Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
shaad-agaaz thi guftaar...
Old
  (#1)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
shaad-agaaz thi guftaar... - 26th March 2005, 11:31 AM

DostoN chand sher hain jo aapki nazar kar raha hoon... shuruaat khushi se ki the lekin phir se ek baar ghumgeen anjaam niklaa hai... aapki nazr-e-karam ke liye haazir hai.... mulahizaa farmaeeye...


kya tune zulfoN ko apni sanvaar dala hai,
ke aaj raat mein shaamil zara ujaala hai.

kya tune maathe pe bindya sajaana choD diya,
ke aaine ka mijaaz aaj kuch niraala hai.

kya neend aayee nahi raat tujhe derr talak,
ke zer-e-shams-o-maah aasmaan kaala hai.

zer-e-shams-o-maah = under sun & moon (her eyes)

chua nahi naseem-e-subha ne kya aaj tujhe,
har ek hasti ka dum jaise ghuuTne wala hai.

naseem-e-subha=morning wind

kya saadgi se qatl ka iraada kar baithe..?
na puuch kaise humne apna dil sambhala hai.

hamare haath ki rekha hamaari dushman hai,
warna mehnat mein apna naam sabse aalaa hai.

humse pucho kya farq hai rayees-o-muflis mein,
ke apni raat diwali hai din diwaala hai.

rayees=wealthy, muflis=poor.

shaad-aagaaz thi guftaar magar abb "Talib"
qbl-e-anjaam yunn laga ke koi naala hai.

shaad-aagaaz=joyous beginning,
guftaar=conversation/talking.
qbl-e-anjaam=before ending.
naala=cry/rudan


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Rohin
Registered User
Rohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to behold
 
Rohin's Avatar
 
Offline
Posts: 3,937
Join Date: Dec 2003
Rep Power: 32
27th March 2005, 09:57 AM

Talib jiju,

Yeh kya ho gaya hai aapko...??
Shaadi ka ladoo se yeh halat hai kya?

Bahi dard pe likha khoobsurat likha magar yeh kya baat hui...??

Bilkis di ko pata chalega to khair nahi aapki....

Dard aap par kuch has raha hai

Khushi ke mauke par yunh dard ki baat ki nahi jaati...
Pyaar karna hai to khushi se kijiye dard se nahi...
Dard na kissi ko dost hai na kabhi ho sakta hai...
Kabhi Dard mein, gum mein, Tanhaye ki galiyon mein na ghumiye...
Dard kabhi khoobsurat nahi hota...
Ek adiction hai Dard... Aur koi addiction zindagi ke liye acha nahi hota..

A Person feels what he thinks.... Today happiness awaits you in a new way in ur life... It is upto you to open the doors to it... or let it go....

Umeed hai aap meri baaton ka bura nahi maanenge...
Aur likhenge aur kuch aisa jo har ek chehre par muskan chod jaaye... dard nahi....

dua hai rab se aapke ird gird bhi kabhi dukh ke badal na mandraye

Aapke saare dard mere meri sari khushiya aapki
--Famous lines by a very great Man Me

Aapka Sala
Rohin


http://www.thoughtsunbound.com a place for my thoughts
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
27th March 2005, 11:06 AM

Talib jee…

This better be your last ghazal in this forum…iss ke baad aap hamesha ishq section mein dikhaayi dene chahiyein…samjhe…


Waise ghazal bahut khubsurat hai…ispe kuch kehna padega hee…

kya tune zulfoN ko apni sanvaar dala hai,
ke aaj raat mein shaamil zara ujaala hai.

kya tune maathe pe bindya sajaana choD diya,
ke aaine ka mijaaz aaj kuch niraala hai.

[color=dark blue]Hamesha kee tarah aapke tasavvur kee nazar mein jaadu hai, nasha hai aur phir musavvir ke rangon se bani tasveer... [/color]

kya neend aayee nahi raat tujhe derr talak,
ke zer-e-shams-o-maah aasmaan kaala hai.

[color=dark blue]hmmmn…iske baad dark circles under someone’s eyes will never seem ugly to me… [/color]

chua nahi naseem-e-subha ne kya aaj tujhe,
har ek hasti ka dum jaise ghuuTne wala hai.

[color=dark blue]uff…yeh andaaz qaatilana… [/color]

kya saadgi se qatl ka iraada kar baithe..?
na puuch kaise humne apna dil sambhala hai.

[color=dark blue]………….[/color]

hamare haath ki rekha hamaari dushman hai,
warna mehnat mein apna naam sabse aalaa hai.

humse pucho kya farq hai rayees-o-muflis mein,
ke apni raat diwali hai din diwaala hai.

shaad-aagaaz thi guftaar magar abb "Talib"
qbl-e-anjaam yunn laga ke koi naala hai.

Yeh dastuur hai ki har cheez ke aakhiri waqt mein insaan maatam manata hai, apne rudan se dharti aasmaan ko rula dena chahta hai…lekin phir nayi subah hoti hai…khuubsurat, armaan bhari, aur khushiyaan liye huye…aur jald hee use sab kuch bhuul jaata hai…bhagwaan kare aapko apne naye jeewan mein wo sab khushiyan milein jinka chaahat aap karein…

[color=dark blue]Haath kee rekha bhi sanwar jaayegi
Jo bilkiss ki adaa usmein ubhar aayegi

Degi pyaar ta umr jiska tu intekhaab kare
sitare khushiyon ke daaman mein bhar laayegi[/color]


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Re: shaad-agaaz thi guftaar...
Old
  (#4)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
Re: shaad-agaaz thi guftaar... - 28th March 2005, 11:12 AM

Quote:
Originally posted by talib
kya tune maathe pe bindya sajaana choD diya,
ke aaine ka mijaaz aaj kuch niraala hai.


aur

hamare haath ki rekha hamaari dushman hai,
warna mehnat mein apna naam sabse aalaa hai.
talib jee...

dil chu lene maiN mahir aapke alfaazoN ki talwaar jab ... saade kagaz par chalti hai ... tab na jane kagaj bhi kaise apne aapko khak hone se bachata hoga ... ye to wo hi janta hai ... aapne jo ashaar yahaN likhe ... sahi kaha .. ki khushi se gham ki taraf rukh kar gaye aap ./.. par phir kshitiz bhai ki baat yaad aayi .. ki har dard kahiN kisi khushi maiN hi panapta hai ... khair jo bhi ho ... ek pur asar kalam ko anjaam de hi diya aapne .. bohat khoob ...

pora kalam apne aapn maiN ek nageena hai ... par jo maine ye quote kiye .. bohat pasand aaye ... aapke samne koi hasti to nahi rakhta ... par ek shrota ki tarah wah karne se nahi rok sakta khud ko ... meri dher sari daad kabool kareN aap ...

apna khayal rakhiyega ...

aapka apna

kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#5)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
28th March 2005, 02:01 PM

kya tune zulfoN ko apni sanvaar dala hai,
ke aaj raat mein shaamil zara ujaala hai.

kya tune maathe pe bindya sajaana choD diya,
ke aaine ka mijaaz aaj kuch niraala hai.

Waaahhh!


kya neend aayee nahi raat tujhe derr talak,
ke zer-e-shams-o-maah aasmaan kaala hai.

chua nahi naseem-e-subha ne kya aaj tujhe,
har ek hasti ka dum jaise ghuuTne wala hai.

Waahh...Bahut hi khoobusrat!!


kya saadgi se qatl ka iraada kar baithe..?
na puuch kaise humne apna dil sambhala hai.

hamare haath ki rekha hamaari dushman hai,
warna mehnat mein apna naam sabse aalaa hai.

Bahut khooobb!! kyaa saadgi se qtal ka iraada kar baithe!! WaaH!


humse pucho kya farq hai rayees-o-muflis mein,
ke apni raat diwali hai din diwaala hai.

shaad-aagaaz thi guftaar magar abb "Talib"
qbl-e-anjaam yunn laga ke koi naala hai.

Beautiful!!

Talib Bhai!!

Ek baar fir aapka andaaz, aapke ehsaas aur aapke ashaar behad khoobsurat lage... bahut khoobsurati se bayaan kiya hai aapne inko.... Padhkar behad accha laga.... Meri daad kubool lijiyega....

Apna khayal rkahiyega.. aur yun hi mehfil sajate rahiyega


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#6)
vaaiz
Registered User
vaaiz is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 110
Join Date: Dec 2004
Rep Power: 20
29th March 2005, 04:34 PM

Talib saheb,

Aap ki baat hameesha se bahut aachi lagti hai. Kehne ki zaroorat nahin ki bahut khoob ban padi hai. Khuda aap ki kalam ko salamat rakkhe....

Lokesh
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
agaaz 1 unsuni dastan Doston Ki SMS Shayri 12 16th December 2008 05:19 PM
woh jo dil shaad: nahin... Pradhyuman Shayri-e-Dard 0 19th June 2008 11:56 AM
agaaz.. anjanajnabi Shayri-e-Ishq 0 14th August 2005 04:45 PM
Apney Agaaz...... Mushkan Shayri-e-Dard 0 27th August 2003 01:35 AM
agaaz-e-ishq sagar01_us Shayri-e-Ishq 0 5th June 2003 04:38 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com