Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > English/Hindi/Other Languages Poetry > Hindi Kavitayen

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 15 votes, 4.93 average. Display Modes
Rajniti
Old
  (#1)
Bhavesh pandya
Registered User
Bhavesh pandya will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 7
Join Date: Jun 2008
Rep Power: 0
Smile Rajniti - 17th June 2008, 08:39 AM

Rajniti khursiyon ki daasi ho gayi
Janata mange paani aur ae khoon ki pyaasi ho gayi
Satyamev jayate ko phaasi ho gayi
60 saalo ke bad azaadi swargwasi ho gayi

Sadko par ab toh kheli jaati hai rajniti
Chunav jitne ke liye jayaz hai chhal, kapat aur kutniti
Prachar ke doran vaado ke byugul mein kho jaati hai unnati
Sadiya guzar zayegi phir bhi nazar nahi aayegi pragati

Sita haran aur draupadi vastra haran bhi rajniti thi
Bhisma pitahmah ki pratigya aur duryodhan ki hatya bhi rajniti thi
Chanakniti ho ya krishna ka geeta gyan, yeh bhi rajniti thi
Dasrath ki lachari aur ravan ka abhiman bhi rajniti thi

Sadyantro aur ghotalo ki bharmar se namoshi ho gayi
Vidhan sabha ki deewarein bhi dekh sab khamoshshi ho gayi
Khurshi ka moh aisi rajniti ki jaan-shi ho gayi
Amavash ki raat bhi, puranmashi ho gayi

Swatantra ke maqshad wali who tasveer bhi jar chuki hai
Ashpasti karan ki rajniti se janata dar chuki hai
Satta ka durupyog karne ki gati ghar kar chuki hai
Rajniti ke galiyaron mein, raj zinda aur niti mar chuki hai
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com