Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
*Mere Baad Kidhar Jaayegii Tanhaaii**
Old
  (#1)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Arrow *Mere Baad Kidhar Jaayegii Tanhaaii** - 6th March 2006, 06:39 PM

Mere Baad Kidhar Jaayegii Tanhaaii
Main Jo Maraa To Marr Jaayegii Tanhaaii

Main Jab Ro Ro Ke Dariyaa Ban Jaaoungaa
Uss Din Paar Utar Jaayegii Tanhaaii

Tanhaaii Ko Ghar Se Rukhsat Kar To Do
Sochon, Kis Ke Ghar Jaayegii Tanhaaii

Veeraanaa Houn Aabaadii Se Aayaa Houn
Dekhegii To Darr Jaayegii Tanhaaii

Youn Aaon Ki Paaon Kii Bhii Aawaaz Na Ho
Shor Houaa To Marr Jaayegii Tanhaaii


*Writer: Zafar Gorakhpuri Jee**


*Keep Smilling.......**


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
balvinder
Registered User
balvinder has a spectacular aura aboutbalvinder has a spectacular aura aboutbalvinder has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 226
Join Date: Jan 2006
Location: indore(mp)india
Rep Power: 21
7th March 2006, 10:56 PM

zafar sahab kyaa khoob ghazal post kee hai aapne ab kuchh hamaaree taraf se bhee unkaa kalaam aap kee nazar bina ye soche ki aapne isse pahale bhee dekhaa hai......

hameshaa hai vasl-o-judaa_ii kaa dhandhaa
buto.n kii hai ulfat Khudaa_ii kaa dhandhaa

agar baiThe rindo.n kii sohabat me.n zaahid
to de.n chho.D sab paarasaa_ii kaa dhandhaa

[rind = one who drinks; sohabat = company]
[zaahid = preacher/religious man; paarasaa_ii = self-restraint]

jo honaa hai aaKhir vo hokar rahegaa
kare kaun baKht_aazamaa_ii kaa dhandhaa

[baKht_aazamaa_ii = testing one's fate/luck]

pareshaa.N rahii umr bhar par na chho.Daa
terii zulf ne kaj_adaa_ii kaa dhandhaa

[kaj_adaa_ii = crookedness (curliness)]

mubaarak ra_iiso.n ko kaar-e-riyaasat
gadaa ko hai kaafii gadaa_ii kaa dhandhaa

[gadaa = beggar; gadaa_ii = begging]

nahii.n Khizr ke piichhe gar aur jhaga.De
to hai saath ik rah_numaa_ii kaa dhandhaa

[rah_numaa_ii = guidance/to show the path]

'Zafar' is se bahatar hai naa_aashanaa_ii


mazahab ko_ii lauTaale aur uskii jagah de-de
taHzeeb saleeke kee, insaan qareene ke
   
Reply With Quote
:)
Old
  (#3)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
:) - 3rd April 2006, 08:12 PM

Dear Balvinder Jee, Aapne Jo Submit Ki Hain Woh Bohot Achchha Laga...Ab Ek Unhii Ki Ghazal Aur Saath Ek Qataa Jo Ghazal Section Mein Submit Ki Houi Thi... **Dil Ki Gehraaion Ki Gehraaion Se Dher Saare Phoul,Shukriya **Khush Rahiye ye Duwaaon ke saath ijaazat...**God bless You.**


>Uss Ki Mehfil Mein Jaaa Ke Dekh Liya
Aapna Sab Kuchh Loutaa Ke Dekh Liya
Lakh Samjhayaa Par Na Samjhega
Dil Ko Phir Azmaa Ke Dekh Liya<<


Patthar Kahaa Gaya Kabhi Sheesha Kahaa Gaya
Dil Jaisi Ek Cheez Ko Kya Kyaa Kahaa Gaya

Sheron Mein Usske Husn Ko Kya Kyaa Kahaa Gaya
Badal Ko Zulf Phoul Ko Chehra Kahaa Gaya

Sochon To Ye Bhii Ek Qafas Hii To Hain Jisse
Tehzeeb Ki Zubaan Mein Kamra Kahaa Gaya

Ik Baat Akhtiyar Se Baharr Jo Thi Usse
Kis Khubsourti Se Tamanna Kahaa Gaya

Hairat Hain Unki Bazm-e-Muhabbat Mein Kal "Zafar"
Mujh Se Gunaahgar Ko Aapna Kahaa Gaya.......!


*Writer: Zafar Gorakhpuri Jee**
*Singer: Pankaj Udhas Jee**


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Ghazal: 'tanhaaii ka afsaana' Sharaabi Shayri-e-Dard 24 10th August 2010 04:15 PM
' Mere Baad Phool Na Rakhna Mere Mazaar Par...! ' Amanush... Shayri-e-Dard 38 16th December 2009 06:13 PM
Taareeq-o-tanhaaii pankaj neer Shayri-e-Dard 0 18th July 2006 07:34 PM
Mere Jaane Ke Baad.. RizOne Shayri-e-Dard 0 14th October 2004 10:12 PM
baat saaqii kii na Taalii jaayegii Neha Haroon Shayri-e-Sharaab 0 30th April 2003 03:27 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com