$*Yeh Karen Aur Woh Karen - CHITRA SINGH*$ -
9th December 2005, 03:39 AM
Ek bahaut badhiya ghazal aap sabhi ke beech laayi hoon...ise chitra ji ne apni khoobsurat awaaz me gaya hai aur iske lekhak hain nazir banarasi.....umeed hai aap sabhi ko pasnad ayegi.
------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Yeh karen aur woh karen, aisa karen vaisa karen,
Zindagi do din ki hai, do din mein hum kya kya karen !
Jee mein aaata hai ki dein parday say pardey ka jawaab,
Hum say woh parda karen, duniya say hum parda karen !
Sun raha hoon kuch lutayray aa gayey hain shehar mein,
Aaap jaldi bandh apnay ghar ka darwaza karen !
Is puraani be-wafa duniya ka rona kab talak,
Aaiyey mil-jul kay ik duniya nayee paida karen !

"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."
Originally posted by farhana Ek bahaut badhiya ghazal aap sabhi ke beech laayi hoon...ise chitra ji ne apni khoobsurat awaaz me gaya hai aur iske lekhak hain nazir banarasi.....umeed hai aap sabhi ko pasnad ayegi.