Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Laot aayen khaas kar is bazm me aslam qadeer
Old
  (#1)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
Laot aayen khaas kar is bazm me aslam qadeer - 23rd November 2010, 08:54 PM

Hai nahi maaloom maujhko bazm me hai kiyaa huwaa
Haan magar maahaol lagtaa hai zaraa badlaa huwaa

Main tasaadum ka kabhi haamee nahi par haq to hai
Apnee baton ko sunaane ka barabar haq to hai

Kuchh dinon se dekhtaa hun log kuchh aate nahi
Merey dil ki khwaahishon ko aah bar late nahi

Merey dil ki anjuman pe os hai ab chha rahee
Khwaahishon ki har kali har aan hai mur jhaa rahee

Is qadar ab chhaa gayi zehnon pe hai uftaado khez
Na hi ghazlen bhejte hain tabserah se bhi gurez

Ham sabhi insaan hain ghalati hamaari hai sarasht
Ik khoda hai hast hast baaqee sabhi fasle nahast

Merey abbu ne kaha thaa hai yahee fikre saleem
Maaf kar de doosron ko hai wahi insaaN azeem

Aap ki ye bazm hai ye aap ka parivaar hai
Aap iske rukn hain ye aapkaa ghar baar hai

Bhool jaayen baat saaree chhod den fikree jadal
Waapsee se aap ki khushyaan milen gee be badal

Dil ki merey dast bastah hai doaa rabbe naseer
Laot aayen khaas kar is bazm me ASLAM QADEER

Last edited by masoodhassas; 23rd November 2010 at 09:00 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
noor_noor
Registered User
noor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to beholdnoor_noor is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 545
Join Date: Feb 2009
Rep Power: 25
24th November 2010, 03:15 AM

Masood bhai Assalam o aalaikum sabse pehle to bazm mai ghairhaazri ke liyN aapse aur tamaam haazreen se maazrat wajh aapko pata hi hai ke tabiyat phichle kaafi dino se bhut hi nasaaz chal rahi thi jiski bina par kuch bhi acha nahi lag raha tha sdc par bhi nahi aa sakta magr aaj jab aapki nazm daikhi to khud ko rok nahi paaya aur aa hi gaya umeed hai is gustaakhi ko dar guzar farma dainge
aapki nazm ke baare mai kya kahuN Masood bhai asl mai poocheiN to mere pass lafz nahi haiN kuch bhi kehne ko haan khaana purti hi karunga jo kuch bhi kahunga jaisa ke meiN pehle bhi keh chuka huN ke jo maharat aap rakhte haiN lafzoN ko baratne ki uske kya hi kehne haiN, kabhi kabhi socha huN ke hume ye sifat kab ata hogi to jawaab mil hi jaaya karta hai khud se, ke sohbat mai rahoge to been bajana bhi seekh hi jaaoge
aapki adaaygi mai ek zindagi hai jo bal kaathi huii nadia ke jaise door tak apne aap mai nazr ko baand kar lai jaaya karti hai aur us moR tak bhi peecha nahi choRti ke jab uska wajood un pahaadiyoN ke beech mai kahiN gum ho jaata hai jahaN se wo na to dikhaainhi padti hai aur na hi uski rawaani ka shor sunaaii daita hai magr phir bhi usko sochne usko mehsoos karne usko padne ki khaahish dil mai tishnagi ka ehsaas dilaati raha karti hai, aapki is bakaamaal nazm ke naam daad behad o behisaab mohabbatoN aur shfqatoN ke saath qubool keejiye dost
rep added

aslam


you.n na samjhoge kinare pe khade rehkar tum
behta dariya hu.n mujhy haath se choo kar daikho
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
abdulqadeert
Registered User
abdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud of
 
Offline
Posts: 289
Join Date: Jun 2010
Rep Power: 0
24th November 2010, 05:40 PM

masood bhai aadab ,,

apki nazm pe nazr parhi to mujhe khud pe taras aa giya ...bhai ghair hazri ki gustaqi ke liye mazrat khaw hun ,, ap jaise ahle ilm ki nazm me is tifle makhtab ka naam ,,faqr ka baais hai mere liye .. apke kya hi kahene hain sahab ..nazm ho ke nacr ho ke ghazal ho ke geet ho ...jawab nahi hai apka ..tareef karna suraj ko diye dikhane jaisi baat hai ...allah apko mazid barkaton se nawaze ..

bhai meri ghair hazri waqt meri apni zaati masrofiyat thi.N ...apne kami mahesos ki ye apki mahubbat o faraq dili hai ...

na jane kyun log ilteja ko bhi tanz ka pather samajh lete hain to zara si kashvish hoti hai ...bela shuba apki shirkat ne bazm ki tajjaliyat me mazeed izafa kiya hai ...jaise ke aslam sahab ne arz kar hi diya hai ke sahubat hunar pe asar andaz hoti hai ..aur mai bhi bela shuba in se ittefaq rakhta hun ...apki rahenumai naseeb rahe to khuch adab se waqifiyat ho jaye .. apki nazm go ke adab ki inteha hai sahab ..ap jaisi khush mizaj o khush akhlaq shaqsiyat se yahi umid ki jaa sakti hai ... allah hi apko iska ajr de sakta hai mai bus duaen kar sakta hun ..allah apko hamesh khush rakhe ....


talib e ilm

qadeertoopchi
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
24th November 2010, 06:03 PM

Quote:
Originally Posted by abdulqadeert View Post
masood bhai aadab ,,

apki nazm pe nazr parhi to mujhe khud pe taras aa giya ...bhai ghair hazri ki gustaqi ke liye mazrat khaw hun ,, ap jaise ahle ilm ki nazm me is tifle makhtab ka naam ,,faqr ka baais hai mere liye .. apke kya hi kahene hain sahab ..nazm ho ke nacr ho ke ghazal ho ke geet ho ...jawab nahi hai apka ..tareef karna suraj ko diye dikhane jaisi baat hai ...allah apko mazid barkaton se nawaze ..

bhai meri ghair hazri waqt meri apni zaati masrofiyat thi.N ...apne kami mahesos ki ye apki mahubbat o faraq dili hai ...

na jane kyun log ilteja ko bhi tanz ka pather samajh lete hain to zara si kashvish hoti hai ...bela shuba apki shirkat ne bazm ki tajjaliyat me mazeed izafa kiya hai ...jaise ke aslam sahab ne arz kar hi diya hai ke sahubat hunar pe asar andaz hoti hai ..aur mai bhi bela shuba in se ittefaq rakhta hun ...apki rahenumai naseeb rahe to khuch adab se waqifiyat ho jaye .. apki nazm go ke adab ki inteha hai sahab ..ap jaisi khush mizaj o khush akhlaq shaqsiyat se yahi umid ki jaa sakti hai ... allah hi apko iska ajr de sakta hai mai bus duaen kar sakta hun ..allah apko hamesh khush rakhe ....


talib e ilm

qadeertoopchi

aadaab
mere peyaare dosto
aslam and qadeer saahbaan
aap donon ne zarre ko aasmaan baane me koi kasar nahi chhoree hai aap hazraat ne jis lagaao se meree taareef ke pul baandhe hain us se koi bhi ghalat fahmee me mujhe ustaad ka darjah de saktaa hai jabki main kiyaa hun ye sirf main hi jaantaa hun
taaham aap donon ke dilee jazbaat sun kar mosarrat ki lahron me doob gayaa
peshe khidmat hai aaphazraat ke liye ( shukranah )

merey ghoroor ne bakhshaa bahot nikhaar mujhe
tumhe jo dekhaa yahaan aa gayaa qaraar mujhe

ajeeb baat hai pal pal me rooth jaate ho
magar ye sach hai ki jaldi see maan jaate ho

ye bazm aap ki ik dost hai sahelee bhi
yahaan gulaab hai champaa bhi hai chameli bhi

khodaa ke waaste peyaasee umang mat rakhnaa
jo aa gaye ho to daman ko tang mat rakhnaa

karo ye waada ki ab chhor ke na jaao ge
karee hai dostee to oumr bhar nibhao ge

doan ke saath
masood hassaas
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com