kyunki... -
3rd June 2006, 11:19 AM
Aaj likhenge hum tujhe phir se…KYUNKI…
Ki chain baksh diya hai khuda ne …mujhe aaj thoda sa…phir se…
Bhool gaye teri bewafaai ko,teri diye saare gamon ko,
Zahan mein baaki hai sirf teri mohabbat…sirf teri mohabbat…sirf teri mohabbat…
Haan who mohabbat jo aaj bhi baaki hai,
Wo batein teri jiski khatir
Hame kisi ki bhi chahat nazar nahi aati hai.
Aaj raasta manzil ko jata hua nazar aaya hai
Teri saari hidayatein phir teri yaad dilati hain..
Main wahan tak le jaongi apne ishq ko e zalim
Teri nadaniyan aaj bhi mujhe hansati hain…
Mat samajhna ki yeh shayri hai kagaz par…
Yeh woh rang hai,jisme teri khushbu abhi baaki hai
Sanam zamane ko thukra de pal main tere liye
Isliye to duniya ko apne kalaam reh rehkar sunati hain..
Sanam koi cheez nahin jo har kisi ki khwahish main sama jaye
Sanam to sirf uske naam se hi jaani jaati hai…
Tu na padhe yeh sab to bhi koi gam nahin hame
Kam se kam padhnewalon ko to hamari baat samajh aati hai
Aaj bhi nahin jante pyar kise kehte hain…
Bas aik hi aawaz hai teri jo ruh ko chuu kar jati hain
Tujh si zindagi aasan nahin jeeni,ham samajhte hain,
Teri hansi ko pane ko hi to,
sanam aage badhti chali jaati hain…
bas yahan apni sanson ko thoda aaram do
abhi bahot si mulakatein ,baaki hain…
"sanam" chahe zindagi se bas itna
aik mutthi main kaid kar loon,
yeh aasman hai jitna!"
|