Zindagi se bani nahi.... -
9th October 2006, 04:34 PM
mujhe zindagi se gilaa raha meri zindagi se bani nahi..
main khada hu aise makam par jahan hasraton ki kami nahi,
main jalaa bhi hu..main bujha bhi hu..
main sazaa bhi hu..main khataa bhi hu..
mujhe dekh kar hanse hain log meri zindagi me hansi nahi..,
kabhi iss gali kabhi uss gali, kabhi iss nagar kabhi uss nagar,
main bhatak raha hu dar-b-dar...mere dard'O-Dil me kami nahi..,
hai be-khabar mera humsafar, main bhatak gaya usse kya khabar,
na pohanchi ho meri sadaa yahan aise to koi gali nahi..
haalaat kuch iss kadar fir gaye hum apni he nazar me gir gaye,
kahi sabne apni he daastan meri daastan to suni nahi...
ye alfaaz mere nahi hain par meri zindagi ki daastan hai in'me
...vijay
Pehle aati thi hansi har baat pe ab kisi baat pe nahi aati,
Aise aati hai unki yaad k aati hai to fir jaati he nahi...
....vijay
|