Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
- baat sayaani tum karte ho -
Old
  (#1)
shweta
Hmm
shweta is a jewel in the roughshweta is a jewel in the roughshweta is a jewel in the roughshweta is a jewel in the rough
 
shweta's Avatar
 
Offline
Posts: 39
Join Date: Oct 2011
Location: Delhi
Rep Power: 0
- baat sayaani tum karte ho - - 20th March 2012, 12:29 PM

baat sayaani tum karte ho
aql se par bacche lagte ho

main tumko samjhuu kaise
itna abke jo badle ho...

mujhko bhi tum ab batlaao
raaz jo dil me sab rakhte ho

ik ik baat chupaane ko ab
jhoot bahut se tum kahte ho

bolo to ik baat bataun
mujhko tum achche lagte ho

Mujhpar ghazle kahni ho to
Chand bahana kyu karte ho

Mujhse milna chhorh ke ab tum
bolo kis kis se milte ho

meri wajah se rote the na
bolo ab kitna haste ho

kahte ho ke bhool gaya hun
yaad magar sab kuch rakhte ho

sab hi tumko boleN apna
sabse aise kyu milte ho..

mujhko tum kahkar apna..
is kismat se kyu ladte ho

woh mere hi jaisa hai kya
ab jiske dil me rahte ho

main jo bhi ho daam lagaaun
haan magar tum kab bikte ho

kuch hai baat dabi si dil me
chup chup se tum kyu rahte ho

lagte ho tum ab bhi mere
pass bhale uske rahte ho

shaam ka rukh hai badla badla
saamne mere tum baithe ho

kaise kaise rang hain chaaTe
mujhko jab jab yuN choote ho

chhat par jab jab chand hai nikla..
usme tum hi kyu dikhte ho

kitne parde aur lagaaun??
is darja jo tum takte ho

baat hai kya tum kya samjhoge
mujhse jo tum yu uljhe ho

meri ankho se wo dekho..
khwaab suhaane jo bunte ho

kaun saa hai wo jaam bataoo
peekar jisko yun bahke ho

kya ho gar mai bhi kah dun..
tum bhi ab se mere ho

tumko apna lo jo maiN
bolo ispar kya kahte ho

main tumse gar haar bhi jaaun
'Sukhan' se par tum kab jeete ho

--

harf e taaza naii khushboo mein likha chahta hai
baab ik aur mohabbat ka khula chahta hai- Parveen Shakir

Last edited by shweta; 20th March 2012 at 12:51 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
20th March 2012, 09:13 PM

Shweta jee:

namaste!

aik umdaah koShiSh.... yuuNhi liKhate rahiye... dil se daad

KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
ufaq
AN ILLUSION
ufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.com
 
ufaq's Avatar
 
Offline
Posts: 726
Join Date: Oct 2011
Rep Power: 33
20th March 2012, 09:39 PM

shweta jee bahut mutaasir kiya aapne........meter aur qaafiye kee galitya huyi hai aapse lekin phir bhee bahut -2 mutaasir kiya............aapkee ghazal bahut lambi hai .tamaam ghazal par to baat nahee kar paaunga..........par kuch behad khaas baate likh rahaa hu.

Mujhse milna chhorh ke ab tum
bolo kis kis se milte ho

kahte ho ke bhool gaya hun
yaad magar sab kuch rakhte ho

sab hi tumko boleN apna
sabse aise kyu milte ho..

mujhko tum kahkar apna..
is kismat se kyu ladte ho

woh mere hi jaisa hai kya
ab jiske dil me rahte ho

meri ankho se wo dekho..
khwaab suhaane jo bunte ho

chhat par jab jab chand hai nikla..
usme tum hi kyu dikhte ho

ye sabhee sher acchey lage...........daad

meri wajah se rote the na
bolo ab kitna haste ho

haay haay........dil le gayaa ye sher to.................bas...........kuch nahee kahanaa......
qamaal likhaa hai............wahh.

mere khyaal se aap khud jaanti hogi ki aapne kahaa-2 technical mistakes kee hai isliye main unka zikr nahee karunga.............un ash'aar par chaltaa hu jahaa mujhe lagtaa hai ki andaaz e bayaan aur behtar ho sakta tha............

kya ho gar mai bhi kah dun..
tum bhi ab se mere ho

mere khyaal se ise aap yu kahe

kaisa ho gar mai ye kah du
aaz abhi se tum mere ho

kitne parde aur lagaaun??
is darja jo tum takte ho

ise yu kahe
kitne parde koi lagaaye
is had tak tum kyun takte ho

ik ik baat chupaane ko ab
jhoot bahut se tum kahte ho

ik wo jhoot chupaane ko ab
jhoot bahut se tum kahte ho

iske alaawa matle ne mujhe confuse kar diya- baat to aql se hee kee jaati hai.ab agar koi sayaanee baate karta hai to wo aql se bacchaa kaise huya..........hmmm..........aapse guzaarish hai ki apna ye thought thoda saaf karke bataaye.

khush rahiye, likhte rahiye..............................tc
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
shweta
Hmm
shweta is a jewel in the roughshweta is a jewel in the roughshweta is a jewel in the roughshweta is a jewel in the rough
 
shweta's Avatar
 
Offline
Posts: 39
Join Date: Oct 2011
Location: Delhi
Rep Power: 0
20th March 2012, 10:52 PM

Quote:
Originally Posted by uff ak View Post

Hello Uffaq..

Firstly a lot of thanks for reading it and appreciating it.
ye meri ek koshish thi.. aapko pasand aayi achcha laga... aur hmmm m in a learning phase so all the technical aspects are most welcome.. afterall it teaches you more....

matla kuch ye soch kar ke likha tha ki.. kabhi kabhi hum anjaane me bahut badi baat kah jaate hain... par akla wahi bachcho wali hoti hai..matlab jaane bina kuch bol diyaa.. jiske aql hai use to samajh aayi..but jisne kahi usey hi nahi pata.....kuch inhi thoughts ko rakhne ki koshish ki thi.. ho sakta hai mai galat hun...

kaisa ho gar mai ye kah du
aaz abhi se tum mere ho
hmmmm yahan kaisa ho mujhe kuch samajh nahi aaya.. kya ho samajh aata hai.. but kaisa ho?? plz clearify .. will this be verbly correct...

kitne parde aur lagaaun??
is darja jo tum takte ho

ise yu kahe
kitne parde koi lagaaye
is had tak tum kyun takte ho
----
hmmm pata nahi sahi hun ya galat par jo dimaag me aata hai wo kah rahi hun... poori ki poori ghazal maine direct tense me likhi hai .. and if you used "koi lagaaye" .. its making it indirect tense...

ik wo jhoot chupaane ko ab
jhoot bahut se tum kahte ho

ik ik wo baat aur ik wo jhoot ... maayne ko kaafi had tak badal rahe hain... mera ishara.. sach baat ko (izhaar/muhaabat ya koi sachchi baat) chupaane ki taraf tha... but lagta hai meanings clear nahi hui ... to ye sher to scrap hi hua...

wapas koshish karungi behtar likhne ki...

aur aapke comments ka dil se shukriyaa....
agar kuch ghalat laga ho to "sorry"
Thank you so much....tc

P.S. You write so well uffaq..hope i also can write like you..

--

harf e taaza naii khushboo mein likha chahta hai
baab ik aur mohabbat ka khula chahta hai- Parveen Shakir

Last edited by shweta; 20th March 2012 at 10:55 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
shweta
Hmm
shweta is a jewel in the roughshweta is a jewel in the roughshweta is a jewel in the roughshweta is a jewel in the rough
 
shweta's Avatar
 
Offline
Posts: 39
Join Date: Oct 2011
Location: Delhi
Rep Power: 0
20th March 2012, 10:59 PM

Quote:
Originally Posted by Dhaval View Post
Shweta jee:

namaste!

aik umdaah koShiSh.... yuuNhi liKhate rahiye... dil se daad

KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

Thank you so much for reading it

--

harf e taaza naii khushboo mein likha chahta hai
baab ik aur mohabbat ka khula chahta hai- Parveen Shakir
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
shweta
Hmm
shweta is a jewel in the roughshweta is a jewel in the roughshweta is a jewel in the roughshweta is a jewel in the rough
 
shweta's Avatar
 
Offline
Posts: 39
Join Date: Oct 2011
Location: Delhi
Rep Power: 0
20th March 2012, 11:43 PM

* baat sayaani tum karte ho
dil se fir bhi, tum bachche ho

--

harf e taaza naii khushboo mein likha chahta hai
baab ik aur mohabbat ka khula chahta hai- Parveen Shakir
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
janumanu
Banned
janumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 2,586
Join Date: Jun 2008
Location: New Delhi
Rep Power: 0
21st March 2012, 12:34 AM

Quote:
Originally Posted by shweta View Post
* baat sayaani tum karte ho
dil se fir bhi, tum bachche ho
dil se haaaN fir bhi bachy ho
  Send a message via Yahoo to janumanu  
Reply With Quote
Old
  (#8)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
21st March 2012, 07:59 AM

Shweta Ji ... Ehsaasaat Bahut Khoob Rahe !

AchChha Kahne Aur Likhne Koshish Behad Pasand Aaii !

UMDAAH !

MUBAARAQBAAD !!!

Aise Hii Behtar Koshish Ke Saath Aati RaheN Aur Likhti RaheN !!!

YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...

---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#9)
ufaq
AN ILLUSION
ufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.comufaq is the among the best Shayars at Shayri.com
 
ufaq's Avatar
 
Offline
Posts: 726
Join Date: Oct 2011
Rep Power: 33
23rd March 2012, 09:41 AM

Quote:
Originally Posted by shweta View Post
Hello Uffaq..

Firstly a lot of thanks for reading it and appreciating it.
ye meri ek koshish thi.. aapko pasand aayi achcha laga... aur hmmm m in a learning phase so all the technical aspects are most welcome.. afterall it teaches you more....

matla kuch ye soch kar ke likha tha ki.. kabhi kabhi hum anjaane me bahut badi baat kah jaate hain... par akla wahi bachcho wali hoti hai..matlab jaane bina kuch bol diyaa.. jiske aql hai use to samajh aayi..but jisne kahi usey hi nahi pata.....kuch inhi thoughts ko rakhne ki koshish ki thi.. ho sakta hai mai galat hun...

kaisa ho gar mai ye kah du
aaz abhi se tum mere ho
hmmmm yahan kaisa ho mujhe kuch samajh nahi aaya.. kya ho samajh aata hai.. but kaisa ho?? plz clearify .. will this be verbly correct...

no doubt, this will be verbly correct. kaisa ho se matlab hai how'll u feel?

kitne parde aur lagaaun??
is darja jo tum takte ho

ise yu kahe
kitne parde koi lagaaye
is had tak tum kyun takte ho
----
hmmm pata nahi sahi hun ya galat par jo dimaag me aata hai wo kah rahi hun... poori ki poori ghazal maine direct tense me likhi hai .. and if you used "koi lagaaye" .. its making it indirect tense...

ik wo jhoot chupaane ko ab
jhoot bahut se tum kahte ho

ik ik wo baat aur ik wo jhoot ... maayne ko kaafi had tak badal rahe hain... mera ishara.. sach baat ko (izhaar/muhaabat ya koi sachchi baat) chupaane ki taraf tha... but lagta hai meanings clear nahi hui ... to ye sher to scrap hi hua...

wapas koshish karungi behtar likhne ki...

aur aapke comments ka dil se shukriyaa....
agar kuch ghalat laga ho to "sorry"
no need 2 say sorry

Thank you so much....tc

P.S. You write so well uffaq..hope i also can write like you..
................................................ .................
   
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com