Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Qayamat kee raat...
Old
  (#1)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Arrow Qayamat kee raat... - 17th April 2006, 12:21 PM

Dosto...

Dil uktaa sa jaaye...tau bagaavat pe utar aata hai...na qaayde ka dhyaan rehta hai...na hi galat sahi ki pehchaan...shayad phir wo kuch iss tarah se likhe...nazar-e-karam farmaayiega...

Aaj kee raat qayamaT kee raaT hogi
Jalti aankhon se phir barsaaT hogi
Narm garm bheegta rahega takiyaa
Dhundhale lamhoN ki phir saugaaT hogi

Har karvat siskiyaaN lega badan
Har ik saans mein utthegaa rudan
Subuk kirchiyon ki chubhan ki
AankhoN se phir mulaqaaT hogi

Kone mein dil ke na chhupa saka koyi
Na qeemaT ashqoN ki chukaa saka koyi
Sikhaa raha hai jine ke bahaane naye
Nadaan wafaaT pe ab kya shuruaaT hogi?

Taa-umr ruuh bhatakti rahi akeli
Mujhse pyaar karne wafaa aayi saheli
Bhinchi muthhi se jakkad bhi lein seena
Mehnge padhe lamhon se kya nijaaT hogi?

Adaaon mein meri kya jaadu nahiN thaa
Kya ishq mera masoom, be-gunaah nahiN thaa
Ruk ruk ke waqt-e-khanjar ne taraasha hai mujhko
Khuda dena ‘paras’ ko tu jawaab tujhse bhi baat hogi


subuk = delicate, (bareek)
kirchiyon = broken glass pieces
wafaat = death
Nijaat = escape
Uchaat = worn out


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan

Last edited by Parastaar; 17th April 2006 at 12:24 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
gam-e-lashkar
Registered User
gam-e-lashkar will become famous soon enoughgam-e-lashkar will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 221
Join Date: Nov 2005
Rep Power: 20
17th April 2006, 12:36 PM

Har karvat siskiyaaN lega badan
Har ik saans mein utthegaa rudan
Subuk kirchiyon ki chubhan ki
AankhoN se phir mulaqaaT hogi

Kone mein dil ke na chhupa saka koyi
Na qeemaT ashqoN ki chukaa saka koyi
Sikhaa raha hai jine ke bahaane naye
Nadaan wafaaT pe ab kya shuruaaT hogi?

Adaaon mein meri kya jaadu nahiN thaa
Kya ishq mera masoom, be-gunaah nahiN thaa
Ruk ruk ke waqt-e-khanjar ne taraasha hai mujhko
Khuda dena ‘paras’ ko tu jawaab tujhse bhi baat hogi

.........

AAAAAAAAAAAAAAAHH Paras kya jamaane me dard ki kami thi...jo tumne apne is kalaam me itna dard bhar diya...yahi bol muh se nikal pare hai...aur ham bhi apne sine ko muthhi se bheeche diye ja rahe hai....

uper k ye kuchh aashaar hame bahut pasand aaye...jo ki ham react kiye bina na reh paaye...jabki ham yaha kisi ko talab nahi kar paate aur hamne khud b likhna chhor diya hai..par aapke dard ne hame yaha kheech liya aur sirf aapke hi liye.....

aapke liye kuchh vichar kaundh gaye hai jo u hai...

OOOO Allaah!! mat de dard itna meri paras ko...
vo toot jayegi......Dar hai mujhe....!!
mat de dard itna meri paras ko....
vo bikher jayegi.....
fir kaun teri khidmat karega.....????
Kaun jhukaiga tere sazde me sir ko.....??
kaun chahega tujhe.....Kaun vishwas rakhega tujh per...??
OOOO Allaah!! mat de dard itna meri paras ko...

take care ........janu.........lv u...bye....urs.....
   
Reply With Quote
Re: Qayamat kee raat...
Old
  (#3)
Kanchan
Registered User
Kanchan is on a distinguished road
 
Kanchan's Avatar
 
Offline
Posts: 463
Join Date: Dec 2005
Location: Dehradun
Rep Power: 19
Re: Qayamat kee raat... - 18th April 2006, 10:24 AM

Quote:
Originally posted by Parastaar
Dosto...

Dil uktaa sa jaaye...tau bagaavat pe utar aata hai...na qaayde ka dhyaan rehta hai...na hi galat sahi ki pehchaan...shayad phir wo kuch iss tarah se likhe...nazar-e-karam farmaayiega...

Aaj kee raat qayamaT kee raaT hogi
Jalti aankhon se phir barsaaT hogi
Narm garm bheegta rahega takiyaa
Dhundhale lamhoN ki phir saugaaT hogi

Har karvat siskiyaaN lega badan
Har ik saans mein utthegaa rudan
Subuk kirchiyon ki chubhan ki
AankhoN se phir mulaqaaT hogi

Kone mein dil ke na chhupa saka koyi
Na qeemaT ashqoN ki chukaa saka koyi
Sikhaa raha hai jine ke bahaane naye
Nadaan wafaaT pe ab kya shuruaaT hogi?

Taa-umr ruuh bhatakti rahi akeli
Mujhse pyaar karne wafaa aayi saheli
Bhinchi muthhi se jakkad bhi lein seena
Mehnge padhe lamhon se kya nijaaT hogi?

Adaaon mein meri kya jaadu nahiN thaa
Kya ishq mera masoom, be-gunaah nahiN thaa
Ruk ruk ke waqt-e-khanjar ne taraasha hai mujhko
Khuda dena ‘paras’ ko tu jawaab tujhse bhi baat hogi


subuk = delicate, (bareek)
kirchiyon = broken glass pieces
wafaat = death
Nijaat = escape
Uchaat = worn out
Paras Ji
aaj subah subah aapki lines padi to bohat khusi hui hei. lajawab lika hei aapne, aapka shukriya

Kaanch
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
18th April 2006, 12:24 PM

Dearest Guru Ji,

Another masterpiece with so much pain captured in so little and beautiful words. And the beautiful part is that again u’ve written in so much free thought but it is effective to the core. Do keep blessing us with more such gems.

Aapka nalayak shagird


Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
18th April 2006, 01:01 PM

Sammpoorn hai aapki peshkash

vipin


विपिन


   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
18th April 2006, 10:43 PM

Adaaon mein meri kya jaadu nahiN thaa
Kya ishq mera masoom, be-gunaah nahiN thaa
Ruk ruk ke waqt-e-khanjar ne taraasha hai mujhko
Khuda dena ‘paras’ ko tu jawaab tujhse bhi baat hogi

Waaaaaaaaaahhhhh....


Sachhi boloon.... Main to bass yeh last sher padhta reh gaya... it was soooo well expressed... Just loved this one... Likhti raho aise hi... TC


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#7)
shrdh
Registered User
shrdh will become famous soon enoughshrdh will become famous soon enough
 
shrdh's Avatar
 
Offline
Posts: 1,474
Join Date: Dec 2005
Location: singapore
Rep Power: 21
18th April 2006, 10:52 PM

Taa-umr ruuh bhatakti rahi akeli
Mujhse pyaar karne wafaa aayi saheli
Bhinchi muthhi se jakkad bhi lein seena
Mehnge padhe lamhon se kya nijaaT hogi?

kya kahe ab bus kho gaye hain
itni khoonsrati se aapne alafaz diye hai ki bus ab kuch nahi kahe sakte

aise hi likhte rahiye

love u
shrdh


  Send a message via Yahoo to shrdh  
Reply With Quote
Old
  (#8)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
19th April 2006, 11:00 AM

paras meri behan

jab mayoosi had se barh jaaye.
jab her kisi se aitbaar uth jaaye.
jab dil ka dard aur qaraar sab hem se rukhsat ho jaaye to bilkul aisi hi kaifiyet hoti hai jo tumhari is muntashir khayaali se ayaan se hai.
mein aaj kal khud ajeeb si kaifiyaat aur masaayil ka shikaar hoon.
yahan aanaa bhi bohat kem kem ho raha hai. us per aaj tumhari yeh nazm parhi to andaaza huaa ke mein hi is rakht-e-safer mein pareshaan naheen hoon.
meri behan bhi isi kaifiyet ka shikaar hai.
meri dua hai ke tum bas khush raho, aabaad raho,
tumhari tarz e tehreer ko parh ker dil ko khushi bhi hoti hai ke alfaaz ki rawaani aur adab se aagaahi ab sir chal ker boal rahi hai, mager dil udaas bhi hotaa hai ke behan ki yeh kaifiyet haqiqi na ho, meri behan bas khush rahe, aur abaad rahe, yehi dua hai yehi tamanna.
mein aaj kal khud ajab se adem tawajjahi, aur zehni tention ka shikaar hoon isi liye kyaa keh raha hoon kyaa likh raha hoon kuch pata naheen chal raha hai.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
20th April 2006, 11:41 AM

Gam-e-lashkar, kaanch, Dear Salim, Vipin ji, Pulkit my Buddy, Shradhha, aur mere Mushi Bhayyia….

Aap sab ne waqt nikaal kar mujhe padha…bahut bahut shukriya aap sabka, yoonhi hausla afzaayi kar diya kijiey…time nikaalne ki fiqr mein din nikal jaate isliey aap sabhi ko eksaath jawaab de rahi hoon…iss gustakhi ke liye sharminda hoon…muaaf kijieyga…


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
29th April 2006, 12:49 PM

Kone mein dil ke na chhupa saka koyi
Na qeemaT ashqoN ki chukaa saka koyi
Sikhaa raha hai jine ke bahaane naye
Nadaan wafaaT pe ab kya shuruaaT hogi?


paras dd,

tumhe kya kahu? tussi bohat change likho ho. (sahi bola na?) der se reply karne ke liye maaf karna, aur yeh sher mujhe bahut pasand aaya ... daad kubul karna aur likhte rehna... take care!


   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
'qayamat say pehlay qayamat na hoti'....rajveer...... rajveeer Shayri-e-Dard 13 24th July 2010 08:06 PM
qayamat say pehlay qayamat na hoti,.....(rajveer)...... rajveeer Shayri-e-Ishq 6 19th July 2006 01:40 PM
‘Qayamat se pehle qayamat na hoti’ (paras) Parastaar Shayri-e-Dard 23 8th July 2006 09:22 PM
qayamat tak....? sonu'shayari Shayri-e-Ishq 0 5th February 2006 09:18 AM
Qayamat minchy Shayri-e-Ishq 1 21st January 2005 02:18 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com