Us bachkani si khwahish ko bhi unhone honslo.n ke pankh lagaye bhi -
5th May 2008, 05:14 PM
Bahut bar esa dekha hai ki jinke liye maa-bap kitna kuch karte hai un se unhe yhi sun ne ko milta hai ki “mere liye mera parivar kuch nahi karta” aksr ye sun kar maa-bap par iska kya asar hota hai ye hum us wqt nahi soch pate jab hum ye bol jate hai…bas isi kash-m-kash ko alfaj dene ki ek chhoti si koshish ki hai. Aap logo ka sath chahungi…
Aksar kah diya humane ki koi nahi humara hai is jnha me
Akele hai hum na koi is nav ka kinara hai
Har manzil ko pane ki koshish ki humane har raste ko apnaya bhi
Sath khade the wo har pal magar humari aankho ne aksar dhokha khaya bhi
Jo khwahish ki thi humane pankh laga aasma.n ko napne ki
Us bachkani si khwahish ko bhi unhone honslo.n ke pankh lagaye bhi
Kah dete hai aksar kar lenge sab kuchh humare dam par
magar sochte nahi jara bhi ki ye joonoo.n hum me knha se aaya bhi ?
daba lete hai wo apni ummido ko apne hi seene me
ki kanhi hume na lage ki kabhi hum kuchh kar na paaye bhi
kuch batane ki koshish ki kabhi unhone humako
to ye kah kinara kar gaye hum ki “kya humari khwahisho ko aap kabhi samjh paaye bhi”
kesi ankahi si kash-m-kash chalti hai jo kabhi hum samjh nahi paye bhi
bas is joonoo.n me jeete rahe ki karna hai apno ke liye
magar is joonoo.n me hum apno ko jara sa samjh na paaye bhi !
medha jain
"jalta hai charag bhi kisi kone me pda,
magar ye raj un tez hawao.n ko kya pta"
|