Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Wo DonoN
Old
  (#1)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Love Wo DonoN - 15th July 2004, 12:39 PM

Wo DonoN

Wo donoN juda si haiN ek duje se
Per sach hai ke..donoN hi bhati haiN,
Ek sanjeeda hai itni ke…jeise saagar kinaare koi chat.taaN
Or ek saagar ki lehroN si ..khil-khilaati hai,

Ek hai ke jubaaN se kuchh kehti hi nahi…
Or ye nazreiN bhi kam hi uthati hai…
Ek hai ke sirf jubaaN se hi nahi
Apni nigaahoN se bhi batiyaati hai,

Ek hai ke uski zulfieN bhi simti rehti haiN
Har waqt uski jubaaN ki hi taraah,
Ek hai ke uske Bindaas andaaz ki taraah hi
ZulfeiN uske chehre pe bikhar jaati hai,

Ek hai ke har waqt kuchh sunaana chaahti hai
Mujhe apni baatoN me uljhana chaahti hai,
Or ek hai ke …jiske paas naye alfaaz nahi
Sochti to wo bhi bahut hai..per kehne ko aawaaz nahi,

Ek hai ke jiske saath hokar mai apne
Saare dard-o-gam bhool jaata hooN,
Ek hai ke jiske chand baateiN sun.ne ke khaatir mai
Jaane kitni baateiN banaata hooN,

Bada ajeeb hai ye dil bhi…
Jaane kya kya paana chaahta hai…
Kisiki meethi si muskuraahat ka diwaana hai to..
Kisi ki khaamosh aaNhoN me doob jaata hai..


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
15th July 2004, 12:47 PM

mere chaand,

kya kahu? jab tasveer bolti hai na to aankhe oonhe apni palko maie yunh sama leti hai..... jaise nind maie dil se......koi khwaab lipat jaaye ....

le gaya chhin ke koun, aaj tera sabro karaar
bekaraari tuje aey dil kabhi aisi to n thhi.......

jo soon rahi hu oos ke mutaabik padhh kar meri subah ban gayi....

oonki aankhon ne khuda jaane kiya kya jadoo
ke tabiyat meri maail kabhi aisi to n thhi...

tumhari meena
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
15th July 2004, 12:50 PM

Wah! Wah! Wah!

Chaand saahab.. Aadaab!

Janaab.. In dono ki tasveer seedhe dil me utar gayi! Dono kitni juda juda.. lekin phir bhi kitni pyaari pyaari.. Jaise zindagi.. jiske har roop me, kahin na kahin, khubsoorti chhipi hoti hai..

Rahi baat dil ki.. to ye to uski fitrat hai.. har cheez paana chaahta hai.. aur agar har shay haasil kar bhi le, to bhi tassalli kahaan hoti hai ise.. ye to wo ghaRa hai.. jisme hasratoN ka jitna paani bhara jaaye.. utna kum hai.. hai na?

Bohat hi pyaara sa.. masoom sa kalaam hai aapka.. pasand aaya.. ye to aapko pata hi hoga.. aap likhte hi itna achha hain.. Yunhi likhte rahiyega.. aur aisi rang bhari tasveerein banaate rahiyega..


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
15th July 2004, 06:00 PM

Bahut khoob chaand ji...

Meena didi aur Banno ne bilkul sahi kaha hai ki tasveer seedhe dil mein ja ke chap gayi...

Bahut hi pyare andaaz mein aapne un dono ka varnan kiya hai...

khaas karke aakhiri ki yeh kuch panktiyan..

Ek hai ke jiske saath hokar mai apne
Saare dard-o-gam bhool jaata hooN,
Ek hai ke jiske chand baateiN sun.ne ke khaatir mai
Jaane kitni baateiN banaata hooN,

Bada ajeeb hai ye dil bhi…
Jaane kya kya paana chaahta hai…
Kisiki meethi si muskuraahat ka diwaana hai to..
Kisi ki khaamosh aaNhoN me doob jaata hai..


Haan yeh dil bhi sab kuch paana chaahta hai.. bahut komal aur chanchal hota hai yeh... sab chaahiye...

Aise hi pyari pyari kavitaayein likhte rahiye..

Khush rahiye..

~Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Shukriya DostoN
Old
  (#5)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Shukriya DostoN - 15th July 2004, 09:18 PM

le gaya chhin ke koun, aaj tera sabro karaar
bekaraari tuje aey dil kabhi aisi to n thhi.......


Bahut khoob Meena ji...har baat ka reply hai aapke paas....

Tahe dil se shukriya...is naacheez ko ko aaap itna sam.maan or hausla deti haiN.

Chaand

Ji...Banno ji..aap bilkul sahi kehti hain...ye sab paana chaahta hai..ye bhi or wo bhi...kya kareiN dil hi to hai...

Tahe dil se shukriya..aapke is reply ke liye...ek geet...isi tarah ki situation se milta hua...teen deviyaaN film se hai...

Kabhi is pari ka kooNcha
Kabhi us haseeN ki mehfil
Mujhe dar-b-dar firaaya..
Mere dil ki saadgi...ne

Kai khawaab dekh daale ..yahaaN meri bekhudi ne..(pura suniyega..achchha lagega)

Chaand

Shukriya Priya....tahe dil se shukriya...aapne meri is rachna ko parha ...or meri...in feelings ko saraha.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
17th July 2004, 01:56 PM

saral shabdoin me bhut khub byaan kiya hai dono ko .ye dono hai kun haan ???????

sakhi


कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote
Old
  (#7)
sanjoo
MriiGchiika
sanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to all
 
sanjoo's Avatar
 
Offline
Posts: 1,664
Join Date: Sep 2002
Location: INDIA (Mumbai)
Rep Power: 28
17th July 2004, 02:03 PM

Dear Rakesh... aatii sundaar mishraan kiyaa hai apne dono kaa jassbaton k saath...par yaar ek baat tao batao...gar ye do kii jagah teen hote yaa usse jayad hote tao kyaa karte ap....fhir kyaa likhaa jata... ......jhanjhaat hoo jatii naa...par kabhii kabhi yuu bhii ho jata hai....lol

khair yar thodaa sa mzaak kar liye umida hai....ap bhii iss baat ko mazaak mai lenge......humesha kii tarhaa.....soch ko jhanjhoD kuch sabdh joo kavita k ruup mai bhikhar jate hai apse padhne mai bada sukuun milta hai....dost yuu hii likhte rahna.....tumhara dost Sanju!~*~


Jindagi se to khair shikvaa tha,

muddato mout ne bhi tarsaaya hame..

.....
   
Reply With Quote
Re: Wo DonoN
Old
  (#8)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Re: Wo DonoN - 18th July 2004, 05:02 AM

Wo donoN juda si haiN ek duje se
Per sach hai ke..donoN hi bhati haiN,
Ek sanjeeda hai itni ke…jeise saagar kinaare koi chat.taaN
Or ek saagar ki lehroN si ..khil-khilaati hai,

Chaand Sahab...

kya meethi see uljhan pesh kee apne...padh kar bahut hee mazaa aaya...sochti hoon kaash yeh dono ek hee package mein maujood hotin...tau uljhan hee khatm...hai na?

Ek hai ke jubaaN se kuchh kehti hi nahi…

magar kyun?

Ek hai ke sirf jubaaN se hi nahi
Apni nigaahoN se bhi batiyaati hai,

Bahut chanchal jaan padhti hai...

Ek hai ke uske Bindaas andaaz ki taraah hi
ZulfeiN uske chehre pe bikhar jaati hai,

Bahut khoob!

Ek hai ke jiske saath hokar mai apne
Saare dard-o-gam bhool jaata hooN,
Ek hai ke jiske chand baateiN sun.ne ke khaatir mai
Jaane kitni baateiN banaata hooN,

Wahi meethi see uljhan...

Kisiki meethi si muskuraahat ka diwaana hai to..
Kisi ki khaamosh aaNhoN me doob jaata hai...

janaab apki nazar ek sher Sudarshan Faakir sahib ka

fal-safe ishq me.n pesh aaye savaalo.n kii tarah
ham pareshaa.N hii rahe apane Khayaalo.n kii tarah

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Shukriya DostoN
Old
  (#9)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Shukriya DostoN - 19th July 2004, 02:36 PM

Sakhi ji....shukriya aapke is reply ke liye...ye donoN...

ji ye donoN haiN....'mai or meri tanhaai'.

Chaand

Sanjoo mere dost.....shukriya tumaare is chutki bhare reply ke liye....sawaal mazaak me hi sahi per achchha puchha hai tumne....

yaheeN shayri.com per kisi ne post kiya tha ye sher.....shaayad mera jawaab bhi kuchh yooN hi hai...


TAMAAM UMR TERA INTZAAR HAMNE KIYA
TAMAAM UMR TERA INTZAAR HAMNE KIYA
is intzaar me kis kis se pyar hamne kiya

Dost bada jigar chaahiye sachchi baat batane ke liye...or sach...kitni saadgi se is shaayar ne ye baat keh di...tumhaara sawaal bahut pasand aaya dost...viese eisa aksar hota hi rehta...hai...wo baat alag hai ke ham eise khayaalat daba jaate haiN.

Tumhaara dost Chaand

Paras ji.... dil ki baat keh di aapne...ke kaash ye donoN ek hi pakage me maujood hote...

per Ghalib saahab ka wo kalaam hai na...

hazaaroN khwaaisheiN eise ke har khwaaish pe dam nikle...
bahut nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle...

per ye sach hai ke...dil to sabhi kuchh chaahta hai..so sab to use nahi milega na...aapne meri is uljhan or khayalooN ko samjha iske liye tahe dil se shukrgujaar hai ye Chaand.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
7th December 2015, 03:19 PM

Quote:
Originally Posted by Chaand View Post
Wo DonoN

Wo donoN juda si haiN ek duje se
Per sach hai ke..donoN hi bhati haiN,
Ek sanjeeda hai itni ke…jeise saagar kinaare koi chat.taaN
Or ek saagar ki lehroN si ..khil-khilaati hai,

Ek hai ke jubaaN se kuchh kehti hi nahi…
Or ye nazreiN bhi kam hi uthati hai…
Ek hai ke sirf jubaaN se hi nahi
Apni nigaahoN se bhi batiyaati hai,

Ek hai ke uski zulfieN bhi simti rehti haiN
Har waqt uski jubaaN ki hi taraah,
Ek hai ke uske Bindaas andaaz ki taraah hi
ZulfeiN uske chehre pe bikhar jaati hai,

Ek hai ke har waqt kuchh sunaana chaahti hai
Mujhe apni baatoN me uljhana chaahti hai,
Or ek hai ke …jiske paas naye alfaaz nahi
Sochti to wo bhi bahut hai..per kehne ko aawaaz nahi,

Ek hai ke jiske saath hokar mai apne
Saare dard-o-gam bhool jaata hooN,
Ek hai ke jiske chand baateiN sun.ne ke khaatir mai
Jaane kitni baateiN banaata hooN,

Bada ajeeb hai ye dil bhi…
Jaane kya kya paana chaahta hai…
Kisiki meethi si muskuraahat ka diwaana hai to..
Kisi ki khaamosh aaNhoN me doob jaata hai..

Chaand ji, behad khoobsurat ehsaas...aaj na jaane kaise aik-dum se aapki yeh rachna saamne aa gye aur ham padey bina reh na sake...bahut accha lga aapko padna...thoda sa waqt nikaal kar aate rha kijiye sdc par

aik khaas baat...aapke es thread par Sanjoo ji ka reply pada aur unke signature meiN likha sher bhi pada "kai baar ensaan kuch aisi baate keh jata/likh jata hai, jo zindgi ke bahut kareeb hoti hai aur sach bhi ho jaati hai"

......


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#11)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,796
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
26th December 2015, 10:08 PM

Waah ..kya baat hai....lutf aa gaya ...chaand jee...bahut hee sundar lkha hai aapne...



एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote
Old
  (#12)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
27th December 2015, 05:56 PM

bahut haseen kalaam bazm ko nazar kiyaa hai aapne janaab...
behad mubaarakbaad aapko..

aate raha karen...

shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
28th December 2015, 04:30 PM

wah bahut khoob rahi aapki yeh rachna chaand jee.....................


Aapka Apna
Ishk


'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है


email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
29th December 2015, 04:09 PM

waaah chaand ji.....
Bahut achcha laga mujhe aapka ye andaaz...badi khoobsoorati se bayaan huyi hai dono alag alag shakhshiyat..ankhon ke aage tasweer si ban gayi ho jaise..

Aapke naye kalaam ka intzaar rahega..

Likhte rahein...

Aate rahein....



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
29th December 2015, 07:51 PM

Chaand bhai,

Jaane yeh heera nazron se itne saal kaise chhupa raha. Bahut khoobsurat ehsaas, humesha ki tarah saadgi se bayaan kiya hain aapne.

Yun hi likhte rahiye, apna khayal rakhiye


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
*~*Donon ne kiyaa thaa pyaar magar-MAHUA*~* farhana Hindi/Urdu Lyrics 4 22nd February 2006 01:16 PM
Donon jahan teri........ Tausif shaikh Shayri-e-Dard 0 21st July 2005 12:29 PM
Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke... sanjoo Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 11th April 2004 10:43 AM
donon jahaan me SANTOSHRAJPUT Shayri-e-Ishq 0 7th June 2003 03:38 AM
Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke - by Faiz Ahmed Faiz Mahek Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 8th November 2002 11:21 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com