka ..

Sanjoo ji ke bare meiN maine Mausam se suna hai...bahut dukh hota hai jab chotti umr meiN hi bhagwaan kisi ko apne paas bula leta hai.

doosre ek mere bhai hua karte the AMIT7600 bohat dil ka rishta tha unse bhi bohat qariibiyat thi unse .. 2 saal unse is mulk main na hone ki wajah se baat na kar saka.. laut ke aaya aur ek mehfil ke dauran unse baat karne k liye phone lagay to jaan pada ki wo bhi ab is dunia main nahi rahe ..

Amit7600....bahut hairaani hue dukh hua enke bare meiN sunkar.

mujhe dukh hai in donoN se maiN ab kabhi nahi mil paunga par ye tees mujhe bohat pareshan karti hai..

Teesri MAUSAM aur SHIMUL .. ye dono meri aisi sathi rahi hai ek waqt pe jab koi nahi hua karta tha .. par ye hua karti thi .. ek baar apni zindagi rehte inse milna chahta huN .. aur inhe batana chahta hun ki yo dono mere liye bohat special hai..

hmmmm....Mausam to meri bhi bahut khaas aur acchi dost hai aur Shimul ji se kabhi baat nahi hue...par lagta hai dil ki bahut neik haiN.

DEVIKA se milne ka bohat mann hai ... meri bohat acchi dost hai .. mera bohat sath diya hai usne .. meri mazboori ki main uske waqt maiN uske sath khada nahi ho saka.. aur wo apne aap main ek kahaani hai .. main dekhna chahta huN kya aise log wakai maiN duniya main hai .. jo ek misaal hai .. par zindagi abhi baaki aur umeed bhi..

umeed par dunia kayam hai Kunaal ji

ek baar dhaval bhai se bhi milne ka mann hai bohat .. koi reason nahi hai phir bhi bas milna hai ...

Dhaval bahuttttt accha ladka hai

aur aapka naam is liye nahi liya kyuNki main jaanta huN main jaldi hi aapse miluNga

areee wahhhh.....kya baat hai umeed karti hu jaldi mulakaat hogi aapse

ye meri ghazloN ki baat ho rahi hai ya kisi aur ki ...

sorry, main apna sawaal acchi taarah nahi keh paaye, ji aapki hi gazloN ki baat ho rhi hai...aapki likhi gazleN jo aapko bahutttttt aziz hai

baaki jawaaboN ke sath phir aauNga ...
ji, Intejaar rhega aapke baaki jawaaboN ka....aap jis tarah sabhi sawaaloN ke jawaab de rhe hai, bahut accha lag rha hai...jitna aapko aaj tak jaanti thi, shayad wo kuch bhi nahi tha, asal meiN ab jaan.na shuru kiya hai aapko
maine jayada sawaal aik saath es liye kiye kyuki maiN 2-3 din meiN USA ja rhi hu aur month end meiN vapis aaungi...wahan jakar maine aapke reply to padti rhuNgi par shayad etna waqt na miley ki sawaal kar sakun...esi liye
muje yakeen hai yeh guftagu aapke liye bhi aur hamare liye bhi yaadgaar rhega.
beech beech meiN thoda thoda aati rhuNgi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Last edited by sunita thakur; 6th October 2015 at 09:50 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#35)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
6th October 2015, 09:54 AM

Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
Bohat Shukriya Sunita jee

mujhe bhi sawaaloN ke jawaab dene maiN maza aa raha hai .. maine kabhi banawti baaten nahi ki .. na yahaN kar raha huN .. maine pehle hi thaan liya tha yahan aane se pehle ki main wo kahunga jo mujhe lagta hai na ki kisi ko khush karne ke liye jawaab rakhuNga ...

bahut acchi aur saachi baat kahi aapne...ham kabhi bhi sabhi ko khush nahi rakh sakte so wahi karo wahi kaho jo apne dil ko sahi aur sach lge

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#36)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
6th October 2015, 10:05 AM

Kunaal ji, aapki aur Sarika ki saari baat-cheet padi maine, muje es baat ki behad khushi ho rhi hai ki SDC ka yeh guftagu wala silsilla dosto ke giley-shikwe door karke unko aur kareeb la rha hai...aur haa Roopli ji ka naam beech meiN aaya...muje etna maloom tha ki wo SDC ki purani member hai...par ab jo samaj paaye maiN afsos hua jaan kar. yeh zindgi hai Kunaal ji, waqt accha ho ya bura ensaan ko chalna hi padta hai..ruk jao to zindgi khatam..chalne ka naam hi jeevan hai...ham duaa karte hai aapki zindgi meiN bahut acchi aur sulji hue ladki aaye jo aapko bahut pyar kare, aapko dil se samjay ....god bless u

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#37)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
6th October 2015, 03:13 PM

Quote:
6. dil ki baat maan.ni chahiye ya dimaag ki ?

Dil ya dimaag sab apna hai .. hum bas humesha har baat ko do hissoN main baaNt dete haiN.. positive ya negetive.. mostly dimag ko negetive aur dil ko positive samajhte hai ... lekin maante hai dimaag ghalat nahi ho sakta rukna chaiye .. kayi baar ulat bhi hota hai .. khair main ye sab nahi sochta .. main is dunia main rukne ke liye nahi aaya .. main ek baar sochta huN decision leta huN aur aage badh jata huN .. ya rukta huN .. agar aage badh gaya to phir ye kabhi nahi sochta ab kya hoga .. aur kabhi regret nahi karta ki kya mila .. kyuNki jo bhi mile ya ho humne uska chunaav khud kiya tha .. aur is bat se hataash hoke bhi nahi baithta .. phir se aage badhta huN .. vishwash karta huN logoN pe .. apnaata huN logoN ko .. kyuNki yahi badi cheez hai hum kisi ko mauka denge koi humeN dega .. phir humeN kya milta hai ye sab to upar wale ke hath hai .. sab kuch humesha nahi rehta .. na hum rahenge na baateN .. na mudde ..!

Quote:

7. aapne en 11 saaloN meiN shayri.com meiN kya badlaav dekhe hai ?

mere hisaab se shayri.com main layout ki jagah kuch nahi badla hai .. lekin log badal gaye haiN.. logoN ke jazbe badal gaye hai .. mujhe kehte hue bura lag raha hai par ye sach hai aur har puraana member jaanta hai .. ki jitna pyar aur apnapan pehle yahaN hua karta tha wo ab nahi raha hai .. log logoN ko bhool gaye haiN.. pehle dil dhadakte the ek doosre ke naam se .. SDC ke naam se.. din guzr jaata tha pata nahi chalta tha.. aap aise hi dekh leN bhale site pe user bohat hai .. par site ki movement ghati hai bohat .. aisa nahi hona chaiye ..

Quote:

8. aur wo badlaav aapko sahi lge ya galat ?

iN
iska jawaab ek sath hi de diya hai maine peeche ..

Quote:

9. agar aapko SDC meiN koi badlaav laane ki baat kahi jaaye to aap kya badlaav lana chaheNge ?

takneeki taur pe to main koi suggestion nahi dena chaunga wo site ke hukmraan mujhse behtar jaante hai .. Zaati taur pe ye zaroor kehna chaahuNga ki humeN apne diloN ke andar jhaankna hoga .. aur sochna hoga .. kya hua ki sab kuch aisa dheema ho gaya .. kyuN hum unse door ho gaye jinke liye tadapte the .. aur shayad agar jawaab mile to phir se qareeb aane ki koshish karni chaiye .. SDC kuch aur nahi .. ye is liye nahi bani ki bas aao aur keh ke chale jao .. shayad bani bhi ho .. par phir bhi yahan ke logoN ne ise apna hissa maana tha .. aur is hisse ko phir se jivant karne ke liye .. phir se apne andar jhankna hoga...

Quote:

10. agar aapko aik din ke liye super-power mil jaaye aur aap apni icsha ke mutabik 3 bade kaam kar sakte hai, to aap wo kaun se 3 kaam karna chaheNge ?
mujhe 3 nahi bas ek kaam karna hai .. mujhe aisi power mil gayi to main sab logoN ke dimaag change kar dounga .. bas itna ki log ek doosre se pyar kareN .. aur unki majboori samjhe... ek doosre ki madad kareN.. aur koi kisi ka faida na uthaye .. mujhe yaqiin hai iske baad meri hi nahi har kisi ki 3 kya 300 wish poori ho jayengi ..jiske liye kisi super power ki zaroorat nahi hogi...

Quote:

11. agar aapko zindgi ka koi aik hissa phir se jeene ka mokka miley to aap kaun sa hissa dubara jeena chaheNge ?

waise meri zindagi maiN aisa koi hissa nahi .. phir bhi agar chunna pade to 1997 to 2008

Quote:

12. aapke lafzoN meiN shayri.com kya hai...please chand lafzoN meiN bayaan kijiye

filhaal bas etna hi baaki baad meiN
is akhiri sawaal ka jawaab bhi shayad maiN de chuka huN .. upar .. shukriya aap aayiN .. aapka phir intezaar rahega..

khaaksaar

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#38)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
6th October 2015, 03:35 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
aage badhte hain kunaal ji....
Aapne kaha ki shayri ke ilawa aur bhi shauk hain aapke.

.hame bhi bataiye vo kya kya hain aur unhe samay kaise de pate hain aap.ya nhi de pate?

Jee ye acchi soch hai .. aage badh jana...

jee mere maine kaha mere shauk kayi haiN .. par maiN unhe bhi samay nahi de paa raha .. iska matlab ye katayi nahi ki maiN bohat buzy huN ya kuch .. baki baat ye hai ki mere haalaat nahi hai aise ki maiN apne shauk poore kar sakuN ...

Quote:
Apne bare kuch bataiye jaise...

Fvrts...??
Movie

Songs

Place for holidays

Koi aisa ya aisii Cheez jo kabhi bhi apka moid theek kar sakti hai?.

Tkcr
movie koi bhi bas thodi serious aur sensible ho .. genre chahe koi bhi ho .. jaise mujhe Leonardo DiCaprio ki sabhi movies pasand hai .. aur INCEPTION meri fav movie hai ..

song to koi bhi .. Mohd rafi to Honey singh..

For holidays india maiN to kahiN bhi chale jao .. i think holidays ke liye to sab bhadiya hai .. but i want to go to las vegas once in my life..

shayri.. n songs .. kayi baar khmoshi..

Quote:

Apne doston me aap kon si khaas baat dekhna pasand karte hain?..ya yun kahoon ki kya baat hai jo kisi ko dost samajhne ke liye kafi hai aapki nazar me?..

Tkcr
Ye accha sawaal hai .. maiN apne dostoN maiN koi cheez expect nahi karta .. kyuNki mujhe lagta hai koi jaisa hai use waise hi apna lo .. phir aise main sawaal aata hai to kya har kisi ko apna bana liya jaye .. waise isme koi burai nahi phir bhi ye dunia humeN iski ijazat nahi deti .. lekin ek baat hai ... kayi baar hum kisi ko dekhte hai .. humeN use dekhte hi gussa aane lagta hai .. man karta hai usme ek rakh ke do .. bhale usse koi raabta na ho .. usne humara kuch na bigada ho .. aur wahiN kabhi kabhi iske ulat hota hai .. kisi ko dekhte hi humeN pyar aata hai.. bhale wo kaisa ho .. bhale wo bura ho.. bas main inhi main se chun leta huN .. jo mujhe accha lage mere dil ko bha jaye .. main use apna dost bana leta huN .. bhale wo mere sath kaisa ho .. mera maanna hai humeN bas apna 100 percent dena chaiye ...insaan pyar ka bhooka hota hai.. patthar bhi pighal jaate hai isse.. main wahi karta huN bas.. phir jo anjaam ho uski parwah kya karna ..

Quote:

Muhabbat ki kya ahmiyat hai aapki nazar me..kya wakai iske bagair zindgi ko bemani samajhte hain aap?
waise iska jawaab ek tarah se main de chuka huN upar .. muhabbat hi zindagi hai .. iski koi shaql nahi hai .. bas isko sahi tareeqe se samajhne ki zaroorat hai .. aur bas humeN apna 100% dena chaiye .. to ye na hoke bhi zindagi maiN rahegi .. aur agar hum bas give n take main pahunch gaye to ye hoke bhi nahi rahegi .. sath hi zindagi bhi nahi rehne degi..

Shukriya aap phir se aayiN.. khushi hui aapko dekh ke dobara..

Apka apna

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#39)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
6th October 2015, 03:51 PM

Quote:
Originally Posted by masti View Post
[SIZE="3"]Kunaal bohut acha laga ki tumne jawaab to diya.

Quote:
23-24 saal ka lol...........wo to hai.
maine koshish kari tumse baat karne ki aur us din bhi maine casually kaha tha ki jokes par tag mat karo tumhe laga ki main bura maan gayi hoon ya tumhara aisa karna mujhe bura laga. darasal main sab ko hi kehti huun ki unless it is related to me don't tag me. aur tum ek dum bhadak gaye sach kahoon to main dar gayi thi us din ke baad aur usi din mujhe laga ki tum wo kunaal nahi ho jise main din mein kaii baar bol deti thi ki office mein hu baat nahi kar sakti aur wo phir bhi bina bura maane baad mein call kar leta tha. Mujhe pata hai ki insaan jab bohut gussa kare to samjho uski ladaayi aapse nahi khud se hai. bohut mann chaha kisi din tumse baat karoon magar kuch baatein phone par ya whatsapp par nahi hoti unke liye bande ka saamne hona zaroori hota hai, warna arth ka anarth hote der nahi lagti.
baaki sab baateN maiN khud apni taraf se hi samajh ke likh chuka tha bhabhi ji to aapko clarification ki zaroorat hi nahi thi ,,.. aur ye bhi maan lena chaiye ki main samajhdaar huN baaki kuch ek baat hai jo maiN samajhta huN jispe baat ki jaa sakti hai yahaN .. arre behas nahi hai dar mat jaana .. haha.. us din jab maine joke pe tag kiya ..wais to mujhe wo baat yaad bhi nahi rahi thi .. kyuNki maine shayad aisa kuch nahi kaha tha jise aap kahi ki main bhadak gaya .. balqi mujhe ulta laga ki maine shayad ghalat kiya .. kyuNki waise main kisi ko tag nahi karta .. bohat hi kam karta huN .. us din shayad masti masti maiN hi aisa kar diya .. aur maze ki baat usi din aapka message aa gaya delete me from there .. n dont tag me n anu aisi kisi jagah pe .. mujhe laga yaar ghalti ho gayi .. isi liye maine usi waqt us baat ko maan liya aur hata diya tag ... lekin maine aisa kuch nahi jiske liye aapko dar lag jaye .. but baat shayad wahi hai .. likhe hue main expression nahi hote .. aur padhne waala apne tareeke se expression laga ke padh leta hai .. aur arth ka anarth ho jaata hai .. shayad aisa hi hua hai yahan bhi .. koi nahi saamne reh ke jaldi baat karenge..

Quote:
main jo bata sakti thi bataa diya. tumhaari kisi bhi baat ka bilkul bura nahi lagaa mujhe. to muaafi kis baat ki? tum hoge Kunal ji sabke liye magar main to tumhe usi 18-19 saal ke bache ki tarah hi yaad karti hoon jise maine kaha tha ki tumhaari shadi ho rahi hai bal vivaah kar rahe ho kya aur tumne kaha tha nahi bhabhi main 23 saal ka hoon. kitna bura lagta tha na tab tumhe jab tumhe koi chota kehta tha..........chidd jaate the

Apna khyaal rakho. aur zyada mat socha karo ki tum kisi ki zindagi mein important nahi ho and blah.......blah...........

Aur jaldi se achi si ladki dhoondho aur shadi mein bula lena. ok? ( uske liye tum duniya mein sabse important hoge aur shayad tumhaara gussa bhi kam ho jaaye... Ab ye mat kehna ki main to gussa hi nahi karta. LOL)

Tumhari bhabhi
Sarika
Bataane ki zaroorat hi nahi thi jaisa maine kaha ki mujhe pata hai .. maiN samajhdaar huN .. aur wakai tab bura lagta tha koi chota kehta tha .. aaj ajeeb lagta hai .. ki ab bhi 7 saal peeche chal raha hun ,.. khair maine kabhi apne rishte nahi badle na ehsaas .. so meri taraf se bhi sab wahi ka wahi hai .. mast bhi jaante hai ye baat .. meri unse jab bhi baat hui mujhe umeed hai unhe humesha mera jhukav unki taraf mehsoos hua hoga ...

aur kar de na phir baat wahi ... shadi main bula lena .. arre apne logoN ko bulaya jata hai kya .. aur shayad jaldi aisa mauka aaye.. so be ready.. aur main wakai gussa nahi karta ...

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#40)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
6th October 2015, 03:54 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
ji, Intejaar rhega aapke baaki jawaaboN ka....aap jis tarah sabhi sawaaloN ke jawaab de rhe hai, bahut accha lag rha hai...jitna aapko aaj tak jaanti thi, shayad wo kuch bhi nahi tha, asal meiN ab jaan.na shuru kiya hai aapko
maine jayada sawaal aik saath es liye kiye kyuki maiN 2-3 din meiN USA ja rhi hu aur month end meiN vapis aaungi...wahan jakar maine aapke reply to padti rhuNgi par shayad etna waqt na miley ki sawaal kar sakun...esi liye
muje yakeen hai yeh guftagu aapke liye bhi aur hamare liye bhi yaadgaar rhega.
beech beech meiN thoda thoda aati rhuNgi
Oh door ke musafir
humko bhi sath le le re
hum reh gaye akele re
hum reh gaye akele ..

jawaab to de diye par ye kya humari baari main hi khisakne lagi aap .. ye to sahi nahi hai bhai .. khair aapki journey khoobsoorat ho aur aap jaldi wapas aayeN salamti se ... dua raheGi .. aur aapka intezaar rahega..

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com