Baat kaise yeh tumse bataye sanam
Aib tumse tumhare chupaye sanam
kaafi uljhaa huaa matlaa hai .... baat kaise ye tumse bataye sanam ....
ye word aapne baat ke liye kaha hai, yaa.. third person ko.........
saani ye bata raha hai ki aap .. third person ko kah rahe hai ... lekin jab third person hai to aapke sanam se, ...............?
samvodhan problem lag raha hai , ya main nahi samjh pa raha hun
Zindagi ka hai haasil itna bohat
Zindagi apni tumpar lutaye sanam
yaha bhi, aap apne sanam se , teesre ki baat kar rahe haiN .........!!
Khud hi majboor hu khud hi mukhtaar hu
Kaam mere yaha kaun aaye sanam
hmm yaha theek laga sab, acha sher hai
daad
koi dukh to nahi par yeh dukh hai bohat
jaab aap kah rahe hai koe dukh nahi, par ye dukh hai, thoda nazre saani kar len , mere khyaal se
Meri khushiyo ka matam manaye sanam
hmm .... saani acha hai , par aisa mat kaho bhayee, aapke sanam jo bhi hinge achy hi honge
Kaise inkaar ho sheikh saheb kaho
Deke apni kasam jo pilaaye sanam
acha hai sher,
baki bunat pe dhyaan chahiye
Bojh auro ka kandho pe jiske raha
Laash uski koi na uthaye sanam
hmm,, acha hai ....
Ek taraf muflisi ek taraf jhooth hai
Pass dono hi apne bulaye sanam
acha hai , par thoda aur koshish kar sakte they
Hai tumhare diye tumse parda kaha
Zakhm Ghayel kya tumko bataye sanam
hmm hbayee zakhm bataye kaise ja sakte hai, dikhaye ja sakte hai ....
meri baato ko jyda importance na den , bas ek baar gour zaroor kar leN
Fikr