tuu is qadar mujhe apne qareeb lagtaa hai -
5th January 2008, 03:52 PM
tuu is qadar mujhe apne qareeb lagtaa hai
tujhe alag se jo sochuuN, ajiib lagtaa hai
jise na Husn se matlab na ishq se sarokaar
vo shaksh mujh ko bahut bad-nasiib lagtaa hai
huduud-e-zaat se baahar nikal ke dekh zaraa
na ko段i Ghair, na ko段i raqeeb lagtaa hai
ye dostii, ye maraasim, ye chaahateiN ye Khuluus
kabhii kabhii ye sab kuch ajiib lagtaa hai
ufaq pe duur chamaktaa huvaa ko段i taaraa
mujhe charaaGh-e-dayaar-e-Habeeb lagtaa hai
na jaane kab ko段i tuufaaN aaye gaa yaaroN
buland mauj se saaHil qareeb lagtaa hai
-----JAN NISAR AKHTAR------
Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN
Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
|