Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > Informative Stories

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
paras
Old
  (#1)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
paras - 23rd July 2004, 09:51 AM

mere sabhi dost,

samaj nahi aa raha thha k yah baat kis jagah ki jaaye... or yaha aa gayi hu... yahi soch kar k 'paras' jaha bhi ho apni chaap banahi le. koi shak nahi.

aaj subah humari dost 'paras' ki kitaab chhap kar aayi hai.
paras............. mere dil ki shubkaamna or abhiwaadan... tumhare liye.......... humesha aage badhhti raho.

or....... maie chahungi ke tumhari is kitaab ke baare maie tum kuchh bataao humae........
tum par hum sabhi dost ko garv hai.
khush raho.

meena
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
23rd July 2004, 11:43 AM

Hmmm... Paras has always been a wonderful writer... yeh to hum sabhi jante hain...... above that she is a nice human being too.... Its really heartning to hear that she has taken another step upwards...

Paras,

My heartiest congratulations on the release of your new book... Seriously I am looking forward to hear more about it.... Afterall, somebody form the shayri family is making rave reviews... and am really excited about it...... and why not? It was always an honour to be sharing the forums with u... and now.... I can boast of having shared the lists with a world renowned writer .

Here's Wishing u all the success and glory. May u achive all your goals. A small quote...

Sweet r u, Sweet u Remain,
Height of Success may u Attain
==============================

Finally, thanks meena di for keeping us informed....

Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Re: paras
Old
  (#3)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Re: paras - 23rd July 2004, 11:56 AM

Pyaari Meena jee...

Mujhe samajh mein nahin aa raha ki main apne dil se umadhati bhavnaaon ko kaise likhoon...mujhe apni kitaab ko haath mein lekar kuch bhi mehsoos nahin hua thaa...lekin usi waqt aapko online dikha kar, baat kar ke kahin zyaada khushi huyi thee...

bus baad mein kaam mein lag gayi...jab lauti hoon tau apne naam kee post dekh kar bhaagi chali aayi...aap mujhse kahin zyaada khush nazar aa rahin hain...aur aapki muskurahat mujhe kahin zyaada khushi de rahi hai...aap sab doston se apni story share karke mujhe bahut khushi hogi...

yahan jo pyaar jo duaayein mujhe milin hain...main unke liye bahot aabhari hoon...

luv you meena jee, aapka pyaar jise mil jaaye wahi 'sona' ho jaaye...mujhe yeh pyaar hamesha chahiye...ab nahin lautaungi...bus

aapki paras

*aur mujhe aapki translated story ka intezzar hai...bhulieygaa nahin...

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Mubarak
Old
  (#4)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Smile Mubarak - 23rd July 2004, 12:31 PM

Mubarak ho paras aapko safalta ka ye padaav..mari shubhkaamnaaein sada aapke saath hai....

Shukriya Meenaji...is khushkhabri ko hamtak pahuNchane ke liye.

Chaand

Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Love 23rd July 2004, 04:19 PM

Dear Meena, umeed karti houn aap theek hongi. Dil se shukriya kubool kijiyega. As always... Lots of hugs & a lily for you. Bohot arsa baate nahin houi, issliye...Khush rahiye yeh Duwaon ke sath ijaazat chahoungi. Take care. God bless you.

Keep smilling.......

*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**

Last edited by Shimul; 23rd July 2004 at 04:23 PM..
   
Reply With Quote
Duwa hi hain aur rahegi...
Old
  (#6)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Cool Duwa hi hain aur rahegi... - 23rd July 2004, 04:22 PM

Dear Paras, jankar bohot khushi houi...lots of the flowers & lots of hugs too. Talk to you later on...khush rahiye yeh Duwaon ke sath ijaazat chahoungi. Take care. God bless you.

Keep smilling.......

*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
23rd July 2004, 04:42 PM

Paras aap sab ki dost hogi meri to behen hai, lekin ab tak hairat main hoon ki aakhir behen ne apne bhai se ye kitaab wali baat abhi tak kyun chupaakar rakhi. Is mein koi shak nahin ki paras ek ubharti hui naujawaan Shayra hai and I wish her all success in life.
regards
Sahil
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
23rd July 2004, 07:54 PM

Congrats Paras..

I hope I deserve a free copy of your book, bhai koi tau faayda ho na tumhe behan banane ka..lol

Looking forward to know more about your book..

Varinder

kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
23rd July 2004, 11:46 PM

Paras ji,

Bahut bahut mubarak ho...

Yeh to bahut hi khushi ki baat hai, ki humare dost ki kitaab chap gayi hai...

Kitaab ke baare mein zaroor bataaiyega...

Khush rahiye...

Meena didi
Aap agar Paras ji ki kitaab ke baare mein nahi bataate to shayad kabhi pata bhi na lagta...

~Priya

"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Reply With Quote
Old
  (#10)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
24th July 2004, 11:03 AM

Mein meena ka shukr guzaar hoon jinhon ne hamein hamari behan ke is kaarnaame ke bare mein bataya.

Aur paras mein tum se kyaa kahoon, siwaaye is ke ke tum ne hamara sir fakhr se buland ker diyaa hai.
Mujhe is baat ki khushi 2 tarah ki hai. Ek yeh ke is forum ki ek saathi “saheb e kitaab” ho gaee hai aur duusri yeh ke is kaarnaame ko anjaam dene waali koee aur naheen meri behan hai. Goya :
“MEIN KHUSH HOON KE PARAS NE YEH DAAD TO PAAEE”
IS QEHT-E-NAWA MEIN KOEE AAWAAZ TO AAYEE
HAM KHUSH HAIN KE BEHNA NE YEH KAAM KIYA HAI
FORUM KO HAMARE BOHAT DAWAAM DIYAA HAI
AIY KAASH YUNHI LIKHTI RAHE PARAS HAMARI
PEECHE KO NA DEKHE, BARE AAGE KO SAWARI

Paras meri dheron duayen sirf aur sirf tumhare liye hain,
Agar ho sake to apni kitaab ki details mujhe bataao aur yeh batayo ke mein is ko kis tarah parh sakta hoon ke mein apni behan ke is kaarnaame ko parhne ke liye bechain hoon.
Ejazat chahta hoon is apne pan ke saath ke jahan raho khush raho aabaad raho, aur apna khayal rakho, ke tum ho to raunaq hai is bazm ki .

Musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
24th July 2004, 12:07 PM

WoW!

aap sab doston kee duaayein, pyaar dekh kar tau mujhe ab lag raha hai...koyi morcha maar aayi hoon...

Meri pyaari meena ji...yeh sab aapki wajah se mujhe naseeb huaa...aapka hukum maan yahan aayi hoon apni story share karne ke liye sabke saath...

Magar us se pehle main aap sabse kehna chaahoongi ki main tau wahi Paras hoon...chehekti huyi, hansti huyi lekin dard ke kalam ko kas ke pakadti huyi....aur haan apni khaalis urdu se sabko jhunjhlaati huyi...lol...i like this part the best...lol

Title hai..."Whispering Vines"

The heroine, Daphne Deveraux is from Montreal, but the story unfolds in the Vineyards of Damian Antunez' world famous wines, in Chillan, Chile. The beginning finds us in a hospital room where Daphne gains consciousness and discovers that her friend, Francine, with whom she had traveled, died in the plane crash and whereas she received merely non life threatening injuries. Francine's two year old child Anna survived also.

Daphne is persuaded, first by reason, then by threats, by Damian to disguise as Francine (Daphne's friend and Damian's sister-in-law) because of Damian's ailing mother, Dona Isidora who has recently lost her son, Francine's husband and who may not survive the shock of losing her daughter-in-law as well. Since she had never met Francine the deception would not be found.

Daphne accepts, for it would give her opportunity to stay close to Anna. Her only condition is that Damian would tell Dona Isidora the truth, after the latter gains back some strength. Once Daphne is ensconed at the Antunez Hacienda, and is questioning her deception, the inevitable happens and she finds herself falling for the head of the family, Damian. It is painful for the young French Canadian to assimilate into a far different culture while still grieving her loss of a dear friend.

Daphne's life has become a deceit--trying to be Francine for Dona Isidora and trying to keep her feelings for Damian a secret. Damian does not hide that he suspects Daphne to be a gold digger. He hides well the fact though--that observing Daphne's love for Anna and her genuine caring for his own mother--he has started falling for her too.

A few conflicts are bound to arise where the Antunez family can trace their roots to the days of Conquistadors--when traditions are dearer than life--when marriages are between families and not just bride and the groom.

All hurdles are overcome if the love is true love. So it is with Damian Antunez and Daphne Deveraux. Their souls meet in passion and soar...

bus yahi meri kahani ka saraansh hai...ummiid hai aapko pasand aayeigi....

luv you all

paras

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan

Last edited by Parastaar; 24th July 2004 at 12:09 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
24th July 2004, 06:32 PM

Paras...

Safalta ki sidhiyaaN aisi hi chadhti raho.. Taki ham fakr se kah sakeN ki paras hamaari bhi dost hai... achchha laga yah khaber sun kar...

Dance like no one's watching, sing like no one's listening, love like you'll never get hurt, and live like it's heaven on Earth!

Best wishes..

MayanK
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#13)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
25th July 2004, 07:14 AM

Sweet r u, Sweet u Remain,
Height of Success may u Attain

Dear Sweet Pulkit...

Baatein khuub bana lete ho...hamari tareef jhooti hee sahi...lekin bahut bhali lagti hai...tumne tau mujhe book release ke pehle hee 'Rave Reviews' ke khwaab dikha diye...release is Mid August...will let you know...

take care...paras

------------------

Chaand Sahib...

Yadi Chaand ki dua hamare saath ho tau bhala hum seedhiyaan kyon nahin chadheinge...hai na? Shukriyaa

paras

--------------------

Pyaari shimul...

Tumhari Lilies kee khushboo abhi tak mehka rahi hai mujhe...Lots of hugs to you too...

paras

-----------

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
25th July 2004, 07:29 AM

Sorry Bhayyia...

Maine tau kisi ko nahin bataya thaa...last year story biki thee tau ab tak tau excitement khatm ho chuki thee...wo tau us din Meena ji online aayin aur mere haath mein meri Author's copy thee...unko dikha dee tau bolin ke mujhe garv hona chahiye apne upar...ab dekhti hoon mere bhayyia ko...sabhi doston ko bhi kitna garv hai...bahut khushi huyi bata nahin sakti...

paras

-------------

Ghayal Bhayyia...

Jo do chaar kitaabein bikne pe royalty milne kee ummeed hai kya use bhi jaane doon? Achhe Bhayyia hain aap bhi...lol...kam s kam aapko tau full price pe khareedni chahiye...lol

paras

-------------

Priyaa...

Tumhari shubhkaamnaaon ke liye dil se shukrguzaar hoon...tumne kaha tha na ki main tumhein mili kyon nahin New York mein...well Anu(Mast) ko nahin malum thaa ki tum kaunse hospital mein hogi...but believe me...hum dono ka hee bahut dil thaa tumse milne kaa...aur ab tau mileinge na 2004 ke aakhir mein...

paras

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
25th July 2004, 07:35 AM

Quote:
Originally posted by musharrafhusain
Mein meena ka shukr guzaar hoon jinhon ne hamein hamari behan ke is kaarnaame ke bare mein bataya.

Aur paras mein tum se kyaa kahoon, siwaaye is ke ke tum ne hamara sir fakhr se buland ker diyaa hai.
Mujhe is baat ki khushi 2 tarah ki hai. Ek yeh ke is forum ki ek saathi “saheb e kitaab” ho gaee hai aur duusri yeh ke is kaarnaame ko anjaam dene waali koee aur naheen meri behan hai. Goya :
“MEIN KHUSH HOON KE PARAS NE YEH DAAD TO PAAEE”
IS QEHT-E-NAWA MEIN KOEE AAWAAZ TO AAYEE
HAM KHUSH HAIN KE BEHNA NE YEH KAAM KIYA HAI
FORUM KO HAMARE BOHAT DAWAAM DIYAA HAI
AIY KAASH YUNHI LIKHTI RAHE PARAS HAMARI
PEECHE KO NA DEKHE, BARE AAGE KO SAWARI

Paras meri dheron duayen sirf aur sirf tumhare liye hain,
Agar ho sake to apni kitaab ki details mujhe bataao aur yeh batayo ke mein is ko kis tarah parh sakta hoon ke mein apni behan ke is kaarnaame ko parhne ke liye bechain hoon.
Ejazat chahta hoon is apne pan ke saath ke jahan raho khush raho aabaad raho, aur apna khayal rakho, ke tum ho to raunaq hai is bazm ki .

Musharrafhusain
Na jaane kyon Bhayyia...

Jab bhi aap mujhe kuch likhte hain...tau bus aankhein nam ho jaati hain...sochti hoon malum nahin kis janam mein aap mere Bhai honge...jo itna pyaar mujhpe nyochawwar karte hain...sach aapka ek ek lafz mere liye bahot ahem hai...

jee aapko details pm kar doongi...shukriya

apna khayaal rakhieygaa...

paras

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
25th July 2004, 07:39 AM

Shukriya Mayank Sahib!

Fakhr tau mujhe apne sab doston pe hai...jo hamesha mere saath rahe hain...meri muskurahat, mere aansoun, mere dard, meri shararaton mein bakaayda bhaagidaar rahe hain...

Dance like no one's watching,
sing like no one's listening,
love like you'll never get hurt,
and live like it's heaven on Earth!

Wow! Bahot khuub

paras

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
26th July 2004, 11:41 AM

pyaari aapa
der si mithhi sakhi ki kitaab ke chhapne par.bhut khushi mili hai sakhi ko bhut dino baad .
aapa aap yuhi safltaa paati jaaye yahi sakhi ki sache dil se dua hai apko unchhaaiyoin par dekhne ki tamnaa hai meri bas.

aapa mein apko kaise batau ki mera dil kitna khush hai aaj.

apko har gam se door deroin khushi milein in dua ke saath izaazat chahungi
sakhi

कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote
Re: paras
Old
  (#18)
majrooh
Registered User
majrooh is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 32
Join Date: Mar 2004
Location: U S of A
Rep Power: 0
Re: paras - 27th July 2004, 01:16 PM

Quote:
Originally posted by meena chheda
mere sabhi dost,

samaj nahi aa raha thha k yah baat kis jagah ki jaaye... or yaha aa gayi hu... yahi soch kar k 'paras' jaha bhi ho apni chaap banahi le. koi shak nahi.

aaj subah humari dost 'paras' ki kitaab chhap kar aayi hai.
paras............. mere dil ki shubkaamna or abhiwaadan... tumhare liye.......... humesha aage badhhti raho.

or....... maie chahungi ke tumhari is kitaab ke baare maie tum kuchh bataao humae........
tum par hum sabhi dost ko garv hai.
khush raho.

meena
Meena ji,

Yeh ehsaan apne hum sab par kiya jo 'Paras' ki kaamyabi ke baare bataya...

Paras ek kabil shaayra hain...unke lafzon kee kashish dekhte banti hai...ek pyaari shakhsiyat aur khubsurat dil ki malik hain...khuda unko bulandi bakhshein...

-----------

Aur Paras Sahibaa

ek kitab is nacheez ko tohfa kar dena...lol...apne to kamaal kar dikhaya...mujhe bhi fakhr mehsoos ho raha hai yeh soch kar ki main bhi 'paras' ke doston mein shamil hoon...aur doston ke saath
apni shabaashi aur dua mila raha hoon...khuub kamyabi haasil karo dost...

majrooh

zindagii aise jiyo tum dushmano.n ko rashk ho
maut ho aisii ke duniyaa der tak maatam kare
--Nawaz Deobandi
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
sanjoo
MriiGchiika
sanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to all
 
sanjoo's Avatar
 
Offline
Posts: 1,664
Join Date: Sep 2002
Location: INDIA (Mumbai)
Rep Power: 28
27th July 2004, 08:07 PM

Paras....
sorry badi der se khabar lagii........haan par mujhe yaad hai tumne ye baat mujhe bohot pehale bata dii thii.....par...woh baat ab jaa kar banii..jaan kar dil gadh gadh hoo gaya.
sach mai mai tumhari khushi mai jane anjane shaamil hu...ye mai sabdo se bata nahi sakta hu....par mujhe aaj garV mehsus ho raha hai.

bhagwaan tumhe jivaan aur naii naii uchaaiiyo ko chhune ka raasta de aur dher sarii safalta de saath mai......mai kafii dino se shayri.com par nahi aa paya......reason kabhii jab tum online ho tao bataungaa.....par ab waqt se 3.30 ghante mai piche chalaa gaya hu.....tao ek massla hua hai.....par thode waqt mai mere halaat mere bass mai aate hii....baat karungaa...tab tak k liye divaa..Sanju!~*~

Jindagi se to khair shikvaa tha,

muddato mout ne bhi tarsaaya hame..

.....
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
6th August 2004, 09:24 AM

Sakhi, meri pyaari pyaari..

Tumhein kuch kehne kee zaroorat nahin main jaanti hoon...unchaiyon ko kaun poochta hai...tum sabka pyaar jo hai mere saath aur kya chahiye...aur tum bhi khush raha karo...ok

dher sa pyaar

tumhari aapa

---------------

Majrooh Sahib...

Aapki shubhkaamnaaon ke liye bahut bahut shukriyaa...aur aapne tau kuch jyaada hee tareef kar dee is naacheez kee...lol

paras

-------------------

Sanjoo...

kaise ho, kuch kaam waam bhi karte ho ki bus shayri hee karne mein jute ho...khuub yaad rakha tumne sanjoo...haan bus tabhi mere agents ne story publisher ko bechi thee...par kya hai na Sanjoo...maine socha contract hee tau sign kiya hai...kya pata wo publisher isko print bhi karega ki nahin...vishwaas nahin thaa mujhe...ab bhi kuch sink in nahin kar raha...bus yeh dua dena ki flop na ho meri yeh pehli koshish...shukriya best wishes kaa...

paras

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#21)

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Meri paras meena chheda Shayri-e-Dard 4 10th March 2008 03:10 PM
Happy B'day Paras Pulkit_gupta Shayri-e-Dard 20 24th January 2007 10:12 PM
Paras ki Nayi Achievment Chaand Shayri-e-Mashahoor Shayar 12 3rd February 2005 08:11 PM
Happy Birthday Paras!! Qasid Shayri-e-Dard 33 21st January 2005 08:30 PM
Paras Ji K Liye UDAS Shayri-e-Dard 6 24th August 2004 12:19 PM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com