Dhuaan,dhuaan -
15th January 2009, 02:22 PM
Kafi waqt bad aap logo se ru-b-ru ho rahi hu ummid karti hu ki aap logo ka sath milega.....26/11/2008,shayad is din ko koi bhi bharteeya nahi bhool paya hoga,or jab ye hadasaa hua tha to uttar se lekar dakshin tak purab se pashchim tak sab ne iska kada virodh kiya,sabke dil me kafi dard tha,magar mujhe ek cheej kafi ajeeb lagi ki iske kareeb 2 mahine bad hum log naye saal ke swagat ke liye jashn manate hue najar aaye,un sab jakhmo.n ko bhool gaye,un shaheedo.n ko bhool gaye jo ab humare bich me nahi hai,
Kya hum log us din un logo ki yaad me jashn manane ki bajay un logo ke parivar ke liye duae or unake dukh me shamil hone ki himmat nahi kar sakte the...jab prashaashan khud is bat ka prachar kar rha tha ki is hadase ki wajah se nav varsh ka jashn na manaye...magar shayad hum ye nahi kar paye.
Dhuaan,dhuaan sa tha wo sama.n
Roya,roya sa lag raha tha aasma.n
Chhin chuki thi kai zindagiya.n
Or kuchh baki thi kilakariya.n !!
Dahashath thi har dil me behisab
Apni hi baju.on me simata tha insaa.n,
Aahat bhi hui zara si hawa ki,
To bezubaa.n sa tha wnha har insaa.n !!
Us dardnaak manzar ki khamoshi todati,
Ek masoom ke ashqo.n ki zubaa.n,
Jo apane mile na the raftaar si jindagi me,
Wanhi paraye ban gaye the rahnumaa !!
Suna tha ki "Waqt har zakhm ka maraham hota hai"
Aaj dekha bhi ki kis kadar jashn me duba tha insaa.n,
Bhoolne laga tha unako jo hue the is hadase me kurbaa.n,
Lafjo.n me hamdardi thi to labo.n pe thi muskaan !!
Bas soch kar me rah gai ki
"Kitane roop badalata hai insaa.n !!"
Medha jain
"jalta hai charag bhi kisi kone me pda,
magar ye raj un tez hawao.n ko kya pta"
|