Quote:
Originally Posted by Ankita
aaye aur gaye kitnay shayaron ki mehfil say
yeh basti dilon ki kadam rakhna ahistay say...
yahan girtay hain shah sawar ghutnay say
milti yahan manzil door doob kar sahil say...
dhoondhtay hain sab jaanejaana masti say
mein dhoondti "sanam" ko milta nahin aasani say...
A
sanam = bhagwaan.
|
Ankita jee, aap ke jo sanam hai na , woh aasaani se hi nahii.n mushkil se bhii nahii milte hai.n...
teri khoj mein ek dariya paar kiya hai
teri khoj mein dil ko patwaar kiya hai
mil hi jaaegi manzil tai kiya hai
toofanon ko mein saathi kiya hai...
..soch raha huun ki woh manzil kaun sii hogii aur kahaan hogii , jis ke liye itni mehnat kar rahii hai.n aap?
Mayanj