Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
khoobsurat shayri by Yaseen Shahi
Old
  (#1)
amj22224
Registered User
amj22224 will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 18
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 0
Love khoobsurat shayri by Yaseen Shahi - 18th July 2010, 11:59 PM

Kai badnamia'n hoti , kai ilzam sar jatey
Magar ae kash ham dono'n hamee'n dono pe mar jatey

Agar tum khab hotey to tumhe aankho'n mai rakkh letey
Na goya neend se phir jagtey hatta k marr jatey

Agar hum roshni hotey to phir ahsas ki lau se
Zamee'n ko chhorh detey mill k dono'n chand par jatey

Agar tum phool hotey to tumhari khushboo mein rehtey
Samandar ki tarah hotey to ham tum mein utar jatey

Hamarey khal-o-khadd kaise hain ye ab tak nahi dekha
Agar tum aaina hotey to hamm kitney sanwar jatey

Tumharay husn pe pehra hamaray ishq ka hota
jwa'n rakhtay sada tum ko agar lamhay theher jatey

Agar sooraj hi hotey to phir apni dhoop ki surat
Wajood-e-yaar ki dharti pe SHAHI hum bikhar jatey.

Last edited by amj22224; 19th July 2010 at 12:38 AM..
   
Reply With Quote
Maa'n
Old
  (#2)
amj22224
Registered User
amj22224 will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 18
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 0
Maa'n - 19th July 2010, 12:09 AM

Maa地
Aik hi ehsa地 ka jab badla chukka patey nahi
Khak ho kar qadmo地 mein kyu地 kar bikhar jatey nahi

Ya ghamo地 k shehriyo地 se ab mere meesaaq hain
Ya khushi k basiyo地 se ab mere naatay nahi

Maa地 bina shahi hua ghar aik zinda地 ki tarah
Ab to rehmat k farishtay bhi idhar atay nahi.

Poet : Yaseen Shahi

Last edited by amj22224; 19th July 2010 at 12:20 AM..
   
Reply With Quote
Apney jazbaat ankh mein rakh lo
Old
  (#3)
amj22224
Registered User
amj22224 will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 18
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 0
Apney jazbaat ankh mein rakh lo - 19th July 2010, 12:24 AM

Apney jazbaat ankh mein rakh lo
Bus yehi baat ankh mein rakh lo

Zindagi to safar hai sehra ka
Thori barsaat ankh mein rakh lo

Din se jana地 kabhi chhupa k mujhey
Sirf ik raat ankh mein rakh lo

Main hu地 mehwar tumhari chahat ka
Tum meri zaat ankh mein rakh lo

Jin se khwabo地 mein rang bhar jae地
Aisey lamhaat ankh mein rakh lo

Shahi hum se wafa parasto地 ki
Koi to baat ankh mein rakh lo
   
Reply With Quote
Samandar kya kare地 ge
Old
  (#4)
amj22224
Registered User
amj22224 will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 18
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 0
Samandar kya kare地 ge - 19th July 2010, 12:25 AM

Samandar kya kare地 ge qatra-e-shabnam chura lae地
Jo mumkin ho to zakhm-e-hijr ka marham chura lae地

Tumhara sath hai to aik bus apna hi jeewan kyu地
Jaha地 walo地 ki sari umr aao hum chura lae地

Baharo地 k chaley janey khiza地 aney ka dar na ho
Koi aisa muhabbat ka naya mausam chura lae地

Khabar ho neend ki paryo地 na hi khwabo地 ki devi ko
Tumhe地 palko地 ki doli mein bitha kar hum chura lae地

Hame地 jazbaat k sehra ko bhi sairab karna hai
Kisi tootey huey insa地 ki chashm-e-num chura lae地

Sada ki muskurahat un k honto地 pe sajanay ko
Chalo shahi zara chupkay se un k ghum chura lae地
   
Reply With Quote
Unbreakable thoughts
Old
  (#5)
amj22224
Registered User
amj22224 will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 18
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 0
Unbreakable thoughts - 19th July 2010, 12:28 AM

"Unbreakable thoughts"
Main apni soch ki har soch mein yehi sochu地
Na janay tujh se aqeedat ka kon sa bandhan
Hai chahto地 ka ta誕luq ya dosti ki girah
Ya koi rishta-e-subh-e-azal hai rooho地 ka
K raat din teri socho地 mein mast rehta hu地
Main teri yaad k unmit naqoosh mein dooba
You地 tere pyar ki mojo地 mien mast rehta hu地
Tere khyal ko meraj-e-ashiqi samjhu地
Tere jamal ko meraj-e-shayri samjhu地
Tere wisal ko meraj-e-zindagi samjhu地
Magar main subh-o-masa soch soch kar sochu地
K tera hijr bhi aey ga aik din akhir
To mere zehn ki sub kehkashae地 toote地 gi
Na tere qurb k lamhaat laut pae地 ge
Na teri yaad ki ye kashtia地 hi doobe地 gi
Magar main husn-e-azal se sada dua go hu地
Mere khuda mere dil ki ye iltija sun le
K ab ki baar jo lamhat-e-qurb-e-yaar ae地
Tamam aalam-e-mojood bhi gawahi de
Hum aik doosaray ko dekhtay rahe地 shahi
Na dharkano地 ki sada tak hame地 sunai de
Mujhe jo qurb ki lazzat se ashna kar de
Wo raat lakho地 baras pe muheet ho jaey
Tu aisi subho k sooraj ko andha kar dena
Jo mere yaar ko mujh se chhura k le jaey.
Written by:Yaseen Shahi
   
Reply With Quote
Be wafai se pareshan bhi ho jatey hain
Old
  (#6)
amj22224
Registered User
amj22224 will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 18
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 0
Be wafai se pareshan bhi ho jatey hain - 19th July 2010, 12:30 AM

Be wafai se pareshan bhi ho jatey hain
Narm jhonkey kabhi toofaan bhi ho jatey hain

Hum ne mehboob jo badla to ta誕jub kesa
Log kafir se musalman bhi ho jatey hain

You地 to ik dard ka rishta hai zamaney bhar se
Log kuch zeest ka unwan bhi ho jatey hain

Shehr bhar ko main muhabbat to sikha du地 lakin
Khud tarashey huey bhagwan bhi ho jatey hain

Hum to purkho地 ki riwayat ko nibhaney ki liye
Hurmant-e-ishq pe qurban bhi ho jatey hain

Hadisa ho ya koi mojza shahi kuch ho
Rastey pyar k aasaan bhi ho jatey hain.

Selected from:"Muhabbat ka naya mausam"
   
Reply With Quote
Waqt har cheez ka imkan badal sakta hai
Old
  (#7)
amj22224
Registered User
amj22224 will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 18
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 0
Love Waqt har cheez ka imkan badal sakta hai - 19th July 2010, 12:33 AM

Waqt har cheez ka imkan badal sakta hai
Ain mumkin hai tera dhyan badal sakta hai

Zindagi mein hai faqat teri muhabbat ki kami
Tu meri zeest ka unwan badal sakta hai

Ab teri yaad to is dil se nikalney se rahi
Apni taqdeer kab insan badal sakta hai

Hum faqat wasl k qaail to nahi chahat mein
Kab hame地 hijr ka toofan badal sakta hai

Le k phirta hai tere ghum ka hawala shahi
Tu jo chahey to yeh pehchan badal sakta hai
   
Reply With Quote
Ashk hu地 ankh se be tarha gira do mujh ko
Old
  (#8)
amj22224
Registered User
amj22224 will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 18
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 0
Ashk hu地 ankh se be tarha gira do mujh ko - 19th July 2010, 12:34 AM

Ashk hu地 ankh se be tarha gira do mujh ko
Hu地 agar ehd-e-muhabbat to nibha do mujh ko

Aik bahr poor sarapa hu地 teri chahat ka
Koi moqa to nahi hu地 k ganwa do mujh ko

Khoon roti hui sadyo地 se to behter hai yehi
Aik hansta hua lamha hi bana do mujh ko

Kisi sehra ki tarah hath mere pheley hain
Apni zulfo地 ki hasee地 kali ghata do mujh ko

Meri qismat mein nahi chand sitarey shahi
Jalta bujhta koi jugnu hi dikha do mujh ko
   
Reply With Quote
eri wafa teri hurmat pe harf ata hai
Old
  (#9)
amj22224
Registered User
amj22224 will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 18
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 0
Love eri wafa teri hurmat pe harf ata hai - 19th July 2010, 12:35 AM

Teri wafa teri hurmat pe harf ata hai
Jo such kahu’n to muhabbat pe harf ata hai

Khud apney husn se tu badguman’n na ho jana’n
You’n aainey ki sadaqat pe harf ata hai

Bus aik khwab tha shaaid tumhara milna bhi
Yaqi’n karu’n to haqiqat pe harf ata hai

Bikhar na paey jo khushbu hi us k paikar se
To phir you’n phool ki fitrat pe harf ata hai

Main apney dil ko banau’n khushi ka maskan kyu’n
Tumharey ghum ki alamat pe harf ata hai

yeh apney khwab zamaney ki ankh mein rakh du’n
Magar kisi ki amanat pe harf ata hai

Sitamgaro’n ko lahoo apna bakhsh de shahi
Wagarna rasm-e-sakhawat pe harf ata hai.

Last edited by amj22224; 19th July 2010 at 12:39 AM..
   
Reply With Quote
Ehsas ki nazar se tujh ko chura k lau地
Old
  (#10)
amj22224
Registered User
amj22224 will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 18
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 0
Love Ehsas ki nazar se tujh ko chura k lau地 - 19th July 2010, 12:37 AM

Ehsas ki nazar se tujh ko chura k lau地
Ambar se chandni ki ik shaal ja k lau地

Baraat jugnuo地 ki ho raat khushbuo地 ki
Ho seij dil ki tujh ko dulhan bana k lau地

Ha地 jo malool dil ko masroor kar k rakh dein
Tere liye kuch aisi shame地 saja k lau地

Khushia地 khushi se tujh ko sadya地 bhi daan kar dein
Muthhi mein chand aise lamhey chhupa k lau地

Rim jhim si koi sa誕t mil jaey gar tujhey bhi
Apni muhabbato地 k mausam dikha k lau地

Gajray mein tere bhar doo地 titli k rang saaray
Qaus-e-qazah se tera ghoongat bana k lau地

Rakhna hai paas shahi ne apney naam ka bhi
Naino地 ki palki mein tujh ko bitha k lau地
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
Parwaazz
Aazaad Panchi
Parwaazz is just really niceParwaazz is just really niceParwaazz is just really niceParwaazz is just really nice
 
Parwaazz's Avatar
 
Offline
Posts: 312
Join Date: May 2010
Location: SKY
Rep Power: 17
20th July 2010, 10:10 PM

Thank you Sirr nice sharing.........................


Faisle taqdeer ke lakeere badal nahi sakti
Eh insaan teri uske aage hargiz chal nahi sakti

Aaj tu zameen par hai kal zameen mein hoga
Maut tujhe aani hai har roz tal nahi sakti

   
Reply With Quote
Old
  (#12)
amj22224
Registered User
amj22224 will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 18
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 0
Love 23rd July 2010, 06:09 PM

Aarzoo ki nahi us ko kabhi panay ki
jis se mansoob muhabbat ko kiye rakha hai.
By:Yaseen Shahi
   
Reply With Quote
On last request (Nazm)
Old
  (#13)
amj22224
Registered User
amj22224 will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 18
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 0
Love On last request (Nazm) - 23rd July 2010, 06:14 PM

"On last request"
Bus meray wastay dua karna
Jab muqadar mein hijr hai to phir
Akhri baar mil k kya karna.

By:Yaseen Shahi
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
amj22224
Registered User
amj22224 will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 18
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 0
Love 23rd July 2010, 06:22 PM

"Abhi kuch kaam karney hain"
Abhi rona hai
zabt-e-ghum ka darya paar karna hai
abi to zehn ko
teri judaee k liye tayyar karna hai
abhi to akhri lamho'n mein tum ko pyar karna hai
abhi to qarya qarya
hum ko tere pyar mein badnaam hona hai
abhi yeh kaam hona hai
lab-e-sahil kharey ho kar
zuban-e-khamshi mein janey kitni bate'n karni hain
tumhare naam sari rate'n karni hai
wo jitney din mere jeewan k baqi hain
tumharey naam karney hain
abhi kuch kaam karney hain
abhi to zakhm chahat k teri khushboo se mehke'n ge
abhi to you'n bhi hona hai
k teri jheel si ankho'n mein
mujh ko doob jana hai
abhi waqt-e-wida k akhri manzar ko
ankho'n mein basana hai
abhi to hijr k samjhotey teh honey hain
hatho'n mein tumhara haath thamey
haa'n kisi weera'n sarak pe
chandni raato'n mein kitni door jana hai
abhi to mann mein ik ehsas jagey ga
kisi k paas aney ka
kisi k door janey ka
abhi to mujh ko teri god mein sar rakh k rona hai
abhi to you'n bhi hona hai
tere daman pe girney se zara pehley
tere ashko'n ne to rukhsar ka bosa bhi lena hai
tumhe'n ik akhri khat bhi to dena hai
abhi to husn ko palko'n ki dori mein pirona hai
abhi to ishq k sarey mehel neelam karney hain
abhi ruk jao
na jao
abhi kuch kaam karney hain.
Poet:Yaseen Shahi
   
Reply With Quote
Bay ant khayalat mujhe maar hi dain ge
Old
  (#15)
amj22224
Registered User
amj22224 will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 18
Join Date: Jul 2010
Rep Power: 0
Love Bay ant khayalat mujhe maar hi dain ge - 28th July 2010, 11:41 PM

Bay ant khayalat mujhe maar hi dain gay
Ye hijr k lamhat mujhe maar hi dain gay

Halaat se larta hua mar jaun ga ik din
Tum dekhna Halaat mujhe maar hi dain gay

Ehsas ki masnad pe bitha rakhtay hain din bhar
Par dukh to kisi raat mujhe maar hi dain gay

Sawan se mumasil hain meri ankhen tere baad
Ye ashk ye barsaat mujhe maar hi dain gay

Ankhon mein ubhar aatay hain har baat pe aansu
Shahi mere jazbaat mujhe maar hi dain gay.
   
Reply With Quote
Reply

Tags
shayri

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com