Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Maazi Ne Bulaya Hai
Old
  (#1)
roopali
sifar
roopali is a jewel in the roughroopali is a jewel in the roughroopali is a jewel in the roughroopali is a jewel in the rough
 
roopali's Avatar
 
Offline
Posts: 957
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 24
Maazi Ne Bulaya Hai - 29th May 2004, 01:24 PM

Khwabon ki Aahtein takk aani band ho gayi
Shama Shabb bhar Jalti rahi phir Khaak ho gayi

Yaadon ki Sard Purvai se khud ko Bachaye baithe hain
Mayusi ki Chaadar iss Kadar Tan se Lagaye baithe hain

Dekho Aaj toh Khamoshi bhi Ga rahi hai
Dil Toota hai Koi aur Aawaaz Yahan takk Aa rahi hai

Ashkon ko Vidayi dekar kal Aankhon ne Saaz uthaya tha
Maine bhi apni Tanhai ko kal ik Nagma sunaya tha

Ghum ki Maar ne ek Zakhm lagaya hai
Dard ka Kasoor nahin humein Maazi ne Bualya hai


Main zakhm zakhm hoon phir bhi tujhe dikhayi na doon
tadap uthoon bhi toh zalim teri duhayi na doon
(NM)
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
afsaana
Registered User
afsaana is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 2
Join Date: May 2004
Location: India
Rep Power: 0
29th May 2004, 01:40 PM

its nice
i like ur thought

aa bhi jaao ki zindagi kam hai
tum nahin ho to har Khushi kam hai

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahin
shahar mein aaj raushani kam hai

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaada hai chandani kam hai

aaina dekh kar Khayaal ayaa
aaj kal un ki dosti kam hai

tere dam se hi main mukammal huun
bin tere tera 'afsaana' kam hai


AfsAanA
  Send a message via Yahoo to afsaana  
Reply With Quote
Old
  (#3)
roopali
sifar
roopali is a jewel in the roughroopali is a jewel in the roughroopali is a jewel in the roughroopali is a jewel in the rough
 
roopali's Avatar
 
Offline
Posts: 957
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 24
30th May 2004, 11:48 AM

aa bhi jaao ki zindagi kam hai
tum nahin ho to har Khushi kam hai

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahin
shahar mein aaj raushani kam hai

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaada hai chandani kam hai

aaina dekh kar Khayaal ayaa
aaj kal un ki dosti kam hai

tere dam se hi main mukammal huun
bin tere tera 'afsaana' kam hai


khoob kaha Afsaana..tx a lot 4 appreciating my lines.
take care


Main zakhm zakhm hoon phir bhi tujhe dikhayi na doon
tadap uthoon bhi toh zalim teri duhayi na doon
(NM)
   
Reply With Quote
thanks for reply
Old
  (#4)
afsaana
Registered User
afsaana is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 2
Join Date: May 2004
Location: India
Rep Power: 0
thanks for reply - 1st June 2004, 01:32 PM

Thanks for reply i hope u like thisone also


Chandni ratonko sara jahan sota hai
lekin kisi ki mohabat me
koi badnaseeb rota hai
Khuda kisiko mohabat me fida nakare
aagr kareto qyamat tak juda na kare


AfsAanA
  Send a message via Yahoo to afsaana  
Reply With Quote
Old
  (#5)
sanjoo
MriiGchiika
sanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to all
 
sanjoo's Avatar
 
Offline
Posts: 1,664
Join Date: Sep 2002
Location: INDIA (Mumbai)
Rep Power: 28
1st June 2004, 08:57 PM

Hey roopsss too na ab kyaa kahuu...dekh kuch dikha raha huu fhir bole gii gurujii kaha thai ab tak....

http://www.urdupoetry.com/ydas01.html

aa bhii jaao kii zindagii kam hai


aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n
shahar me.n aaj raushanii kam hai

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai

aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai

tere dam se hii mai.n mukammal huu.N
bin tere terii 'Yamini' kam hai

Hey afsaana tumne tao sach mai apne naam sa kaam kar diyaaa....yuu na karte hai jiss ka kalaam hai uss insaan ko purii ijjaT denii chahiiye naa.....ummid hai ab ye galtii na karoge kabhii..........plzzzzz na karoo yuu.....Sanju!

PS:Roopalii yaar hume tao aaj tak kisi ne miss nahi kiyaa..tum nahak hii bate banatii hoo.... byeeeee sweet heart take care..sorry yaar tere kalaam ki tarif karna tao bhul hii gaya ...lol....acha hai chalegaa...


Jindagi se to khair shikvaa tha,

muddato mout ne bhi tarsaaya hame..

.....
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
roopali
sifar
roopali is a jewel in the roughroopali is a jewel in the roughroopali is a jewel in the roughroopali is a jewel in the rough
 
roopali's Avatar
 
Offline
Posts: 957
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 24
2nd June 2004, 04:26 PM

Afsana …that is not good…aise nahin karte yaar..very bad..anyways ab try karna ki aisi galti doobara na ho…ok?


Main zakhm zakhm hoon phir bhi tujhe dikhayi na doon
tadap uthoon bhi toh zalim teri duhayi na doon
(NM)
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
roopali
sifar
roopali is a jewel in the roughroopali is a jewel in the roughroopali is a jewel in the roughroopali is a jewel in the rough
 
roopali's Avatar
 
Offline
Posts: 957
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 24
2nd June 2004, 04:29 PM

Sanjoo..ji
Hmm…..sabse pehle toh tx telling me bout Yamini’s poem…and secondly aapka bahut bahut shukriya jo aapne mera kalaam pada aur meharbaani aapki ki aapne meri post par apna keemati waqt jaaya kiya…..hum aabhari hain aapke..

Hmm ye baat bhi bikul theek kahi aapne ki koi kissi ko miss nahin karta….and waise bhi jisse miss kiya jata hai wo insaan toh ye kabhi samajh hi nahin paata..kher main samjha doongi uss insaan ko..ok?
Aapka hi ek sher hai jo yaad aa raha hai..likh hi deti hoon

Har dard humdard ko sunaya nahi karte
Ansu hai motii unhe yuu zaaya nahi karte...

Dosti kar k yakeen Toda nahi karte
Zaleem duniya hai aur dushman banaya nahi karte ....

Har pathaR ko Pooja nahi karte
ban gaye hai Kuch Bhagwan ab vo suna nahi karte

Bilkul sahi farmaaya hai…chalti hoon
Byee take care


Main zakhm zakhm hoon phir bhi tujhe dikhayi na doon
tadap uthoon bhi toh zalim teri duhayi na doon
(NM)
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Usne Bulaya Mehfil Mein Jalane Ke Liye, kishor Shayri-e-Dard 0 15th December 2009 07:20 PM
maazi me_kazim Shayri-e-Dard 0 24th July 2006 08:28 AM
Maazi ki Yaadei Sonali S.C Shayri-e-Dard 2 31st March 2006 02:40 PM
ghazal...itni ulfat se mujhe to naa bulaya karo mohsinlove Shayri-e-Ishq 0 21st February 2003 08:29 PM
Iss maazi ki kashti.. ashish_dave Shayri-e-Ishq 0 19th June 2002 09:49 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com