Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
*Youn Lagta Hain Aaj Ke Jaise Detaa Ho Aawaaz Koyi...N.M :)**
Old
  (#41)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
*Youn Lagta Hain Aaj Ke Jaise Detaa Ho Aawaaz Koyi...N.M :)** - 22nd September 2006, 05:55 PM

Kaun Kehta Hain-Kaun Kehta Hain
Kaun Kehta Hain Mohabbat Ki Zubaan Hoti Hain
Ye Haqeeqat To Nigaahon Se Bayaan Hoti Hain
Kaun Kehta Hain Mohabbat Ki Zubaan Hoti Hain

Wo Na Aaye To Sataati Hain Khalish Sii Dil Ko
Wo Jo Aaye To Khalish Aur Jawaan Hoti Hain
Ye Haqeeqat To Nigaahon Se Bayaan Hoti Hain
Kaun Kehta Hain Mohabbat Ki Zubaan Hoti Hain

Ruhu Ko Shaad Kare Dil Ko Jo Pour Nour Kare
Harr Nazaare Mein Ye Tanveer Kahaan Hoti Hain
Ye Haqeeqat To Nigaahon Se Bayaan Hoti Hain
Kaun Kehta Hain Mohabbat Ki Zubaan Hoti Hain

Zabt-e-Sailaab-e-Mohabbat Ko Kahaan Tak Roke
Dil Mein Jo Baat Ho Aankhon Se Aayaan Hoti Hain
Ye Haqeeqat To Nigaahon Se Bayaan Hoti Hain
Kaun Kehta Hain Mohabbat Ki Zubaan Hoti Hain

Zindegi Ek Sulaagtee Sii Cheetaa Hain “Sahir”
Shola Banti Hain Na Ye Boujh Ke Dhouyaan Hoti Hain
Ye Haqeeqat To Nigaahon Se Bayaan Hoti Hain
Kaun Kehta Hain Mohabbat Ki Zubaan Hoti Hain



*Singer: Jagjit Jee & Chitra Jee**
*Writer: Sahir Hoshiarpuri Jee**


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Dheron Duwaaen...Aameen Soumma Aameen**
Old
  (#42)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Post Dheron Duwaaen...Aameen Soumma Aameen** - 29th December 2006, 04:57 AM

Sab Kahaan Kuch Laalaa-o-Gul Mein Numaayaan Ho Gayi
Khaak Mein Kya Souraatein Hongi Ke Pinhaan Ho Gayi

Ranj Se Khougar Houa Insaan To Mit Jaata Hain Ranj
Mushkile Mujh Par Padi Itnee Ke Aasaan Ho Gayi

Younhi Gar Rotaa Rahaa "Galib" To Aye Ahl-e-Jaahaan
Dekhnaa Inh Bastion Ko Tum Ke Veeraan Ho Gayi

*Writer: Mirza Ghalib Jee**
*Singer: Jagjit Jee**
**...Album: Jagjit Jee...Folder No.3**


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Bas Yuun Hee.......!
Old
  (#43)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Smile Bas Yuun Hee.......! - 2nd May 2008, 02:47 AM

Tujhko Dariyaa Dili Kee Qasam Saaqiyaa-Mustaqil Daor Par Daor Chalti Rahe
Rawnok-e-Maikada Yuun Hee Barhtee Rahe Ek Girtaa Rahe Ik Samhaltaa Rahe

Sirf Shabnam Hee Shaan-e-Gulistaan Nahee Shola-o-Gul Ka Bhi Daor Chalta Rahe
Ashq Bhi Chasm-e-Purnaam Se Behte Rahe Aur Dil Se Dhuyaan Bhi Nikaltaa Rahe

Tere Qabze Mein Hain Ye Nizaam-e-Jaahaan-Tu Jo Chaahe To Sehra Bane Gulsitan
Harr Nazar Mein Teree Phuul Khilte Rahe-Harr Ishaare Pe Maosam Badaltaa Rahe

Tere Chehre Pe Ye Zulf Bikhree Huyi-Neend Kee Godh Mein Subha Nikhree Huyi
Aur Iss Par Sitam Ye Adaaye Teree-Dil Hain Aakheer Kahaan Tak Samhaltaa Rahe

Iss Mein Khoon-e-Tamanna Kee Taaseer Hain-Ye Wafaa-e-Mohabbat Kee Tasweer Hain
Aisi Tasweer Badlein Ye Mumqeen Nahee-Rang Chahe Zamaana Badaltaa Rahe



*Singer’s: Jagjit Jee & Chitra Jee **


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#44)
zishan107
Registered User
zishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to beholdzishan107 is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 449
Join Date: Apr 2008
Rep Power: 24
18th May 2008, 10:36 PM

Mujhe tumse mohabbat ho gayi hai
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai
yeh duniya khoobsurat ho gayi hai
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai

khuda se roz tumko maangta hoon
khuda se roz tumko maangta hoon
khuda se roz tumko maangta hoon
meri chahat ibaadat ho gayi hai
meri chahat ibaadat ho gayi hai
yeh duniya khoobsurat ho gayi hai
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai

woh chehra chaand hai aankhen sitaaren
woh chehra chaand hai aankhen sitaaren
zameen phoolon ki jannat ho gayi hai
zameen phoolon ki jannat ho gayi hai
yeh duniya khoobsurat ho gayi hai
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai

bahut din se tumhe dekha nahi hai
bahut din se tumhe dekha nahi hai
bahut din se tumhe dekha nahi hai
chale bhi aaon muddat ho gayi hai
chale bhi aaon muddat ho gayi hai
yeh duniya khoobsurat ho gayi hai
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai


Jagjit Singh





Wahi hai markaz'e'Kaaba wahi hai rah'e'buthaana...
Jahaan diwaane do milkar sanam ki baat karte hain..
   
Reply With Quote
Old
  (#45)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
10th October 2011, 07:02 PM

Benaam Sa Ye Dard, Thahar Kyo Nahi Jata,
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyo Nahi Jata,

Sab Kuch To Hai, Kya Dundti Rahti Hai Nigahe,
Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyo Nahi Jata,


Woh Ek Hi Chera To, Nahi Saare Jahan Mein,
Jo Dur Hai Woh Dil Se Utar Kyo Nahi Jata,


Main Apni Hi Uljhi Hui Raho Ka Tamasha,
Jate Hai Jidhar Sab, Main Udhar Kyo Nahi Jata,


Woh Naam Jo Barso Se, Na Chera Na Badan Hai,
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#46)
baagi
......since birth
baagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of light
 
baagi's Avatar
 
Offline
Posts: 428
Join Date: Apr 2008
Location: bangalore
Rep Power: 21
10th October 2011, 10:51 PM

hamne jajbat ko seene me daba rakhkha hai
raakh ke dher me sholo ko daba rakhkha hai......ik baar kaho.....i love dis gazhal.......jagjit sing ji aap bahut yaad aayenge hame....


ibadat bhi khuda hai,bagavat bhi khuda hai
khuda baagi kahi hai,kahi baagi khuda hai.
  Send a message via Yahoo to baagi  
Reply With Quote
Old
  (#47)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
11th October 2011, 11:27 AM

zindgi yoon hue basar tanha,
kafila saath magar safar tanha,

apne saye se chonk jate hain,
umr guzri hai es kadar tanha,

raat bhar bolte hain san.nate,
raat kaate koi kidhar tanha,

din guzrata nahi hai logo.n mein,
raat hoti nahi basar tanha,

humne darwaze tak to dekha tha,
phir na jane gaye kidhar tanha.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#48)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
12th October 2011, 12:48 AM

ek gazal kya har gazal jidnagi ke anginat pahluo ko darshati mujhe nazar ayi..aur unka u jana bahut takleef de gya


कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
~~~ Gazhal - Jagjit singh~~ Bheegi_palkhein Hindi/Urdu Lyrics 5 12th May 2009 03:03 PM
*My Favourites Of Chitra Singh Jee** Shimul Ghazal Section 8 2nd May 2008 02:27 PM
Har ek ghar...jagjit singh khilona Ghazal Section 2 20th September 2005 02:10 PM
Jagjit singh friendnidhi Hindi/Urdu Lyrics 3 20th November 2004 11:35 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com