Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Apni aaNkhoN mein basaana chahta hooN..
Old
  (#1)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Post Apni aaNkhoN mein basaana chahta hooN.. - 20th March 2002, 01:09 AM

Dosto!Aaj phir aap sab ki khidmat mein apni ek nayi ghazal le ke haazir huye haiN...umeed hai hamesha ki tarah apni aara se nawazenge aur koi kamii peshi huyi to nishandehi karayenge!!


Apni aaNkhoN mein basaana chahta hooN
aa tujhko gale lagaana chahta hooN

Koi gila shikwa agar ho to woh bhi
aaj shab mitaana chahta hooN

tujhko apne paas bithaake
apne har raaz bataana chahta hooN

dil meiN chuupe har zakhm ko
dil cheer ke dikhaana chahta hooN

tere aaNchal ke kiinaare se apne
ashqoN ko sukhaana chahta hooN

tere gesuooN ke saaye meiN jaana
shaam apni bitaana chahta hooN

terii goD meiN sir rakh ke bas
aaj sukooN se so jaana chahta hooN

woh saath guzaare har ek pal
aaj phir dohraana chahta hooN

gar maut aa bhi jaaye "shumaila"
tere pehlu meiN mar jaana chahta hooN!!!

rai ki muntazir!
-shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
bahut khoob!
Old
  (#2)
Anamika
Registered User
Anamika is on a distinguished road
 
Anamika's Avatar
 
Offline
Posts: 39
Join Date: Mar 2002
Location: US
Rep Power: 0
Thumbs up bahut khoob! - 20th March 2002, 02:48 AM

bahut khoob shumaila ji...vaise aapki kaafi saari lekhi padhi hai humne, aur hume saare hi pasand aa jaate hain...hum jab bhi kaam par thak jaate hain to mind refresh karne ke liye yaha shayri.com par aa jaate hain... likhte rahiyega...


ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN
kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte haiN

woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai
kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte haiN

nazar lage na kaheeN uske dast-o-baazoo ko
ye log kyoN mere zaKHm-e-jigar ko dekhtaiN haiN ?
  Send a message via Yahoo to Anamika  
Reply With Quote
Shukriya!
Old
  (#3)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Shukriya! - 22nd March 2002, 02:59 AM

Anamika ji!!

Zarra nawazi ka shukriya!!
Aapko ghazal pasand aayi ye jaanke bahut khushi huyi!!

Adaab,
shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#4)
tanhadil
Registered User
tanhadil is on a distinguished road
 
tanhadil's Avatar
 
Offline
Posts: 106
Join Date: Feb 2002
Location: Canada
Rep Power: 23
hi - 1st April 2002, 04:13 PM

shumailaji.....

bahot khooob......

jitni baar...shayri.com pe aata hu....apki ye ghazal padhta hu...

bahot hi accha lagta hai....

likhte rahiyega....

k'hafiz


Yeh Gham Nahi ke Andhere Se Sulah Ki Maine

Malal Yeh Hai Ke ab Subh Ki Talb Bhi Nahi
  Send a message via Yahoo to tanhadil  
Reply With Quote
Bahut Shukriya!!!
Old
  (#5)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Bahut Shukriya!!! - 1st April 2002, 05:39 PM

Hi tanhadil!!!

Thanx for the reply and liking my ghazal!!!It really means a lot to me.....umeed hai aise hi hausla afzaii karte rahenge

K'hafiz,
shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Pyarali Rajan
Registered User
Pyarali Rajan is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 403
Join Date: Oct 2001
Location: Copenhagen, Denmark
Rep Power: 23
3rd April 2002, 07:10 PM

Apni aaNkhoN mein basaana chahta hooN
aa tujhko gale lagaana chahta hooN

Koi gila shikwa agar ho to woh bhi
aaj shab mitaana chahta hooN

Wah! Wah! jawab nahin aapka Shumaila!!!

Aaj kutch dino key baad phir aapki shayari padhney kaa moka mila, bahot hi atcha likha hai! Bahot hi khubsurat ghazal!!!

All the best!!

Rajan


cool
   
Reply With Quote
Thanx Rajan ji!!!
Old
  (#7)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Thanx Rajan ji!!! - 4th April 2002, 02:19 AM

Bahut bahut shukriya hamari ghazal pasand farmaane ka aur apni ray se nawazne ka!!!

Aap kabhi bhi hamari hausla afzaii karna nahi bhoolte...mai aapki hamesha mashkoor rahungi!!!

Shukriya!

shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
neelo
Registered User
neelo will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 184
Join Date: Apr 2001
Rep Power: 24
10th April 2002, 09:39 PM

Kya likha hai apne, shumaila ji :-)

Im impressed

Yeh lines behad pasand ayi :

gar maut aa bhi jaaye "shumaila"
tere pehlu meiN mar jaana chahta hooN!!!


Keep smiling :-)

neelo
*********


Never love a love that hurts, never hurt a love that loves

neelo ;-)
  Send a message via Yahoo to neelo  
Reply With Quote
nice one shumaila ji
Old
  (#9)
guriya82
Dil hai chota sa
guriya82 has a spectacular aura aboutguriya82 has a spectacular aura about
 
guriya82's Avatar
 
Offline
Posts: 252
Join Date: Apr 2001
Location: new jersey
Rep Power: 25
nice one shumaila ji - 10th April 2002, 10:27 PM

aapne kamal ki shayri likhi hai shumaiala ji i really like it

"khwab dekhne ka dil ab nahi hai magar
dekhu to sirf tujhe dekhna chahta hoon "
waiitng for ur next post
keep it up
take care
guriya


Let your heart guide you...but listen closely because it whispers
  Send a message via Yahoo to guriya82 Send a message via MSN to guriya82  
Reply With Quote
Hi neelo...
Old
  (#10)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Hi neelo... - 11th April 2002, 01:52 AM

Thanx a lot for liking my ghazal...!!

Take care...

Regards,
shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
hey guriya...
Old
  (#11)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile hey guriya... - 11th April 2002, 01:58 AM

Long time..no see!!how r u??

Thanx for liking my ghazal aur bhi maine ghazal likhi thi isi forum mein agar waqt ho to woh bhi dekh lena)

Bye bye...aur tum bhi accha likhti ho..why don't u try writing a ghazal!!

Take care..bye,

shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Uday
Registered User
Uday is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 72
Join Date: Jul 2001
Rep Power: 23
Thumbs up 12th April 2002, 06:56 PM

waah waah shaumilaa ji!
aapney to kamaal kar diya!
aap kay agli gazal ki pratikshaa hai!


jai bharat
   
Reply With Quote
Shukriya!!
Old
  (#13)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Cool Shukriya!! - 12th April 2002, 07:13 PM

Shukriya Uday hamari ghazal pasand farmaane ka....abhi nayi ghazal nahi likhi...kuch purani ghazal isi forum mein hai...chahein to use parh lein filhaal!!

Hausla afzaii ka ek baar phir shukriya!!


shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
well done
Old
  (#14)
mohsinlove
Registered User
mohsinlove is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 18
Join Date: Mar 2002
Location: KARACHI, Pakistan
Rep Power: 0
Thumbs up well done - 14th April 2002, 11:54 PM

hello shumaila ji....
well done

kafi acha shair likha hai ye batana chahta hoon
ek class ka stamp is ghazal pe lagana chahta hoon...


!!!!!!!!!~~~MOHSIN~~~!!!!!!!


!~~~~MOHSIN LOVE~~~~!
  Send a message via Yahoo to mohsinlove  
Reply With Quote
Hey Mohsin..
Old
  (#15)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Hey Mohsin.. - 15th April 2002, 12:45 AM

Thanx for the appreciation aur aapki taareef karne ka andaaz hume pasand aaya..shukriya!!

shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
mohsinlove
Registered User
mohsinlove is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 18
Join Date: Mar 2002
Location: KARACHI, Pakistan
Rep Power: 0
Wink 18th April 2002, 11:37 AM

u r welcome shumaila ji,...
waise maine bhi ghazal likhne ki koshish ki hai plz dekh li gea ga....


!~~~~MOHSIN LOVE~~~~!
  Send a message via Yahoo to mohsinlove  
Reply With Quote
Re: Apni aaNkhoN mein basaana chahta hooN..
Old
  (#17)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Smile Re: Apni aaNkhoN mein basaana chahta hooN.. - 19th April 2002, 04:47 PM

Shumaila ji

Aapki ghazal parhi. Ismein aapney kuchh bahut hi khoobsoorat khayalaat ko piroya hai. Yani khahyalat aur content to kaafi achche hain. Agar kuchh khatakta hai to ashaar ka meter. Iski wajah se iska flow zara upar-neechey hao jata hai. Is himaqat ke liya muaf kijiyega lekin misal ke taur par mein aapki isii ghazal ka pehla sher aapke saamne rakhta hoon jismein meiney wazan ke liye thodi tabdilii kii hai. Dekhen -

Apni aaNkhoN mein basaana chahta hooN
Tujhko seeney sey lagaana chahta hooN

Agar aapko bura laga ho to muafi chahoonga. Par ye mein isliye likh raha hoon ke mein imaandari se tareef karney mein yaqeen rakhta hoon. Aapmein ek achchi shayra ki soch maujood hai bus zaroorat hai thodi practice aur islah ki. Aapke sheron mein jo mujhe khas taur par achechey lagey wo hain -

tere aaNchal ke kiinaare se apne
ashqoN ko sukhaana chahta hooN

woh saath guzaare har ek pal
aaj phir dohraana chahta hooN

gar maut aa bhi jaaye "shumaila"
tere pehlu meiN mar jaana chahta hooN!!!


Phir ekbaar kahoonga ke zara senior honey ke naatey aapko guide karney ki koshish ki hai. Agar kisi bhi tarah meiney aapke jazbaat ko thes pahunchaayi ho to muaf kijiyega. Kyunki ye mera iraada qataii nahi tha.

Adaab
Praveen Saxena
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
bahut shukriya!!
Old
  (#18)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile bahut shukriya!! - 20th April 2002, 01:26 AM

Praveen ji ,Adaab!!

kaise haiN janaab??Aapne waqt nikal kar hamari post ka reply diya uske liye bahut bahut shukriya!! Ji aapne sahii farmaaya ke meri ghazal beher mein nahi hai...ye hi to afsos hai ki hume beher samajh nahi aa rahi hai theek se

Waise ek urdustani janab ne meri ghazal ki islaah ki thi aur woh naya version I'm posting here aur yakeen kare pehla misra bhi unhone yuhin theek kiya tha jaise aapne kiya hai

apni aaNkhoN mein basaana chaahta hooN
tujh ko seene se lagaana chaahta hooN

jo gile shikwe tumhaare dil meiN haiN
aaj ki shab maiN mitaana chaahta hooN

apne pehlu meiN biTha kar jaan-e-jaaN
raaz-e-dil tujh ko bataana chaahta hooN

jis qadar bhi zakhm haiN dil meiN mire
aaj maiN tujh ko dikhaana chaahta hooN

tere aaNchal ke naram goshoN se maiN
apne ashkoN ko sukhaana chaahta hooN

teri zulfoN ke ghane saaye tale
shaam-e-gham apni bitaana chaahta hooN

apna sar rakh kar tumhaari god meiN
saari dunya ko bhulaana chaahta hooN

ham ne jo mil kar guzaare the kabhi
maiN woh har lamha dubaara chaahta hooN


Kaisa raha??Mujhe ye version bahut pasand aaya sach kahoon to Maqta woh fit nahi kar paaye!!Kya Aap kuch madad kar sakte hain??

Chalein Phir....Duaoon mein yaad rakhiyega aur isi forum mein peeche jayenge to meri 2 3 aur ghazal hai...agar waqt mile to use bhi dekh lijiyega..woh w/o islaah hai ab tak

Shukriya!!aur hume aapki koi baat buri nahi lagi..WALLAH Aise hi madad karte rahiyega ye hi guzarish hai aapse!!

shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!

Last edited by shumaila; 20th April 2002 at 01:33 AM..
   
Reply With Quote
Re: bahut shukriya!! Maqta
Old
  (#19)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Smile Re: bahut shukriya!! Maqta - 23rd April 2002, 06:21 PM

Shumaila ji

Jawab likhne mein zar deri ho gayi hai. Kam mei zyada masroof tha. Aapki ghazal ke liye 2-3 maqte tajveez kar raha hooN. Dekh kar batayeN ke aapke khayalaat ke saath kuch insaaf hua ya nahin. To ye is tarah hain

Maut ka aaye Shumaila jab lmha
Tere pehlu mein bitana chahta hooN

ya

Aakhri jam meiN Shumaila saans looN
Tere pehlu meiN thikana chahta hooN

ya

Jab Shumaila zindagi ke aakhri aayeN lamhe
Tere pehlu meiN thikana chahta hooN

to yeh thi ek choti si koshish. Umeed karta hoon aapko inmeiN apne original thought ke liye kuchh jam jaye. Apne Khyalaat likhiyega. Aapki baqi ghazlein bhi dekhi hain. Kya unmein apni tarf se kuchh karke aapko behjooN? likhiyega.
Ek aur ghazal ghazal section mein aaj post ki hai. Dekh kar zaroor apne tassuraat likhiyega. Muntazir rahoonga.

adaab aur duaon ke saath

Praveen Saxena
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Maqta...
Old
  (#20)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Post Maqta... - 27th April 2002, 04:35 AM

Adaab Praveen sahab!!

Bahut bahut shukriya ke aapne waqt nikalke hume jawaab diya!

Maut ka aaye Shumaila jab lamha
Tere pehlu mein bitana chahta hooN

--Ji ye maqta bahut khoob kaha hai aapne lekin 'bitaana' kaafiya to already use ho chuka hai agar ise 'thikaana' kar diya jaaye to kaisa rahega??!!

ya

Aakhri jam meiN Shumaila saans looN
Tere pehlu meiN thikana chahta hooN
---is sher mein jam=jab??
ya

Jab Shumaila zindagi ke aakhri aayeN lamhe
Tere pehlu meiN thikana chahta hooN
---ye bhi accha hai!!

sabhi acche hain ..can't decide which to choose aur sab mein mere khayaal barkaraar rahe haiN..Thanx to u!

<<Aapki baqi ghazlein bhi dekhi hain. Kya unmein apni tarf se kuchh karke aapko behjooN? likhiyega. >>

---jee zaroor...neki aur pooch pooch

Chalein phir...aage bhi hausla afzaii karte rahiyega!

dua go,
shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
khuoob shumaila ji ....
Old
  (#21)
kashmiri
Registered User
kashmiri is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 59
Join Date: May 2002
Location: saudi arabia / uk
Rep Power: 22
Thumbs up khuoob shumaila ji .... - 27th May 2002, 01:52 AM

salam shumaila ji .....

muaaf kijeya ga .... jawab der se de raha hon .... asl men bat ye he ke net par ziyada aana nahe hota ...kher .... aapki ghazal pari ..umda ...haseen ...... peyari... khubsorat .....achee ..... jitne bi alfaz kahon kam honge ........ aapki har ghazal men chashni hoti he ....aapka har lafz bolta he ....meri duaaen aapke sath hen ....

Apni aaNkhoN mein basaana chahta hooN
aa tujhko gale lagaana ........ chahta hooN

Koi gila shikwa ........... agar ho to woh bhi
aaj shab mitaana ................. chahta hooN

tujhko ........ apne paas .............. bithaake
apne har raaz ........ bataana chahta hooN

dil meiN chuupe ................... har zakhm ko
dil cheer ke ........... dikhaana chahta hooN

terii goD meiN ......... sir rakh ke ......... bas
aaj sukooN se ....... so jaana chahta hooN

woh saath guzaare .................. har ek pal
aaj phir dohraana ................ chahta hooN

sach much kitne gehre or pr peayare tasawworat hen ....
ok ......... allah hafiz ..

sagar kashmiri ...... uk
  Send a message via Yahoo to kashmiri  
Reply With Quote
Nawazish!!
Old
  (#22)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Cool Nawazish!! - 27th May 2002, 05:23 PM

Bahut Bahut shukriya Sagar meri is ghazal ko bhi pasand farmaane ka....Kitne pyaar se aap hamari ghazal pe apne comments likhte ho..bahut accha lagta hai paRhke....humne aap ki bhi ghazal parhi hai aur inshallah comments denge..!!!Tab tak Allah hafiz!!



Regards,
Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
Feroz
None
Feroz will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Oct 2001
Location: Canada
Rep Power: 23
28th May 2002, 10:18 AM

shumaila ji

aap kii ghazal paDhii parveen ji ne baDey kaam kii baateiN kahiiN haiN un pe ghaur kiijiiyegaaa.

ji bahr meiN aap ne sher kahney kii koshish kii hai us ke hisaab se sirf pahlaa misraa hii bahr meiN hai..........


Apni aaNkhoN / mein basaana/ chahta hooN/

aa tujhko gale lagaana chahta hooN
>......is ko yuuN bhii kahaa jaa saktaa hai..
maiN tujhey/dil se laagaanaa /chaahtaa huuN/

Koi gila shikwa agar ho to woh bhi
aaj shab mitaana chahta hooN

is ko yuuN kahiiye.
ranjisheiN /saarii bhulaanaa /chaahtaa huuN
aaj sab shik / wey miTaanaa /chaahtaa huuN

aap koshish kiijiye gaa is formuley ke hisaab se ghazal ko dobaaraa kahney kii koshish kiijiye.

Feroz
  Send a message via Yahoo to Feroz  
Reply With Quote
Adaab..!!
Old
  (#24)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Adaab..!! - 5th June 2002, 04:56 PM

Feroz sahab..aapka shukriya ke aapki nacheez ki ghazal pe apne comments diye...mai inshallah aapki baatoN pe gaur karungi!

Shukriya!

Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
raysha_luv_sm
Guest
 
Posts: n/a
9th June 2002, 08:04 AM

mein pehli bar shayri.com par aaye aur socha tha ki mujhe kuch aache shayriya sun ne milegi aur bilkul sahi socha
aapki shayri padhke dil bahol khush ho gaya kyoki jab india mein thi to khud shayri likhti hti aur acha lagta tha par jub se ya newzealand aaye hu tabse koi bhi shayri likhi nahi hai aur na suni hai isi liye yeh sun kar bhot aanand aaya
aapne shi mein bahot ache shayri likhi hai

keep it up
   
Reply With Quote
Thanx!!
Old
  (#26)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Thanx!! - 9th June 2002, 05:14 PM

Hi raysha...

welcome to shayri.com aur tumhe meri ghazal pasand aayi ye jaankar bahut accha laga aur ye kya tumne kyoN likhna choRh diya? Phir se likhna shuru kar do aur hume bhi to apne kalaam paRhna ka mauqa do...zaroor kuch post karna...hum intizar karenge

Ek baar phir shukriya....aur ho ske to hamari website bhi visit kar lena

Bye...
SHumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Old
  (#27)
salmankhan_in
Guest
 
Posts: n/a
Thumbs up 14th June 2002, 10:42 PM

its really nice madam, i really liked it.
apart from this, ur name also matter much for me, it is same as someone very very special in my life.
   
Reply With Quote
Welcome Salman!!
Old
  (#28)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Welcome Salman!! - 15th June 2002, 12:37 AM

Hey salman!!

Thats nice to hear ke aapki UNKA naam bhi SHUMAILA haiN
aur HAN ghazal pasand farmaane ka bhi shukriya!!

waqt mile to meri aur ghazleiN jo isi forum mein haiN unhe bhi paRhiyega aur apni ray dijiyega!!

ChaleiN phir...aate jaate rahiyega!!

Regards,
shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Apni Jheel Si Aankhon Mein Sama Lo Mujh Ko.... Hassan Shayri-e-Ishq 8 4th November 2009 07:55 PM
apni aankhon ke samandar mein utar jane de manoj kureel Shayri-e-Dard 26 12th February 2008 03:25 PM
kabar mein janaa chahta hoon.... smilly Shayri-e-Dard 6 26th July 2007 01:43 PM
apni kabar tere barabar chahta hoon land_cruiser Shayri-e-Ishq 0 18th February 2005 08:17 AM
apni aankhon mein sajaa lo to koi baat bane maikasH Shayri-e-Dard 4 21st November 2001 08:35 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com