Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Jay Hind ..
Old
  (#1)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
Jay Hind .. - 15th August 2003, 12:15 PM

Aaj ka Din Hum Aap Sab Log Bahut Khushi ke Sath manate haiN .. Magar Ye Baat Shayad Humare Zehan me utni AihMiyat nahi rakh pati Ki Humare Kitne BhaiyoN ne Iske liye Apni Zindgi ki har Aarzoo Har Tamanna Har Khushi ko Jala kar Hume Ye garmi E Azadi Di Hai .. Agar Hum Kuch Badal nahi sakte haiN To Apni jagah sahi rah kar DosroN ko sahi raah Dikhane ki koshish karni Chahiye ..

Mere DostoN WaQt aane ko Hai
KhooN Apni jawani Dikhane ko Hai

Sir katane ko Hai JaaN Lutane ko hai
ZiindGi Desh ke kam aane ko Hai

Jiske Daman me mahfooZ palte rahe
KurZ Mitti ka aaj uss Chukane ko Hai

Jis Fiza ki Hai EihsanMand Har Ek saas
Uss Pe Sau JaaN KurBaaN Jane ko Hai

Mere Ahal E Vatan ke Bahan BhaiyoN
Kya jawani YooN Hi Bas Dikhane ko Hai

Ab To Jago Bahut Der sote Rahe
Ye Vatan Apni Azmat Gawane ko Hai

Gandhi Ke Desh me Bhook Se Marte HaiN
SiyaSat E Vatan Sharam khane ko Hai

Har Baras Kar Ke vade Bhula Dete HaiN
Abki Chappan Baras Beet Jane ko Hai

Jhagda O MandiR MasJiD BHula Baithe Hum
Ghar kayi Be GharoN ke Banane ko Hai

Mazhabi ranjisheiN Chor Do Ab Hume ..
Ek Naya HINDUSTAN Banane ko Hai

JAY HIND


andaaz
   
Reply With Quote
dost
Old
  (#2)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
dost - 15th August 2003, 03:45 PM

kshitiz dost,

Jis Fiza ki Hai EihsanMand Har Ek saas
Uss Pe Sau JaaN KurBaaN Jane ko Hai

Mere Ahal E Vatan ke Bahan BhaiyoN
Kya jawani YooN Hi Bas Dikhane ko Hai




dost...... kaash kuchh kabhi achha ho..... kabhi sathh chal paaye... desh k liyae ji paaye.......

yaha to saans bhi apni marzi se kaha hai
desh maie ji rahe hai par desh se lagaw kaha hai
badi sharm ki baat hai..... yah dosto..
paryaha sharmindgi kaha hai???
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
15th August 2003, 04:50 PM

Dear Kshitiz Jee, khub bayan kiya hein aap.
Mein aur keya bolu, bolne se hota bhi keya hein.
Ish liye Khuda duwa hi karti rahti hu. Aur hum kar bhi keya sakte hein!!
Thanks for writing. Mubarak baad kabul kijiyega aaj ke deen ka.
Take care. God bless.
Shimul.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
15th August 2003, 07:26 PM

Meena Ji

Such kaha ..

Sharmindgi kahaN hai .. Afsoos ki Baat To Hai Hi Bavzud Iske Hume Aas nahi chorni Chahiye ki Halat Sudherenge ..

Aakhir Halat Paida karne Wale Aur usse Sudharne Wale bhi to Hum Jaise Log Hi HaiN ..

Aapki RayShumari Dekhi Bahut Achha laga ..

Khyal Rakhiye

Jay Hind ..




Shimul ..

Aapki MubaraQBaD Tah E Dil se kabul ki gayi Hai

Aap ne Mere Vatan ke liye JuzbatoN ko samjha Bahut achha laga ..

Apna khyal rakhiye

Jay Hind


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
meetu20012
Registered User
meetu20012 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 130
Join Date: Dec 2002
Location: delhi
Rep Power: 22
16th August 2003, 11:45 AM

Aapney aaj k critical atmosphere ko ley ker jo lines likhi hai…vakayi kabiley taariff hai….
Aaj desh mein jo political uthal-puthal hai…corruption hai…unhey ek systematic structure ki bhut zarurat hai….i wish ki is democratic hindustan mein vo din jaldi aaye jab sab apney rights+duty ko samjhey …..


success is not a goal,but a journey!
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#6)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
hi - 16th August 2003, 07:30 PM

hi khitiz sahab
how r u ?
sab se pahle to hmari taraf se yar ..aap ko bohat sari mubarak..ap k azadi k is khas moqe per....
aap ne jis bat ko jis dard ko apni ungliyon main tham kar fikr bnaya hay woh kabile tareef hay..shayad kahin koi is se kuch hasil kar sake..aap ne kaha tha k shayad shayron ka kam sirf wohi kuch likhna nahin hota ..jo yahan likhte hain..akhir apne ghamaon..apni mohabtaon ke ghamaon se hat kar kuch bara gam hota hay..use khatam karne ki koshish karni chahiye,,,agar ham nahin karain gain kon kare ga...
any way dear friend...aap ko bohat sari shubkamnain...
be hopefull for the best...
well wishes..
aik banjara''''
mohabton ka diya liye sab k liye...


banjara''''
agar mohabbat hay to judai kiyon
or judai main mohabbat kasi????
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
17th August 2003, 02:23 PM

Kshitzi mere dost!

Tumhara ye kalaam baRi ehmiyat rakhta hai..

Sach kaha hai.. Gandhi, Nehru, Bose, Bhagat Singh.. sab guzar gaye.. unke saath woh desh, wo mahaante bhi guzar gayi.. aaj jo humare saamne hai, woh hai ek aisa desh, jo apna wajood kho raha hai.. Schools me bachche bhai chaare ke baare me khoob paRte hain, magar roz akhbaar me kuchh aur hi dekhne milta hai.. kaii log beghar aur bhookhe hain.. magar hathyaar banaane ke liye kaii crores kharch kiye jaate hain.. ye siyaasat waale, doosre deshon ko dushman kehte hain, jab ki dushman to apne hi ghar me chippa hua hai.. gaban, rishwat khori, mazhabi laRaiyaan.. is desh ko tabaah kar rahi hain... agar aam aadmi, aam bhartiye ne ab kuchh nahi kiya, to shayad kabhi kuchh na kar sake.

Tumhare khayaalaat waqai kabile e tareef hain!


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
17th August 2003, 08:03 PM

Meetu ji ..

Maine kya theek kiya jo dil me tha kagaz pe utaar diya aur kuch nahi kiya ..

TaQleef to hoti hai ye sab dekh kar Shayad Hum log bhi kahiN na kahiN gaalat karte haiN magar apni ki hui galtiyaN hume bhulane ki aadat hoti haiN ..

Ek Ek kar ke sudhrenmge to Sara Desh Sudhar jayega ..




Khan Sahab ..

Such kahte huN kabhi apne dukhoN ki Qaid se Koi nikal kar to dekhe Zaman gumoN se bhara hua hai .. Khair . .

Ji Such hai Ek Sachha Shayar vahi jo Dil ke har juzbat se shayri kare ..

Aapne Mere juzbatoN ko samjha aur apni rayshumari sshamil kari isme Bahut khushi Hui ..




Afshan ..

Aapka Kahna bilkul Such Hai .. MaiN kaafi HaD tak aapki bato se ittefak rakkhta huN ..

Magar Aisa nahi hai ki sab kuch khatam ho gaya hai pahle ke log bhi insan the aur hum bhi .. Par na jane kyoN ab logo ke diloN me vo juzba khatam hota ja raha hai ..

Ummid karta huN Din aayega jab halat sudherenge ..

Shayad ye kahiN na kahiN awaam ki koshishoN se ho sakega ..


andaaz
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
*Tarana-e-Hind~Sir M. Allama Iqbal Jee** Shimul Shayri-e-Mashahoor Shayar 13 25th July 2011 09:00 PM
Jai Hind ! kshitiz Celebrations 4 26th August 2008 03:12 PM
*jai Hind* Diggaj_Dave Shayri-e-Dard 1 14th August 2006 04:12 PM
zabaan-e-hind hai urdu....! manoj kureel Anjuman-e-Shayri 0 6th August 2003 06:51 PM
jai hind doston manoj kureel Shayri-e-Ishq 0 9th July 2003 06:30 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com