Bewafai se pareshan bhi ho jatey hain
Narm jhonkey kabhi toofan bhi ho jatey hain
Hum ne Mehboob jo badla to ta'ajjub kesa
Log kafir se musalman bhi ho jatey hain
Shehr bhar ko main muhabbat to sikha doo'n lakin
Khud tarashey huey bhagwan bhi ho jatey hain
You'n to ik dard ka rishta hai zamaney bhar se
Log kuch zeest ka unwan bhi ho jatey hain
Hadisa ho ya koi mojza Shahi kuch ho
Rastey pyar k aasan bhi ho jatey hain.
Poet: Yaseen Shahi
Selected from:"Muhabbat ka naya mausam"