Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

 
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
"zaroorat"......nazm
Old
  (#1)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
"zaroorat"......nazm - 26th October 2006, 08:20 AM

aadaab yaaraan-e-mehfil

maut ki chaahat kam hi logoN ko hoti hai, kuch log kehte haiN ke "jaan hai to jahaan hai" mujhe is baat se ittefaaq nahiiN, maut hi ek aisi shay hai duniya meiN jo apne chaahne waaloN ki ummiidoN pe har baar kharaa utar ke dikhaati hai

is nazm ka tassavvur maine kayi saal pehle kiya tha aur waqt ke saath saath iske DhaaNche meiN bohat tabdiiliiyaaN bhi aayiiN aur shaayad aage bhi aayeNgii, ye kisi haal meiN bhi muqammal nahiiN hai, aaj mann hua ke post karuuN to kar raha huuN, ummiid hai aapko qaabil-e-ga'ur lagegi



nazm ka unvaan hai "zaroorat"


mula'iizaa farmaayeN :



nijaat qaid-e-Gham se mujhko dilaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi


tere dar pe maiN badii aas liye aayaa huuN
ashk aaNkhoN meiN haiN TuuTa hua dil laya huuN
suna hai dard ke maaroN ko panaah milti hai
dil ke zakhmoN ki tere paas davaa milti hai

mujhe vo jaam de ke pee ke dam nikal jaaye
taDap rahi hai jaan kuch sukuun mil jaaye
maiN ziNdagi se ab nibaah kar nahiiN sakta
maiN roz-roz,lamha-lamha mar nahiiN sakta


maine choDa tha zamaana jisey paane ke liye
usii ne choD diya mujhko, zamaane ke liye
tavvaqo'aat* se daaman ko chuDaaya hi nahiiN
dil ne us shaKhs ki yaadoN ko bhulaaya hi nahiiN

tavvaqo'aat = Expectations , UmmiideiN



maine bacchoN ki tarah dard ko paalaa dil meiN
muddatoN zakhm-e-mohabbat ko saNbhaala dil meiN
dil ke tuKdoN ki khalish ab nahiiN sahi jaati
mujhse haalaat yeh apni ab nahiiN dekhii jaati


jaan dene ke ilaawaa ko_ii chaara hi nahiiN
ab mera ziNdagii ke saath guzaara hi nahiiN
meri saaNsoN ka diyaa aaj bhujhaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi

maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi...................


apni aaraa se zaruur nawaazeiN


shukriya
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 26th October 2006 at 08:43 AM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
 


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
"kameene","laffange parindo.n" ki "badmaash compny" parveen komal Shayri-e-Dard 9 17th August 2010 11:59 PM
"Dua" a great nazm by Janaab Deepak Sharma kavyadharateam Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 29th August 2009 01:47 PM
*Ye haseeN nagma aaj tu mujhe gungunane de.."Ek nazm"* Diggaj_Dave Shayri-e-Dard 18 16th August 2006 10:02 PM
Ek nazm dard bhari "Tufaan" pe acharya_mj Shayri-e-Dard 0 1st January 2005 09:11 PM
Kabhi Soochna "Aman "Akhiri Nazm tumharaay naam Nida Siidiqui Shayri-e-Dard 1 3rd June 2003 04:47 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com