Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Main LauT aayaa huun.
Old
  (#1)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
Main LauT aayaa huun. - 11th February 2007, 03:55 PM

DostoN ek taweel wakfe ke baad aapki khidmat mein haazir hoon.
Kuch khaas nahi bass darj-e-zeyyl nazm huee hai.. ummeed hai apni raayy se nawazenge.


naa woh pehli si baatein hain naa woh pehla sa apnaapan,
main abb kisse kahuun kaise kahuun main lauT aayaa huun.

gayaa tha main hazaaroN khwaab lekar shehar ki jaanib,
magar abb hoke dekho sarr-niguun main lauT aayaa huun.

mere ehsaas jabb bazaar mein kuch paa nahi paaye,
mili zillat mujhe jab kuu-ba-kuu main lauT aayaa huun.

ayy mere gaanv mujhko shehar ne sabb kuch bhulaa dalaa
magar ek roz jab yaad aayaa tuu main lauT aayaa huun.

Yeh mere jism ki harr rag hain mere gaanV ki galiyaaN,
Yahaan ke log hai behtaa lahuu main lauT aayaa huun.

hain abb bhi gharr ke darwaaze pe "Talib" muntazir aakhein,
hain meri jeet mere ruu-ba-ruu main lauT aayaa huun.


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
11th February 2007, 04:21 PM

namskaar talib ji

aaj aap lambe arse baad yahaaN tashreef laayeN aur sach maniye bahot hi khusi hui apako yahaaN dekh ke talib ji waise maine aapki sabhi peshkas paRHii hai..aur socha tha thi kabhi mauka mil jaayeN aapki peshkas se ek bar ru-b-ru hone ka lagta hai khuda ne meri sunli aaj maiN apne aap ko baRaa khuskismat manta huN kii aapne paRHne ka mauka diya , kyuNKi aapki un poorani sabhi peshkas ko paRH ke maiN bahot kuch sikha huuN

aapko wapas yahaaN laut aate dekh baRii khushi hui aur in meiN base hue ehsaasoN ko samjh sakta huN bahot hi achha laga aapka yeH kalaam lambe arse baad aap aayeN ho par wohi andaz hai aur wohi jazbaa hai dil meiN jo maine dekha tha aur mehsoos kiya tha aapki poorani tehreer meiN


bas itna hi kahunGaa taib ji ki yuhiN aate raheN aap aur bazm ko sajaate raheN,yeH parivaar bilkul waisa hai jaisa aapke waqt tha bas thoRe hum jaise naye sadasya in meiN shamil ho gaye haiN taki aapse hame sikhne ka mauka mile, insaah allah!!

khuda apako khus rakheN , apna khayal rakhiyenGaa

duaoN ke sath ijaazaT

aapka dost
dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...

Last edited by Dhaval; 11th February 2007 at 04:24 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
12th February 2007, 12:07 AM

hi dear talib bhaiya
kaise ho aap??
itne din baad apko dekha to jaise nai rangineeya aa gai shayri kis ite par.
apko pata hai kitna waqt hua apse ru-b-ru huye.
aaj apko paya to bahut khushi hui mujhe dilse.


naa woh pehli si baatein hain naa woh pehla sa apnaapan,
main abb kisse kahuun kaise kahuun main lauT aayaa huun.

mein hun na kuch apnapan laai hun na apne sath. aap mujhse kaho na ki aap aa gaye ho. pata hai mein bahut khush hun.

gayaa tha main hazaaroN khwaab lekar shehar ki jaanib,
magar abb hoke dekho sarr-niguun main lauT aayaa huun.

yaisa nahi hona chahiye na. khawab pure honge apke jaroor

mere ehsaas jabb bazaar mein kuch paa nahi paaye,
mili zillat mujhe jab kuu-ba-kuu main lauT aayaa huun.

hey ye kya baat hui bhala. acha nahi laga padke aapka ye sher mujhe.

ayy mere gaanv mujhko shehar ne sabb kuch bhulaa dalaa
magar ek roz jab yaad aayaa tuu main lauT aayaa huun.

bahut acha kiya jo aap aa gaye. yahn kitna veerana lag raha hai mujhe koi purana nahi milta to.

Yeh mere jism ki harr rag hain mere gaanV ki galiyaaN,
Yahaan ke log hai behtaa lahuu main lauT aayaa huun.

bahut khub raha ye sher apka.dard se bhara hua ya lahu se bhara kya kahun samjh nahi aa raha.

hain abb bhi gharr ke darwaaze pe "Talib" muntazir aakhein,
hain meri jeet mere ruu-ba-ruu main lauT aayaa huun

such aap jarur jeete ho.
apka aana kitni khushi dega logo ko jab unka pyar milega na phir se to apko pata lagega.
bas ab kahin a jana.thik hai na.
meri daad kubul kare.
sakhi with love


कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote
Old
  (#4)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
13th February 2007, 03:34 AM

talib bhai jaan,

yakeen maaniye, ek bahut hi umde darze ke kalaam se ru-ba-ru karaya aapne, muddotoN baad hi sahi par mehfil ko fir apne rang se bhigoo diyaa aapne, jab v mauka mila aapke kalaamoN ko apdhne ka, yakeeN maaniye,bahut kuch seekhne ko mila, guzarish bas yahi rahegi ki aap aage v mehfileN sajane ki jehmat uthaayeN...!



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
hi
Old
  (#5)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
hi - 13th February 2007, 09:44 PM

hi
Talib Sahab.
kiya hal hay?
bohat acha likha hay..parh kar bohat acha laga...yar ap jaise acha likhne wala jane likhte likhte kaha kho jate hain...bhai likhte raha karo.
bohat acha laga.
take care
khan


banjara''''
agar mohabbat hay to judai kiyon
or judai main mohabbat kasi????
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
14th February 2007, 03:53 AM

Behad khoobsoorat rachna pesh karne ke liye daad aur mubarakbaad dono hi kubool keejiye...

Mehfil me aapke agle rang ka intzaar rahega..

Take Care..

~Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
14th February 2007, 01:32 PM

taalib jee:

aadaab!

sab se pahle yahaaN dubaara rukh karne ke liye tah-e-dil se Shukriya.. aap to aise gaayab ho gaye the jaise gadhe ke sar se singh.. waqaii aap ki kamii bazm meiN khal rahii thii.. aap ko dubaara dekha to bohat khuShi huii...


Aur aap ne aate hi ek khuubsuurat si nazm yahaaN pesh kiyaa hai... yuuN to ham aap ke fann ke pahle se qaa'el haiN, lekin jab bhii paRhte haiN aap ko aur qaa'el ho jaate haiN


Quote:
naa woh pehli si baatein hain naa woh pehla sa apnaapan,
main abb kisse kahuun kaise kahuun main lauT aayaa huun.

gayaa tha main hazaaroN khwaab lekar shehar ki jaanib,
magar abb hoke dekho sarr-niguun main lauT aayaa huun.

mere ehsaas jabb bazaar mein kuch paa nahi paaye,
mili zillat mujhe jab kuu-ba-kuu main lauT aayaa huun.

ayy mere gaanv mujhko shehar ne sabb kuch bhulaa dalaa
magar ek roz jab yaad aayaa tuu main lauT aayaa huun.

Yeh mere jism ki harr rag hain mere gaanV ki galiyaaN,
Yahaan ke log hai behtaa lahuu main lauT aayaa huun.

hain abb bhi gharr ke darwaaze pe "Talib" muntazir aakhein,
hain meri jeet mere ruu-ba-ruu main lauT aayaa huun.
huzuur, ek ek misre dil meiN seedhe utar gaye tah-e-dil se Shukriya yeh nazm ham sab se baaNTane ke liye..Aaghaaz se anjaam tak khuub kahii hai aap ne... ham Sukh ki talaas meiN duur nikal to jaate haiN, paisa, sohrat, kaamyaabi to mil jaate haiN, lekin jo dil ki khuSHi apne jagah meiN aakar hi milti hai.. YuuN hii likhate raheN..

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#8)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
16th February 2007, 08:08 AM

talib saaheb

tasleem

miyaaN aap to eid ka chaaNd hi hogaye, khair der aayad durust aayad!


meri aur sab dostoN ke jaanib se aapka phir se khair-makhdam hai

ummiid hai ab ki baar aap aate-jaate raheNge


aapki Ghazal bohat pasaNd aayi , mubarakbaad qabuul farmaaiye


shukriya

maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#9)
Merul
Registered User
Merul will become famous soon enoughMerul will become famous soon enough
 
Merul's Avatar
 
Offline
Posts: 1,008
Join Date: Feb 2006
Location: India (Surat)
Rep Power: 21
16th February 2007, 10:53 AM

hi talib ji
how r u?

aap lambe arse baad aaj nazar aaye
aapko ek alag andaaz mein dekh kar achchha laga


ayy mere gaanv mujhko shehar ne sabb kuch bhulaa dalaa
magar ek roz jab yaad aayaa tuu main lauT aayaa huun.


talib ji aapki ye line mujse bhi match karti hai mein bhi ek gaanv se hu aur abhi shaher mein aake basa hu
sach mein gaanv ki bahut hi yaad ati hai aaja apne is line se meri yaadon mein ek nayi yad bhar di hai

ese hi likhte rahiyega
aapka dost
Merul

Quote:
Originally Posted by talib View Post
DostoN ek taweel wakfe ke baad aapki khidmat mein haazir hoon.
Kuch khaas nahi bass darj-e-zeyyl nazm huee hai.. ummeed hai apni raayy se nawazenge.


naa woh pehli si baatein hain naa woh pehla sa apnaapan,
main abb kisse kahuun kaise kahuun main lauT aayaa huun.

gayaa tha main hazaaroN khwaab lekar shehar ki jaanib,
magar abb hoke dekho sarr-niguun main lauT aayaa huun.

mere ehsaas jabb bazaar mein kuch paa nahi paaye,
mili zillat mujhe jab kuu-ba-kuu main lauT aayaa huun.

ayy mere gaanv mujhko shehar ne sabb kuch bhulaa dalaa
magar ek roz jab yaad aayaa tuu main lauT aayaa huun.

Yeh mere jism ki harr rag hain mere gaanV ki galiyaaN,
Yahaan ke log hai behtaa lahuu main lauT aayaa huun.

hain abb bhi gharr ke darwaaze pe "Talib" muntazir aakhein,
hain meri jeet mere ruu-ba-ruu main lauT aayaa huun.


!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! !!!!!!!!





Dhoka diya tha jab tumne mujhe,
Tab dil se me naraz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal du,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha.


Merul~~~~~~~~~~>
  Send a message via Yahoo to Merul  
Reply With Quote
Old
  (#10)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
21st February 2007, 09:42 AM

Yeh mere jism ki harr rag hain mere gaanV ki galiyaaN,
Yahaan ke log hai behtaa lahuu main lauT aayaa huun.

Ek saada khayaal! Ek umda nazm! Yeh Sahib-e-hunar ke siwa kaun kar sakta hai...dua hai ki aapka har ek khwaab poora ho...aur aap kabhi kabaar sahi...inn shayri com kee galiyon mein phera lagaate rahein aur apni bemisaal tehreeron se hamein nawaazte rahein...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
shrdh
Registered User
shrdh will become famous soon enoughshrdh will become famous soon enough
 
shrdh's Avatar
 
Offline
Posts: 1,474
Join Date: Dec 2005
Location: singapore
Rep Power: 21
22nd February 2007, 01:46 PM

lo mili inhe fursat ab aane ki ab aa gaye hain to maine jo janamdin ki badhayiyan bheji thi wo bhi dekhna

kaha the waise aap dost ji ? baki shayri ke bare main baad main bata kaurngi


  Send a message via Yahoo to shrdh  
Reply With Quote
Old
  (#12)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
22nd February 2007, 04:45 PM

Namaskaar Talib Ji,
Bahaut accha laga aapko yahan itney samay baad dekhkar. Ummeed hai aap isi tarah aapki kalam ko parhne ka mauka detey rahenge.

dhanyavaad

aapka
vipin


विपिन


   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Tark kousar ki, abhi maykadey mein aayaa huun! abdbundeli Ghazal Section 0 23rd September 2010 03:56 PM
Sab ke dil se utar gya huun main, Mohammad Kashif Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 1st November 2008 11:23 PM
tum jise main sochta huun baagi Hindi Kavitayen 2 15th August 2008 11:48 AM
ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN clicksahil Shayri-e-Dard 1 11th July 2008 01:34 PM
main laut ayaa hoon apne parivaar main..... ahsan Shayri-e-Dard 7 20th February 2007 02:02 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com