khumar -
15th April 2002, 08:02 PM
a gazal by khumar barabankvi...
ai maut! u.nhe.n bhulaaye zamaane guzar gaye
aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gaye
O jaane vaale aa ki tere i.ntazaar me.n
raste ki ghar banaaye zamaane guzar gaye
Gam hai na ab Khushii hai na ummiid hai na yaas
sab se najaat paaye zamaane guzar gaye
kyaa laayaq-e-sitam bhii nahii.n ab mai.n dosto.n
patthat bhii ghar me.n aaye zamaane guzar gaye
jaane bahaar phuul nahii.n aadamii huu.N mai.n
aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye
kyaa kyaa tavaqqo'at thii aaho.n se ai "Khumar"
ye tiir bhii chalaaye zamaane guzar gaye
wo mere dil ko kuchal ke chala gaya
anjane me muzko wo shayar bana gaya
|