Halat -
25th February 2006, 09:38 AM
Tum poocho aur main na bataoon asay tu halat nahi hain
ek zara sa dil tota hai aur tu koi baat nahi hai
kis ko khabar thi sanwaly badal bin barse ud jate hain
sawan aya likin apni qismat main barsaat nahi
toot gaya jab dil tu yeh sans ka nagma kiya maainay
goonj rahi hai kyun shahnaeay jab koi barat nahi
gum kay andhere mein tujh ko apna sathi kyun samjhoon
tu phir tu hai mera tu saya bhi mere saath nahi
mana jeevan mein aurat ek baar muhabbat karti hai
likin mujh ko yeh tu bata de kiya tu aurat zaat nahi
khatam howa mera afsana ab yeh ansoo phonch bhi lo
jis mein koi tara chamkay aaj ki raat woh raat nahi
mere gham geen hone per ahbaba hain yun heeran SAAD
jasay mein pathar hoon mere senay mein koi jazbaat nahi
|