Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
maa
Old
  (#1)
baba
Registered User
baba will become famous soon enoughbaba will become famous soon enough
 
baba's Avatar
 
Offline
Posts: 91
Join Date: Sep 2003
Location: kolhapur Maharshtra
Rep Power: 22
maa - 8th June 2005, 02:13 PM

Mout Ki Aaghosh Main Jab Thak Ke So Jati Hai Maa
Tab Kaheen Ja Kar Sukoon Thora Sa Pa Jati Hai Maa
Fikr Main Bachon Ki Kuch Is Terha Ghul Jati Hai Maa
Nojawaan Hotay Huwe Budhe Nazar Aati Hai Maa
Rooh Ke Rishtay Ki Yeh Gehraiyaan To Dekhiyen
Chot Lagti Hai Humey Aur Chillati Hai Maa
Kab Zarurat Ho Mere Bachay Ku Itna Soch Kar
Jaagti Rehti Hain Aankhain Aur Soo Jati Hai Maa
Hudiyoon Ka Ras Pila kar Apnay Dil Key Chain Ku
Kitnee Hi Ratoon Mai Khali Peth Soo Jati Hai Maa
Janey Kitne Barf Si Ratoon Mai Aysa Bhi Hua
Bacha To Chaati Pai Hai Gelay Main Soo Jati hai Maa
Jab Khilonai Ku Machalta Hai Koie Ghurbat Ka Phool
Aansoon Key Saaz Par Bachay Ku Bhailati Hai Maa
Fiker Key Shamshaan Mai Aakhir Chitaoon Ki Terha
Jaisai Sookhi Lakreyaan, Is Terha Jal Jati Hai Maa
Apnay Aanchal Sai Gulabi Aansuoon Ku Poonch Kar
Dair Tak Gurbat Pai Apne Ashk Barsati Hai Maa
Samney Bachoon Key Khush Rahti Hai Her Ik Haal Main
Raat Ku Chup Chup Kai Lakin Ashk Bersati Hai Maa
Phailay Bachoon Ku Kheelati Hai Sukoon-o-Chain Sai
Baad Mai Jo Kuch Bacha Oh Shouk Sai Khati Hai Maa
Mangti Hi Kuch Nahi Apnai Leye ALLAH Sai
Apnai Bachoon Kai Leye Daman Ku Phailati Hai Maa
Gar Javan Baiti Ho Ghar Main Aur Koie Rishta Na Ho
Ek Naye Ehsas Ki Suli Pai Char Jati Hai Maa
Har Eebadat Har Mohabbat Mai Nihan Hai Ek Gharz
Be-Gharz, Be-Loos, Har Khidmat Ku Kar Jati Hai Maa
Bazuwoon Mey Kheench Key Aajaye Gi Jaisai Kayinath
Apney Bachay Kai Leye Bahoon Ku Phailati Hai Maa
Zindagani Key Safar Mai Gardishoon Ki Dhoop Mey
Jab Koi Saya Nahi Milta To Yaad Aati Hai Maa
Pyar Khaitai Hain Kisai Aur Mamta Kya Cheez Hai
Koie Un Bachoon Sai Poocheye Jin Ki Mar Jati Hai Maa
Safa-e-Hasti Pai Likhti Hai Usool-e-Zindagi
Is Liye Ek Muktab-e-Islam Khailati Hai Maa
Us Nai Duniyan Ku Deye Masoom Rahber Ise Leye
Azmatoon Mey Sani-e-Quran Kaihlati Hai Maa
Ghar Sai Jab Pardesh Ja Ta Hai Koi Noor-e-Nazar
Haath Main Qur'an Lai Kar Dar Pai Aajati Hai Maa
Dai Kai Bachay Ku Zamanat Main Raza-e-Pak Ki
Peechay Peechay Sar Jhookaye Door Tak Jaati Hai Maa
Kanpti Aawaz Sai Khaiti Hai Baita "alwida"
Samnai Jab Tak Rahe Haatoon Ku Lehrati Hai Maa
Jab Perayshani Mey Ghar Jatai Hain Hum Pardesh Main
Aansuwoon Ku Poonch Ney Khawaboon Main Aajati Hai Maa
Dair Ho Jati Hai Ghar Aanai Main Aksar Jab Hamain
Rait Per Machle Ho Jaisay Aisay Ghabrati Hai Maa
Martey Dam Tak Aasaka Bacha Na Ghar Pardesh Sey
Apni Donoo Putliyaan Chokhat Pai Rakh Jati Hai Maa
Baad Mar Janey Key Phir Bete Ki Khidmat Key Liye
Bhaise Beti Ka Badal Kar Ghar Main Aajati Hai Maa
Door Ho Jati Hai Sari Omer Ki Us Dum Thakan
Beya Kar Key Bete Ka Jab Ghar Bahu Lati Hai Maa


babaF

duniyaa se dil lagaakar duniyaa se kyaa milegaa
yaad-e-Khudaa kiye jaa tujh ko Khudaa milegaa
   
Reply With Quote
maa......
Old
  (#2)
jochahohojayein
Registered User
jochahohojayein will become famous soon enoughjochahohojayein will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 62
Join Date: Feb 2005
Location: kisike dil me
Rep Power: 21
maa...... - 8th June 2005, 06:01 PM

mene socha tha maa pe kuch likhna
yeh padkar abh nahi hai kuch kehna
mere khayalo ko apne likha
sayri.com ke forum pe likha iska sukriya




sach much ankho se ansu nikal aaye
kuch dil ke dard samne aaye


Hum kabhi apno se khafa ho nahi sakte
pyar ke rishte bewafa ho nahi sakte
tum bhale hume bhula ke chale jawo
hum tumhe yaad kiye bina reh nahi sakte



With Love
RAJ
  Send a message via Yahoo to jochahohojayein  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com