Aata hai mehboob ka paigham kabhi kabhi -
28th May 2010, 03:04 PM
Aata hai mehboob ka paigham kabhi kabhi
Karte hai nazroN se woh salaam kabhi kabhi
Hota hai mohobbat ka yeh anjaam kabhi kabhi
Rahta dard aksar to aaraam kabhi kabhi
Deedaar e hilaal jo unke ruksaar se hua
Aati hai yaad aaj bhi woh shaam kabhi kabhi
Soyi thi koi tamanna Kwahish ke shaano per
Hone lage the charche sare aam kabhi kabhi
De jaati muskuraahat hichkiyaan Sameer ko
Leti hai woh aaj bhi mera naam kabhi kabhi
|