Quote:
Originally Posted by shakir ali 01
Teri julfon ka giraftaar hun.
Ishq me chake daaman se bezaar hun.
khiza k saaye men pala hun har ghadi.
for bhi muddaton se aase bahar hun.
de rahi hai dastakh dil mein Teri sada.
Ranz nahi hai k tera talabgaar hun.
Ishq kiya to deewane pan ki had na rahi.
Zamaana kaih raha main gunehgar hun.
tham nahi saka yaadon k ufaan ko.
sahar se saam talak bekaraar hun.
puchaa Jo kisi ne Meri duaon ka sila.
to saaki k Dar pe main paye daar hun.
Surmayee aakhon se karamaat jahir Ho.
barson se jiska me hi. hakdaar hun.
nagmon ki bundon ko pirone ki kasak.
gazlon k safar par tera ummeedwaar hun.
vafaa ka tajkira na karo SHAKIR se.koi
bewafaa k ghar mein bhi saayedaaar hun
|
Umdaa janaab maza aa gaya padh ke.....yun to har sher pur asar raha par is ek sher par dil se aah nikli...yunhi likhte rahiye
de rahi hai dastakh dil mein Teri sada.
Ranz nahi hai k tera talabgaar hun.