Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Mujhe sataaye sadaa payalon ki chhan chhan chaan
Old
  (#1)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
Mujhe sataaye sadaa payalon ki chhan chhan chaan - 24th November 2010, 08:36 PM

adaab dosto dil ki sarguzasht liye haazir hun ummed ki doaaon se nawaazen ge

Mujhe sataaye sadaa payalon ki chhan chhan chaan
badhaaye rog meraa payalon ki chhan chhan chaan

hesaare zulf me aayaa kabhi jo dil meraa
merey sho”oor pe qabzah rahaa sanam teraa
mujhe khayaal ki raanaaiyon ne jab gheraa
hodoode aagahee se badh gayaa qadam meraa

lutaayaa ishq me main ne bhi apnaa tan man dhan

gahe khayaal me kuchh der guftagu kar lun
tumhaare husn se main ishq roo baru kar lun
jo baat dil me hai us ko mai doo badoo kar lun
tumhaare jism ki gangaa se main wazoo kar lun

main ek jogee hun tum ko banaa dun bairaagan

qalam hai meraa tasawur meree dewaat ho tum
tum ek sher nahi balki kulliyaat ho tum
haseen o khoobaroo phoolon ki waaredaat ho tum
meraa qaraar ho tum meree kaainaat ho tum

tumhen na dekhun to badh jaaye meree aor jalan

Reply With Quote
Old
  (#2)
LAMHA
beautiful moment.........
LAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant future
 
LAMHA's Avatar
 
Offline
Posts: 6,429
Join Date: Jul 2007
Location: u.s.a
Rep Power: 42
Smile 24th November 2010, 08:55 PM

Quote:
Originally Posted by masoodhassas View Post

adaab dosto dil ki sarguzasht liye haazir hun ummed ki doaaon se nawaazen ge

Mujhe sataaye sadaa payalon ki chhan chhan chaan
badhaaye rog meraa payalon ki chhan chhan chaan

hesaare zulf me aayaa kabhi jo dil meraa
merey sho”oor pe qabzah rahaa sanam teraa
mujhe khayaal ki raanaaiyon ne jab gheraa
hodoode aagahee se badh gayaa qadam meraa

lutaayaa ishq me main ne bhi apnaa tan man dhan
Mujhe sataaye sadaa payalon ki chhan chhan chaan
badhaaye rog meraa payalon ki chhan chhan chaan

gahe khayaal me kuchh der guftagu kar lun
tumhaare husn se main ishq roo baru kar lun
jo baat dil me hai us ko mai doo badoo kar lun
tumhaare jism ki gangaa se main wazoo kar lun

main ek jogee hun tum ko banaa dun bairaagan
Mujhe sataaye sadaa payalon ki chhan chhan chaan
badhaaye rog meraa payalon ki chhan chhan chaan

qalam hai meraa tasawur meree dewaat ho tum
tum ek sher nahi balki kulliyaat ho tum
haseen o khoobaroo phoolon ki waaredaat ho tum
meraa qaraar ho tum meree kaainaat ho tum

tumhen na dekhun to badh jaaye meree aor jalan
Mujhe sataaye sadaa payalon ki chhan chhan chaan
badhaaye rog meraa payalon ki chhan chhan chaan
Hassaas ji,

wahhhhhhhhhhhhh......... wahhhhhhhhhhhhhh......... wahhhhhhhhhh... kya baat hai janab... aise dilfareb kalaam pe ye mehfil kurbaan... kya kahu, lafz bhi ghabra rahe hai kuch kehne se...jis dilruba ke husn pe aisa khubsoorat kalaam kaha gaya hai uspe guroor aana waajab hai... hazaaro laakho daad..... yuhi likhte rahiye....khush rahiye.....

"LAMHA"

mujhko acchaa nahiiN lagtaa ko’ii hamnaam teraa ,
ko’ii tujhsaa ho to phir naam bhii tujhsaa rakhe....
  Send a message via Yahoo to LAMHA  
Reply With Quote
Old
  (#3)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
Love 26th November 2010, 11:12 AM

bahut khoob............................................. ..........

Aapka Apna
Ishk

'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है

email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
abdulqadeert
Registered User
abdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud ofabdulqadeert has much to be proud of
 
Offline
Posts: 289
Join Date: Jun 2010
Rep Power: 0
26th November 2010, 06:11 PM

masood bhai aadab ,,

wah masood bhai kya nazm hai wah wah ...lagta hai apne jaame shahadat pine ka beeda utha hi liya hai he he he...allah apko khush rakhe bhai ...dad hazir hai aur reps bhi ..

dua go

qadeertoopchi
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
28th November 2010, 06:32 PM

Quote:
Originally Posted by LAMHA View Post
Hassaas ji,

wahhhhhhhhhhhhh......... wahhhhhhhhhhhhhh......... wahhhhhhhhhh... kya baat hai janab... aise dilfareb kalaam pe ye mehfil kurbaan... kya kahu, lafz bhi ghabra rahe hai kuch kehne se...jis dilruba ke husn pe aisa khubsoorat kalaam kaha gaya hai uspe guroor aana waajab hai... hazaaro laakho daad..... yuhi likhte rahiye....khush rahiye.....

aadaab
lamha saahbah
janaab aap ki daad qaabile daad hotee hai aor daad dene ka andaaz us se bhikaheen zeyaadah dilfareb hota hai shaayad yahee sabab hai ki aap sdc pe har dil azeez hain
main shukr guzaar hun ki aap ne meree ghazal ko laaiqe taseen jana aor daad se nawaaza
khodaa aap ki tamannaon ko poora kare ammen
mukhlis
hassaas
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
29th November 2010, 11:23 PM

Quote:
Originally Posted by ISHK EK IBADAT View Post
bahut khoob............................................. ..........

adab
bhai taakheer ki maazarat
main aap ka tahe dil se shukria adaa kartaa hun aor aap ke haosle ki daad bhi ki aap is tarah har ek ko daad se nawaazte hain
allah aap ko khush rakhe
masood hassaas
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
1st December 2010, 08:08 AM

Quote:
Originally Posted by abdulqadeert View Post
masood bhai aadab ,,

wah masood bhai kya nazm hai wah wah ...lagta hai apne jaame shahadat pine ka beeda utha hi liya hai he he he...allah apko khush rakhe bhai ...dad hazir hai aur reps bhi ..

dua go

qadeertoopchi

aadaab qadeer bhai
aap kahte hain ki jaame shahaadat nosh karne ka khiyaal hai ...... jabki soorate haal ye haijanaab ki ham sar kataa chuke hain aor ab sar katee laash liye koochaye jaanaan me ghoom rahe hain dekhte hain ki khoon kitnaa rang laaye gaa
apnaa khiyaal rakhiye gaa
masood hassaas
   
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com