Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Nazar Se Nazar Jab Mile .....
Old
  (#1)
kashmiri
Registered User
kashmiri is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 59
Join Date: May 2002
Location: saudi arabia / uk
Rep Power: 22
Nazar Se Nazar Jab Mile ..... - 25th May 2002, 09:13 PM

tamam dost-o-ahba ...
salam ,aadab, tasleemat .....

men tamam ahbab ka shukriya ada karta hon jinhon ne meri ghazal ( muhabbat or doree ) pasand farmaee .... or mashkoor hon ke himmat afzaee bi ki .........

maikash ji ne chand mufeed mashwaron se nawaza ..
onka behad shukriya .. or hamari muhtarima shumaila ji ka bi shukriya onhon ne ghazal pasand farmaee ....or mene bi inke chand ashaar pare .....bare peare andaz men likhti hen ... or maikash jo ka kia kehna ...... wo bi buht peyara likhte hen ...or hamre muhtaram feroz saheb ... aapne ne be marhaba kaha or himmat afzaee ki .......... behad nawazish ...ummid he ke aap hazrat hamesha meri ghalteyoun ki tasheeh kia karenga ... jo khule dil se qabool ki jaeen gee ...

ab aap hazrat ki khidmat men chand ashaar pesh karta hon ..

nazar se nazar jab mile to .......... peyar rehta he
kisi ko kisi ka .........bara intizar ............. rehta he

tamanna-e-qurbat ...... satati he rat bhar mujhko
magar ha-e doree he ......... dil be qarar rehta he

zameeN dekhta hoN kabi aasmaN pe nazreN heN
idhar dekh loN ya odhar .... dil men yaar rehta he

wo so zulm dhaeeN magar ham to onke ho jaeeN
ajab dil he ...... ho zulm phir bi ...... nisar rehta he

faqat aapka ...
SAGAR KASHMIRI
  Send a message via Yahoo to kashmiri  
Reply With Quote
Beautiful..!!
Old
  (#2)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Thumbs up Beautiful..!! - 27th May 2002, 05:59 PM

Wah Wah Wahhhhhhhhhhhhh!!!Kya baat hai...aapki is ghazal ne dil jeet liya..Waise agar aap ek aur sher add kar dete to aap ki ghazal muqammal ho jaati

nazar se nazar jab mile to .......... peyar rehta he
kisi ko kisi ka .........bara intizar ............. rehta he
--Waah!!

tamanna-e-qurbat ...... satati he rat bhar mujhko
magar ha-e doree he ......... dil be qarar rehta he
--Bahut khoob!!!

zameeN dekhta hoN kabi aasmaN pe nazreN heN
idhar dekh loN ya odhar .... dil men yaar rehta he

wo so zulm dhaeeN magar ham to onke ho jaeeN
ajab dil he ...... ho zulm phir bi ...... nisar rehta he


Saare hi ashaar behud pasand aaye....Shukriya hamare saath share karne ka!!

Keep it up!!

Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
shukriya aapka ...
Old
  (#3)
kashmiri
Registered User
kashmiri is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 59
Join Date: May 2002
Location: saudi arabia / uk
Rep Power: 22
Smile shukriya aapka ... - 28th May 2002, 01:15 AM

salam shumaila ji ...

is qadar dani ka shukriya ...... magar men ye zaroor kahonga ....kia piddi or kia piddi ka shurba ....men to mahz mubtadi hon .....sikhne keleye aata hon .... dosre lafzon men aap talib-e ilm keh sakte hen ..
aapke ashaar bi to kam nahen hote ..... aap se ...maikash ji se ...feroz sahab se ...men sikhta hon ....
koi kami nazar aae to zaroor muttale kia karen ....

or sath sat aap hazrat ko batadon ke net par aana mera kabi kabi hota he ...isleye agar kabi der hojaae jawab dene men to mazoor samajhna .......

faqat ..

sagar kashmiri
  Send a message via Yahoo to kashmiri  
Reply With Quote
Old
  (#4)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
14th June 2002, 04:08 PM

sagar sahab
aadaab

bhaii aapki ghazal paDhii.....pasaNd aayi.....lekin ta'suraat maiN tab tak na'iiN de sakta jab tak ke aap ghazal muqammal nahiiN kar letey......mi'aaN ghazal ka "maqta" kidhar hai....?

aur 5 ash'aar kam-az-kam hone chahiye.....ye ghazal ki rivaayat hai........ziyada se ziyada 27 she'r hone hi guNjaayish di gayi lekin is pabaNdii ko aaj-kal nahiiN maana jaata.....baharhaal...maqta keh daaliye...phir hum dobara haazir ho jayeNgey

tab tak ke liye ijaazat dijiye
maikasH


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
zaroor maikash ji ..
Old
  (#5)
kashmiri
Registered User
kashmiri is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 59
Join Date: May 2002
Location: saudi arabia / uk
Rep Power: 22
zaroor maikash ji .. - 15th June 2002, 02:18 AM

aadab ..

ghazal parne ka shukreya ..

bhai koshish karonga ke mukammal kardon ....

aapne jo baten bataeen hen onka shukriya ....

or han bhai kabhi ho sake to :

aawzan par .... roshni daldia kijeye ...mera matlab aam tor par kuch bhi sheir ke bare men ...

acha 1 sawal he :

misal ke tor par mene koi wazan ikhtiyar kia ..

MAFA EELUN ( 4 MARTABA )
ab mukammal ghazal isi wazan par honi chaheye .. lekin agar kisi jaga mafa eelun ke bajae ( mafa ilun ) ho jae kia wazan men gar bari waqe ho jae gi ?

ok ...
ab ijazat

allah hafiz
sagar kashmiri
  Send a message via Yahoo to kashmiri  
Reply With Quote
MAIKASH JI ....HAZIR HUn ..
Old
  (#6)
kashmiri
Registered User
kashmiri is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 59
Join Date: May 2002
Location: saudi arabia / uk
Rep Power: 22
Arrow MAIKASH JI ....HAZIR HUn .. - 16th June 2002, 01:15 AM

AADAB MAIKASH JI ..

UMMID HE KE AAP KHERIYYAT SE HOnGE .. AAPNE KAHA KE
( MAQTAA ) LAO .. ISSE PEHLE SHUMAILA BAJI BHI KEH CHUKIn HEn KE AGAR 1 BET LIKHDETE TO GHAZAL PORI HO JATI .. BAHAR HAL HAM HAZIR HEn ..........

GHAZAL YE HE :

nazar se nazar jab mile to .......... peyar rehta he
kisi ko kisi ka .........bara intizar ............. rehta he

tamanna-e-qurbat ...... satati he rat bhar mujhko
magar ha-e doree he ......... dil be qarar rehta he

zameeN dekhta hoN kabi aasmaN pe nazreN heN
idhar dekh loN ya odhar .... dil men yaar rehta he

wo so zulm dhaeeN magar ham to onke ho jaeeN
ajab dil he ...... ho zulm phir bi ...... nisar rehta he

batata he kiyouN raz apne .... ae SAGAR-E nadaN
kahaN is jahaN meN koi ......... raz dar rehta he!!!

FAQAT ...... WASSALAM

SAGAR KASHMIRI
  Send a message via Yahoo to kashmiri  
Reply With Quote
ye huyi na baat
Old
  (#7)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Thumbs up ye huyi na baat - 16th June 2002, 01:26 AM

Waaaaaah Sagar!!

Ye huyi na baat...ab lag rahi hai ghazal muqammal

Maqta bahut hi shandaar hai..Mubarak ho!!

batata he kiyouN raz apne .... ae SAGAR-E nadaN
kahaN is jahaN meN koi ......... raz dar rehta he!!!


Kya baat kahi hai..bhai wah!!

Bahut khoob...

Tumhari,
Shumaila baji


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
SALAM
Old
  (#8)
kashmiri
Registered User
kashmiri is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 59
Join Date: May 2002
Location: saudi arabia / uk
Rep Power: 22
SALAM - 16th June 2002, 03:33 AM

SALAM BAJI ..

AAPKA BE HAD SHUKRIYA AAPKO MAQTA PASAN AAYA ...

ALLAH AAPKO KHUSH-O-KHURRAM RAKKHE .......AAMEEN

ALLAH HAFIZ

SAGAR KASHMIRI
  Send a message via Yahoo to kashmiri  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Mile Kabhi Gar Nazar To Meri Nazar Padhlena nihar Shayri-e-Ishq 9 20th January 2009 01:48 AM
Nazar Sa Nazar Milaoo K Raat Kutt Jaye DreamHealer Pyaar Bhari SMS Shayri 0 3rd March 2007 09:50 PM
Nazar nazar say mila kar sharaab peetay hain - by Tasneem Farooqi Mahek Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 5th December 2002 12:38 AM
kahi nazar nah laag jaye nazar ki khozii Shayri-e-Ishq 0 29th May 2002 12:32 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com